aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "hech"
pahle bhii to guzre hai.ndaur naa-rasaa.ii ke ''be-riyaa'' KHudaa.ii kephir bhii ye samajhte ho hech aarzuu-mandiiye shab-e-zabaa.n-bandii hai rah-e-KHudaa-vandiitum magar ye kyaa jaanolab agar nahii.n hilte haath jaag uThte hai.nhaath jaag uThte hai.n raah kaa nishaa.n ban karnuur kii zabaa.n ban karhaath bol uThte hai.n sub.h kii azaa.n ban karraushnii se Darte horaushnii to tum bhii ho raushnii to ham bhii hai.nraushnii se Darte hoshahr kii fasiilo.n pardev kaa jo saaya thaa paak ho gayaa aaKHirraat kaa libaada bhiichaak ho gayaa aaKHir KHaak ho gayaa aaKHirizhdihaam-e-insaa.n se fard kii navaa aa.iizaat kii sadaa aa.iiraah-e-shauq me.n jaise raah-rau kaa KHuu.n lapkeik nayaa junuu.n lapkeaadmii chhalak uTTheaadmii ha.nse dekho shahr phir base dekhotum abhii se Darte ho?haa.n abhii to tum bhii hohaa.n abhii to ham bhii hai.ntum abhii se Darte ho
jahaan-zaad niiche galii me.n tire dar ke aageye mai.n soKHtaa-sar hasan-kuuzaa-gar huu.n!tujhe sub.h baazaar me.n buu.Dhe attaar yuusufkii dukkaan par mai.n ne dekhaato terii nigaaho.n me.n vo taabnaakiithii mai.n jis kii hasrat me.n nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.njahaa.n-zaad nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.n!ye vo daur thaa jis me.n mai.n nekabhii apne ranjuur kuuzo.n kii jaanibpalaT kar na dekhaavo kuuze mere dast-e-chaabuk ke putlegil-o-ra.ng-o-roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nvo sar-goshiy.n me.n ye kahtehasan kuuza-gar ab kahaa.n hai?vo ham se KHud apne amal seKHudaa-vand ban kar KHudaa.o.n ke maanind hai ruu-e-gardaa.n!jahaa.n-zaad nau saal kaa daur yuu.n mujh pe guzraaki jaise kisii shahr-e-madfuun par vaqt guzretaGaaro.n me.n miTTiikabhii jis kii KHushbuu se vaarafta hotaa thaa mai.nsa.ng-basta pa.Dii thiisuraahii-o-miinaa-o-jaam-o-subuu aur faanuus o gul-daa.nmirii hech-maayaa ma.iishat ke iz.haar-e-fan ke sahaareshikasta pa.De themai.n KHud mai.n hasan kuuza-gar paa-ba-gil KHaak-bar-sar barhanasar-e-chaak zholiidaa-muu sar-ba-zaanuukisii Gam-zada devtaa kii tarah vaahima kegil-o-laa se KHvaabo.n ke sayyaal kuuze banaataa rahaa thaajahaa.n-zaad nau saal pahletuu naadaa.n thii lekin tujhe ye KHabar thiiki mai.n ne hasan kuuza-gar netirii qaaf kii sii ufuq-taab aa.nkho.nme.n dekhii hai vo taabnaakiiki jis se mere jism o jaa.n abr o mahtaab kaarah-guzar ban ga.e thejahaa.n-zaad baGdaad kii KHvaab-guu.n raatvo ruud-e-dajlaa kaa saahilvo kashtii vo mallaah kii band aa.nkhe.nkisii KHasta-jaa.n ra.nj-bar kuuza-gar ke liyeek hii raat vo kohrbaa thiiki jis se abhii tak hai paivast us kaa vajuudus kii jaa.n us kaa paikarmagar ek hii raat kaa zauq dariyaa kii vo lahr niklaahasan kuuza-gar jis me.n Duubaa to ubhraa nahii.n hai!
