Sher of Salman Akhtar
ik vahī shaḳhs mujh ko yaad rahā
jis ko samjhā thā bhuul jā.ūñgā
ek wahi shaKHs mujh ko yaad raha
jis ko samjha tha bhul jaunga
kaise ho kyā hai haal mat pūchho
mujh se mushkil savāl mat pūchho
kaise ho kya hai haal mat puchho
mujh se mushkil sawal mat puchho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jhūTī ummīd kī uñglī ko pakaḌnā chhoḌo
dard se baat karo dard se laḌnā chhoḌo
jhuTi ummid ki ungli ko pakaDna chhoDo
dard se baat karo dard se laDna chhoDo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo bhī hamāre naam se begāne ho ga.e
ham ko bhī sach hai un se mohabbat nahīñ rahī
wo bhi hamare nam se begane ho gae
hum ko bhi sach hai un se mohabbat nahin rahi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham jo pahle kahīñ mile hote
aur hī apne silsile hote
hum jo pahle kahin mile hote
aur hi apne silsile hote
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aisā nahīñ ki un se mohabbat na ho magar
pahle sā josh pahle sī shiddat nahīñ rahī
aisa nahin ki un se mohabbat na ho magar
pahle sa josh pahle si shiddat nahin rahi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī ham se to is darja taġhāful na barat
ham bhī shāmil the tire chāhne vāloñ meñ kabhī
zindagi hum se to is darja taghaful na barat
hum bhi shamil the tere chahne walon mein kabhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye tamannā hai ki ab aur tamannā na kareñ
sher kahte raheñ chup chaap taqāzā na kareñ
ye tamanna hai ki ab aur tamanna na karen
sher kahte rahen chup chap taqaza na karen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhe jo merī nekī ko shak kī nigāh se
vo aadmī bhī to mire andar hai kyā karūñ
dekhe jo meri neki ko shak ki nigah se
wo aadmi bhi to mere andar hai kya karun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh to maiñ bhī Darā Darā sā thā
aur kuchh rāstā nayā sā thā
kuchh to main bhi Dara Dara sa tha
aur kuchh rasta naya sa tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab ye maanā ki dil meñ Dar hai bahut
tab kahīñ jā ke dil se Dar niklā
jab ye mana ki dil mein Dar hai bahut
tab kahin ja ke dil se Dar nikla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nikle the donoñ bhes badal ke to kyā ajab
maiñ DhūñDtā ḳhudā ko phirā aur ḳhudā mujhe
nikle the donon bhes badal ke to kya ajab
main DhunDta KHuda ko phira aur KHuda mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chāñd sūraj kī tarah tum bhī ho qudrat kā khel
jaise ho vaise raho banñā bigaḌnā chhoḌo
chand suraj ki tarah tum bhi ho qudrat ka khel
jaise ho waise raho banna bigaDna chhoDo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh to apne liye bhī rakhnā hai
zaḳhm auroñ ko kyuuñ dikhā.eñ sab
kuchh to apne liye bhi rakhna hai
zaKHm auron ko kyun dikhaen sab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ek ḳhvāb jo phir lauT kar nahīñ aayā
vo ik ḳhayāl jise maiñ bhulā nahīñ saktā
wo ek KHwab jo phir lauT kar nahin aaya
wo ek KHayal jise main bhula nahin sakta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye alag baat ki vo mujh se ḳhafā rahtā hai
maiñ ik insān huuñ aur mujh meñ ḳhudā rahtā hai
ye alag baat ki wo mujh se KHafa rahta hai
main ek insan hun aur mujh mein KHuda rahta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī shai ek sī nahīñ rahtī
umr Dhaltī hai ġham badalte haiñ
koi shai ek si nahin rahti
umr Dhalti hai gham badalte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī is qadar kaThin kyuuñ hai
aadmī kī bhalā ḳhatā kyā hai
zindagi is qadar kaThin kyun hai
aadmi ki bhala KHata kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis se saare charāġh jalte the
vo charāġh aaj kuchh bujhā sā thā
jis se sare charagh jalte the
wo charagh aaj kuchh bujha sa tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
guftugū tiir sī lagī dil meñ
ab hai shāyad ilaaj sannāTā
guftugu tir si lagi dil mein
ab hai shayad ilaj sannaTa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī aadat ki sab se sab kah deñ
shahr kā hai mizāj sannāTā
apni aadat ki sab se sab kah den
shahr ka hai mizaj sannaTa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jhāñkte raat ke garebāñ se
ham ne sau āftāb dekhe haiñ
jhankte raat ke gareban se
hum ne sau aaftab dekhe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhālī barāmdoñ ne mujhe dekh kar kahā
kyā baat hai udaas se kuchh lag rahe ho tum
KHali baramdon ne mujhe dekh kar kaha
kya baat hai udas se kuchh lag rahe ho tum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hazār chāheñ magar chhūT hī nahīñ saktī
baḌī ajiib hai ye mai-kashī kī aadat bhī
hazar chahen magar chhuT hi nahin sakti
baDi ajib hai ye mai-kashi ki aadat bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
but samajhte the jis ko saare log
vo mire vāste ḳhudā sā thā
but samajhte the jis ko sare log
wo mere waste KHuda sa tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe ḳhabar na thī is ghar meñ kitne kamre haiñ
maiñ kaise le ke vahāñ saarī dāstāñ jaatā
mujhe KHabar na thi is ghar mein kitne kamre hain
main kaise le ke wahan sari dastan jata
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jiinā azaab kyuuñ hai ye kyā ho gayā mujhe
kis shaḳhs kī lagī hai bhalā bad-duā mujhe
TRANSLATION
Why is the life miserable, what has happened to me,
I know not whose curse has after all afflicted me.
Sagar Akbarabadi
jina azab kyun hai ye kya ho gaya mujhe
kis shaKHs ki lagi hai bhala bad-dua mujhe
TRANSLATION
Why is the life miserable, what has happened to me,
I know not whose curse has after all afflicted me.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo baat chhupā.ī hai sab se vo un se chhupānī mushkil hai
bāhar kī kahānī āsāñ hai andar kī kahānī mushkil hai
jo baat chhupai hai sab se wo un se chhupani mushkil hai
bahar ki kahani aasan hai andar ki kahani mushkil hai
kyā nahīñ jāntā mujhe koī
kyā nahīñ shahr meñ vo ghar baaqī
kya nahin jaanta mujhe koi
kya nahin shahr mein wo ghar baqi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download