Sher of Shaikh Zahuruddin Hatim
chāñd se tujh ko jo de nisbat so be-insāf hai
chāñd ke muñh par haiñ chhā.īñ terā mukhḌā saaf hai
chand se tujh ko jo de nisbat so be-insaf hai
chand ke munh par hain chhain tera mukhDa saf hai
muddat se ḳhvāb meñ bhī nahīñ niiñd kā ḳhayāl
hairat meñ huuñ ye kis kā mujhe intizār hai
muddat se KHwab mein bhi nahin nind ka KHayal
hairat mein hun ye kis ka mujhe intizar hai
itnā maiñ intizār kiyā us kī raah meñ
jo rafta rafta dil mirā bīmār ho gayā
itna main intizar kiya us ki rah mein
jo rafta rafta dil mera bimar ho gaya
kapḌe safed dho ke jo pahne to kyā huā
dhonā vahī jo dil kī siyāhī ko dhoiye
kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua
dhona wahi jo dil ki siyahi ko dhoiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tanhā.ī se aatī nahīñ din raat mujhe niiñd
yā-rab mirā ham-ḳhvāb o ham-āġhosh kahāñ hai
tanhai se aati nahin din raat mujhe nind
ya-rab mera ham-KHwab o ham-aghosh kahan hai
aa.ī eid va dil meñ nahīñ kuchh havā-e-eid
ai kaash mere paas tū aatā bajā.e eid
aai eid wa dil mein nahin kuchh hawa-e-eid
ai kash mere pas tu aata bajae eid
-
Tag : Eid
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
muddat se aarzū hai ḳhudā vo ghaḌī kare
ham tum piyeñ jo mil ke kahīñ ek jā sharāb
muddat se aarzu hai KHuda wo ghaDi kare
hum tum piyen jo mil ke kahin ek ja sharab
tere aane se yū ḳhushī hai dil
juuñ ki bulbul bahār kī ḳhātir
tere aane se yu KHushi hai dil
jun ki bulbul bahaar ki KHatir
'hātim' us zulf kī taraf mat dekh
jaan kar kyuuñ balā meñ phañstā hai
'hatim' us zulf ki taraf mat dekh
jaan kar kyun bala mein phansta hai
-
Tag : Zulf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aisā karūñgā ab ke garebāñ ko taar taar
jo phir kisī tarah se kisī se rafū na ho
aisa karunga ab ke gareban ko tar tar
jo phir kisi tarah se kisi se rafu na ho
ham tirī raah meñ juuñ naqsh-e-qadam baiThe haiñ
tū taġhāful kiye ai yaar chalā jaatā hai
hum teri rah mein jun naqsh-e-qadam baiThe hain
tu taghaful kiye ai yar chala jata hai
ḳhudā ke vāste us se na bolo
nashe kī lahr meñ kuchh bak rahā hai
KHuda ke waste us se na bolo
nashe ki lahr mein kuchh bak raha hai
-
Tag : Famous shayari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saaqī mujhe ḳhumār satā.e hai lā sharāb
martā huuñ tishnagī se ai zālim pilā sharāb
saqi mujhe KHumar satae hai la sharab
marta hun tishnagi se ai zalim pila sharab
tirī jo zulf kā aayā ḳhayāl āñkhoñ meñ
vahīñ khaTakne lagā baal baal āñkhoñ meñ
teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein
wahin khaTakne laga baal baal aankhon mein
-
Tag : Zulf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dostoñ se dushmanī aur dushmanoñ se dostī
be-muravvat bevafā be-rahm ye kyā Dhañg hai
doston se dushmani aur dushmanon se dosti
be-murawwat bewafa be-rahm ye kya Dhang hai
holī ke ab bahāne chhiḌkā hai rañg kis ne
nām-e-ḳhudā tujh uupar is aan ajab samāñ hai
holi ke ab bahane chhiDka hai rang kis ne
nam-e-KHuda tujh upar is aan ajab saman hai
-
Tag : Holi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jī uThūñ phir kar agar tū ek bosa de mujhe
