Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Faza Ibn e Faizi's Photo'

Faza Ibn e Faizi

1923 - 2009 | Maunath Bhanjan, India

Known for his inimitable expression

Known for his inimitable expression

Sher of Faza Ibn e Faizi

3.1K
Favorite

SORT BY

āñkhoñ ke ḳhvāb dil javānī bhī le gayā

vo apne saath merī kahānī bhī le gayā

aankhon ke KHwab dil ki jawani bhi le gaya

wo apne sath meri kahani bhi le gaya

ġhazal ke parde meñ be-parda ḳhvāhisheñ likhnā

na aayā ham ko barahana guzārisheñ likhnā

ghazal ke parde mein be-parda KHwahishen likhna

na aaya hum ko barahana guzarishen likhna

achchhā huā maiñ vaqt ke mehvar se kaT gayā

qatra guhar banā jo samundar se kaT gayā

achchha hua main waqt ke mehwar se kaT gaya

qatra guhar bana jo samundar se kaT gaya

zindagī ḳhud ko na is ruup meñ pahchān sakī

aadmī lipTā hai ḳhvāboñ ke kafan meñ aisā

zindagi KHud ko na is rup mein pahchan saki

aadmi lipTa hai KHwabon ke kafan mein aisa

us qurbat nasha kyā chiiz hai

haath phir jalte tave par rakh diyā

us ki qurbat ka nasha kya chiz hai

hath phir jalte tawe par rakh diya

ek din ġharq na kar de tujhe ye sail-e-vajūd

dekh ho jaa.e na paanī kahīñ sar se ūñchā

ek din gharq na kar de tujhe ye sail-e-wajud

dekh ho jae na pani kahin sar se uncha

kis tarah umr ko jaate dekhūñ

vaqt ko āñkhoñ se ojhal kar de

kis tarah umr ko jate dekhun

waqt ko aankhon se ojhal kar de

mujhe tarāsh ke rakh lo ki aane vaalā vaqt

ḳhazaf dikhā ke guhar misāl pūchhegā

mujhe tarash ke rakh lo ki aane wala waqt

KHazaf dikha ke guhar ki misal puchhega

vaqt ne kis aag meñ itnā jalāyā hai mujhe

jis qadar raushan thā maiñ us se sivā raushan huā

waqt ne kis aag mein itna jalaya hai mujhe

jis qadar raushan tha main us se siwa raushan hua

jalā hai shahr to kyā kuchh na kuchh to hai mahfūz

kahīñ ġhubār kahīñ raushnī salāmat hai

jala hai shahr to kya kuchh na kuchh to hai mahfuz

kahin ghubar kahin raushni salamat hai

har ik qayās haqīqat se dūr-tar niklā

kitāb na koī dars mo'tabar niklā

har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla

kitab ka na koi dars mo'tabar nikla

shaḳhsiyat ye tavāzun terā hissa hai 'fazā'

jitnī saada hai tabī.at utnā tīkhā hunar

shaKHsiyat ka ye tawazun tera hissa hai 'faza'

