aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "جہیز"
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
yahii mehmaano.n me.n hai guftuguuki duulhan hai be-shak ba.Dii KHuub-ruusaliiqe ke sasuraal vaale bhii hai.ndikhaavaa nahii.n maal vaale bhii hai.nye sardii kii sub.h aur sardii kii shaammagar qaabil-e-daad har intizaamye bartan ye kap.De ye kursii ye mezmilaa hai bahut KHuubsuurat jahezsadaa phir vo 'annuu' kii aane lagiifazaa.o.n me.n mastii luTaane lagiina.ii zindagaanii mubaarak rahemubaarak ye shaadii mubaarak rahe
mere baalo.n me.n chaa.ndii utar aa.ii hai....pyaare baabaa! me.n kuchh baal to.Duu.n?ki ham un ko beche.nge....phir jo ruupe ho.nge,un sejahez aur shaadii kii tayyaariyaa.n ho sake.ngii....mai.n yuu.n aap kaa roz bujhtaa hu.aa,aur murjhaayaa chehra nahii.n dekh paatii....sune.n! mere baalo.n me.n chaa.ndii utar aa.ii hai
ik baar phir vatan me.n gayaa jaa ke aa gayaalaKHt-e-jigar ko KHaak me.n dafnaa ke aa gayaahar ham-safar pe KHizr kaa dhokaa hu.aa mujheaab-e-baqaa kii raah se katraa ke aa gayaahuur-e-lahad ne chhiin liyaa tujh ko aur mai.napnaa saa mu.nh liye hu.e sharmaa ke aa gayaadil le gayaa mujhe tirii turbat pe baar baaraavaaz de ke baiTh ke uktaa ke aa gayaaroyaa ki thaa jahez tiraa vaajib-ul-adaame.nh motiyo.n kaa qabr pe barsaa ke aa gayaamerii bisaat kyaa thii huzuur-e-razaa-e-dosttinkaa saa ek saamne dariyaa ke aa gayaaab ke bhii raas aa.ii na hubb-e-vatan 'hafiiz'ab ke bhii ek tiir-e-qazaa khaa ke aa gayaa
ham jo kabhii kabhii hote hai.naur akasr nahii.n hoteKHvaab kii aulaad hai.ntakmiil ik sahraa kaa naam haijis ke safar ke liyejitnii naslo.n kii umr chaaheutnii nasle.n abhii paidaa nahii.n hu.ii.naur vo jo mere sahraa kaa saraab thaamai.n ne apne apne zinda lamho.n kous ke naam kar diyaavo kaun thaavo marte hu.e mazduuro.n kii uma.ng nahii.n thaaaur vo Gariib taalib-e-ilm kii vo fees nahii.n thaajo ek ek paise se mil kar bantii haiaur vo ku.nvaarii beTii kaa vo jahez bhii nahii.n thaajo KHushii ke mazbuut taale kii iklautii kunjii ban jaataavo kaun thaavo tanhaa.ii se maziid tanhaa.ii tak safar kaa vo darmiyaan thaajo sirf bahruup hotaa haiKHvaab ne bahruup se shaadii kar liiaur mai.n ne apne zinda lamho.n kobahruup ke naam kar diyaajis kaa naam KHud-farebii hairuup aur bahruup ke darmiyaan bahtii haivo jo dhund kii lakiir ke us paarbahruup kii duniyaa me.n chalaa gayaalauT kar na aayaaaur mai.n ne lauT kar na aane vaalo.n ke naamasl ke zamaane kar diye
jahez ik daur me.n tohfa thaalekin ab ye la.anat haiki jo naasuur bantaa jaa rahaa haizamaane me.n isii la.anat kaa abdastuur bantaa jaa rahaa hai
