aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "chaahat"
us ne kahaasunahd nibhaane kii KHaatir mat aanaaahd nibhaane vaale aksarmajbuurii yaa mahjuurii kii thakan se lauTaa karte hai.ntum jaa.oaur dariyaa dariyaa pyaas bujhaa.ojin aa.nkho.n me.n Duubojis dil me.n utromerii talab aavaaz na degiilekin jab merii chaahataur mirii KHvaahish kii lauitnii tez aur itniiuu.nchii ho jaa.ejab dil ro detab lauT aanaa
tere ho.nTo.n ke phuulo.n kii chaahat me.n hamdaar kii KHushk Tahnii pe vaare ga.etere haato.n kii sham.o.n kii hasrat me.n hamniim-taariik raaho.n me.n maare ga.e
1vo sub.h kabhii to aa.egiiin kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh kaa saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab mar mar kar jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na taulii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiino.n ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg banaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii2vo sub.h hamii.n se aa.egiijab dhartii karvaT badlegii jab qaid se qaidii chhuuTe.ngejab paap gharau.nde phuuTe.nge jab zulm ke bandhan TuuTe.ngeus sub.h ko ham hii laa.e.nge vo sub.h hamii.n se aa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiimanhuus samaajii Dhaa.ncho.n me.n jab zulm na paale jaa.e.ngejab haath na kaaTe jaa.e.nge jab sar na uchhaale jaa.e.ngejailo.n ke binaa jab duniyaa kii sarkaar chalaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiisansaar ke saare mehnat-kash kheto.n se milo.n se nikle.ngebe-ghar be-dar be-bas insaa.n taariik bilo.n se nikle.ngeduniyaa amn aur KHush-haalii ke phuulo.n se sajaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egii
tasavvuraat kii parchhaa.iyaa.n ubhartii hai.nsuuraj ke lahuu me.n lith.Dii hu.ii vo shaam hai ab tak yaad mujhechaahat ke sunahre KHvaabo.n kaa anjaam hai ab tak yaad mujhe
kabhii ret ke uu.nche Tiilo.n pe jaanaagharau.nde banaanaa banaa ke miTaanaavo ma.asuum chaahat kii tasviir apniivo KHvaabo.n khilauno.n kii jaagiir apniina duniyaa kaa Gam thaa na rishto.n ke bandhanba.Dii KHuubsuurat thii vo zindagaanii
vo sub.h kabhii to aa.egiiun kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab marmar ke jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na tolii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.e jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiine ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg bataa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii
ab kyuu.n us din kaa zikr karojab dil Tuk.De ho jaa.egaaaur saare Gam miT jaa.e.ngejo kuchh paayaa kho jaa.egaajo mil na sakaa vo paa.e.ngeye din to vahii pahlaa din haijo pahlaa din thaa chaahat kaaham jis kii tamannaa karte raheaur jis se har dam Darte raheye din to ka.ii baar aayaasau baar base aur uja.D ga.esau baar luTe aur bhar paayaa
sabz maddham raushnii me.n surKH aa.nchal kii dhanaksard kamre me.n machaltii garm saa.nso.n kii mahakbaazu.o.n ke saKHt halqe me.n ko.ii naazuk badansilvaTe.n malbuus par aa.nchal bhii kuchh Dhalkaa hu.aagarmi-e-ruKHsaar se dahkii hu.ii ThanDii havaanarm zulfo.n se mulaa.em u.ngliyo.n kii chhe.D-chhaa.DsurKH ho.nTo.n par sharaarat ke kisii lamhe kaa aksreshmii.n baa.nho.n me.n chuu.Dii kii kabhii maddham khanaksharmgii.n lahjo.n me.n dhiire se kabhii chaahat kii baatdo dilo.n kii dha.Dkano.n me.n guu.njtii thii ik sadaakaa.npte ho.nTo.n pe thii allaah se sirf ik du.aakaash ye lamhe Thahar jaa.e.n Thahar jaa.e.n zaraa!
