aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "totaa"
pahle aisaa hotaa thaabhaa.nt bhaa.nt ke bandarshahr kii fasiilo.n parmahfile.n jamaate theghar me.n kuud aate thehaath me.n se bachcho.n keroTii noch jaate theab to vo madaarii bhiiKHaalii haath aataa haibhiik maa.ng kar ghar gharghar ko lauT jaataa haiab gharo.n me.n chi.Diyo.n kaashor kyuu.n nahii.n hotaaraat ko ko.ii ulluupe.D par nahii.n rotaape.D par nahii.n rotaala.Dte la.Dte chi.Diyaa.n kyuu.nfarsh par nahii.n girtii.nbilliyaa.n chhato.n par kyuu.nghuumtii nahii.n phirtii.nab na ko.ii bulbul haiaur na ko.ii mainaa haiab na ko.ii tiitar haiaur na ko.ii totaa haikis se puuchhne jaa.e.nmor kaisaa hotaa haiToliyaa.n kabuutar kiikho ga.ii.n fazaa.o.n me.ntitliyo.n ke ra.ngii.n parbah ga.e havaa.o.n me.nmu.nh-a.ndhere ab murGaabaa.ng kyuu.n nahii.n detaaghar me.n ko.ii bakrii kaanaam kyuu.n nahii.n letaakyaa hu.e daraKHto.n pargho.nsle parindo.n keko.ii bhii nahii.n kahtaaqisse ab darindo.n kenanhe nanhe chuuzo.n parchiil kaa jhapaTnaa abdekhne kahaa.n jaa.e.nraaste me.n saa.nDo.n kaapahro.n la.Dte rahnaa abdekhne kahaa.n jaa.e.nchhipkilii kii jiitii dumab thiraktii kyaa paa.e.nra.ng badalte girgiT komaarte kahaa.n jaa.e.ngaa.e bhai.ns kaa reva.Dab idhar nahii.n aataauu.nT Te.Dhaa-me.Dhaa saaab nazar nahii.n aataaab na gho.De haathii hai.naur na vo baraatii hai.nab galii me.n kutto.n kaabhau.nknaa nahii.n hotaaraat chhat pe sote hai.nbhuut dekh kar ko.iichau.nknaa nahii.n hotaaab jidhar bhii jaate hai.naadmii ko paate hai.n
tiin hamaarii bahne.n chhoTiimil kar khaa.e.n aadhii roTiinaa patlii naa bilkul moTiimiiduu in me.n sab se chhoTiimiiduu ne ik totaa paalaaus tote kaa rang niraalaaniiche niilaa uupar kaalaaTiDDe aisii aa.nkho.n vaalaais tote kii hu.ii cha.Dhaa.iidin bhar kar ke maGz khapaa.iishaam ko dii miiduu ne duhaa.iiis tote ko lenaa bhaa.iilaakh pa.Dhaa.e.n KHaak na boledum na hilaa.e cho.nch na kholebahut kaho to haule haulefarsh pe maare rah rah Tholebhaa.ii ne sochaa us ko bulaa.e.nchhe.Daa jo us ko daa.e.n baa.e.ntotaa bolaa kaa.e.n kaa.e.nmiiduu bolii haa.e.n haa.e.nmai.n ne is ko totaa samjhaaye totaa to kavvaa niklaais kavve kii dum me.n taagaais ke piichhe chho.Do kuttaa
naqsh yaa.n jis ke miyaa.n haath lagaa paise kaaus ne tayyaar har ik ThaaTh kiyaa paise kaaghar bhii paakiiza imaarat se banaa paise kaakhaanaa aaraam se khaane ko milaa paise kaakap.Daa tan kaa bhii milaa zeb-fazaa paise kaajab hu.aa paise kaa ai dosto aa kar sanjogishrate.n paas hu.ii.n duur hu.e man ke rogkhaa.e jab maal-puu.e duudh dahii mohan-bhogdil ko aanand hu.e bhaag ga.e rog aur dhogaisii KHuubii hai jahaa.n aanaa hu.aa paise kaasaath ik dost ke ik din jo mai.n gulshan me.n gayaavaa.n ke sarv-o-suman-o-laala-o-gul ko dekhaapuuchhaa us se ki ye hai baaG bataa.o kis kaaus ne tab gul kii tarah ha.ns diyaa aur mujh se kahaamehrbaa.n