Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Wahshat Raza Ali Kalkatvi's Photo'

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

1881 - 1956 | Kolkata, India

Prominent later – classical poet from Bengal

Prominent later – classical poet from Bengal

Sher of Wahshat Raza Ali Kalkatvi

5.2K
Favorite

SORT BY

terā marnā ishq āġhāz thā

maut par hogā mire anjām-e-ishq

tera marna ishq ka aaghaz tha

maut par hoga mere anjam-e-ishq

kis tarah husn-e-zabāñ ho taraqqī 'vahshat'

maiñ agar ḳhidmat-e-urdu-e-muallā na karūñ

kis tarah husn-e-zaban ki ho taraqqi 'wahshat'

main agar KHidmat-e-urdu-e-mualla na karun

ham ne aalam se bevafā.ī

ek māshūq-e-bevafā ke liye

hum ne aalam se bewafai ki

ek mashuq-e-bewafa ke liye

nishān-e-manzil-e-jānāñ mile mile na mile

maze chiiz hai ye zauq-e-jushtujū merā

nishan-e-manzil-e-jaanan mile mile na mile

maze ki chiz hai ye zauq-e-jushtuju mera

sach kahā hai ki ba-ummīd hai duniyā qaa.im

dil-e-hasrat-zada bhī terā tamannā.ī hai

sach kaha hai ki ba-ummid hai duniya qaim

dil-e-hasrat-zada bhi tera tamannai hai

zamāna bhī mujh se nā-muvāfiq maiñ aap bhī dushman-e-salāmat

ta.ajjub is hai bojh kyūñkar maiñ zindagī uThā rahā huuñ

zamana bhi mujh se na-muwafiq main aap bhi dushman-e-salamat

tajjub is ka hai bojh kyunkar main zindagi ka uTha raha hun

ham se hai bad-gumāñ sad afsos

tere to jāñ-nisār haiñ ham

tu hum se hai bad-guman sad afsos

tere hi to jaan-nisar hain hum

'vahshat' suḳhan o lutf-e-suḳhan aur shai hai

dīvān meñ yāroñ ke to ash.ār bahut haiñ

'wahshat' suKHan o lutf-e-suKHan aur hi shai hai

diwan mein yaron ke to ashaar bahut hain

aur ishrat tamannā kyā kareñ

sāmne ho tujhe dekhā kareñ

aur ishrat ki tamanna kya karen

samne tu ho tujhe dekha karen

siine meñ mire dāġh-e-ġham-e-ishq-e-nabī hai

ik gauhar-e-nāyāb mire haath lagā hai

sine mein mere dagh-e-gham-e-ishq-e-nabi hai

ek gauhar-e-nayab mere hath laga hai

zālim to aadat hai satātā rahegā

apnī bhī tabī.at hai bahaltī rahegī

zalim ki to aadat hai satata hi rahega

apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi

is zamāne meñ ḳhamoshī se nikaltā nahīñ kaam

naala pur-shor ho aur zoroñ pe fariyād rahe

is zamane mein KHamoshi se nikalta nahin kaam

nala pur-shor ho aur zoron pe fariyaad rahe

zamīñ roī hamāre haal par aur āsmāñ royā

hamārī bekasī ko dekh kar saarā jahāñ royā

zamin roi hamare haal par aur aasman roya

hamari bekasi ko dekh kar sara jahan roya

har chand 'vahshat' apnī ġhazal thī girī huī

mahfil suḳhan guuñj uThī vaah vaah se

har chand 'wahshat' apni ghazal thi giri hui

mahfil suKHan ki gunj uThi wah wah se

bejā hai tirī jafā shikva

maarā mujh ko mirī vafā ne

beja hai teri jafa ka shikwa

mara mujh ko meri wafa ne

baḌh chalī hai bahut hayā terī

mujh ko rusvā na kar ḳhudā ke liye

baDh chali hai bahut haya teri

mujh ko ruswa na kar KHuda ke liye

maza aatā agar guzrī huī bātoñ afsāna

