SEARCH RESULTS
Showing search results for "har ek baat pe kahte ho tum ke tuu kyaa hai"
Ghazal MATCHES FOR "har ek baat pe kahte ho tum ke tuu kyaa hai"
Ghazal
har ek baat pe kahte ho tum ki tuu kyaa hai
tumhii.n kaho ki ye andaaz-e-guftuguu kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
ajiib aap kaa e.ajaaz-e-vaza-daarii hai
har ek baat me.n kahte ho tum ki tuu kyaa hai
Bismil Aazmi
Ghazal
har baat pe kahte ho jo aamiin ka.ii baar
kyaa tum ko mirii baat par iimaan nahii.n hai
Betab Amrohvi
Ghazal
tum KHud hii mohabbat kii har ik baat bhulaa do
phir KHud hii mujhe tark-e-mohabbat kii sazaa do
Haneef akhgar
Ghazal
Shazia Niyazi
Ghazal
ham dil ke musaahib hai.n har ik baat pe raazii
ik mo.D Galat raah me.n aayaa hai to kyaa hai
Siddique Mujibi
Ghazal
kuchh dalaa.el ko.ii ma.anii nahii.n rakhte 'aazar'
kahne vaale kii har ik baat pe jaate kyuu.n ho
Mushtaq Aazar Fareedi
Ghazal
har ek baat pe ta.ana har ek baat pe tanz
kabhii to yaar kiyaa kar kisii se Dhang kii baat
Zafar Naseemi
Ghazal
me.aar aaj-kal to ba.Daa.ii kaa hai yahii
apnii har ek baat ko tuu ishtihaar kar
Quaiser Khalid
Ghazal
vo ki har baat pe kahte hai.n mujhe tuu kyaa hai
aise andaaz-e-takallum ko bhalaa kyaa kahiye
Ustad Vajahat Husain Khan
Ghazal
itnii shiddat se yaad karte ho
tum ko meraa hii intizaar hai kyaa
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
Ghazal
'arshii' ham us kii baat pe kahte hai.n yuu.n bajaa
ruuThaa to phir vo ham se manaayaa na jaa.egaa
Imtiyaz Ali Arshi
Ghazal
log samjhe.nge ki hai shaKHs ba.Daa shaa.ista
tum har ik baat pe bas naak cha.Dhaate jaa.o
Sada Ambalvi
Ghazal
har ek baat pe la.Dte ho kis liye 'naurang'
kisii ko apnaa banaa.o to 'iid ho jaa.e
Manik Vishwakarma Navrang
Ghazal
mai.n ne har ek baat pe tum ko kiyaa mu'aaf
merii du'aa hai rab kare behtar tumhaare saath
Atif Rais
Ghazal
terii har ek baat pe dil ko yaqii.n rahaa
tuu aage ba.Dh gayaa mai.n vahii.n kaa vahii.n rahaa
Syed Konain Haider Kazmi
Ghazal
be-vaj.h to hotii nahii.n aa.ngan kii KHamoshii
bachcho.n ko har ik baat pe Tokaa nahii.n karte
Iqbal Anjum
Ghazal
aap KHaamosh har ik baat pe ho jaate hai.n
kyaa kisii ko yuu.nhii ilzaam diyaa jaataa hai
Begum Sultana Zakir Ada
Ghazal
mudaam saamne Gairo.n ke be-naqaab rahe
isii pe kahte ho tum parda-daar ham bhii hai.n