jitni sada hai tabiat utna hi tikha hunar

ham hasīn ġhazloñ se peT bhar nahīñ sakte

daulat-e-suḳhan le kar be-farāġh haiñ yaaro

hum hasin ghazlon se peT bhar nahin sakte

daulat-e-suKHan le kar be-faragh hain yaro

kisī lamhe to ḳhud se lā-ta.alluq bhī raho logo

masā.il kam nahīñ phir zindagī bhar sochte rahnā

kisi lamhe to KHud se la-talluq bhi raho logo

masail kam nahin phir zindagi bhar sochte rahna

yuuñ ma.ānī se bahut ḳhaas hai rishta apnā

zindagī kaT ga.ī lafzoñ ko ḳhabar karne meñ

yun maani se bahut KHas hai rishta apna

zindagi kaT gai lafzon ko KHabar karne mein

talāsh-e-ma.ani-e-maqsūd itnī sahl na thī

maiñ lafz lafz utartā gayā bahut gahrā

talash-e-mani-e-maqsud itni sahl na thi

main lafz lafz utarta gaya bahut gahra

ḳhabar mujh ko nahīñ maiñ jism huuñ koī saayā huuñ

zarā is vazāhat dhuup chādar pe likh denā

KHabar mujh ko nahin main jism hun ya koi saya hun

zara is ki wazahat dhup ki chadar pe likh dena

log mujh ko mire āhañg se pahchān ga.e

kaun badnām rahā shahr-e-suḳhan meñ aisā

log mujh ko mere aahang se pahchan gae

kaun badnam raha shahr-e-suKHan mein aisa

palkoñ par apnī kaun mujhe ab sajā.egā

maiñ huuñ vo rañg jo tire paikar se kaT gayā

palkon par apni kaun mujhe ab sajaega

main hun wo rang jo tere paikar se kaT gaya

ḳhāk-e-'shiblī' se ḳhamīr apnā bhī uTThā hai 'fazā'

naam urdu huā hai isī ghar se ūñchā

KHak-e-'shibli' se KHamir apna bhi uTTha hai 'faza'

nam urdu ka hua hai isi ghar se uncha

hai ma.anī parda-e-alfāz se bāhar to aa

aise pas-manzar meñ kyā rahnā sar-e-manzar to aa

tu hai mani parda-e-alfaz se bahar to aa

aise pas-manzar mein kya rahna sar-e-manzar to aa

ab munāsib nahīñ ham-asr ġhazal ko yaaro

kisī bajtī huī pāzeb ghuñghrū likhnā

ab munasib nahin ham-asr ghazal ko yaro

kisi bajti hui pazeb ka ghunghru likhna

kahāñ vo log jo the har taraf se nastālīq

purānī baat huī chust bandisheñ likhnā

kahan wo log jo the har taraf se nastaliq

purani baat hui chust bandishen likhna

tujhe havas ho jo mujh ko hadaf banāne

mujhe bhī tiir sūrat kamāñ meñ rakh denā

tujhe hawas ho jo mujh ko hadaf banane ki

mujhe bhi tir ki surat kaman mein rakh dena

vo mel-jol husn o basīrat meñ ab kahāñ

jo silsila thā phuul patthar se kaT gayā

wo mel-jol husn o basirat mein ab kahan

jo silsila tha phul ka patthar se kaT gaya

nutq se lab tak hai sadiyoñ safar

ḳhāmushī ye dukh bhalā jhelegī kyā

nutq se lab tak hai sadiyon ka safar

KHamushi ye dukh bhala jhelegi kya

ye tamāshā dīdanī Thahrā magar dekhegā kaun

ho ga.e ham raakh to dast-e-duā raushan huā

ye tamasha didani Thahra magar dekhega kaun

ho gae hum rakh to dast-e-dua raushan hua

ai 'fazā' itnī kushāda kab thī ma.anī jihat

mere lafzoñ se ufuq ik dūsrā raushan huā

ai 'faza' itni kushada kab thi mani ki jihat

mere lafzon se ufuq ek dusra raushan hua

dekhnā haiñ khelne vāloñ chābuk-dastiyāñ

taash pattā sahī merā hunar terā hunar

dekhna hain khelne walon ki chabuk-dastiyan

tash ka patta sahi mera hunar tera hunar

shab-gazīda ko tire is ḳhabar kab thī

din jo aa.egā ġham-e-lā-mutanāhī degā

shab-gazida ko tere is ki KHabar hi kab thi

din jo aaega gham-e-la-mutanahi dega

lahū kitnā hai jo chashm-e-tar se niklegā

yahāñ bhī kaam na arz-e-hunar se niklegā

TRANSLATION

No blood has remaind, what will the teary eyes shed?

Here too, the exposition of talents is not going to aid.

Sagar Akbarabadi

lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega

yahan bhi kaam na arz-e-hunar se niklega

TRANSLATION

No blood has remaind, what will the teary eyes shed?

Here too, the exposition of talents is not going to aid.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now