aaj kii raat saaz-e-dard na chhe.Ddukh se bharpuur din tamaam hu.eaur kal kii KHabar kise ma.aluumdosh-o-fardaa kii miT chukii hai.n huduudho na ho ab sahar kise ma.aluumzindagii hech! lekin aaj kii raatezdiyyat hai mumkin aaj kii raataaj kii raat saaz-e-dard na chhe.Dab na dohraa fasaana-haa-e-alamapnii qismat pe sogvaar na hofikr-e-fardaa utaar de dil seumr-e-rafta pe ashk-baar na hoahd-e-Gam kii hikaayate.n mat puuchhho chukii.n sab shikaayate.n mat puuchhaaj kii raat saaz-e-dard na chhe.D
kuchh KHvaab hai.n parda-e-anvaar magar un kii sahar gumjis aag se uThtaa hai mohabbat kaa KHamiir us ke sharar gumhai kul kii KHabar un ko magar juz kii KHabar gumye KHvaab hai.n vo jin ke liye martaba-e-diida-e-tar hechdil hech hai sar itne baraabar hai.n ki sar hecharz-e-hunar hech!
hech hai har chiiz zevar Gaaza afshaa.n rang o KHaalhusn KHud apnii jagah hai sau kamaalo.n kaa kamaal
jahaa.n pahaa.Do.n ke aasmaa.n-bos silsile hai.nvahaa.n kabhii bahr maujzan thejahaa.n bayaabaa.n me.n ret u.Dtii haibaad-e-masmuum guu.njtii haivahaa.n kabhii sabza-zaar-o-gul-gasht kaa samaa.n thaabuland-o-baalaa haqiir-o-hechis shikast-o-ta.amiir ke tasalsul me.n bah rahe hai.nshikast-o-ta.amiir ke tasalsul me.n tuu hai mai.n huu.n
jab ba.Dhaate hai.n qadam piichhe phir haTte hii nahii.nhausle un ke jo ba.Dhte hai.n to ghaTte hii nahii.ndam-e-paikaar hariifo.n se ye kaTte hii nahii.nulTe qadmo.n pe bilaa fat.h palaTte hii nahii.nhech hai.n un ke liye aahanii diivaare.n bhiirok saktii nahii.n faulaad kii diivaare.n bhii
yaa-rab tire bando.n se qazaa khel rahii haiik khel ba-unvaan-e-daGaa khel rahii haijis khel ko sarsar ne bhii khelaa na chaman me.nus khel ko ab baad-e-sabaa khel rahii haiuljhe hu.e haalaat ke tevar hai.n KHatarnaakbadle hu.e mausam kii havaa khel rahii hairindaan-e-tahii-dast sazaa-vaar-e-subuu hai.n!TuuTii hu.ii tauba se ghaTaa khel rahii hailaGziida qadam izn-e-KHirad maa.ng rahe hai.nduzdiida nigaaho.n me.n hayaa khel rahii haiaura.ng-e-shahii hech hai rindo.n kii nazar me.nmahlo.n kii bulandii pe qazaa khel rahii haiehraam se jubbe se musalle se abaa se'shorish' mirii be-KHauf navaa khel rahii hai
sajtii thii kabhii tan pe jo thii eid kii achkansajte the kabhii ham, to kabhii eid kii achkansau sau tarah parvaan cha.Dhii eid kii achkanab itne ghaTe ham ki ba.Dhii eid kii achkanachkan nahii.n is vaqt abaa aur qabaa haiyaa ko.ii do-shaala hai jo khuu.nTii pe Ta.ngaa haiis eid kii achkan ne machaa.ii thii ba.Dii dhuumjab is ko pahante to chamak uThtaa thaa maqsuumjaate jo kahii.n duur se ho jaataa thaa ma.aluumham is me.n nazar aate the jaise ki ho.n ma.asuumis eid kii achkan me.n ba.De la.al ja.De theeidii bhii hame.n dete the jau ham se ba.De theus ahd me.n ye eid kii achkan thii banaa.iijis ahd me.n ham khaate the baabaa kii kamaa.iidete na the aflaas kii us vaqt duhaa.iimil jaatii thii jis shai kii zaruurat