mujh se ye tum puuchhaa ho kyaa paise kaaye to kyaa aur jo hai.n is se ba.De baaG-o-chamanhai.n khile kiyaariyo.n me.n nargis-o-nasriin-o-sumanhauz favvaare hai.n ba.nglo.n me.n bhii parde chalvanjaa-ba-jaa qumrii-o-bulbul kii sadaa shor-afganvaa.n bhii dekhaa to faqat gul hai khilaa paise kaavaa.n ko.ii aayaa liye ek murassaa pi.nj.Daalaal dastaar-o-dupaTTaa bhii haraa juu.n-totaais me.n ik baiThii vo mainaa ki ho bulbul bhii fidaamai.n ne puuchhaa ye tumhaaraa hai rahaa vo chupkaaniklii minqaar se mainaa ke sadaa paise kaavaa.n se niklaa to makaa.n ik nazar aayaa aisaadar-o-diivaar se chamke thaa pa.Daa aab-e-talaasiim chuune kii jagah us kii thaa ii.nTo.n me.n lagaavaah-vaa kar ke kahaa mai.n ne ye hogaa kis kaaaql ne jab mujhe chupke se kahaa paise kaaruuThaa aashiq se jo maashuuq ko.ii haT kaa bharaaaur vo minnat se kisii taur nahii.n hai mantaaKHuubiyaa.n paise kii ai yaaro kahuu.n mai.n kyaa kyaadil agar sang se bhii us kaa ziyaada thaa ka.Daamom-saa ho gayaa jab naam sunaa paise kaajis gha.Dii hotii hai ai dosto paise kii numuudhar tarah hotii hai KHush-vaqti-o-KHuubii bahbuudKHush-dilii taazgii aur KHurmii kartii hai duruudjo KHushii chaahiye hotii hai vahii.n aa maujuuddekhaa yaaro to ye hai aish-o-mazaa paise kaapaise vaale ne agar baiTh ke logo.n me.n kahaajaisaa chaahuu.n to makaa.n vaisaa hii Daaluu.n banvaaharf-e-takraar kisii kii jo zabaa.n par aayaaus ne banvaa ke diyaa jaldii se vaisaa hii dikhaaus kaa ye kaam hai ai dosto yaa paise kaanaach aur raag kii bhii KHuub-sii tayyaarii haihusn hai naaz hai KHuubii hai tarah-daarii hairabt hai pyaar hai aur dostii hai yaarii haiGaur se dekhaa to sab aish kii bisyaarii hairuup jis vaqt hu.aa jalva-numaa paise kaadaam me.n daam ke yaaro jo miraa dil hai asiiris liye hotii hai ye merii zabaa.n se taqriirjii me.n KHush rahtaa hai aur dil bhii bahut aish-paziirjis qadar ho sakaa mai.n ne kiyaa tahriir 'naziir'vasf aage mai.n likhuu.n taa-ba-kujaa paise kaa
phirte hai.n ishq-baaz jo la.Dke kii ghaat me.nTo.Taa hii le ke dete hai.n la.Dke ke haath me.nmahtaabii aa ke chho.De.n hai.n la.Dke jo raat me.nkyaa zarkiyaa.n sii chho.De hai.n ha.ns ha.ns ke baat me.nkartii hai kaam un ke bhii yuu.n jaarii shab-baraat
abbaa to chale ga.e hai.n daftarammii ko buKHaar aa rahaa haichhamman to gayaa hu.aa hai baazaarjumman khaanaa pakaa rahaa haizaibun ko usii kaa taaza bachchapakkaa gaanaa sunaa rahaa haiamjad sofe par ko.ele sekaalaa totaa banaa rahaa haiaslam daadii kii le ke tasviirus kii mo.nchhe.n ugaa rahaa haitauqiir blade ke kamaalaatqaaliin pe aazmaa rahaa haichhe saat tipaa.iyaa.n milaa karakbar gaa.Dii chalaa rahaa haitasniim banii hu.ii hai gho.Daajo mez pe bhaagaa jaa rahaa hai'aKHtar' parde kii jhaalro.n sebillii ko dulhan banaa rahaa hainanhaa iqbaal leTe leTenadii naale bahaa rahaa haisunte hai.n ki anqariib in kaaek aur bhii bhaa.ii aa rahaa hai