chūsnā lab kā tire hai mujh ko juuñ āb-e-hayāt
ji uThun phir kar agar tu ek bosa de mujhe
chusna lab ka tere hai mujh ko jun aab-e-hayat
mujhe ta.avīz likh do ḳhūn-e-āhū se ki ai syāno
taġhāful ToTkā hai aur jaadū hai nazar us kī
mujhe tawiz likh do KHun-e-ahu se ki ai syano
taghaful ToTka hai aur jadu hai nazar us ki
sau baar taar taar kiyā to bhī ab talak
sābit vahī hai dast o garebāñ kī dostī
sau bar tar tar kiya to bhi ab talak
sabit wahi hai dast o gareban ki dosti
adā-o-nāz o karishma jafā-o-jaur-o-sitam
udhar ye sab haiñ idhar ek merī jaañ tanhā
ada-o-naz o karishma jafa-o-jaur-o-sitam
udhar ye sab hain idhar ek meri jaan tanha
ai ḳhizāñ bhaag jā chaman se shitāb
varna fauj-e-bahār aave hai
ai KHizan bhag ja chaman se shitab
warna fauj-e-bahaar aawe hai
nazar meñ band kare hai tū ek aalam ko
fusūñ hai sehr hai jaadū hai kyā hai āñkhoñ meñ
nazar mein band kare hai tu ek aalam ko
fusun hai sehr hai jadu hai kya hai aankhon mein
tumhāre ishq meñ ham nañg-o-nām bhuul ga.e
jahāñ meñ kaam the jitne tamām bhuul ga.e
tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae
jahan mein kaam the jitne tamam bhul gae
vaqt fursat de to mil baiTheñ kahīñ bāham do dam
ek muddat se diloñ meñ hasrat-e-tarfain hai
waqt fursat de to mil baiThen kahin baham do dam
ek muddat se dilon mein hasrat-e-tarfain hai
-
Tag : Waqt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhū bīmār sun kar vo ayādat ko to aatā thā
hameñ apne bhale hone se vo āzār behtar thā
kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha
hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha
-
Tag : Ayaadat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fil-haqīqat koī nahīñ martā
maut hikmat kā ek pardā hai
fil-haqiqat koi nahin marta
maut hikmat ka ek parda hai
-
Tag : Maut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mere aañsū ke pochhne ko miyāñ
terī ho āstīñ ḳhudā na kare
mere aansu ke pochhne ko miyan
teri ho aastin KHuda na kare
bul-havas go kareñ tere lab-e-shīrīñ par hujūm
talḳh mat ho ki miThā.ī se magas aatī hai
bul-hawas go karen tere lab-e-shirin par hujum
talKH mat ho ki miThai se magas aati hai
muhayyā sab hai ab asbāb-e-holī
uTho yaaro bharo rañgoñ se jholī
muhayya sab hai ab asbab-e-holi
uTho yaro bharo rangon se jholi
tire ruḳhsār se be-tarah lipTī jaa.e hai zālim
jo kuchh kahiye to bal khā uljhatī hai zulf be-Dhañgī
tere ruKHsar se be-tarah lipTi jae hai zalim
jo kuchh kahiye to bal kha uljhati hai zulf be-Dhangi
suno hindū musalmāno ki faiz-e-ishq se 'hātim'
huā āzād qaid-e-maz.hab-o-mashrab se ab fāriġh
suno hindu musalmano ki faiz-e-ishq se 'hatim'
hua aazad qaid-e-mazhab-o-mashrab se ab farigh
merā ma.ashūq hai mazoñ meñ bharā
kabhū mīThā kabhū salonā hai
mera mashuq hai mazon mein bhara
kabhu miTha kabhu salona hai
-
Tag : Mehboob
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us vaqt dil mirā tire panje ke biich thā
jis vaqt tū ne haat lagāyā thā haat ko
us waqt dil mera tere panje ke bich tha
jis waqt tu ne hat lagaya tha hat ko