kahīñ se tum bayāñ karte kahīñ se ham bayāñ karte

maza aata agar guzri hui baaton ka afsana

kahin se tum bayan karte kahin se hum bayan karte

aziiz agar nahīñ rakhtā na rakh zalīl rakh

magar nikāl na apnī anjuman se mujhe

aziz agar nahin rakhta na rakh zalil hi rakh

magar nikal na tu apni anjuman se mujhe

merā maqsad ki vo ḳhush hoñ mirī ḳhāmoshī se

un ko andesha ki ye bhī koī fariyād na ho

mera maqsad ki wo KHush hon meri KHamoshi se

un ko andesha ki ye bhi koi fariyaad na ho

ḳhaak meñ kis din milātī hai mujhe

us se milne tamannā dekhiye

KHak mein kis din milati hai mujhe

us se milne ki tamanna dekhiye

kuchh samajh kar huā huuñ mauj-e-dariyā harīf

varna maiñ bhī jāntā huuñ āfiyat sāhil meñ hai

kuchh samajh kar hi hua hun mauj-e-dariya ka harif

warna main bhi jaanta hun aafiyat sahil mein hai

abhī hote agar duniyā meñ 'dāġh'-e-dehlavī zinda

to vo sab ko batā dete hai 'vahshat' zabāñ kaisī

abhi hote agar duniya mein 'dagh'-e-dehlawi zinda

to wo sab ko bata dete hai 'wahshat' ki zaban kaisi

uThā lene se to dil ke rahā maiñ

ab zālim vafā kar jafā kar

uTha lene se to dil ke raha main

tu ab zalim wafa kar ya jafa kar

tumhārā mudda.ā jab samajh meñ kuchh nahīñ aayā

to phir mujh par nazar Daalī ye tum ne mehrbāñ kaisī

tumhaara muddaa hi jab samajh mein kuchh nahin aaya

to phir mujh par nazar Dali ye tum ne mehrban kaisi

jo giraftār tumhārā hai vahī hai āzād

jis ko āzād karo tum kabhī āzād na ho

jo giraftar tumhaara hai wahi hai aazad

jis ko aazad karo tum kabhi aazad na ho

donoñ ne baḌhā.ī raunaq-e-husn

shoḳhī ne kabhī kabhī hayā ne

donon ne baDhai raunaq-e-husn

shoKHi ne kabhi kabhi haya ne

mire to dil meñ vahī shauq hai jo pahle thā

kuchh aap tabī.at badal ga.ī hogī

mere to dil mein wahi shauq hai jo pahle tha

kuchh aap hi ki tabiat badal gai hogi

nahīñ mumkin lab-e-āshiq se harf-e-mudda.ā nikle

jise tum ne kiyā ḳhāmosh us se kyā sadā nikle

nahin mumkin lab-e-ashiq se harf-e-muddaa nikle

jise tum ne kiya KHamosh us se kya sada nikle

ruḳh-e-raushan se yuuñ uTThī naqāb āhista āhista

ki jaise ho tulū-e-āftāb āhista āhista

ruKH-e-raushan se yun uTThi naqab aahista aahista

ki jaise ho tulu-e-aftab aahista aahista

vo kaam merā nahīñ jis nek ho anjām

vo raah merī nahīñ jo ga.ī ho manzil ko

wo kaam mera nahin jis ka nek ho anjam

wo rah meri nahin jo gai ho manzil ko

majāl-e-tark-e-mohabbat na ek baar huī

ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat to baar baar kiyā

majal-e-tark-e-mohabbat na ek bar hui

KHayal-e-tark-e-mohabbat to bar bar kiya

āġhāz se zāhir hotā hai anjām jo hone vaalā hai

andāz-e-zamāna kahtā hai puurī ho tamannā mushkil hai

aaghaz se zahir hota hai anjam jo hone wala hai

andaz-e-zamana kahta hai puri ho tamanna mushkil hai

yahāñ har aane vaalā ban ke ibrat nishāñ aayā

gayā zer-e-zamīñ jo koī zer-e-āsmāñ aayā

yahan har aane wala ban ke ibrat ka nishan aaya