gu.Diyaa hamaarii javaan haiab us kii shaadii kaa dhyaan haiachchhaa saa guDDaa dikhaa.o jiirishta ko.ii achchhaa laa.o jiigu.Diyaa hai aThaarah saal kiimaalik hai husn-o-jamaal kiita.aliim bhii us ne paa.ii haiaur mehnatii intihaa.ii haiguDDaa ho ikkiis saal kaaKHush-KHulq achchhe KHayaal kaagoraa ho yaa saa.nvlaa ho vokyaa dekhnaa us ke rang kokartaa na ho vo nasha ko.iikartaa ho dhanda yaa naukriipaa.nv pe apne kha.Daa ho voachchhaa sambhaale jo biivii koho fikr us ko samaaj kiiaur apne bhii kaam kaaj kiilaalach kabhii na ho jahez kiiaisaa ko.ii guDDaa laa.o jiigu.Diyaa kaa haq jo adaa kareapne baraabar kaa darja dehar baat agar tum ne maan liiThahraa lo taariiKH aqd kii
agar mai.n samjhuu.nke ye jo mohre hai.nsirf lak.Dii ke hai.n khilauneto jiitnaa kyaa hai haarnaa kyaana ye zaruuriina vo aham haiagar KHushii hai na jiitne kiina haarne kaa hii ko.ii Gam haito khel kyaa haimai.n sochtaa huu.njo khelnaa haito apne dil me.n yaqiin kar luu.nye mohre sach-much ke baadshaah o vaziirsach-much ke hai.n payaadeaur in ke aage haidushmano.n kii vo faujrakhtii hai jo ki mujh ko tabaah karne kesaare mansuubesab iraademagar aisaa jo maan bhii luu.nto sochtaa huu.nye khel kab haiye ja.ng hai jis ko jiitnaa haiye ja.ng hai jis me.n sab hai jaa.ezko.ii ye kahtaa hai jaise mujh seye ja.ng bhii haiye khel bhii haiye ja.ng hai par khilaa.Diyo.n kiiye khel hai ja.ng kii tarah kaamai.n sochtaa huu.njo khel haiis me.n is tarah kaa usuul kyuu.n haiki ko.ii mohara rahe ki jaa.emagar jo hai baadshaahus par kabhii ko.ii aa.nch bhii na aa.evaziir hii ko hai bas ijaazatki jis taraf bhii vo chaahe jaa.e
dekhnaa jazb-e-mohabbat kaa asar aaj kii raatmere shaane pe hai us shoKH kaa sar aaj kii raataur kyaa chaahiye ab ai dil-e-majruuh tujheus ne dekhaa to ba-andaaz-e-digar aaj kii raatphuul kyaa KHaar bhii hai.n aaj gulistaa.n-ba-kanaarsa.ng-reze hai.n nigaaho.n me.n guhar aaj kii raatmahv-e-gulgasht hai ye kaun mire dosh-ba-doshkahkashaa.n ban ga.ii har raahguzar aaj kii raatphuuT niklaa dar-o-diivaar se sailaab-e-nashaatallaah allaah miraa kaif-e-nazar aaj kii raatshabnamistaan-e-tajallii kaa fusuu.n kyaa kahiyechaa.nd ne phe.nk diyaa raKHt-e-safar aaj kii raatnuur hii nuur hai kis samt uThaa.uu.n aa.nhke.nhusn hii husn hai taa-hadd-e-nazar aaj kii raatqasr-e-giitii me.n uma.nD aayaa hai tuufaan-e-hayaatmaut larzaa.n hai pas-e-parda-e-dar aaj kii raatallaah allaah vo peshaani-e-siimii.n kaa jamaalrah ga.ii jam ke sitaaro.n kii nazar aaj kii raataariz-e-garm pe vo ra.ng-e-shafaq kii lahre.nvo mirii shoKH-nigaahii kaa asar aaj kii raatnargis-e-naaz me.n vo nii.nd kaa halkaa saa KHumaarvo mire naGma-e-shiirii.n kaa asar aaj kii raatnaGma o mai kaa ye tuufaan-e-tarab kyaa kahiyeghar miraa ban gayaa 'KHayyaam' kaa ghar aaj kii raatmerii har saa.ns pe vo un kii tavajjoh kyaa KHuubmerii har baat pe vo jumbish-e-sar aaj kii raatvo tabassum hii tabassum kaa jamaal-e-paihamvo mohabbat hii mohabbat kii nazar aaj kii raatuf vo vaaraftagi-e-shauq me.n ik vahm-e-latiifkapkapaa.e hu.e ho.nTo.n pe nazar aaj kii raatmaz.hab-e-ishq me.n jaa.ez hai yaqiinan jaa.ezchuum luu.n mai.n lab-e-la.alii.n bhii agar aaj kii raatapnii rif.at pe jo naazaa.n hai.n to naazaa.n hii rahe.nkah do anjum se ki dekhe.n na idhar aaj kii raatun ke altaaf kaa itnaa hii fusuu.n kaafii haikam hai pahle se bahut dard-e-jigar aaj kii raat
