Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asrarul Haq Majaz's Photo'

Asrarul Haq Majaz

1911 - 1955 | Lucknow, India

One of the most famous Progressive poets known for romantic & revolutionary poetry. He was maternal Uncle to film lyricist Jawed Akhtar.

One of the most famous Progressive poets known for romantic & revolutionary poetry. He was maternal Uncle to film lyricist Jawed Akhtar.

Sher of Asrarul Haq Majaz

52K
Favorite

SORT BY

kuchh tumhārī nigāh kāfir thī

kuchh mujhe bhī ḳharāb honā thā

kuchh tumhaari nigah kafir thi

kuchh mujhe bhi KHarab hona tha

tire māthe pe ye āñchal bahut ḳhuub hai lekin

is āñchal se ik parcham banā letī to achchhā thā

EXPLANATION

यह शे’र इसरार-उल-हक़ मजाज़ के मशहूर अशआर में से एक है। माथे पे आँचल होने के कई मायने हैं। उदाहरण के लिए शर्म लाज का होना, मूल्यों का रख रखाव होना आदि और भारतीय समाज में इन चीज़ों को नारी का शृंगार समझा जाता है। मगर जब नारी के इस शृंगार को पुरुष सत्तात्मक समाज में नारी की कमज़ोरी समझा जाता है तो नारी का व्यक्तित्व संकट में पड़ जाता है। इसी तथ्य को शायर ने अपने शे’र का विषय बनाया है। शायर नारी को सम्बोधित करते हुए कहते हैं कि यद्यपि तुम्हारे माथे पर शर्म हया का आँचल ख़ूब लगता है मगर उसे अपनी कमज़ोरी मत बना। वक़्त का तक़ाज़ा है कि आप अपने इस आँचल से क्रांति का झंडा बनाएं और इस ध्वज को अपने अधिकारों के लिए उठाएं।

Shafaq Sopori

tere mathe pe ye aanchal bahut hi KHub hai lekin

tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha

EXPLANATION

यह शे’र इसरार-उल-हक़ मजाज़ के मशहूर अशआर में से एक है। माथे पे आँचल होने के कई मायने हैं। उदाहरण के लिए शर्म लाज का होना, मूल्यों का रख रखाव होना आदि और भारतीय समाज में इन चीज़ों को नारी का शृंगार समझा जाता है। मगर जब नारी के इस शृंगार को पुरुष सत्तात्मक समाज में नारी की कमज़ोरी समझा जाता है तो नारी का व्यक्तित्व संकट में पड़ जाता है। इसी तथ्य को शायर ने अपने शे’र का विषय बनाया है। शायर नारी को सम्बोधित करते हुए कहते हैं कि यद्यपि तुम्हारे माथे पर शर्म हया का आँचल ख़ूब लगता है मगर उसे अपनी कमज़ोरी मत बना। वक़्त का तक़ाज़ा है कि आप अपने इस आँचल से क्रांति का झंडा बनाएं और इस ध्वज को अपने अधिकारों के लिए उठाएं।

