Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Wazir Agha's Photo'

Wazir Agha

1922 - 2010 | Sargodha, Pakistan

One of most prominent modern critics

One of most prominent modern critics

Sher of Wazir Agha

3.6K
Favorite

SORT BY

vo ḳhush-kalām hai aisā ki us ke paas hameñ

tavīl rahnā bhī lagtā hai muḳhtasar rahnā

wo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein

tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna

khulī kitāb thī phūloñ-bharī zamīñ merī

kitāb merī thī rañg-e-kitāb us thā

khuli kitab thi phulon-bhari zamin meri

kitab meri thi rang-e-kitab us ka tha

itnā na paas aa ki tujhe DhūñDte phireñ

itnā na duur ke hama-vaqt paas ho

itna na pas aa ki tujhe DhunDte phiren

itna na dur ja ke hama-waqt pas ho

us āvāz meñ the saare ḳhad-o-ḳhāl us ke

vo chahaktā thā to hañste the par-o-bāl us ke

us ki aawaz mein the sare KHad-o-KHal us ke

wo chahakta tha to hanste the par-o-baal us ke

safar tavīl sahī hāsil-e-safar ye hai

vahāñ ko bhuul ga.e aur yahāñ ko pahchānā

safar tawil sahi hasil-e-safar ye hai

wahan ko bhul gae aur yahan ko pahchana

ajab tarah se guzārī hai zindagī ham ne

jahāñ meñ rah ke na kār-e-jahāñ ko pahchānā

ajab tarah se guzari hai zindagi hum ne

jahan mein rah ke na kar-e-jahan ko pahchana

abr-e-karam ban ke baras ḳhushk zamīñ par

pyaas ke sahrā meñ mujhe jiinā sikhā de

ya abr-e-karam ban ke baras KHushk zamin par

ya pyas ke sahra mein mujhe jina sikha de

manzar thā raakh aur tabī.at udaas thī

har-chand terī yaad mire aas paas thī

manzar tha rakh aur tabiat udas thi

har-chand teri yaad mere aas pas thi

chalo apnī bhī jānib ab chaleñ ham

ye rasta der se suunā paḌā hai

chalo apni bhi jaanib ab chalen hum

ye rasta der se suna paDa hai

ḳhud apne ġham se pahle dostī ham ne

aur us ke ba.ad ġham-e-dostāñ ko pahchānā

KHud apne gham hi se ki pahle dosti hum ne

aur us ke baad gham-e-dostan ko pahchana

ret par chhoḌ gayā naqsh hazāroñ apne

kisī pāgal tarah naqsh miTāne vaalā

ret par chhoD gaya naqsh hazaron apne

kisi pagal ki tarah naqsh miTane wala

āhista baat kar ki havā tez hai bahut

aisā na ho ki saarā nagar bolne lage

aahista baat kar ki hawa tez hai bahut

aisa na ho ki sara nagar bolne lage

ye kis hisāb se ne raushnī taqsīm

sitāre mujh ko mile māhtāb us thā

ye kis hisab se ki tu ne raushni taqsim

sitare mujh ko mile mahtab us ka tha

rab tirī rahmat talabgār hai ye bhī

thoḌī mire shahr ko bhī āb-o-havā de

ya rab teri rahmat ka talabgar hai ye bhi

thoDi si mere shahr ko bhi aab-o-hawa de

umr bhar us ne bevafā.ī

umr se bhī vo bā-vafā na rahā

umr bhar us ne bewafai ki

umr se bhi wo ba-wafa na raha

lāzim kahāñ ki saarā jahāñ ḳhush-libās ho

mailā badan pahan ke na itnā udaas ho

lazim kahan ki sara jahan KHush-libas ho

maila badan pahan ke na itna udas ho

dhuup ke saath gayā saath nibhāne vaalā

ab kahāñ aa.egā vo lauT ke aane vaalā

dhup ke sath gaya sath nibhane wala

ab kahan aaega wo lauT ke aane wala

kaise kahūñ ki maiñ ne kahāñ safar kiyā