mazra-e-duniyā meñ daanā hai to Dar kar haath Daal
ek din denā hai tujh ko daane daane kā hisāb
mazra-e-duniya mein dana hai to Dar kar hath Dal
ek din dena hai tujh ko dane dane ka hisab
ye kis maz.hab meñ aur mashrab meñ hai hindū musalmāno
ḳhudā ko chhoḌ dil meñ ulfat-e-dair-o-haram rakhnā
ye kis mazhab mein aur mashrab mein hai hindu musalmano
KHuda ko chhoD dil mein ulfat-e-dair-o-haram rakhna
-
Tag : Religious harmony
ahl-e-ma.ānī juz na būjhegā koī is ramz ko
ham ne paayā hai ḳhudā ko sūrat-e-insāñ ke biich
ahl-e-maani juz na bujhega koi is ramz ko
hum ne paya hai KHuda ko surat-e-insan ke bich
phaḌkūñ to sar phaTe hai na phaḌkūñ to jī ghaTe
tañg is qadar diyā mujhe sayyād ne qafas
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diya mujhe sayyaad ne qafas
-
Tag : Kashmakash
dekhūñ huuñ tujh ko duur se baiThā hazār kos
ainak na chāhiye na yahāñ dūrbīñ mujhe
dekhun hun tujh ko dur se baiTha hazar kos
ainak na chahiye na yahan durbin mujhe
na kuchh sitam se tire aah aah kartā huuñ
maiñ apne dil kī madad gaah gaah kartā huuñ
na kuchh sitam se tere aah aah karta hun
main apne dil ki madad gah gah karta hun
muddat huī palak se palak āshnā nahīñ
kyā is se ab ziyāda kare intizār chashm
muddat hui palak se palak aashna nahin
kya is se ab ziyaada kare intizar chashm
-
Tag : Intezar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamārī guftugū sab se judā hai
hamāre sab suḳhan haiñ bāñkpan ke
hamari guftugu sab se juda hai
hamare sab suKHan hain bankpan ke
maiñ jāñ-ba-lab huuñ ai taqdīr tere hāthoñ se
ki tere aage mirī kuchh na chal sakī tadbīr
main jaan-ba-lab hun ai taqdir tere hathon se
ki tere aage meri kuchh na chal saki tadbir
ek din pūchhā na 'hātim' ko kabhū us ne ki dost
kab se tū bīmār hai aur kyā tujhe āzār hai
ek din puchha na 'hatim' ko kabhu us ne ki dost
kab se tu bimar hai aur kya tujhe aazar hai
maiñ jitnā DhūñDhtā huuñ us ko utnā hī nahīñ paatā
kidhar hai kis taraf hai aur kahāñ hai dil ḳhudā jaane
main jitna DhunDhta hun us ko utna hi nahin pata
kidhar hai kis taraf hai aur kahan hai dil KHuda jaane
jo jī meñ aave to Tuk jhāñk apne dil kī taraf
ki us taraf ko idhar se bhī raah nikle hai
jo ji mein aawe to Tuk jhank apne dil ki taraf
ki us taraf ko idhar se bhi rah nikle hai
ek bosa māñgtā hai tum se 'hātim' sā gadā
jāniyo rāh-e-ḳhudā meñ ye bhī ik ḳhairāt kī
ek bosa mangta hai tum se 'hatim' sa gada
jaaniyo rah-e-KHuda mein ye bhi ek KHairaat ki
ruḳhsār ke araq kā tire bhaav dekh kar
paanī ke mol nirḳh huā hai gulāb kā
ruKHsar ke araq ka tere bhaw dekh kar
pani ke mol nirKH hua hai gulab ka
-
Tag : Rukhsar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chhal-bal us kī nigāh kā mat pūchh
sehr hai ToTkā hai Tonā hai
chhal-bal us ki nigah ka mat puchh
sehr hai ToTka hai Tona hai
-
Tag : Nigaah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
agar rote na ham to dekhte tum
jahāñ meñ naav ko dariyā na hotā
agar rote na hum to dekhte tum
jahan mein naw ko dariya na hota
sabr bin aur kuchh na lo hamrāh
kūcha-e-ishq tañg hai yaaro
sabr bin aur kuchh na lo hamrah
kucha-e-ishq tang hai yaro