gaya zer-e-zamin jo koi zer-e-asman aaya

ai mish.al-e-ummīd ye ehsān kam nahīñ

tārīk shab ko ne daraḳhshāñ banā diyā

ai mishal-e-ummid ye ehsan kam nahin

tarik shab ko tu ne daraKHshan bana diya

bazm meñ us be-muravvat mujhe

dekhnā paḌtā hai kyā kyā dekhiye

bazm mein us be-murawwat ki mujhe

dekhna paDta hai kya kya dekhiye

gardan jhukī huī hai uThāte nahīñ haiñ sar

Dar hai unheñ nigāh laḌegī nigāh se

gardan jhuki hui hai uThate nahin hain sar

Dar hai unhen nigah laDegi nigah se

zindagī apnī kisī tarah basar karnī hai

kyā karūñ aah agar terī tamannā na karūñ

zindagi apni kisi tarah basar karni hai

kya karun aah agar teri tamanna na karun

'vahshat' us but ne taġhāful jab kiyā apnā shi.ār

kaam ḳhāmoshī se maiñ ne bhī liyā fariyād

'wahshat' us but ne taghaful jab kiya apna shiar

kaam KHamoshi se main ne bhi liya fariyaad ka

zabardastī ġhazal kahne pe tum āmāda ho 'vahshat'

tabī.at jab na ho hāzir to phir mazmūn kyā nikle

zabardasti ghazal kahne pe tum aamada ho 'wahshat'

tabiat jab na ho hazir to phir mazmun kya nikle

ai ahl-e-vafā ḳhaak bane kaam tumhārā

āġhāz batā detā hai anjām tumhārā

ai ahl-e-wafa KHak bane kaam tumhaara

aaghaz bata deta hai anjam tumhaara

mehnat ho musībat ho sitam ho to mazā hai

milnā tirā āsāñ hai talabgār bahut haiñ

mehnat ho musibat ho sitam ho to maza hai

milna tera aasan hai talabgar bahut hain

kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil

bigāḌ kaam na mushkil samajh ke mushkil ko

kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil

bigaD kaam na mushkil samajh ke mushkil ko

na vo pūchhte haiñ na kahtā huuñ maiñ

rahī jaatī hai dil dil meñ havas

na wo puchhte hain na kahta hun main

rahi jati hai dil ki dil mein hawas

donoñ ne kiyā hai mujh ko rusvā

kuchh dard ne aur kuchh davā ne

donon ne kiya hai mujh ko ruswa

kuchh dard ne aur kuchh dawa ne

thā qafas ḳhayāl dāman-gīr

uḌ sake ham na baal o par le kar

tha qafas ka KHayal daman-gir

uD sake hum na baal o par le kar

aañkh meñ jalva tirā dil meñ tirī yaad rahe

ye mayassar ho to phir kyuuñ koī nāshād rahe

aankh mein jalwa tera dil mein teri yaad rahe

ye mayassar ho to phir kyun koi nashad rahe

qadrdānī kaifiyat mālūm

aib kyā hai agar hunar na huā

qadrdani ki kaifiyat malum

aib kya hai agar hunar na hua

dil ko ham kab tak bachā.e rakhte har aaseb se

Thes āḳhir lag ga.ī shīshe meñ baal aa gayā

dil ko hum kab tak bachae rakhte har aaseb se

Thes aaKHir lag gai shishe mein baal aa hi gaya

baḌhā hañgāma-e-shauq is qadar bazm-e-harīfāñ meñ

ki ruḳhsat ho gayā us hijāb āhista āhista

baDha hangama-e-shauq is qadar bazm-e-harifan mein

ki ruKHsat ho gaya us ka hijab aahista aahista

hai aur aish hai aur anjuman-ārā.ī hai

maiñ huuñ aur ranj hai aur gosha-e-tanhā.ī hai

tu hai aur aish hai aur anjuman-arai hai

main hun aur ranj hai aur gosha-e-tanhai hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now