Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azad Gulati's Photo'

Azad Gulati

1935 | Punjab, Pakistan

Prominent modern ghazal poet, worked as professor of Englis

Prominent modern ghazal poet, worked as professor of Englis

Sher of Azad Gulati

4.1K
Favorite

SORT BY

sāl-e-nau aatā hai to mahfūz kar letā huuñ maiñ

kuchh purāne se calender zehn dīvār par

sal-e-nau aata hai to mahfuz kar leta hun main

kuchh purane se calender zehn ki diwar par

sameT lo mujhe apnī sadā ke halqoñ meñ

maiñ ḳhāmushī havā se bikharne vaalā huuñ

sameT lo mujhe apni sada ke halqon mein

main KHamushi ki hawa se bikharne wala hun

kuchh aise phuul bhī guzre haiñ merī nazroñ se

jo khil ke bhī na samajh paa.e zindagī kyā hai

kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se

jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai

aap jis rah-guzar-e-dil se kabhī guzre the

us pe tā-umr kisī ko bhī guzarne na diyā

aap jis rah-guzar-e-dil se kabhi guzre the

us pe ta-umr kisi ko bhi guzarne na diya

har ik ne dekhā mujhe apnī apnī nazroñ se

koī to merī nazar se bhī dekhtā mujh ko

har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se

koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko

ye maiñ thā mire andar ḳhauf thā jis ne

tamām umar tanhā.ī sazā mujh ko

ye main tha ya mere andar ka KHauf tha jis ne

tamam umar di tanhai ki saza mujh ko

yādoñ mahfil meñ kho kar

dil apnā tanhā tanhā hai

yaadon ki mahfil mein kho kar

dil apna tanha tanha hai

dasht-e-zulmāt meñ ham-rāh mire

koī to hai jo jalā hai mujh meñ

dasht-e-zulmat mein ham-rah mere

koi to hai jo jala hai mujh mein

kis se pūchheñ rāt-bhar apne bhaTakne sabab

sab yahāñ milte haiñ jaise niiñd meñ jaage hue

kis se puchhen raat-bhar apne bhaTakne ka sabab

sab yahan milte hain jaise nind mein jage hue

ek vo haiñ ki jinheñ apnī ḳhushī le Duubī

ek ham haiñ ki jinheñ ġham ne ubharne na diyā

ek wo hain ki jinhen apni KHushi le Dubi

ek hum hain ki jinhen gham ne ubharne na diya

tumheñ bhī mujh meñ na shāyad vo pahlī baat mile

ḳhud apne vāste ab koī dūsrā huuñ maiñ

tumhein bhi mujh mein na shayad wo pahli baat mile

KHud apne waste ab koi dusra hun main

aaj ā.īne meñ ḳhud ko dekh kar yaad aa gayā

ek muddat ho ga.ī jis shaḳhs ko dekhe hue

aaj aaine mein KHud ko dekh kar yaad aa gaya

ek muddat ho gai jis shaKHs ko dekhe hue

raushnī phailī to sab rañg kaalā ho gayā

kuchh diye aise jale har-sū añdherā ho gayā

raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya

kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya

āsmāñ ek sulagtā huā sahrā hai jahāñ

DhūñDhtā phirtā hai ḳhud apnā saayā sūraj

aasman ek sulagta hua sahra hai jahan

DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj

apnī saarī kāvishoñ ko rā.egāñ maiñ ne kiyā

mere andar jo na thā us ko bayāñ maiñ ne kiyā

apni sari kawishon ko raegan main ne kiya

mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya

use bhī jaate hue tum ne mujh se chhīn liyā

tumhārā ġham to mirī aarzū zevar thā

use bhi jate hue tum ne mujh se chhin liya

tumhaara gham to meri aarzu ka zewar tha

sameT laatā huuñ motī tumhārī yādoñ ke

jo ḳhalvatoñ ke samundar meñ Dūbtā huuñ maiñ

sameT lata hun moti tumhaari yaadon ke

jo KHalwaton ke samundar mein Dubta hun main

maiñ saath le ke chalūñgā tumheñ ai ham-safro

maiñ tum se aage huuñ lekin Thaharne vaalā huuñ

main sath le ke chalunga tumhein ai ham-safro

main tum se aage hun lekin Thaharne wala hun

vaqt ye moḌ kaisā hai ki tujh se mil ke bhī

tujh ko kho dene ġham kuchh aur gahrā ho gayā

waqt ka ye moD kaisa hai ki tujh se mil ke bhi

tujh ko kho dene ka gham kuchh aur gahra ho gaya

pheñkā thā ham pe jo kabhī us ko uThā ke dekh

jo kuchh lahū meñ thā usī patthar pe naqsh hai

phenka tha hum pe jo kabhi us ko uTha ke dekh

jo kuchh lahu mein tha usi patthar pe naqsh hai

zindagī ai zindagī!! aa do ghaḌī mil kar raheñ

tujh se merā umr-bhar to koī jhagḌā na thā

zindagi ai zindagi!! aa do ghaDi mil kar rahen

tujh se mera umr-bhar ka to koi jhagDa na tha

vo vaqt aa.egā jab ḳhud tumhī ye sochogī

milā na hotā agar tujh se maiñ to behtar thā

wo waqt aaega jab KHud tumhi ye sochogi

mila na hota agar tujh se main to behtar tha

kise miltī najāt 'āzād' hastī ke masā.il se

ki har koī muqayyad aab o gil ke silsiloñ thā

kise milti najat 'azad' hasti ke masail se

ki har koi muqayyad aab o gil ke silsilon ka tha

dekhne vaale mujhe merī nazar se dekh le

maiñ tirī nazroñ meñ huuñ aur maiñ har manzar meñ huuñ

dekhne wale mujhe meri nazar se dekh le

main teri nazron mein hun aur main hi har manzar mein hun

shāyad tum bhī ab na mujhe pahchān sako

ab maiñ ḳhud ko apne jaisā lagtā huuñ

shayad tum bhi ab na mujhe pahchan sako

ab main KHud ko apne jaisa lagta hun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now