chalo chho.Domohabbat jhuuT haiahd-e-vafaa ik shaGl hai be-kaar logo.n kaatalab suukhe hu.e patto.n kaa be-raunaq jaziira haiKHalish diimak-zada auraaq par bosiida satro.n kaa zaKHiira haiKHummaar-e-vasl taptii dhuup ke siine pe u.Dte baadalo.n kii raa.egaa.n baKHshish!Gubaar-e-hijr-e-sahraa me.n saraabo.n se aTe mausam kaa KHamyaazachalo chho.Doki ab tak mai.n a.ndhero.n kii dhamak me.n saa.ns kii zarbo.n pechaahat kii binaa rakh kar safar kartaa rahaa huu.ngaamujhe ehsaas hii kab thaaki tum bhii mausamo.n ke saath apne pairahan ke rang badlogiichalo chho.Dovo saare KHvaab kachchii bharbharii miTTii ke be-qiimat gharau.nde thevo saare zaa.iqe merii zabaa.n par zaKHm ban kar jam ga.e ho.ngetumhaarii u.ngliyo.n kii naram pore.n pattharo.n par naam likhtii thii.n miraa lekintumhaarii u.ngliyaa.n to aadatan ye jurm kartii thii.nchalo chho.Dosafar me.n ajnabii logo.n se aise haadse sarzad hu.aa karte hai.n sadiyo.n sechalo chho.Domiraa honaa na honaa ik baraabar haitum apne KHaal-o-KHad ko aa.iine me.n phir nikharne dotum apnii aa.nkh kii bastii me.n phir se ik nayaa mausam utarne domire KHvaabo.n ko marne dona.ii tasviir dekhophir nayaa maktuub likhophir na.e mausam na.e lafzo.n se apnaa silsila jo.Domire maazii kii chaahat raa.egaa.n samjhomirii yaado.n se kachche raabte to.Dochalo chho.Domohabbat jhuuT haiahd-e-vafaa ik shaGl hai be-kaar logo.n kaa
vo shaKHs ki jis kii KHaatir hamis des phire.n us des phire.njogii kaa banaa kar bhes phire.nchaahat ke niraale giit likhe.njii mohne vaale giit likhe.ndhartii ke mahakte baaGo.n sekaliyo.n kii jholii bhar laa.e.nambar ke sajiile manDal setaaro.n kii Dolii bhar laa.e.n
kaash mai.n tere hasii.n haath kaa ka.ngan hotaatuu ba.De pyaar se chaav se ba.De maan ke saathapnii naazuk sii kalaa.ii me.n cha.Dhaatii mujh koaur betaabii se furqat ke KHizaa.n lamho.n me.ntuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh komai.n tire haath kii KHushbuu se mahak saa jaataajab kabhii mood me.n aa kar mujhe chuumaa kartiitere ho.nTo.n kii me.n hiddat se dahak saa jaataaraat ko jab bhii tuu nii.ndo.n ke safar par jaatiimarmarii.n haath kaa ik takiya banaayaa kartiimai.n tire kaan se lag kar ka.ii baate.n kartaaterii zulfo.n ko tire gaal ko chuumaa kartaajab bhii tuu band-e-qabaa kholne lagtii jaanaa.napnii aa.nkho.n ko tire husn se KHiira kartaamujh ko betaab saa rakhtaa tirii chaahat kaa nashamai.n tirii ruuh ke gulshan me.n mahaktaa rahtaamai.n tire jism ke aa.ngan me.n khanaktaa hotaakuchh nahii.n to yahii be-naam saa bandhan hotaakaash mai.n tere hasii.n haath kaa ka.ngan hotaa
kis soch me.n gum-sum hai tuuai be-KHabar naadaa.n na banterii fasurda ruuh kochaahat ke kaa.nTo.n kii talabaur us ke daaman me.n faqathamdardiyo.n ke phuul hai.n
abhii ham KHuub-suurat hai.nhamaare jism auraaq-e-KHizaanii ho ga.e hai.naur ridaa-e-zaKHm se aaraasta hai.nphir bhii dekho tohamaarii KHush-numaa.ii par ko.ii harfaur kashiida-qaamtii me.n KHam nahii.n aayaahamaare ho.nT zahriilii ruto.n se kaasnii hai.naur chehre ratjago.n kii sho.alagii seaabnuusii ho chuke hai.naur zaKHmii KHvaabnaadiida jaziiro.n kii zamii.n paris tarah bikhre pa.De hai.njis tarah tuufaa.n-zada kashtii ke Tuk.Do.n kosamundar saahilo.n par phe.nk detaa hailahuu kii baarishe.nyaa KHud-kushii kii KHvaahishe.n thii.nis aziyyat ke safar me.nkaun saa mausam nahii.n aayaamagar aa.nkho.n me.n namlahje me.n samho.nTo.n pe ko.ii naGma-e-maatam