izzat kii bahut sii qisme.n hai.nghuu.nghaT thappa.D gandumizzat ke taabuut me.n qaid kii meKHe.n Tho.nkii ga.ii hai.nghar se le kar footpath tak hamaaraa nahii.nizzat hamaare guzaare kii baat haiizzat ke neze se hame.n daaGaa jaataa haiizzat kii kanii hamaarii zabaan se shuruu.a hotii haiko.ii raat hamaaraa namak chakh leto ek zindagii hame.n be-zaa.iqa roTii kahaa jaataa haiye kaisaa baazaar haiki ra.ng-saaz hii phiikaa pa.Daa haiKHalaa kii hathelii pe pata.nge.n mar rahii hai.nmai.n qaid me.n bachche jantii huu.njaa.ez aulaad ke liye zamiin khilanDarii honii chaahiyetum Dar me.n bachche jantii ho isii liye aaj tumhaarii ko.ii nasl nahii.ntum jism ke ek band se pukaarii jaatii hotumhaarii haisiyat me.n to chaal rakh dii ga.ii haiek KHuubsuurat chaalchhoTii muskuraahaT tumhaare labo.n pe taraash dii ga.ii haitum sadiyo.n se nahii.n ro.ii.nkyaa maa.n aisii hotii haitumhaare bachche phiike kyo.n pa.De hai.n
ye jhiil vo hai ki jis ke uuparhazaaro.n insaa.nufuq ke mutavaazii chal rahe hai.nufuq ke mutavaazii chalne vaalo.n ko paar laatii hai.nvaqt lahre.njinhe.n tamannaa, magar, samaavii KHiraam kii hoinhii ko paataal zamzamo.n kii sadaa sunaatii hai.nvaqt lahre.nunhe.n Dubotii hai.n vaqt lahre.n!tamaam mallaah us sadaa se sadaa hiraasaa.n, sadaa gurezaa.nki jhiil me.n ik umuud kaa chor chhup ke baiThaa haius ke gesuu ufuq kii chhat se laTak rahe hai.npukaartaa hai: ''ab aa.o, aa.o!azal se mai.n muntazir tumhaaraamai.n gumbado.n ke tamaam raazo.n ko jaantaa huu.ndaraKHt miinaar burj ziine mire hii saathiimire hii mutavaazii chal rahe hai.nmai.n har havaa.ii-jahaaz kaa aaKHirii baseraasamundaro.n par jahaaz-raano.n kaa mai.n kinaaraaab aa.o, aa.o!tumhaare jaise ka.ii fasaano.n ko mai.n ne un keabad ke aaGosh me.n utaaraa''tamaam mallaah is kii aavaaz se gurezaa.nufuq kii shaah-raah-e-mubtazil par tamaam sahme hu.e KHiraamaa.nmagar samaavii KHiraam vaalejo past o baalaa ke aastaa.n par jame hu.e hai.numuud ke is tanaab hii se utar rahe hai.nisii ko thaame hu.e bulandii pe cha.Dh rahe hai.n!
kaano.n kii ik nagrii dekhii jis me.n saare kaane dekheek taraf se ahmaq saare ek taraf se siyaane thekaano.n kii is nagrii ke sab riit rivaaj alaahada therog alaahada bastii me.n the aur ilaaj alaahada thedo do kaane mil kar puuraa sapnaa dekhaa karte thega.ngaa ke sa.ngam se kaane jamunaa dekhaa karte thechaa.ndnii raat me.n chhatrii le kar baahar jaayaa karte theos gire to kahte hai.n vaa.n sar phaT jaayaa karte thedariyaa pul par chaltaa thaa paanii me.n raile.n chaltii thii.nla.nguuro.n kii dum par a.nguuro.n kii bele.n paktii thii.nchhuut kii ik biimaarii phailii ek dafa un kaano.n me.nbhuuk ke kii.De sunte hai.n nikle gandum ke daano.n me.nroz ka.ii kaane bechaare marte the biimaarii me.nkahte hai.n raajaa sotaa thaa sone kii almaarii me.nghanTii baa.ndh ke chuuhe jab billii se dau.D lagaate thepeT pe dono.n haath bajaa kar sab qavvaalii gaate thetab kaanii bhai.ns ne phuul phulaa kar chhe.Daa biin kaa baajaaaur kaalaa chashma pahan ke singhaasan par aayaa raajaadukh se chashme kii dono.n hii aa.nKHe.n paanii paanii thii.ndekhaa us kaane raajaa kii dono.n aa.nKHe.n kaanii thii.njhuuTaa hai jo andho.n me.n kaanaa raajaa hai kahtaa haijaa kar dekho kaanii nagrii andhaa raajaa rahtaa hai
