ALL
Profile
Ghazal70
Nazm8
Sher182
E-book131
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari21
Quote26
Audio26
Video35
Rubai61
Qisse21
Article12
Gallery 6
Tanz-o-Mazah1
Blog4
Other
TOP 20 SHAYARI of Firaq Gorakhpuri
ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ
ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein
aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī samjhe to ek baat kahūñ
ishq taufīq hai gunāh nahīñ
if someone were to listen, one thing I will opine
Love is not a crime forsooth it is grace divine
koi samjhe to ek baat kahun
ishq taufiq hai gunah nahin
if someone were to listen, one thing I will opine
Love is not a crime forsooth it is grace divine
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
tum muḳhātib bhī ho qarīb bhī ho
tum ko dekheñ ki tum se baat kareñ
You're in front and near me too
Should I converse or look at you?
tum muKHatib bhi ho qarib bhi ho
tum ko dekhen ki tum se baat karen
You're in front and near me too
Should I converse or look at you?
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ham se kyā ho sakā mohabbat meñ
ḳhair tum ne to bevafā.ī kī
hum se kya ho saka mohabbat mein
KHair tum ne to bewafai ki
ġharaz ki kaaT diye zindagī ke din ai dost
vo terī yaad meñ hoñ yā tujhe bhulāne meñ
gharaz ki kaT diye zindagi ke din ai dost
wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaam bhī thī dhuāñ dhuāñ husn bhī thā udaas udaas
dil ko ka.ī kahāniyāñ yaad sī aa ke rah ga.iiñ
sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
aa.e the hañste khelte mai-ḳhāne meñ 'firāq'
jab pī chuke sharāb to sanjīda ho ga.e
we came to the tavern all gay and frolicsome
now having drunk the wine, somber have become
aae the hanste khelte mai-KHane mein 'firaq'
jab pi chuke sharab to sanjida ho gae
we came to the tavern all gay and frolicsome
now having drunk the wine, somber have become
ab to un kī yaad bhī aatī nahīñ
kitnī tanhā ho ga.iiñ tanhā.iyāñ
nowadays even her thoughts do not intrude
see how forlorn and lonely is my solitude
ab to un ki yaad bhi aati nahin
kitni tanha ho gain tanhaiyan
nowadays even her thoughts do not intrude
see how forlorn and lonely is my solitude
raat bhī niiñd bhī kahānī bhī
haa.e kyā chiiz hai javānī bhī
raat bhi nind bhi kahani bhi
hae kya chiz hai jawani bhi
-
Tag : Jawani
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sunte haiñ ishq naam ke guzre haiñ ik buzurg
ham log bhī faqīr usī silsile ke haiñ
sunte hain ishq nam ke guzre hain ek buzurg
hum log bhi faqir usi silsile ke hain
ik umr kaT ga.ī hai tire intizār meñ
aise bhī haiñ ki kaT na sakī jin se ek raat
ek umr kaT gai hai tere intizar mein
aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat
zarā visāl ke ba.ad aa.ina to dekh ai dost
tire jamāl kī doshīzgī nikhar aa.ī
zara visal ke baad aaina to dekh ai dost
tere jamal ki doshizgi nikhar aai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zabt kiije to dil hai añgārā
aur agar roiye to paanī hai
zabt kije to dil hai angara
aur agar roiye to pani hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
laa.ī na aisoñ-vaisoñ ko ḳhātir meñ aaj tak
ūñchī hai kis qadar tirī nīchī nigāh bhī
lai na aison-waison ko KHatir mein aaj tak
unchi hai kis qadar teri nichi nigah bhi
kaun ye le rahā hai añgḌā.ī
āsmānoñ ko niiñd aatī hai
kaun ye le raha hai angDai
aasmanon ko nind aati hai
isī khañDar meñ kahīñ kuchh diye haiñ TuuTe hue
inhīñ se kaam chalāo baḌī udaas hai raat
isi khanDar mein kahin kuchh diye hain TuTe hue
inhin se kaam chalao baDi udas hai raat
kamī na kī tire vahshī ne ḳhaak uḌāne meñ
junūñ kā naam uchhaltā rahā zamāne meñ
kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein
junun ka nam uchhalta raha zamane mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download