totaa chhe.De thap-thap tabla mainaa giit sunaa.eulluu jab mirda.ng bajaa.e kavvaa shor machaa.ekuk.Duu.n kuu.n kii taan lagaa ke murGaa gaay KHayaalqumrii apnii Thumrii gaay murGii deve taalmor apnii dum ko phailaa kar katthak naach dikhaa.etotaa chhe.De thap-thap tabla mainaa giit sunaa.echi.Diyaa baajii sabhaa me.n naache KHushii se chham chham chhammoTii bataKH cho.nch se Dholak piiTe dham dham dhambayaa bajaa.e manjere aur bhau.nraa bhajan u.Daa.etotaa chhe.De thap-thap tabla mainaa giit sunaa.ebulbul gul kii yaad me.n ro-ro gaa.e diipak raagmast papiihaa duur se naGmo.n kii bha.Dkaa.e aagkoyal pahan ke paa.el saarii mahfil me.n iThlaa.etotaa chhe.De tha-thap tabla mainaa giit sunaa.era.ng bira.ngii chi.Diyaa.n ab chhe.De.n aisii qavvaaliipattaa pattaa buuTaa buuTaa taal me.n deve taaliiphuuphii chiil vajd me.n aa kar uu.nchii taan lagaa.etotaa chhe.De thap-thap tabla mainaa giit sunaa.einglistaan kaa saaras aa kar naache rock ain rolmurGaabii se bole madam english gaanaa boldekho dekho kitnii pyaarii mahfil hai ye haa.etotaa chhe.De thap-thap tabla mainaa giit sunaa.e
pa.Dhnaa likhnaa sikhaa.eachchhii raah bataa.ebad se hame.n bachaa.eachchhaa bachcha banaa.ebhayyaa pyaaraa pyaaraaghanTii KHuub bajaa.ebasta bhii laTkaa.emaktab le kar jaa.ejaldii se pahu.nchaa.erickshaw pyaaraa pyaaraaphuulo.n par itraa.eKHushbuu bhii bikhraa.eghar aa.ngan mahkaa.ehariyaalii bhii laa.egamlaa pyaaraa pyaaraabhayyaa le kar jaa.ecircus bhii dikhlaa.elaDDuu bhii khilvaa.ejo chaaho mil jaa.emela pyaaraa pyaaraajab jab ye lahraa.esab kii shaan ba.Dhaa.ejis ke haath ye aa.eaage ba.Dhtaa jaa.ejhanDaa pyaaraa pyaaraataariikii me.n aa.ebistar tak pahu.nchaa.elorii bhii sunvaa.esapne bhii dikhlaa.esonaa pyaaraa pyaaraasab ko maar bhagaa.ejo dekhe Dar jaa.eulTii shaamat laa.edushman ko.ii aa.eDa.nDaa pyaaraa pyaaraabaarish me.n kaam aa.ebaahar le kar jaa.eKHud to bhiigaa jaa.elekin hame.n bachaa.echhaataa pyaaraa pyaaraajagmag ruup dikhaa.echandaa riijhaa jaa.erasta bhii batlaa.elekin haath na aa.etaaraa pyaaraa pyaaraatal kar munnaa khaa.eKHaagiina banvaa.esaalan me.n pak jaa.emunnii ko lalchaa.eanDaa pyaaraa pyaaraajab ye mausam aa.esehat KHuub banaa.eDhero.n kap.De laa.ephir bhii duur na jaa.ejaa.Daa pyaaraa pyaaraakhaanaa jab bhii aa.eaage ba.Dh kar laa.eham ko sab khilvaa.eKHud bhuukaa rah jaa.echamcha pyaaraa pyaaraabaazaaro.n me.n niklehaath me.n sab ke laTkejo kuchh bhii ye dekheapne peT me.n rakhethailaa pyaaraa pyaaraamiiThaa miiThaa khaa.omunnaa bole laa.ojaldii se pakvaa.osaaraa chaT kar jaa.ohalva pyaaraa pyaaraachaahe ko.ii bulaa.esab kii god me.n jaa.edekhe to lalchaa.etoffee biscuit chaa.enanhaa pyaaraa pyaaraapaanii ThanDaa kar desar pe kaToraa rakhedau.De aa.e.n pyaarejo chaahe vo pii lemaTkaa pyaaraa pyaaraasuurat rang bira.ngiihaalat bhii hai achchhiibistar kaa hai saathiiaadat