nahii.n aayaaabhii tak dil hamaareKHanda-e-tiflaa.n kii suurat be-kuduurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nzamaane ho ga.eham kuu-e-jaanaa.n chho.D aa.e themagar ab bhiibahut se aashnaa naa-aashnaa hamdamaur un kii yaad ke maanuus qaasidaur un kii chaahato.n ke hijr-naameduur deso.n se hamaarii or aate hai.ngulaabii mausamo.n kii dhuupjab naurasta sabze par qadam rakhtii hu.iima.muura-e-tan me.n dar aatii haituu barfaanii badan me.njuu-e-KHuu.n aahistagii se gungunaatii haiudaasii kaa parindachup ke jangal me.nsar-e-shaaKH-e-nihaal-e-Gam chahaktaa haiko.ii bhuulaa hu.aa bisraa hu.aa dukhaabla bin kar Tapaktaa haito yuu.n lagtaa haijaise harf apnezinda aavaazo.n kii suurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nhamaarii KHush-numaa.ii harf-e-haq kii ruu-numaa.ii haiusii KHaatir to ham aashufta-jaa.nushshaaq kii yaado.n me.n rahte hai.nki jo un par guzartii hai vo kahte hai.nhamaarii harf-saaziiab bhii mahbuub-e-jahaa.n haishaa.erii shoriid-gaan-e-ishq ke vird-e-zabaa.n haiaur gulaabo.n kii tarah shaadaa.n chehrela.al o marjaa.n kii tarah labsandalii.n haatho.n sechaahat aur aqiidat kii bayaazo.n parhamaare naam likhte hai.nsabhii dard-aashnaaiisaar mashrabham-nafas ahl-e-qafasjab maqtalo.n kii samt jaate hai.nhamaare bait gaate hai.nabhii tak naaz karte hai.n sab ahl-e-qaafilaapne hudii-KHvaano.n par aashufta-kalaamo.n parabhii ham dastaKHat karte hai.n apne qatl-naamo.n parabhii ham aasmaano.n kii amaanataur zamiino.n kii zaruurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.n
bahut dino.n ba.adtere KHat ke udaas lafzo.n neterii chaahat ke zaa.iqo.n kii tamaam KHushbuumirii rago.n me.n u.nDel dii haibahut dino.n ba.adterii baate.ntirii mulaaqaat kii dhanak se dahaktii raate.nujaa.D aa.nkho.n ke pyaas paataal kii taho.n me.nvisaal-va.ado.n kii chand chi.ngaariyo.n ko saa.nso.n kii aa.nch de karshariir sho.alo.n kii sar-kashii ke tamaam tevarsikhaa ga.ii hai.ntire mahakte mahiin lafzo.n kii aabshaare.nbahut dino.n baa'd phir semujh ko rulaa ga.ii hai.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaaki mere andar kii raakh ke Dher par abhii taktire zamaane likhe hu.e hai.nsabhii fasaane likhe hu.e hai.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaaki terii yaado.n kii kirchiyaa.nmujh se kho ga.ii hai.ntire badan kii tamaam KHushbuubikhar ga.ii haitire zamaane kii chaahatii.nsab nishaaniyaa.nsab sharaarte.nsab hikaayate.n sab shikaayate.n jo kabhii hunar me.nKHayaal thii.n KHvaab ho ga.ii hai.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaaki mai.n bhii kitnaa badal gayaa huu.nbichha.D ke tujh seka.ii lakiiro.n me.n Dhal gayaa huu.nmai.n apne cigarette ke be-iraada dhu.e.n kii suurathavaa me.n tahliil ho gayaa huu.nna Dhuu.nDh merii vafaa ke naqsh-e-qadam ke rezeki mai.n to terii talaash ke be-kanaar sahraa me.nvahm ke be-amaa.n baguulo.n ke vaar sah karudaas rah karna-jaane kis rah me.n kho gayaa huu.nbichha.D ke tujh se tirii tarah kyaa bataa.uu.n mai.n bhiina jaane kis kis kaa ho gayaa huu.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaa
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
dil ik kuTiyaa dasht kinaarebastii kaa saa haal nahii.n haimukhiyaa piir prohit payaadein sab kaa janjaal nahii.n hainaa baniye na seTh na Thaakurpai.nTh nahii.n chaupaal nahii.n haisonaa ruupaa chaukii masnadye bhii maal-manaal nahii.n hailekin ye jogii dil vaalaaai gorii ka.ngaal nahii.n haichaaho jo chaahat kaa KHazaanaatum aanaa aur tanhaa aanaa
