Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saifuddin Saif's Photo'

Saifuddin Saif

1922 - 1993 | Lahore, Pakistan

Pakistani poet and lyricist.

Pakistani poet and lyricist.

Sher of Saifuddin Saif

6.7K
Favorite

SORT BY

chalo mai-kade meñ baserā kar lo

na aanā paḌegā na jaanā paḌegā

chalo mai-kade mein basera hi kar lo

na aana paDega na jaana paDega

nahīñ aap se kyā mujh ko shikāyat hogī

haañ mujhe talḳhi-e-hālāt pe ronā aayā

ji nahin aap se kya mujh ko shikayat hogi

han mujhe talKHi-e-haalat pe rona aaya

kyuuñ ujaḌ jaatī hai dil mahfil

ye diyā kaun bujhā detā hai

kyun ujaD jati hai dil ki mahfil

ye diya kaun bujha deta hai

kyā qayāmat hai hijr ke din bhī

zindagī meñ shumār hote haiñ

kya qayamat hai hijr ke din bhi

zindagi mein shumar hote hain

dil-e-nādāñ tirī hālat kyā hai

na apnoñ meñ na begānoñ meñ

dil-e-nadan teri haalat kya hai

tu na apnon mein na beganon mein

aaj raat vo aa.e haiñ baḌī der ke ba.ad

aaj raat baḌī der ke ba.ad aa.ī hai

aaj ki raat wo aae hain baDi der ke baad

aaj ki raat baDi der ke baad aai hai

kabhī jigar pe kabhī dil pe choT paḌtī hai

tirī nazar ke nishāne badalte rahte haiñ

kabhi jigar pe kabhi dil pe choT paDti hai

teri nazar ke nishane badalte rahte hain

merā honā bhī koī honā hai

merī hastī bhī koī hastī hai

mera hona bhi koi hona hai

meri hasti bhi koi hasti hai

'saif' andāz-e-bayāñ rañg badal detā hai

varna duniyā meñ koī baat na.ī baat nahīñ

'saif' andaz-e-bayan rang badal deta hai

warna duniya mein koi baat nai baat nahin

aise lamhe bhī guzāre haiñ tirī furqat meñ

jab tirī yaad bhī is dil pe girāñ guzrī hai

aise lamhe bhi guzare hain teri furqat mein

jab teri yaad bhi is dil pe giran guzri hai

zindagī kis tarah kaTegī 'saif'

raat kaTtī nazar nahīñ aatī

zindagi kis tarah kaTegi 'saif'