جو تھا نہيں ہے ، جو ہے نہ ہو گا ، يہي ہے اک حرف محرمانہقريب تر ہے نمود جس کي ، اسي کا مشتاق ہے زمانہمري صراحي سے قطرہ قطرہ نئے حوادث ٹپک رہے ہيںميں اپني تسبيح روز و شب کا شمار کرتا ہوں دانہ دانہہر ايک سے آشنا ہوں ، ليکن جدا جدا رسم و راہ ميريکسي کا راکب ، کسي کا مرکب ، کسي کو عبرت کا تازيانہنہ تھا اگر تو شريک محفل ، قصور ميرا ہے يا کہ تيرامرا طريقہ نہيں کہ رکھ لوں کسي کي خاطر مےء شبانہمرے خم و پيچ کو نجومي کي آنکھ پہچانتي نہيں ہےہدف سے بيگانہ تيرا اس کا ، نظر نہيں جس کي عارفانہشفق نہيں مغربي افق پر يہ جوئے خوں ہے ، يہ جوئے خوں ہے!طلوع فردا کا منتظر رہ کہ دوش و امروز ہے فسانہوہ فکر گستاخ جس نے عرياں کيا ہے فطرت کي طاقتوں کواس کي بيتاب بجليوں سے خطر ميں ہے اس کا آشيانہہوائيں ان کي ، فضائيں ان کي ، سمندر ان کے ، جہاز ان کےگرہ بھنور کي کھلے تو کيونکر ، بھنور ہے تقدير کا بہانہجہان نو ہو رہا ہے پيدا ، وہ عالم پير مر رہا ہےجسے فرنگي مقامروں نے بنا ديا ہے قمار خانہہوا ہے گو تند و تيز ليکن چراغ اپنا جلا رہا ہےوہ مرد درويش جس کو حق نے ديے ہيں انداز خسروانہ
abhii mujh se kisii ko mohabbat nahii.n hu.iiso dil ke baaG me.n phuul bhii nahii.n khilemujhe har aurat ke siine par pistaanaur raano.n ke biich qaus nazar aatii haiabhii mohabbat shuruu.a nahii.n hu.iimai.n har ham-bistarii ke baa'd bezaar ho jaataa huu.naur phir se us kaam ke liye tayaar ho jaataa huu.nmai.n pistaano.n aur raano.n me.nmohabbat talaash karne ke kaar-e-be-suud me.n masruuf huu.nmohabbat ke mausam takishrat ke raste jaayaa jaa saktaato mai.n kab kaa pahu.nch gayaa hotaanazar kartaa huu.n to lagtaa haizindagii se kuchh aur bhii duur nikal aayaa huu.nmujhe maut se Dar lagne lagaa haikyuu.nki abhii mujh se kisii ko mohabbat nahii.n hu.ii
kaise apne dil se miTaa.uu.n birah agan kaa rogkaise sujhaa.uu.n prem pahelii kaise karuu.n sanjogbaat kii gha.Diyaa.n biit na jaa.e.n duur hai us kaa desduur des hai piitam kaa aur mai.n badle huu.n bhes
aasmaa.n aaj ik bahr-e-pur-shor haijis me.n har-suu ravaa.n baadalo.n ke jahaazun ke arshe pe kirno.n ke mastuul hai.nbaadbaano.n kii pahne hu.e farGale.nniil me.n gumbado.n ke jaziire ka.iiek baazii me.n masruuf hai har ko.iivo abaabiil ko.ii nahaatii hu.iiko.ii chiil Gote me.n jaatii hu.iiko.ii taaqat nahii.n is me.n zor-aazmaako.ii be.Daa nahii.n hai kisii mulk kaais kii tah me.n ko.ii aabdoze.n nahii.nko.ii rocket nahii.n ko.ii tope.n nahii.nyuu.n to saare anaasir hai.n yaa.n zor me.namn kitnaa hai is bahr-e-pur-shor me.n