mere school mirii yaado.n ke paikar sun lemai.n tire vaaste rotaa huu.n baraabar sun letere ustaado.n ne mehnat se pa.Dhaayaa hai mujheterii bencho.n ne hii insaan banaayaa hai mujhenaa-taraashiida saa hiiraa thaa taraashaa tuu nezehn-e-taariik ko baKHshaa hai ujaalaa tuu neilm kii jhiil kaa tairaak banaayaa hai mujheKHauf ko chhiin ke bebaak banaayaa hai mujhetujh se shafqat bhii milii tujh se mohabbat bhii miliidaulat-e-ilm milii mujh ko sharaafat bhii miliishafqate.n aisii milii hai.n mujhe ustaado.n kiiparvarish kartaa ho jaise ko.ii shahzaado.n kiiterii chaahat me.n mai.n is darja bhii kho jaataa thaaterii bencho.n pe hii kuchh der ko so jaataa thaa
KHuluus ke aise diye jalaa.e.nbujhaa sake na jin ko muKHaalif havaa.e.nsadaa guu.nje mandir kii ghanTiyaa.nbaraabar azaane.n bhii aa.e.nsaarii nafrate.n bah jaa.e.ngangaa ghaaT par agar man bhii nahlaa.e.nnafrat kuduurat se dil saaf ho tohaatho.n ke saath dil bhii milaa.e.ngavaah banaa ke gangaa kii lahro.n kosachchii chaahat kaa vaa'da kare.naur phir vo vaa'de nibhaa.e.njustujuu hai ab mohabbat kii ulfat kii sab kodil kii baate.n sab ko bataa.e.n
tum mirii zindagii me.n aa.ii homeraa ik paa.nv jab rikaab me.n haidil kii dha.Dkan hai Duubne ke qariibsaa.ns har lahza pech-o-taab me.n haiTuuTte be-KHarosh taaro.n kiiaaKHirii kapkapii raubaab me.n haiko.ii manzil na jaada-e-manzilraasta gum kisii saraab me.n haitum ko chaahaa kiyaa KHayaalo.n me.ntum ko paayaa bhii jaise KHvaab me.n haitum mirii zindagii me.n aa.ii homeraa ik paa.nv jab rikaab me.n hai
jis kii aavaaz kaano.n me.n sub.h sub.h chi.Diyo.n kii tarah chahaktii thiijis kii maujuudgii se fazaa.o.n me.n KHushbuu sii mahaktii thiivo merii pahlii mohabbat thiijis kii aa.nkhe.n dekh muta.assir ho jaate the hirannaqaab se jis kaa chehra aise jhalaktaa thaa jaise suuraj kii pahlii kiranjis kaa muskuraanaa thaa ki jaise vaadiyo.n me.n sahar kaa aanaakisii phuul kii tarah jis pe titliyaa.n ma.nDraayaa kartii thii.nvo chaa.nd se aa.ii thii shaayad raat me.n sitaaro.n se baate.n kiyaa kartii thiijo din kaa pahlaa paiGaam bhii thii aur raat kaa aaKHirii salaam bhiisub.h-baa-KHair se le kar shab-ba-KHair tak jo meraa takiya-kalaam thiivo merii pahlii mohabbat thiiKHaamoshii me.n chhupaa.e jazbaat jo samajh letii thiibin zaahir kiye tamaam ehsaasaat jo parakh letii thiimere liye jo har kahaanii har ek qisse me.n thiihar ek shaa.irii har ek Gazal ke hisse me.n thiijo har nazm me.n thii aur har mausiiqii me.n bhiidildaar bhii thii jo aur duniyaa-daar bhiishaan-o-shaukat kii is duniyaa me.n mujh Gariib kii chaahat kii talabgaar thiivo merii pahlii mohabbat thiijo maazii thii magar meraa mustaqbil na ban paa.iimere saath har haal me.n raazii thii magar zindagii me.n shaamil na ho paa.iipyaar kii raah me.n jo merii ham-safar thiijis ke jaane ke baad merii zindagii sifar thiikuchh rishte KHuun ke hote hai.n aur kuchh dil kemagar ruuh kaa rishta sirf jis shaKHs se thaavo merii pahlii mohabbat thiimere taKHayyul me.n jo ik tasviir ban ke rah ga.iijo dil me.n mere bas ke taqdiir me.n kisii aur kii ho ga.iijo hamraaz bhii thii aur merii zindagii kaa sab se ba.Daa raaz bhiijis ke jaane ke muddato.n baad bhii us ke vaapas aane kii ek aas thiivo merii pahlii mohabbat thiivo merii pahlii mohabbat thii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books