raat kaTti nazar nahin aati

qarīb-e-naza.a bhī kyuuñ chain le sake koī

naqāb ruḳh se uThā lo tumheñ kisī se kyā

qarib-e-naza bhi kyun chain le sake koi

naqab ruKH se uTha lo tumhein kisi se kya

dil ne paayā qarār pahlū meñ

gardish-e-kā.enāt ḳhatm huī

dil ne paya qarar pahlu mein

gardish-e-kaenat KHatm hui

bole vo kuchh aisī be-ruḳhī se

dil meñ rahā savāl apnā

bole wo kuchh aisi be-ruKHi se

dil hi mein raha sawal apna

paas aa.e to aur ho ga.e duur

ye kitne ajiib fāsle haiñ

pas aae to aur ho gae dur

ye kitne ajib fasle hain

tum ko begāne bhī apnāte haiñ maiñ jāntā huuñ

mere apne bhī parā.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm

tum ko begane bhi apnate hain main jaanta hun

mere apne bhi parae hain tumhein kya malum

koī aisā ahl-e-dil ho ki fasāna-e-mohabbat

maiñ use sunā ke ro.uuñ vo mujhe sunā ke ro.e

koi aisa ahl-e-dil ho ki fasana-e-mohabbat

main use suna ke roun wo mujhe suna ke roe

ġham-gusāro bahut udaas huuñ maiñ

aaj bahlā sako to aa jaao

gham-gusaro bahut udas hun main

aaj bahla sako to aa jao

tumhāre ba.ad ḳhudā jaane kyā huā dil ko

kisī se rabt baḌhāne hausla na huā

tumhaare baad KHuda jaane kya hua dil ko

kisi se rabt baDhane ka hausla na hua

us musāfir naqāhat Thikāna kyā hai

sañg-e-manzil jise dīvār nazar aane lage

us musafir ki naqahat ka Thikana kya hai

sang-e-manzil jise diwar nazar aane lage

dil-e-vīrāñ ko dekhte kyā ho

ye vahī aarzū bastī hai

dil-e-viran ko dekhte kya ho

ye wahi aarzu ki basti hai

tum ne dīvāna banāyā mujh ko

log afsāna banā.eñge tumheñ

tum ne diwana banaya mujh ko

log afsana banaenge tumhein

jis din se bhulā diyā hai ne

aatā nahīñ ḳhayāl apnā

jis din se bhula diya hai tu ne

aata hi nahin KHayal apna

kaise jiite haiñ ye kis tarah jiye jaate haiñ

ahl-e-dil basar-auqāt pe ronā aayā

kaise jite hain ye kis tarah jiye jate hain

ahl-e-dil ki basar-auqat pe rona aaya

hameñ ḳhabar hai vo mehmān ek raat hai

hamāre paas bhī sāmān ek raat hai

hamein KHabar hai wo mehman ek raat ka hai

hamare pas bhi saman ek raat ka hai

kitne anjān haiñ kyā sādgī se pūchhte haiñ

kahiye kyā merī kisī baat pe ronā aayā

kitne anjaan hain kya sadgi se puchhte hain

kahiye kya meri kisi baat pe rona aaya

raat guzre na dard-e-dil Thahre

kuchh to baḌh jaa.e kuchh to ghaT jaa.e

raat guzre na dard-e-dil Thahre

kuchh to baDh jae kuchh to ghaT jae

thakī thakī fazā.eñ bujhe bujhe taare

baḌī udaas ghaḌī hai zarā Thahar jaao

thaki thaki si fazaen bujhe bujhe tare

baDi udas ghaDi hai zara Thahar jao

mirī dāstān-e-hasrat vo sunā sunā ke ro.e

mire āzmāne vaale mujhe aazmā ke ro.e

TRANSLATION

The story of my passion, she recounted and wept,

Those who sought to trymeout, tried and wept.

Sagar Akbarabadi

meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roe

mere aazmane wale mujhe aazma ke roe

TRANSLATION

The story of my passion, she recounted and wept,

Those who sought to trymeout, tried and wept.

Sagar Akbarabadi

aap Thahre haiñ to Thahrā hai nizām-e-ālam

aap guzre haiñ to ik mauj-e-ravāñ guzrī hai

aap Thahre hain to Thahra hai nizam-e-alam

aap guzre hain to ek mauj-e-rawan guzri hai

ye ālām-e-hastī ye daur-e-zamāna

to kyā ab tumheñ bhuul jaanā paḌegā

ye aalam-e-hasti ye daur-e-zamana

to kya ab tumhein bhul jaana paDega

'saif' kar bhī tishnagī na ga.ī

ab ke barsāt aur kuchh thī

'saif' pi kar bhi tishnagi na gai

ab ke barsat aur hi kuchh thi

dushman ga.e to kashmakash-e-dostī ga.ī

dushman ga.e ki dost hamāre chale ga.e

dushman gae to kashmakash-e-dosti gai

dushman gae ki dost hamare chale gae

shor din ko nahīñ sone detā

shab ko sannāTā jagā detā hai

shor din ko nahin sone deta

shab ko sannaTa jaga deta hai

kitnā bekār tamannā safar hotā hai

kal ummīd pe har aaj basar hotā hai

kitna bekar tamanna ka safar hota hai

kal ki ummid pe har aaj basar hota hai

shāyad tumhāre saath bhī vāpas na aa sakeñ

vo valvale jo saath tumhāre chale ga.e

shayad tumhaare sath bhi wapas na aa saken

wo walwale jo sath tumhaare chale gae

phuul is ḳhāk-dāñ ke ham bhī haiñ

mudda.ī do jahāñ ke ham bhī haiñ

phul is KHak-dan ke hum bhi hain

muddai do jahan ke hum bhi hain

husn jalva dikhā gayā apnā

ishq baiThā rahā udaas kahīñ

husn jalwa dikha gaya apna

ishq baiTha raha udas kahin

apnī vus.at meñ kho chukā huuñ maiñ

raah dikhlā sako to aa jaao

apni wusat mein kho chuka hun main

rah dikhla sako to aa jao

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now