aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Sardi

Winter is a season rather

special to lovers. It also helps us enjoy the rays of the sun as well as the blazing embers in the fireplace. In such a season, the lovers in separation crave for each other. Urdu poets have represented this season both in physical and metaphorical terms. You may like to read the verses here and enjoy the various states of winter and how it impacts us.

kuchh to havā bhī sard thī kuchh thā tirā ḳhayāl bhī

dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī

kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi

dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi

Parveen Shakir

ye sard raat ye āvārgī ye niiñd bojh

ham apne shahr meñ hote to ghar ga.e hote

ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh

hum apne shahr mein hote to ghar gae hote

Ummeed Fazli

ab udaas phirte ho sardiyoñ shāmoñ meñ

is tarah to hotā hai is tarah ke kāmoñ meñ

ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein

is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein

Shoaib Bin Aziz

december sardī hai us ke jaisī

zarā jo chhū le badan kāñptā hai

december ki sardi hai us ke hi jaisi

zara sa jo chhu le badan kanpta hai

Amit Sharma Meet

sardī meñ din sard milā

har mausam bedard milā

sardi mein din sard mila

har mausam bedard mila

Mohammad Alvi

vo gale se lipaT ke sote haiñ

āj-kal garmiyāñ haiñ jāḌoñ meñ

wo gale se lipaT ke sote hain

aaj-kal garmiyan hain jaDon mein

Muztar Khairabadi

garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e

sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā

garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae

sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya

Bedil Haidri

mire sūraj aa! mire jism pe apnā saaya kar

baḌī tez havā hai sardī aaj ġhazab hai

mere suraj aa! mere jism pe apna saya kar

baDi tez hawa hai sardi aaj ghazab ki hai

Shahryar

jab chalī ThanDī havā bachcha ThiThur kar rah gayā

maañ ne apne la.al taḳhtī jalā raat ko

jab chali ThanDi hawa bachcha ThiThur kar rah gaya

man ne apne lal ki taKHti jala di raat ko

Sibt Ali Saba

tum to sardī hasīñ dhuup chehra ho jise

dekhte rahte haiñ dīvār se jaate hue ham

tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise

dekhte rahte hain diwar se jate hue hum

Nomaan Shauque

raat bechain sardī meñ ThiThurtī hai bahut

din bhī har roz sulagtā hai tirī yādoñ se

raat bechain si sardi mein ThiThurti hai bahut

din bhi har roz sulagta hai teri yaadon se

Amit Sharma Meet

yādoñ shaal oḌh ke āvāra-gardiyāñ

kaaTī haiñ ham ne yuuñ bhī december sardiyāñ

yaadon ki shaal oDh ke aawara-gardiyan

kaTi hain hum ne yun bhi december ki sardiyan

Unknown

sardī aur garmī ke uzr nahīñ chalte

mausam dekh ke sāhab ishq nahīñ hotā

sardi aur garmi ke uzr nahin chalte

mausam dekh ke sahab ishq nahin hota

Moin Shadab

vo sardiyoñ dhuup tarah ġhurūb ho gayā

lipaT rahī hai yaad jism se lihāf tarah

wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya

lipaT rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah

Musavvir Sabzwari

sūraj lihāf oḌh ke soyā tamām raat

sardī se ik parinda darīche meñ mar gayā

suraj lihaf oDh ke soya tamam raat

sardi se ek parinda dariche mein mar gaya

Athar Nasik

ab sardī meñ kahāñ hai vo alaav siina

ab sardī meñ mujhe ḳhud ko jalānā hogā

ab ki sardi mein kahan hai wo alaw sina

ab ki sardi mein mujhe KHud ko jalana hoga

Naeem Sarmad

saḳht sardī meñ ThiThurtī hai bahut ruuh mirī

jism-e-yār aa ki bechārī ko sahārā mil jaa.e

saKHt sardi mein ThiThurti hai bahut ruh meri

jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae

Farhat Ehsas

thoḌī sardī zarā nazla hai

shā.erī mizāj patlā hai

thoDi sardi zara sa nazla hai

shaeri ka mizaj patla hai

Mohammad Alvi

katrāte haiñ bal khāte haiñ ghabrāte haiñ kyuuñ log

sardī hai to paanī meñ utar kyuuñ nahīñ jaate

katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log

sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate

Mahboob Khizan

ik barf jamī rahe dīvār-o-bām par

ik aag mere kamre ke andar lagī rahe

ek barf si jami rahe diwar-o-baam par

ek aag mere kamre ke andar lagi rahe

Salim Saleem

tez dhuup meñ aa.ī aisī lahar sardī

mom har ik putlā bach gayā pighalne se

tez dhup mein aai aisi lahar sardi ki

mom ka har ek putla bach gaya pighalne se

Qateel Shifai

itnī sardī hai ki maiñ bāñhoñ harārat māñgūñ

rut ye mauzūñ hai kahāñ ghar se nikalne ke liye

itni sardi hai ki main banhon ki hararat mangun

rut ye mauzun hai kahan ghar se nikalne ke liye

Zubair Farooq

'alvī' ye mo.ajiza hai december dhuup

saare makān shahr ke dho.e hue se haiñ

'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka

sare makan shahr ke dhoe hue se hain

Mohammad Alvi

sardī hai ki is jism se phir bhī nahīñ jaatī

sūraj hai ki muddat se mire sar par khaḌā hai

sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jati

suraj hai ki muddat se mere sar par khaDa hai

Fakhr Zaman

sard jhoñkoñ se bhaḌakte haiñ badan meñ sho.ale

jaan le legī ye barsāt qarīb aa jaao

sard jhonkon se bhaDakte hain badan mein shoale

jaan le legi ye barsat qarib aa jao

Sahir Ludhianvi

vo aag bujhī to hameñ mausam ne jhiñjhoḌā

varna yahī lagtā thā ki sardī nahīñ aa.ī

wo aag bujhi to hamein mausam ne jhinjhoDa

warna yahi lagta tha ki sardi nahin aai

Khurram Afaq

aisī sardī meñ shart chādar hai

oḌhne ho bichhaune

aisi sardi mein shart chadar hai

oDhne ki ho ya bichhaune ki

Paras Mazari

baiThe baiThe pheñk diyā hai ātish-dān meñ kyā kyā kuchh

mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā hai

baiThe baiThe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh

mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai

Zulfiqar Aadil

sard rātoñ taqāza thā badan jal jaa.e

phir vo ik aag jo siine se lagā.ī maiñ ne

sard raaton ka taqaza tha badan jal jae

phir wo ek aag jo sine se lagai main ne

Qamar Abbas Qamar

pairoñ se Takrāte haiñ jab jhoñke sard havāoñ ke

haath larazne lag jaate haiñ chamḌe ke dastānoñ meñ

pairon se Takraate hain jab jhonke sard hawaon ke

hath larazne lag jate hain chamDe ke dastanon mein

Adnan Mohsin

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now