nazar aa.iihar baat pe jab ruuTh ke ha.nsne kaa maza thaatab eid kii achkan ke pahan.ne kaa maza thaais eid kii achkan ko pahan lete the jab hamaatii thii nazar hech hame.n saltanat-e-jamjis ne mujhe dekhaa vo yahii kahtaa thaa har dam''jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam''''mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa''mai.n bhii Gam-e-duniyaa kaa shanaavar na hu.aa thaais eid kii achkan ne gale un se milaayaaghabraataa thaa paas aane se jin logo.n kaa saayakis kis ke na jaane but-e-pindaar ko Dhaayaajab eid kaa din aayaa to phir dil ko sajaayaaachkan nahii.n maazii kaa sunahraa saa varaq haiham badle par achkan nahii.n badlii ye qalaq haiai 'ja.afarii' achkan ko na laTkaa mire aage''juz vahm nahii.n hastii-e-ashiyaa mire aage''vo dhuup Dhalii rah gayaa saayaa mire aageab qissa-e-maazii ko na dohraa mire aagekaam aa.ii ye achkan na Gariib-ul-vatanii me.n''har-chand subuk-dast hu.e but-shikanii me.n''
lamha-e-nau aziim haisozish-e-dil hai kyaa balaa jazb-o-junuu.n bhii kuchh nahii.nsaa.njh samaaj hech hai.n rishta-e-KHuu.n bhii kuchh nahii.nhasrat va aarzuu kii nai bandish va bastagii kii laidamdama-e-qadiim hai
ai qutub-miinaar ai bhaarat kii azmat ke nishaa.nhar gha.Dii saaya-fagan rahtaa hai tujh par aasmaa.ntere har ik sang me.n pinhaa.n hai terii daastaa.ndiida-e-hairat se takte hai.n tujhe ahl-e-jahaa.nsar-bulandii par tirii ham hindiyo.n ko naaz haituu hamaarii KHushnumaa taariiKH kaa Gammaaz haiteraa maskan arz-e-dillii rashk-e-husn-e-koh-e-qaafchaa.nd-suuraj roz tere gird karte hai.n tavaafsaarii duniyaa ko hai terii azmato.n kaa e'tiraaftujh se hotaa hai hamaarii qaumiyat kaa inkishaafterii sannaa.ii zamaane ke liye pur-pech haiaaj bhii paris kaa tower tere aage hech haituu hamaarii shaan-o-shaukat kaa hai taabinda gavaahtujh se raushan hai hamaare ilm-o-fan kii shaahraahtujh pe pa.Dte hii chamak uThtii hai hairat se nigaahtuu hamaaraa paasbaa.n hai tuu hamaaraa KHair-KHvaahtarjumaan-e-vaqt hai tuu rahnumaa-e-fan hai tuuhaa.n libaas-e-sang me.n ik paikar-e-aahan hai tuu
ummiidhai Galat nauha-e-Gam-gauhar shahvaar hai tuufil-haqiiqat ba.Dii izzat kaa sazaa-vaar hai tuumaujzan hai tirii rag rag me.n shahiido.n kaa lahuubadr o ahzaab kii ja.ngo.n kaa alam-daar hai tuujur.at-e-KHaalid-e-jaa.n-baaz milii hai tujh kovaaris-e-zor-e-shah-e-haidar-e-karraar hai tuukaun kahtaa hai tujhe jins danii hech-mabarztuu bahut kuchh hai agar muslim-e-bedaar hai tuutuu agar chaahe nikal saktii hai sahraa me.n bhii raahsa.i-e-paiham ke liye koh-e-giraa.n ik par-e-kaahkaun kahtaa hai ki saamaan se vaabasta haiterii izzat tire iimaan se vaabasta haisab se avval tujhe laazim hai KHudaa kii pahchaanaadmiyat isii irfaan se vaabasta haiKHud giraa pa.Dtaa hai laazim hai KHudaa kii pahchaanterii vaq.at bhii tirii aan se vaabasta haiis se kaT jaa.e to kau.Dii bhii nahii.n mol tiraaqadr o qiimat tirii qur.aan se vaabasta haituu hai shaakii ki zamaana ne tujhe khoyaa haiaur zamaane ko shikaayat hai ki tuu soyaa hai
