Sher of Mazhar Imam
dostoñ se mulāqāt kī shaam hai
ye sazā kaaT kar apne ghar jā.ūñgā
doston se mulaqat ki sham hai
ye saza kaT kar apne ghar jaunga
aap ko mere ta.āruf kī zarūrat kyā hai
maiñ vahī huuñ ki jise aap ne chāhā thā kabhī
aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai
main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
asr-e-nau mujh ko nigāhoñ maiñ chhupā kar rakh le
ek miTtī huī tahzīb kā sarmāya huuñ
asr-e-nau mujh ko nigahon main chhupa kar rakh le
ek miTti hui tahzib ka sarmaya hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab to kuchh bhī yaad nahīñ hai
ham ne tum ko chāhā hogā
ab to kuchh bhi yaad nahin hai
hum ne tum ko chaha hoga
-
Tag : Sad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek maiñ ne hī ugaa.e nahīñ ḳhvāboñ ke gulāb
tū bhī is jurm meñ shāmil hai mirā saath na chhoḌ
ek main ne hi ugae nahin KHwabon ke gulab
tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhoD
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us ghar kī badaulat mire sheroñ ko hai shohrat
vo ghar ki jo is shahr meñ badnām bahut hai
us ghar ki badaulat mere sheron ko hai shohrat
wo ghar ki jo is shahr mein badnam bahut hai
safar meñ achānak sabhī ruk ga.e
ajab moḌ apnī kahānī meñ thā
safar mein achanak sabhi ruk gae
ajab moD apni kahani mein tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haiñ chanāroñ ke chehre bhī jhulse hue
zaḳhm sab kā harā hai tire shahar meñ
hain chanaron ke chehre bhi jhulse hue
zaKHm sab ka hara hai tere shahar mein
aksar aisā bhī mohabbat meñ huā kartā hai
ki samajh-būjh ke khā jaatā hai dhokā koī
aksar aisa bhi mohabbat mein hua karta hai
ki samajh-bujh ke kha jata hai dhoka koi
mohabbat aap hī manzil hai apnī
na jaane husn kyuuñ itrā rahā hai
mohabbat aap hi manzil hai apni
na jaane husn kyun itra raha hai
-
Tag : Manzil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab kisī raah pe jalte nahīñ chāhat ke charāg
tū mirī āḳhirī manzil hai mirā saath na chhoḌ
ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag
tu meri aaKHiri manzil hai mera sath na chhoD
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab ham terā naam na leñge
vo bhī ek zamānā hogā
jab hum tera nam na lenge
wo bhi ek zamana hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chalo ham bhī vafā se baaz aa.e
mohabbat koī majbūrī nahīñ hai
chalo hum bhi wafa se baz aae
mohabbat koi majburi nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo merā jab na ho sakā to phir yahī sazā rahe
kisī ko pyaar jab karūñ vo chhup ke dekhtā rahe
wo mera jab na ho saka to phir yahi saza rahe
kisi ko pyar jab karun wo chhup ke dekhta rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham ne to darīchoñ pe sajā rakkhe haiñ parde
bāhar hai qayāmat kā jo manzar to hameñ kyā
hum ne to darichon pe saja rakkhe hain parde
bahar hai qayamat ka jo manzar to hamein kya
hameñ vo hamīñ se judā kar gayā
baḌā zulm is mehrbānī meñ thā
hamein wo hamin se juda kar gaya
baDa zulm is mehrbani mein tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab us ko sochte haiñ aur hañste jaate haiñ
ki tere ġham se ta.alluq rahā hai kitnī der
ab us ko sochte hain aur hanste jate hain
ki tere gham se talluq raha hai kitni der
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sameT leñ mah o ḳhurshīd raushnī apnī
salāhiyat hai zamīñ meñ bhī jagmagāne kī
sameT len mah o KHurshid raushni apni
salahiyat hai zamin mein bhi jagmagane ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nigāh o dil ke paas ho vo merā āshnā rahe
havas hai yā ki ishq hai ye kaun sochtā rahe
nigah o dil ke pas ho wo mera aashna rahe
hawas hai ya ki ishq hai ye kaun sochta rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek dard-e-judā.ī kā ġham kyā kareñ
kis maraz kī davā hai tire shahr meñ
ek dard-e-judai ka gham kya karen
kis maraz ki dawa hai tere shahr mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na itnī duur jā.iye ki log pūchhne lageñ
kisī ko dil kī kyā ḳhabar ye haath to milā rahe
na itni dur jaiye ki log puchhne lagen
kisi ko dil ki kya KHabar ye hath to mila rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bastiyoñ kā ujaḌnā basnā kyā
be-jhijak qatl-e-ām kartā jā
bastiyon ka ujaDna basna kya
be-jhijak qatl-e-am karta ja
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū na hogā to kahāñ jā ke jalūñgā shab bhar
tujh se hī garmi-e-mahfil hai mirā saath na chhoḌ
tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar
tujh se hi garmi-e-mahfil hai mera sath na chhoD
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū hai gar mujh se ḳhafā ḳhud se ḳhafā huuñ maiñ bhī
mujh ko pahchān ki terī hī adā huuñ maiñ bhī
TRANSLATION
If you are angry with me, annoyed with myself am I,
Recognize me well, for thy own manifestation am I.
Sagar Akbarabadi
tu hai gar mujh se KHafa KHud se KHafa hun main bhi
mujh ko pahchan ki teri hi ada hun main bhi
TRANSLATION
If you are angry with me, annoyed with myself am I,
Recognize me well, for thy own manifestation am I.
Sagar Akbarabadi
kis samt jā rahā hai zamāna kahā na jaa.e
uktā ga.e haiñ log fasāna kahā na jaa.e
kis samt ja raha hai zamana kaha na jae
ukta gae hain log fasana kaha na jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahā ye sab ne ki jo vaar the usī par the
magar ye kyā ki badan chuur chuur merā thā
kaha ye sab ne ki jo war the usi par the
magar ye kya ki badan chur chur mera tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raat āñkhoñ meñ hayā le ke guzar jaatī thī
lamha-e-shauq bahut chīñ-ba-jabīñ rahtā thā
raat aankhon mein haya le ke guzar jati thi
lamha-e-shauq bahut chin-ba-jabin rahta tha
dil se duur hue jaate haiñ ġhālib ke kalkatte vaale
guwahati meñ dekhe ham ne aise aise chehre vaale
dil se dur hue jate hain ghaalib ke kalkatte wale
guwahati mein dekhe hum ne aise aise chehre wale