ākāsh be-charāġh zamīñ be-libās thī

kaise kahun ki main ne kahan ka safar kiya

aakash be-charagh zamin be-libas thi

aise baḌhe ki manzileñ raste meñ bichh ga.iiñ

aise ga.e ki phir na kabhī lauTnā huā

aise baDhe ki manzilen raste mein bichh gain

aise gae ki phir na kabhi lauTna hua

sameTtā rahā ḳhud ko maiñ umr-bhar lekin

bikhertā rahā shabnam silsila mujh ko

sameTta raha KHud ko main umr-bhar lekin

bikherta raha shabnam ka silsila mujh ko

thī niiñd merī magar us meñ ḳhvāb us thā

badan mirā thā badan meñ azaab us thā

thi nind meri magar us mein KHwab us ka tha

badan mera tha badan mein azab us ka tha

kahne ko chand gaam thā ye arsa-e-hayāt

lekin tamām umr chalnā paḌā tujhe

kahne ko chand gam tha ye arsa-e-hayat

lekin tamam umr hi chalna paDa tujhe

diye bujhe to havā ko kiyā gayā badnām

qusūr ham ne kiyā ehtisāb us thā

diye bujhe to hawa ko kiya gaya badnam

qusur hum ne kiya ehtisab us ka tha

ab to ārām kareñ sochtī āñkheñ merī

raat āḳhirī taarā bhī hai jaane vaalā

ab to aaram karen sochti aankhen meri

raat ka aaKHiri tara bhi hai jaane wala

jabīn-e-sañg pe likkhā mirā fasāna gayā

maiñ rahguzar thā mujhe rauñd kar zamāna gayā

jabin-e-sang pe likkha mera fasana gaya

main rahguzar tha mujhe raund kar zamana gaya

karnā paḌegā apne saa.e meñ ab qayām

chāroñ taraf hai dhuup sahrā bichhā huā

karna paDega apne hi sae mein ab qayam

chaaron taraf hai dhup ka sahra bichha hua

ye kaisī aañkh thī jo ro paḌī hai

ye kaisā ḳhvāb thā jo bujh gayā hai

ye kaisi aankh thi jo ro paDi hai

ye kaisa KHwab tha jo bujh gaya hai

pahnā de chāñdnī ko qabā apne jism

us badan bhī terī tarah be-libās ho

pahna de chandni ko qaba apne jism ki

us ka badan bhi teri tarah be-libas ho

qismat meñ raushnī nahīñ thī

bādal to kabhī chhaT rahā thā

qismat hi mein raushni nahin thi

baadal to kabhi ka chhaT raha tha

vo apnī umr ko pahle piro letā hai Dorī meñ

phir us ke ba.ad gintī umr din raat kartā hai

wo apni umr ko pahle piro leta hai Dori mein

phir us ke baad ginti umr ki din raat karta hai

band us ne kar liye the ghar ke darvāze agar

phir khulā kyuuñ rah gayā thā ek dar mere liye

band us ne kar liye the ghar ke darwaze agar

phir khula kyun rah gaya tha ek dar mere liye

kis ḳhushbū ne bhar diyā thā use

us ke andar koī ḳhalā na rahā

kis ki KHushbu ne bhar diya tha use

us ke andar koi KHala na raha

sikhā diyā hai zamāne ne be-basar rahnā

ḳhabar aañch meñ jal kar bhī be-ḳhabar rahnā

TRANSLATION

How to remain infructuous, the world alone has taught,

How to remain unaware, though burning in same thought.

Sagar Akbarabadi

sikha diya hai zamane ne be-basar rahna

KHabar ki aanch mein jal kar bhi be-KHabar rahna

TRANSLATION

How to remain infructuous, the world alone has taught,

How to remain unaware, though burning in same thought.

Sagar Akbarabadi

tīrgī be-ābrū thī aur tajallī be-vaqār

ik thakā-hārā jugnū kis qadar dil-gīr thā

tirgi be-abru thi aur tajalli be-waqar

ek thaka-haara sa jugnu kis qadar dil-gir tha

Recitation

Speak Now