Shafaq Sopori

mujh ko ye aarzū vo uThā.eñ naqāb ḳhud

un ko ye intizār taqāzā kare koī

I had hoped she would unveil at her own behest

and she waits for someone to make a request

mujh ko ye aarzu wo uThaen naqab KHud

un ko ye intizar taqaza kare koi

I had hoped she would unveil at her own behest

and she waits for someone to make a request

ishq zauq-e-nazāra muft meñ badnām hai

husn ḳhud be-tāb hai jalva dikhāne ke liye

love is needlessly defamed that for vision it is keen

beauty is impatient too for its splendour to be seen

ishq ka zauq-e-nazara muft mein badnam hai

husn KHud be-tab hai jalwa dikhane ke liye

love is needlessly defamed that for vision it is keen

beauty is impatient too for its splendour to be seen

dafn kar saktā huuñ siine meñ tumhāre raaz ko

aur tum chāho to afsāna banā saktā huuñ maiñ

dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko

aur tum chaho to afsana bana sakta hun main

ye mere ishq majbūriyāñ ma.āz-allāh

tumhārā raaz tumhīñ se chhupā rahā huuñ maiñ

ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah

tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main

ro.eñ na abhī ahl-e-nazar haal pe mere

honā hai abhī mujh ko ḳharāb aur ziyāda

roen na abhi ahl-e-nazar haal pe mere

hona hai abhi mujh ko KHarab aur ziyaada

batā.ūñ kyā tujhe ai ham-nashīñ kis se mohabbat hai

maiñ jis duniyā meñ rahtā huuñ vo is duniyā aurat hai

bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai

main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai

husn ko sharmsār karnā

ishq intiqām hotā hai

husn ko sharmsar karna hi

ishq ka intiqam hota hai

bahut mushkil hai duniyā sañvarnā

tirī zulfoñ pech-o-ḳham nahīñ hai

bahut mushkil hai duniya ka sanwarna

teri zulfon ka pech-o-KHam nahin hai

kyā kyā huā hai ham se junūñ meñ na pūchhiye

uljhe kabhī zamīñ se kabhī āsmāñ se ham

kya kya hua hai hum se junun mein na puchhiye

uljhe kabhi zamin se kabhi aasman se hum

ye aanā koī aanā hai ki bas rasman chale aa.e

ye milnā ḳhaak milnā hai ki dil se dil nahīñ miltā

ye aana koi aana hai ki bas rasman chale aae

ye milna KHak milna hai ki dil se dil nahin milta

aañkh se aañkh jab nahīñ miltī

dil se dil ham-kalām hotā hai

aankh se aankh jab nahin milti

dil se dil ham-kalam hota hai

hindū chalā gayā na musalmāñ chalā gayā

insāñ justujū meñ ik insāñ chalā gayā

hindu chala gaya na musalman chala gaya

insan ki justuju mein ek insan chala gaya

phir mirī aañkh ho ga.ī namnāk

phir kisī ne mizāj pūchhā hai

phir meri aankh ho gai namnak

phir kisi ne mizaj puchha hai

is mahfil-e-kaif-o-mastī meñ is anjuman-e-irfānī meñ

sab jām-ba-kaf baiThe rahe ham bhī ga.e chhalkā bhī ga.e

is mahfil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irfani mein

sab jam-ba-kaf baiThe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae

mirī barbādiyoñ ham-nashīno

tumheñ kyā ḳhud mujhe bhī ġham nahīñ hai

meri barbaadiyon ka ham-nashino

tumhein kya KHud mujhe bhi gham nahin hai

tumhīñ to ho jise kahtī hai nāḳhudā duniyā

bachā sako to bachā lo ki Dūbtā huuñ maiñ

tumhin to ho jise kahti hai naKHuda duniya

bacha sako to bacha lo ki Dubta hun main

haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshī thī

haa.e ye vaqt ki ab ke bhī maḳhmūr nahīñ

hae wo waqt ki jab be-piye mad-hoshi thi

hae ye waqt ki ab pi ke bhi maKHmur nahin

rūdād-e-ġham-e-ulfat un se ham kyā kahte kyūñkar kahte

ik harf na niklā hoñToñ se aur aañkh meñ aañsū aa bhī ga.e

rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte

ek harf na nikla honTon se aur aankh mein aansu aa bhi gae

aap maḳhmūr āñkhoñ qasam

merī mai-ḳhvārī abhī tak raaz hai

aap ki maKHmur aankhon ki qasam

meri mai-KHwari abhi tak raaz hai

to kisī ko jur.at-e-dīdār na ho

phir mirī nigāh se dekhā kare koī

ya to kisi ko jurat-e-didar hi na ho

ya phir meri nigah se dekha kare koi

sab to mudāvā kar Daalā apnā mudāvā kar na sake

sab ke to garebāñ Daale apnā garebāñ bhuul ga.e

sab ka to mudawa kar Dala apna hi mudawa kar na sake

sab ke to gareban si Dale apna hi gareban bhul gae

chhup ga.e vo sāz-e-hastī chheḌ kar

ab to bas āvāz āvāz hai

chhup gae wo saz-e-hasti chheD kar

ab to bas aawaz hi aawaz hai

Dubo thī jahāñ tūfāñ ne kashtī

vahāñ sab the ḳhudā kyā nā-ḳhudā kyā

Dubo di thi jahan tufan ne kashti

wahan sab the KHuda kya na-KHuda kya

phir kisī ke sāmne chashm-e-tamannā jhuk ga.ī

shauq shoḳhī meñ rañg-e-ehtarām aa gayā

phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai

shauq ki shoKHi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya

ham arz-e-vafā bhī kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake

yaañ ham ne zabāñ kholī thī vaañ aañkh jhukī sharmā bhī ga.e

hum arz-e-wafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake

yan hum ne zaban hi kholi thi wan aankh jhuki sharma bhi gae

kamāl-e-ishq hai dīvāna ho gayā huuñ maiñ

ye kis ke haath se dāman chhuḌā rahā huuñ maiñ

kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main

ye kis ke hath se daman chhuDa raha hun main

kyuuñ javānī mujhe yaad aa.ī

maiñ ne ik ḳhvāb dekhā kyā thā

kyun jawani ki mujhe yaad aai

main ne ek KHwab sa dekha kya tha

ai shauq-e-nazāra kyā kahiye nazroñ meñ koī sūrat nahīñ

ai zauq-e-tasavvur kyā kiije ham sūrat-e-jānāñ bhuul ga.e

ai shauq-e-nazara kya kahiye nazron mein koi surat hi nahin

ai zauq-e-tasawwur kya kije hum surat-e-jaanan bhul gae

vaqt sa.ī-e-musalsal kārgar hotī ga.ī

zindagī lahza-ba-lahza muḳhtasar hotī ga.ī

waqt ki sai-e-musalsal kargar hoti gai

zindagi lahza-ba-lahza muKHtasar hoti gai

izn-e-ḳhirām lete hue āsmāñ se ham

haT kar chale haiñ rahguzar-e-kārvāñ se ham

izn-e-KHiram lete hue aasman se hum

haT kar chale hain rahguzar-e-karwan se hum

kab kiyā thā is dil par husn ne karam itnā

mehrbāñ aur is darja kab thā āsmāñ apnā

kab kiya tha is dil par husn ne karam itna

mehrban aur is darja kab tha aasman apna

tum ne to hukm-e-tark-e-tamannā sunā diyā

kis dil se aah tark-e-tamannā kare koī

tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya

kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi

ḳhuub pahchān lo asrār huuñ maiñ

jins-e-ulfat talabgār huuñ maiñ

KHub pahchan lo asrar hun main

jins-e-ulfat ka talabgar hun main

āvāra o majnūñ pe mauqūf nahīñ kuchh

milne haiñ abhī mujh ko ḳhitāb aur ziyāda

aawara o majnun hi pe mauquf nahin kuchh

milne hain abhi mujh ko KHitab aur ziyaada

taskīn-e-dil-e-mahzūñ na huī vo sa.i-e-karam farmā bhī ga.e

is sa.i-e-karam ko kyā kahiye bahlā bhī ga.e taḌpā bhī ga.e

taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae

is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae taDpa bhi gae

hijr meñ kaif-e-iztirāb na pūchh

ḳhūn-e-dil bhī sharāb honā thā

hijr mein kaif-e-iztirab na puchh

KHun-e-dil bhi sharab hona tha

jalva-e-tūr ḳhvāb-e-mūsā hai

kis ne dekhā hai kis ko dekhā hai

jalwa-e-tur KHwab-e-musa hai

kis ne dekha hai kis ko dekha hai

Recitation

Speak Now