chain hai KHvaab hai kahaanii haimaaysha merii zindagaanii haihar taraf is se shaadmaanii haihar nazaare kaa rang dhaanii hairang me.n ruup me.n nazaakat me.nsab me.n pariyo.n kii vo to raanii haius kii aa.nkho.n se nuur chhantaa haius ke ho.nTo.n pe gul-fishaanii haiaisii naazuk ki pankhu.Dii bhii nahii.nphuul ko.ii vo daastaanii haimustaqil baam-o-dar mahakte hai.nvo mire ghar kii raat-raanii haius kii ma.asuum muskuraahaT me.nkuchh farishto.n kii bhii nishaanii hainaGmagii jism-o-jaa.n me.n ghul jaa.eaisii ho.nTo.n pe KHush-bayaanii haiaisaa gul-kaariyo.n me.n jaaduu haiaag bhii jis ke dam se paanii haihech maKHmal hai jild ke aagerang bhii rashk-e-arGavaanii haius ke talvo.n ke lams me.n bhii ajabnasha-e-kaif-e-jaavedaanii haius se har aa.nkh me.n basaarat haius se har dil me.n shaadmaanii haius ke hone se mere aa.ngan me.ntapish-e-dhuup bhii suhaanii haibe-zarar be-zabaan hai lekinhar taraf us kii hukmraanii haibaap qurbaan maa.n fidaa us paraur naanii to bas diivaanii haidaadaa daadii ke dil kii dha.Dkan haisunny maamuu.n kii jaan-e-jaanii haishaahida ho.n ki baby baajii huu.nhar ko.ii us parii kii naanii haifaKHr in.aam kii chahetii haisalluu shaadaab kii bhii raanii haidil mahak kaa chahak rahaa us selab pe safiya ke lan-taraanii haibin bulaa.e hame.n bulaatii haivo to gu.Diyaa ajab siyaanii haiai 'Gazanfar' bataa ki mahfil me.nkyaa ko.ii maaysha kaa saanii hai
vo ik mufakkir-e-aziim shaa.irthaa vo iqbaal shaa.iro.n kaavo zindagaanii kaa raaz-daa.nvo kaamraanii kaa naGma-KHvaa.nmaqbuul thaa hind-o-paak me.n vo yaksaa.ntaraana-e-hind kaa vo KHaaliqvo falsafii thaa vo rahnumaa thaadiyaa falsafa jis ne KHudii-o-be-KHudii kaatamaam duniyaa ke nazm-haa-e-siyaasattamaam duniyaa ke nuqta-haa-e-nazarthe us kii chashm-e-biinaa me.n raushanthaa magar vo aashiq-e-asiahariif thaa ahl-e-maGrib kaa voKHitaab jis ko diyaa thaa qaum ne us kiivahii thaa shaa.ir-e-mashriqthaa vo muballiG islaam kaa be-shakki islaam hai amn-o-raahat kaa maz.habvo thaa ik mard-e-kaamil insaa.n mukammalgarche thaa barahman-zaada kashmiir kaanazar me.n us kii thaa devtaa saavatan kii miTTii kaa har ek zarraKHirad thii us kii nigaah me.n hech-o-pastjunuun-e-ishq kaa thaa vo dil se qaa.ilvo thaa ik paiGambar ilm-o-amal kaathii na mahduud shaa.erii us kiina thaa mahduud daa.era us ke paiGaam kaathe muKHaatab us ke saarii duniyaa ke aam-o-KHaaskisaano.n mazduuro.n kaa thaa vo haamiikah gayaa vo apne sher me.njis khet se dahqaa.n ko mayassar na ho roziius khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