me.n hai narmiitakiya pyaaraa pyaaraagarmii duur bhagaa.eThanDaa mausam laa.etho.Dii bijlii khaa.ebehtar kaam banaa.epa.nkhaa pyaaraa pyaaraacham cham chamkaa jaa.ebijlii saa lahraa.ejaldii jaldii aa.esaath me.n chaltaa jaa.ejuutaa pyaaraa pyaaraasab se pahle jaagepe.D pe cha.Dh ke baiThediivaaro.n par bhaagekuuk.Duu.n kuuk.Duu.n chiiKHemurGaa pyaaraa pyaaraaghar me.n dau.D lagaa.ebaahar bhaag ke jaa.ebillii par Gurraa.enanhe ko bahlaa.ekuttaa pyaaraa pyaaraapiiTh pe hame.n biThaa.esarpaT dau.D ke jaa.emanzil par pahu.nchaa.etab jaa kar sustaa.egho.Daa pyaaraa pyaaraajaldii se uTh jaa.echiiKHe aur chillaa.edaana patte khaa.ephir bhuukaa rah jaa.ebakraa pyaaraa pyaaraapinjre me.n par toleThumak Thumak kar Dolejab bhii mu.nh ko kholemiiThii bolii boletotaa piyaare pyaaraaru.ii ko lipTaa.edhaagaa bantaa jaa.ehaatho.n me.n bal khaa.ebal khaa kar lahraa.etaklaa pyaaraa pyaaraachoro.n se la.D jaa.eDaaku se Takraa.ejo bhii chaabii laa.eus ke bas me.n aa.etaalaa pyaaraa pyaaraasa.Dke.n bhii dikhlaa.egaliyo.n me.n le jaa.ekaun kidhar ko jaa.ebhed ye sab batlaa.enaqsha pyaaraa pyaaraakaliyo.n par manD laa.ephuulo.n se batlaa.enaache jhuume gaa.emastii me.n lahraa.ebhau.nraa pyaaraa pyaaraashab ko mu.nh dikhlaa.esuuraj se sharmaa.ebaadal me.n chhup jaa.eraat hote hii aa.echandaa pyaaraa pyaaraajhiil ke paas hii baiThechhoTii machhlii pak.Dehans ho ko.ii jaisemotii khaane aa.ebagulaa pyaaraa pyaaraaaa.nkho.n se lag jaa.eraahat hii pahu.nchaa.ekaale kaale shiisheabr ke Tuk.Do.n jaisechashma pyaaraa pyaaraameraa hamdam saathiiaisaa na hogaa ko.iisuurat bhii hai pyaariisiirat bhii hai achchhiibasta pyaaraa pyaaraavaqt pe so kar uThevaqt pe apne khelevaqt pe pa.Dhne jaa.eavval number aa.ebachcha pyaaraa pyaaraa
lo iid aa.ii lo do puliye maidaan me.n bhar baazaar lagaahar chaahat kaa saamaan hu.aa har ne.amat kaa ambaar lagaasab ujlaa shahr uma.nD aayaa shalvaar sajaa dastaar lagaais bhii.D ke biphre tuufaa.n me.n jo Duub gayaa so paar lagaaTolii ke aage Tolaa hai railii ke piichhe relaa haiyaaro ye iid kaa mela hai
mujh se pyaar kartaa hai to kitnaa pyaar kartaa haivo baazuu kholtaa hai aur zamiin-o-aasmaa.nun me.n chhupaa kar mujh se kahtaa haibahut kartaa huu.n itnaa Dher saa itnaa bahut kartaa huu.ngho.Daa ruk gayaameraa kabuutar u.D gayaachi.Diyaa jo daana khaa ga.iivo mai.n bhii khaa.uu.ngaagilahrii so na jaa.e aur bandarun ko mai.n biscuit khilaa.u.ngaamujhe totaa dikhaa.osabz cho.nch aur surKH totaariichh kuttaa bhe.Diyaa billii kaa bachchaun kii tasviire.n kahaa.n hai.naaj un ke paas jaa.u.ngaaunhe.n mai.n un kii tasviire.n dikhaa.uu.ngaa
buDDhaa totaa pa.Dhne kii dhun me.n ik din school gayaakavvaa ha.ns kii chaal chalaa to apnii chaal hii bhuul gayaa