dekhte hii dekhte unho.n ne sayyaare ko lafzo.n se bhar diyaafaislo.n aur faaslo.n ko tuul dene kaa fan unhe.n KHuub aataa haijahaaz bandar-gaaho.n me.n kha.De hai.naur gharo.n, godaamo.n, dukaano.n me.nkisii lafz ke liye jagah nahii.n rahiiitne bahut se lafz... uff KHudaayaa!mujhe is zamiin par chalte hu.e aThThaa.iis baras ho ga.ebaap, maa.n, bahno.n, bhaa.iyo.n aur mahbuubaa.o.n ke darmiyaaninsaano.n ke darmiyaanmai.n ne dekhaain ta.ariifo.n, ta.aarufo.n aur ta.aziyato.n ke liyeun ke paas larazte hu.e ho.nT hai.nDabDabaa.ii hu.ii aa.nkhe.n hai.ngarm hatheliyaa.n hai.nunhe.n kisii iblaaG kii zaruurat nahii.nnaan-baa.ii gungunaataa haiuse lafz nahii.n chaahiyeek naand... aaTaa ghuu.ndhne ke liyeek taKHta... pe.De banaane ke liyeek salaaKH tannuur se roTii nikaalne ke liyenaan-baa.ii kaa kaam KHatm kar lo to mere paas aanaayahaa.n kinaare par sarkando.n kaa jangal aap hii aap ug aayaa haikuchh qalam mai.n ne taraashe hai.naur ek baa.nsurii...baaqii sarkando.n se ek kashtii banaa.ii haigaDaryaa, kisaan, kaashtkaar, mausiiqaar, aahan-garsab tayyaar hai.nkuchh aavaaze.n kashtii me.n rakh lii hai.nmadrase kii ghanTii...ek loriiaur ek du.aaek na.ii zamiin par zinda rahne ke liye is se ziyaada kuchh nahii.n chaahiye
fareb khaa.e hai.n ra.ng-o-buu ke saraab ko puujtaa rahaa huu.nmagar nataa.ej kii raushnii me.n KHud apnii manzil pe aa rahaa huu.njo dil kii gahraa.iyo.n me.n sub.h zuhuur-e-aadam se so rahii thii.nmai.n apnii fitrat kii un KHudaa-daad quvvato.n ko jagaa rahaa huu.nmai.n saa.ns letaa huu.n har qadam par ki bojh bhaarii hai zindagii kaaThahar zaraa garm-rau zamaane ki mai.n tire saath aa rahaa huu.njahaaz-raano.n ko bhii ta.ajjub hai mere is azm-e-mutma.in parki aa.ndhiyaa.n chal rahii hai.n tund aur mai.n apnii kashtii chalaa rahaa huu.ntilism-e-fitrat bhii muskuraataa hai merii afsuu.n-taraaziyo.n parbahut se jaaduu jagaa chukaa huu.n bahut se jaaduu jagaa rahaa huu.nye mehr-e-taabaa.n se ko.ii kah de ki apnii kirno.n ko gin ke rakh lemai.n apne sahraa ke zarre zarre ko KHud chamaknaa sikhaa rahaa huu.nmiraa taKHayyul mire iraade kare.nge fitrat pe hukmaraaniijahaa.n farishto.n ke par hai.n larzaa.n mai.n us bulandii pe jaa rahaa huu.nye vo gharau.nde hai.n jin pe ik din pa.Degii buniyaad-e-qasr-e-jannatna samjhe.n sukkaan-e-bazm-e-ismat ki mai.n gharau.nde banaa rahaa huu.nye naaz-parvardagaan-e-saahil Dare.n Dare.n mirii garm rau seki mai.n samundar kii tund maujo.n ko rau.ndtaa paas aa rahaa huu.n
saa.np lapeTe ghuum rahaa huu.nduniyaa mujh se KHauf-zada haisab mujh ko achchhe lagte hai.nlekin yuu.n haijis la.Dkii ko chaahaa mai.n nejis la.Dke ko dost banaayaajis ghar me.n maa.n baap banaa.ejis masjid me.n ghuTne Tekesab ne meraa saa.np hii dekhaamujh ko ko.ii dekh na paayaamai.n sab ko kaise samjhaa.uu.nye duniyaa kaa saa.np nahii.n haimere saath palaa posaa haiye meraa maa.n jaayaabas mujh ko Dastaa hai
aaKHirii varaq koek bachche ne uThaa liyaakhel khel me.n havaa.ii jahaaz banaa karaasmaan me.n u.Daa diyaais par likhaa thaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books