SEARCH RESULTS
Showing search results for "huquuq"
Ghazal MATCHES FOR "huquuq"
Ghazal
ye naqsh dilo.n par se jaane kaa nahii.n us ko
aashiq ke huquuq aa kar naahaq bhii miTaa jaanaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
rakhiye bahut KHayaal huquuq-ul-ibaad kaa
denaa pa.Degaa haq vahaa.n sab kaa hisaab se
Shayan Quraishi
Ghazal
baadshaah aur gadaa sab ke baraabar the huquuq
nayaay me.n ko.ii bhii chhoTaa na ba.Daa thaa pahle
Mauj Fatehgarhi
Ghazal
aurat ne jab bhii baat kii apne huquuq kii
duniyaa ne saath mil ke kahaa mutma.in raho
meenakshi jijivisha
Ghazal
bas ek huuk sii dil se uThe ghaTaa kii tarah
ki harf o saut zaruurii nahii.n du.aa ke liye
Shaz Tamkanat
Ghazal
miTaa ke tafarqa-e-KHaas-o-aam kii la.anat
huquuq-e-KHaas Thikaane lagaa diye ham ne
Akhtar Ansari
Ghazal
mai.n muddato.n se huu.n taalib huquuq kaa apne
ho mujh se aur bhii ab intizaar mushkil hai
Mujahid Hadi
Ghazal
mutaalbe to bahut saKHt the zamaane ke
magar huquuq-e-mohabbat kii yaad aa hii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
tire huquuq kii ko.ii nahii.n zamaanat ab
Gariib-e-shahr tiraa KHair-KHvaah qaid me.n hai
Komal Joya
Ghazal
sipurd kar diye saare huquuq rahzan ko
ye kis zaliil ko rahbar samajh liyaa ham ne
Mashkoor Mamnoon Qannauji
Ghazal
jaan-e-shahzaad ko min-jumla-e-a.adaa paa kar
huuk vo uTThii ki jii tan se judaa ho baiThaa
Farhat Shahzad
Ghazal
jis takabbur kii badaulat chhin ga.e un ke huquuq
is ke asraat-e-ra.uunat naak par hai.n aaj bhii
Zameer Atraulvi
Ghazal
allaah re huquuq-o-faraa.ez kaa har amal
ik duusre pe baar hai aa.o du.aa kare.n
Fakhir Jalalpuri
Ghazal
huuk uThtii hai agar zabt-e-fuGaa.n kartaa huu.n
saa.ns ruktii hai to barchhii kii anii hotii hai
Hafeez Jaunpuri
Ghazal
Ghani Ejaz
Ghazal
hamaare jumla huquuq ab bhii beche jaate hai.n
ye aur baat KHariidaar hoshiyaar hu.e