abbaa jab baazaar se aa.eaate aate aam bhii laa.ejitne hare the sab kachche thepakke hu.e the narm rasiilekachche to the saKHt aur khaTTedo do aam diye the ham kodo aapaa ko do aadam komere aam bahut miiThe theaadam ke bilkul khaTTe theaam ke naam na jaane kyaa thetotaa parii niilam the kyaa theaam kii nazm amiin-'hazii.n' kiipa.Dh ke mu.nh me.n aayaa paanii
TuuT baTuuT kaa ik totaa haiumr hai us kii hafte aaThmiyaa.n miTThuu naam hai us kaasab kahte hai.n miyaa.n maaThvaah miyaa.n miTThuu tere ThaaTh
ik jangal me.n hu.e ikaTThesaare jaanvaro.n ke bachchebhe.D ne apnaa lallaa bhejaagaay ne bhii bachh.Daa bhejaakutte kaa pillaa bhii aayaaulluu kaa paTThaa bhii aayaabakrii ne bhii memne bhejeaur billii ne bilauTe bhejemurGii ke chuuze bhii aa.ebataKH ke bachche bhii aa.egho.De kaa chaalaak bachheraabhai.ns ke ka.De ke saath aayaabaaz kabuutar kavvaa chi.Diyaahaathii uu.nT uqaab aur shikraabandar sher hiran aur kachhvaatiitar mor baTer aur bagulaatotaa mainaa faaKHta sab neapne apne bachche bhejekahii.n thii.n chii.n chii.n kahii.n chyaa.uu.nkahii.n thii me.n me.n kahii.n myaa.unsab ne mil kar shor machaayaaik KHiKHyaayaa ik mimyaayaako.ii chiiKHaa ko.ii bhau.nkaaulluu bhii sote me.n chau.nkaaKHuub ye jalsa chamkaa ya.aniibaat na samjhaa ko.ii kisii kii
kaa.nTo.n ke taaj chunoyaajab sach kii raah chalolafzo.n ke pech-o-taab me.n ulluu na banoshaa.erii mat karo!moTe-jhoTe yajmaano.n kii jhi.Dkiyaa.n ho.nyaa kaahil riyaa-kaar afsaro.n kaa phaTkaare.nyaa phirdublii-patlii diq-zada biiviyo.n ke ta.ane ho.nyaa totaa-chashm ayyaar rut badliimahbuubaa.o.n kii jhuuTii muskuraahaTe.nKHaamosh rahohar shai koqudarat kaa karishma samjho
najmii fahmii uzmaa raa.anaaaa.o dekhe.n chi.Diyaa-KHaanajin ke naam sunaa karte hoaaj unhe.n nazdiik se dekhoek se ek parinde dekhoaadam-KHor darinde dekhomor saro.n par taaj sajaa.enaach rahe hai.n par phailaa.ebulbul dekho totaa dekhokoyal dekho mainaa dekhoKHush-aavaaz papiihaa dekhohud-hud aur gaurayyaa dekhobho.nraa dekho titlii dekhosher kii KHaala billii dekhozebra gho.Daa TaTTuu KHachcharbaaz kabuutar kavvaa tiitarvo dekho KHargosh gilahriibaara-si.nghaa aur vo hirniiban-maanus aur bhaaluu bhii hainevlaa aur ka.ngaaruu bhii haibandar kii naqqaalii dekhopiiT rahe hai.n taalii dekhodo do haathii jhuum rahe hai.nduur gad.he bhii ghuum rahe hai.nshero.n kaa Gurraana dekhote.ndve kaa bal khaanaa dekhovo dekho afriiqii gai.nDaaaur ye hindostaanii chiitaaphan kaa.Dhe ik naagan bhii hailom.Dii ik makkaaran bhii haibuzdil giida.D lakka.D-bagghaakaun banegaa leader is kaadilkash taa.ir aabii dekhokaisii hai murGaabii dekhomachhlii ko lahraate dekhome.nDak ko Tarraate dekhoek magarmachh jaag rahaa haidekh ke kachhvaa bhaag rahaa haiaaj 'faraaG' uncle ne dekhaakalkatte kaa chi.Diyaa-KHaana
