SEARCH RESULTS
Showing search results for "auqaat"
Nazm MATCHES FOR "auqaat"
Nazm
KHun phir KHun hai
zulm kii baat hii kyaa zulm kii auqaat hii kyaa
zulm bas zulm hai aaGaaz se anjaam talak
Sahir Ludhianvi
Nazm
lenin
ai anfus o aafaaq me.n paidaa tirii aayaat
haq ye hai ki hai zinda o paa.inda tirii zaat
Allama Iqbal
Nazm
tumhaare husn ke nam
agarche ta.ng hai.n auqaat saKHt hai.n aalaam
tumhaarii yaad se shiirii.n hai talKHi-e-aiyyaam
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
hubb-e-watan
aish me.n jin ke kaTte hai.n auqaat
iid hai din to shabbaraat hai raat
Altaf Hussain Hali
Nazm
raat sunsan hai
saamne taaq pe rakkhii hu.ii do tasviire.n
aksar auqaat mujhe pyaar se yuu.n taktii hai.n
Mustafa Zaidi
Nazm
abul-ala-marri
kahte hai.n kabhii gosht na khaataa thaa ma.arrii
phal-phuul pe kartaa thaa hamesha guzar-auqaat
Allama Iqbal
Nazm
mujrim
kyuu.n inhe.n dekh ke ehsaas-e-tahii-dastii hai
aksar auqaat mai.n katraa ke nikal jaataa huu.n?
Shakeb Jalali
Nazm
katik ka chand
KHaalii sapno.n se na auqaat banegii apnii
ye shab-e-maah bhii kaT jaa.egii be-kal be-kal
Ibn e Insha
Nazm
tajdid-e-amal
phir dars-e-musaavaat kii haajat hai jahaa.n ko
aaqaa.ii-o-KHidmat ke KHitaabaat badal Daal
Faiz Ludhianvi
Nazm
ai mubaraz-talab
ishq kii tund-KHezii ke auqaat aaKHir hu.e
ai mubaaraz-talab zindagii
Faheem Shanas Kazmi
Nazm
dua
auqaat bhuul jaa.uu.n mai.n apnii jahaa.n pahu.nch
hargiz mire KHudaa mujhe vo martaba na de