SEARCH RESULTS
Showing search results for "جہد_مسلسل"
Ghazal MATCHES FOR "جہد_مسلسل"
Ghazal
Ziya Shahzad
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
zindagii johd-e-musalsal hai hiraasaa.n kyuu.n ho
valvala jab ko.ii martaa hai to ha.ns dete hai.n
Mumtaz Mirza
Ghazal
zindagii naam hai ik johd-e-musalsal kaa 'fanaa'
raah-rau aur bhii thak jaataa hai aaraam ke baad
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
hai yahii vaqt-e-amal johd-e-musalsal kii qasam
be-sahaaro.n kii tarah haath na malte rahnaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
haasil-e-johd-e-musalsal mustaqil aazurdagii
kaam kartaa huu.n havaa me.n justujuu naayaab me.n
Muneer Niyazi
Ghazal
tinko.n kaa to bas naam hai sachchaa.ii yahii hai
ik jehd-e-musalsal hai jo kaashaana banaa hai
Abdullateef Shauq
Ghazal
natiija johd-e-musalsal kaa aage kyaa hogaa
mahall-e-fikr yahii hai zaraa Thahar jaa.o
Shaukat Pardesi
Ghazal
vahii to jehd-e-musalsal kii ibtidaa thii 'alii'
jab aashnaa.ii qadam kii rikaab se hu.ii thii
Ali Muzammil
Ghazal
saahil pe us kii ja.ad-e-musalsal ke aks se
dariyaa me.n dhobiyo.n ko nazar aa.e paaT saa.np
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
ahmiyat johd-e-musalsal kii nahii.n kam 'haamid'
sirf taqdiir kaa likkhaa nahii.n dekhaa jaataa
Hamid Mukhtar Hamid
Ghazal
jazba-e-johd-e-musalsal hai binaa-e-zindagii
ye gayaa to saaraa jiine kaa hunar le jaa.egaa
Jamuna Parsad Rahi
Ghazal
ziist ke jehd-e-musalsal kaa hai vaqfa ye maut
zindagii ko nayaa kirdaar fanaa detii hai
Shariq Balyavi
Ghazal
maayuus ho ke johd-e-musalsal na chho.Dnaa
zaKHmo.n ke baa'd haatho.n me.n gauhar bhii aa.e.nge
Quaiser Khalid
Ghazal
mil gayaa jahd-e-musalsal kaa sila mujh ko 'la.iiq'
kal ke Gam aaj mire aish kaa saamaan bane
Laiq Siddiqi
Ghazal
taKHliiq-e-sher jehd-e-musalsal vo KHaana-zaad
ek ek lafz dar pe mahaaz-e-garaa.n mujhe
Chandrabhan Khayal
Ghazal
ko.ii panaah nahii.n ko.ii jaa-e-amn nahii.n
hayaat johd-e-musalsal hai aadmii ke liye
Baqar Mehdi
Ghazal
hayaat jehd-e-musalsal kaa naam hai yaaro
nasiib KHud nahii.n bantaa banaayaa jaataa hai