1ek thii chi.Diyaaek thaa kavvaaek thii mainaaek thaa totaaek thii billiiek thaa kuttaaek thii murGiiek thaa bakraachi.Diyaa kavvaamainaa totaabillii kuttaamurGii bakraaye sab saath rahaa karte thedukh-sukh saath sahaa karte the2achchhii chi.Diyaa bholii bholiiik din in sab se boliiaa.o chal kar kaam kare.n kuchhkaam kare.n kuchh naam kare.n kuchhKHaalii rah kar vaqt na kho.e.nkhet me.n chal kar gehuu.n bo.e.njab ye sab gehuu.n pak jaa.e.ntab ham sab mil jal kar khaa.e.n3chi.Diyaa kii jab baat sunii yekavvaa bolaa mai.n nahii.n botaamainaa bolii mai.n nahii.n botiitotaa bolaa mai.n nahii.n botaabillii bolii mai.n nahii.n botiikuttaa bolaa mai.n nahii.n botaamurGii bolii mai.n nahii.n botiibakraa bolaa mai.n nahii.n botaasab ne kahaa jab ham nahii.n botechi.Diyaa ne vo aap hii boyaa4tho.De dino.n me.n vaqt vo aayaakhet ye gehuu.n kaa phal laayaachi.Diyaa bolii chal kar kaaTe.ngehuu.n se ghar apnaa paaTe.nun sab ne jab kaam sunaa yekavvaa bolaa mujh se na hogaamainaa bolii mai.n na karuu.ngiitotaa bolaa mujh se na hogaabillii bolii mai.n na karuu.ngiikuttaa bolaa mujh se na hogaamurGii bolii mai.n na karuu.ngiibakraa bolaa mujh se na hogaajab na kisii ne kaam kiyaa yechi.Diyaa ne khet aap hii kaaTaa5gehuu.n ghar me.n kaaT ke Daalephir sab se yuu.n bolii chi.Diyaaaa.o ye ham chakkii me.n piise.npis kar ye ho jaa.e.nge aaTaachakkii aur aaTe kii sun karun me.n se har ik ghabraayaasab se pahle kavvaa bolaaaaTaa ye mujh se na pisegaamainaa bolii totaa bolaaaaTaa ye mujh se na pisegaamainaa bolii totaa bolaaaaTaa ye ham se na pisegaabillii bolii kuttaa bolaaaaTaa ye ham se na pisegaamurGii bolii bakraa bolaaaaTaa ye ham se na pisegaajab na kisii ne piisaa aaTaachi.Diyaa ne vo aap hii piisaa6saare gehuu.n piis chukii vophir un se yuu.n bolii chi.Diyaaaa.o pakaa.e.n mil kar roTiikaam ye ho jaa.e to hai achchhaabaat ye sun kar kavvaa bolaamujh se nahii.n pak saktii ye roTiimainaa bolii totaa bolaaham se nahii.n pak saktii ye roTiibillii bolii kuttaa bolaaham se nahii.n pak saktii ye roTiimurGii bolii bakraa bolaaham se nahii.n pak saktii ye roTiijab na kisii ne kaam kiyaa yechi.Diyaa ne roTii bhii pakaa lii7roTii jab chi.Diyaa ne pakaa liipuuchhaa kaun ye khaa.egaa roTiikavvaa bolaa mai.n khaa.uu.ngaasab roTii chaT kar jaa.uu.ngaamainaa bolii mai.n khaa.uu.ngiitotaa bolaa mai.n khaa.uu.ngaabillii bolii mai.n khaa.uu.ngiikuttaa bolaa mai.n khaa.uu.ngaamurGii bolii mai.n khaa.uu.ngiibakraa bolaa mai.n khaa.uu.ngaasab ne kahaa ham khaa.e.nge roTiisaarii chaT kar jaa.e.nge roTiidil me.n vo na zaraa sharmaa.ejhaT-paT roTii khaane aa.e8ab to un se chi.Diyaa boliiroTii ye tum ko na milegiikaam se tum sab ghabraate hophir ye roTii kyo.n khaate hophir ye roTii kyo.n khaate hobaat ye sun kar sab ghabraa.esab sharmaa.e sab pachhtaa.echi.Diyaa aur sab us ke bachchemil kar khaanaa khaane baiThesab ne mil kar khaanaa khaayaasab ne mil kar gaanaa gaayaakaam kaa phal chi.Diyaa ne paayaakaam ne in kaa kaam banaayaachaa.nd me.n baiThii taaraa raaniiai lo bachcho KHatm kahaanii