bin-laadentoraa-boraa me.n hotaato aisii mahsharii maarjis sepahaa.D surma ban ga.ezamiin raakh ho ga.iiaasmaan siyaah pa.D gayaakab kaa KHatm ho chukaa hotaamagar kurra-e-arz par jagah jagahhaibatnaak aatishii.n phu.nkaare.nkarbnaak dil-doz chiiKHe.nis haqiiqat kii Gammaaz hai.nki bin-laadenmiraa nahii.nzinda haiye phu.nkaare.n aur chiiKHe.nis baat kii bhii daliil hai.nki laadentoraa-boraa ke alaavaduusre KHitto.n me.n bhii maujuud haisavaal ye hai kilaaden KHatm kyuu.n nahii.n hu.aakyaa vo vaaqa.ii itnaa zabardast haiki saare jahaan kii majmuu.ii taaqat bhiius ke aage hech haikyaa us ne aab-e-hayaat pii lii haiki kabhii mar nahii.n saktaakyaa vo qafas bin gayaa haiki apnii KHaakistar se phir paidaa ho jaataa haikyaa vo shud sikandarii haiki yaajuuj-maajuuj kii zabaane.nuse puurii tarah chaaT nahii.n paatii.nkyaa vo raavan haiki us kaa ek sar afghanistan me.nto baaqii nau duusre jahaa.n me.naur kyaa us ne ko.ii vardaan paa liyaa haiki sar kaT kar phir dha.D se aa lagtaa haikyaa vo bhisham-pitaama haiki apnii achchhaa ke baGair mar nahii.n saktaakyaa us ne apnaa clone banaa liyaa haiki us kaa KHaatma naa-mumkin ho gayaa haisavaal ye bhii haiki miizaa.ilo.n kaa nishaana chuuk kyuu.n jaataa haikyaa un ke purze Dhiile hai.nki vo apnaa tavaazun kho baiThtii hai.nbe-samtii kaa shikaar ho jaatii hai.nkyaa vo andhii hai.nki bin-laaden ko dekh nahii.n paatii.nkyaa un kii biinaa.ii kamzor haiki vo laaden aur Gair-laaden me.n tamiiz nahii.n kar paatii.nbin laaden ko.ii sach to nahii.nki shakunii kii chaal us ke aage naakaam ho jaa.evo laakshaa girah se bach kar nikal jaa.eagyaat-bass se vaapas aa jaa.eus kaa chiir-haran na ho saketiiro.n kii shayyaa par zinda rah jaa.ekahii.n aisaa to nahii.nki missile.n use maarnaa hii nahii.n chaahatii.nagar aisaa haito ye mahsharii maarkis ke liyeye musalsal yalGaarkyuu.nhairaan-o-pareshaan arjunkrukshetra me.n chiiKHtaa phir rahaa haimagar aaj kii mahaa-bhaarat me.nin savaalo.n kaa javaab dene vaalaako.ii kirshn nahii.nko.ii kirshn nahii.n
kaisii aavaaz haiko.ii kahtaa haiye dasht maujuud-o-mash.huur-o-mauhuum bashad idraak-o-ehsaas-o-aavaaz tak hii nahii.nchashm-o-dil kaa ye taa.ir jisesair-e-parvaaz samjhe ho majbuur haimusht-e-par sar-buriida-o-paaband hiius kaa sarmaaya hai jis pe maGruur haitaa-ba-hadd-e-KHirad taa-ba-hadd-e-junuu.njo bhii hai hech-o-be-maaya haikyaa Garaz is seye kyaa hai kaisaa hai kab se hai kab tak rahegaause bhuul jaa.o ki tum KHud hariif-e-KHudaavand-e-aafaaq hoin savaalaat me.n KHud tumhaarii hii tauhiin haitum dil-e-arsh-e-aasaar kaa aa.iina le ke aa.e hojis me.n ka.ii rang kiitez-rau sust-rau shoKH maddham sajal mustaqil muttasilmuntashir munfa.il munqasim saada pechiida mub.ham guraab-i-subuknek-o-manhuusmaujuud-o-mash.huur-o-mauhuum parchhaa.iyaa.nyuu.n guzartii hai.njaise ko.iidhiire dhiire se palko.n ko chhuutaa rahe KHvaab me.nkaun hai kaun haimaavaraa-e-KHiradmaavaraa-e-junuu.nmaavaraa-e-nazarmaavaraa-e-nafasmuntazir muztaribapnii suurat dikhaane ko bechain haikaisii aavaaz hai jo azal se ta.aaqub me.n haimere lahje kaa iimaan us ke taKHaatub me.n haiye kahii.n merii aavaaz hii to nahii.nmai.n mujhii ko sadaa de rahaa huu.n ba.Dii der seba.Dii duur semai.n hii apnaa hariif-e-azalmai.n hii apnaa hariif-e-abadmujh ko meraa pata do ki mai.napnii aavaaz kii guu.nj huu.n
