Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anwar Sadeed's Photo'

Anwar Sadeed

1928 - 2016 | Sargodha, Pakistan

Prominent Pakistani critic, researcher and columnist; an author of many books apart from 'Urdu Adab ki Tehreekein' and 'Urdu Afsaane Mein Dehaat ki Peshkash'; also assisted in editing several literary journals and newspapers

Prominent Pakistani critic, researcher and columnist; an author of many books apart from 'Urdu Adab ki Tehreekein' and 'Urdu Afsaane Mein Dehaat ki Peshkash'; also assisted in editing several literary journals and newspapers

Sher of Anwar Sadeed

1.5K
Favorite

SORT BY

shikva kiyā zamāne to us ne ye kahā

jis haal meñ ho zinda raho aur ḳhush raho

shikwa kiya zamane ka to us ne ye kaha

jis haal mein ho zinda raho aur KHush raho

ḳhaak huuñ lekin sarāpā nuur hai merā vajūd

is zamīñ par chāñd sūraj numā.inda huuñ maiñ

KHak hun lekin sarapa nur hai mera wajud

is zamin par chand suraj ka numainda hun main

khulī zabān to zarf un ho gayā zāhir

hazār bhed chhupā rakkhe the ḳhamoshī meñ

khuli zaban to zarf un ka ho gaya zahir

hazar bhed chhupa rakkhe the KHamoshi mein

jāgtī aañkh se jo ḳhvāb thā dekhā 'anvar'

us ta.abīr mujhe dil ke jalāne se milī

jagti aankh se jo KHwab tha dekha 'anwar'

us ki tabir mujhe dil ke jalane se mili

chalā maiñ jānib-e-manzil to ye huā ma.alūm

yaqīñ gumān meñ gum hai gumāñ hai poshīda

chala main jaanib-e-manzil to ye hua malum

yaqin guman mein gum hai guman hai poshida

koī bhī pechīdgī haa.el nahīñ anvar-'sadīd'

zindagī hai sāmne manzar-ba-manzar aur maiñ

koi bhi pechidgi hael nahin anwar-'sadid'

zindagi hai samne manzar-ba-manzar aur main

zamīñ rizq huuñ lekin nazar falak par hai

kaho falak se mire rāste se haT jaa.e

zamin ka rizq hun lekin nazar falak par hai

kaho falak se mere raste se haT jae

sail-e-zamāñ meñ Duub ga.e mash.hūr-e-zamāna log

vaqt ke munsif ne kab rakkhā qaa.em un naam

sail-e-zaman mein Dub gae mashhur-e-zamana log

waqt ke munsif ne kab rakkha qaem un ka nam

yuuñ tasallī ko to ik yaad bhī kaafī thī magar

dil ko taskīn tire lauT ke aane se milī

yun tasalli ko to ek yaad bhi kafi thi magar

dil ko taskin tere lauT ke aane se mili

dukh ke taaq pe shaam Dhale

kis ne diyā jalāyā thā

dukh ke taq pe sham Dhale

kis ne diya jalaya tha

jism hai to mujh se lipaT kar kalām kar

ḳhushbū hai gar to dil meñ simaT kar kalām kar

tu jism hai to mujh se lipaT kar kalam kar

KHushbu hai gar to dil mein simaT kar kalam kar

kal shaam parindoñ ko uḌte hue yuuñ dekhā

be-āb samundar meñ jaise ho ravāñ paanī

kal sham parindon ko uDte hue yun dekha

be-ab samundar mein jaise ho rawan pani

ham ne har samt bichhā rakkhī haiñ āñkheñ apnī

jaane kis samt se aa jaa.e savārī terī

hum ne har samt bichha rakkhi hain aankhen apni

jaane kis samt se aa jae sawari teri

pañkh hilā kar shaam ga.ī hai is āñgan se

ab utregī raat anokhī yādoñ vaalī

pankh hila kar sham gai hai is aangan se

ab utregi raat anokhi yaadon wali

us ke baġhair zindagī kitnī fuzūl hai

tasvīr us dil se judā kar ke dekhte

us ke baghair zindagi kitni fuzul hai

taswir us ki dil se juda kar ke dekhte

dam-e-visāl tirī aañch is tarah aa.ī

ki jaise aag sulagne lage gulāboñ meñ

dam-e-visal teri aanch is tarah aai

ki jaise aag sulagne lage gulabon mein

ghup-añdhere meñ bhī us jism thā chāñdī shahr

chāñd jab niklā to vo sonā nazar aayā mujhe

ghup-andhere mein bhi us ka jism tha chandi ka shahr

chand jab nikla to wo sona nazar aaya mujhe

āshiyānoñ meñ na jab lauTe parinde to 'sadīd'

duur tak taktī rahīñ shāḳhoñ meñ āñkheñ sub.h tak

aashiyanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid'

dur tak takti rahin shaKHon mein aankhen subh tak

jo phuul jhaḌ ga.e the jo aañsū bikhar ga.e

ḳhāk-e-chaman se un patā pūchhtā rahā

jo phul jhaD gae the jo aansu bikhar gae

KHak-e-chaman se un ka pata puchhta raha

chashme tarah phūTā aur aap bah niklā

rakhtā bhalā maiñ kab tak āñkhoñ meñ nihāñ paanī

chashme ki tarah phuTa aur aap hi bah nikla

rakhta bhala main kab tak aankhon mein nihan pani

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now