shahr me.n circus aayaa haikhel tamaashe laayaa haihaathii uu.nT aur gho.De hai.nsab hii yuu.n to bhago.De hai.nsab ko paka.D kar laayaa haishahr me.n circus aayaa haiu.Dtii uchhaltii kaar bhii haikhelo.n kii bhar-maar bhii haisaare khilaa.Dii aur jokertaar pe chalte hai.n sarsarshahr umaD kar aayaa haishahr me.n circus aayaa haisher bhii hai aur bakrii bhiikutto.n kii ik Tolii bhiiek ba.Daa saa bhaaluu haikuchh us ke ham-jolii bhiibhaan-matii kaa kumba haijo circus ne jo.Daa haihaathii puujaa-paaTh karebandar bandar-baa.nT karebhaaluu naach dikhaataa haitotaa top chillaataa haisabhii dikhaate hai.n kartabjoker ab giraa yaa tabsab ke man ko bhaayaa haishahr me.n circus aayaa hai
giit KHushii ke mil kar gaa.onannhii munnii chi.Diyo aa.ochi.Diyaa kii shaadii hai aajchi.Diyaa kii shaadii hai aajlo vo bajne lagii shahnaa.iimainaa giit sunaatii aa.iichi.Diyaa kii shaadii hai aajchi.Diyaa kii shaadii hai aajbulbul ne hai sehraa gaayaanaach kabuutar ne dikhlaayaachi.Diyaa kii shaadii hai aajchi.Diyaa kii shaadii hai aajmehmaa.n aa.e karo svaagatab hogii shaadii kii daavatchi.Diyaa kii shaadii hai aajchi.Diyaa kii shaadii hai aajmurGii tohfa anDaa laa.iimurGe ne dii aa ke badhaa.iichi.Diyaa kii shaadii hai aajchi.Diyaa kii shaadii hai aajtotaa miiThe phal le aayaaujlaa kar kanTaas bhii aayaachi.Diyaa kii shaadii hai aajchi.Diyaa kii shaadii hai aajchale baraatii ha.nste gaateduulhaa dulhan jii ko lubhaatechi.Diyaa kii shaadii hai aajchi.Diyaa kii shaadii hai aaj
miyaa.uu.n miyaa.uu.n bole billiime.n-me.n me.n-me.n bole bakriichi.Diyaa bole chuu.n-chuu.n chuu.n-chuu.nkuttaa bole bhau.n-bhau.n bhau.n-bhau.nTe.n-Te.n Te.n-Te.n totaa bolesab ke kaano.n me.n ras gholekoyal bole kuu-kuu kuu-kuukuuk me.n is kii hai jaaduukaa.e.n kaa.e.n kar ke kavvaakaan pakaataa hai sab kaame.nDak Tar-Tar Tar-Tar bolephir paanii me.n kuude uchhlesher dahaa.De.n jab maarechingha.De.n haathii saareDhechuu-Dhechuu kii aavaazhai ye gadho.n kaa bho.nDaa saaz
vo chi.Diyaa vo totaa vo mainaa vo morvo koyal vo bulbul vo qumrii chakorvo jhiilo.n kii lahre.n vo dariyaa kaa zorvo jharno.n kaa girnaa vo paanii kaa shorvo sarsabz is ke pahaa.D aur banye meraa vatan hai ye meraa vatanvo Galle vo meve vo tarkaariyaa.nvo KHush-rang phuulo.n kii gulkaariyaa.nvo sarsabz baaGo.n kii phul-vaariyaa.nvo sairaab aur KHushnumaa kyaariyaa.nzamiine.n vo zarKHez dilkash chamanye meraa vatan hai ye meraa vatanvo bikhrii hu.ii dhuup din kii bahaarvo nikhrii hu.ii chaa.ndnii KHush-gavaarvo raushan sitaare vo shab kaa si.nghaarvo sehn-e-chaman me.n khilaa laala-zaarvo mahtaab kii pyaarii pyaarii kiranye meraa vatan hai ye meraa vatanpahaa.Do.n ke manzar bano.n kaa samaa.nvo in me.n hazaaro.n hii chashme ravaa.nkahaa.n tak bayaa.n is kii ho.n KHuubiyaa.nhai firdaus kaa is chaman par gumaa.nye baaG-e-iram hai ye baaG-e-adanye meraa vatan hai ye meraa vatan
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books