hai dasahraa yaadgaar-e-azmat-e-hindostaa.nhindu.o.n kii ik qadiimii fat.h-o-nusrat kaa nishaa.nik miTii sii ye nishaanii daulat-o-iqbaal kiiyaad dilvaatii hai un ayyaam-e-farruKH-faal kiijab ki thii ham me.n bhii aise zor-o-taaqat kii numuudhech thii diivaan ro.e.n tan kii jis se hast-o-buudjab akele uTh kha.De hote the ham bahar-e-nabardaur kar dete the apne dushmano.n ko gard garddil me.n himmat haath me.n apne faqat shor-e-al-amaa.nbaa.ndh kar vo pul samundar ko kiyaa ham ne ubuurjis ko hairaa.n dekh kar hai.n aaj bhii ahl-e-shu.uurfauj-e-raavan laa-ta.ad thii reg-e-sahraa kii tarahaur uma.nD aa.ii thii vaqt-e-jang dariyaa kii tarahraavan-e-KHu.nKHaar aur vo koh-paikar is ke devjin kii KHuu.n-KHvaarii kaa thaa saare zamaane me.n Gariivqila vo lanka kaa jo naa-qaabiluttasKHiir thaajis pe naazaa.n apne dil me.n raavan-e-be-piir thaathe tilaa.ii burj jis ke aur murassaa baam-o-darjin kii choTii par na pahu.nche ko.ii murG-e-tez-parsauda-e-laal-o-zamurrad thii vahaa.n kii KHaak bhiiik tilism aisaa ki qaasir thaa jahaa.n aur ik bhiiham ne aise dushmano.n par fat.h paa.ii thii kabhiiapne hisse me.n bhii ye mojiz-numaa.ii thii kabhiiaaj vo din hai ki ham us yaad ko taaza kare.nruu-e-zebaa-e-uruus-e-fat.h pur Gaaza kare.nmil ke gaa.e.n raam ke gun dil me.n ho josh-e-suruurqalb-e-saafii maKHzan-e-vahdat ho siina rashk-e-tuurye dasahraa ashra-e-ishrat hai apne vaasteKHaaliq-e-kaunain kii ne.amat hai apne vaaste
har shai hai hech 'niilam' maa.n kii ta.Dap ke aagemaa.n jaisii pyaarii muurat duniyaa me.n hai na hogii
mataa-e-ziist marii laakh hech-maayaa sahiimagar sitaare falak ke na jaane kyuu.n yuu.nhiiudaas udaas nigaaho.n se mujh ko takte hai.nbhalaa ye saa.e mirii raah rok sakte hai.n
bahr-e-Gam me.n hai saKHt tuGyaaniisar se uupar guzar gayaa paaniikab tak ai nuz.hat-e-barishta-jigarshor yaa rab se arsh-e-jumbaaniirone-dhone se jaan khone sekahii.n bante hai.n kaam diivaaniidard-e-dil dard-aafrii.n ko sunaakar guzar jii me.n hai jo kuchh Thaaniidasht-e-vahdat hai dasht-e-vahdat haidekh aahista kar faras-raaniibe-KHabar pahle naqsh kar dil parazmat-e-baargaah-e-yazdaaniimaaya-e-rshk yaa.n bazaa.at-e-morhech vaa.n shaukat-e-sulaimaaniipahle de sadqa maa-sivaa allaahpahle kar jaan-o-dil kii qurbaaniichaahiye bahar-e-nazar-e-jins-e-garaa.nchaahiye KHuu.n ko bashud afshaaniisadaf-e-fikr se nikaal guhartar-ba-tar kar araq se peshaaniinuz.hat-e-be-navaa hai hadiya ba-dastho qubuul-e-janaab-e-sultaaniihadiya kyaa ek saada daftar parlikh ke laa.ii huu.n lafz-e-laa-saaniidii.n hai ulfat vatan faGaanistaa.nurf majnuu.n hai pesha hassaanii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books