aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "dushmano.n"
agar mai.n samjhuu.nke ye jo mohre hai.nsirf lak.Dii ke hai.n khilauneto jiitnaa kyaa hai haarnaa kyaana ye zaruuriina vo aham haiagar KHushii hai na jiitne kiina haarne kaa hii ko.ii Gam haito khel kyaa haimai.n sochtaa huu.njo khelnaa haito apne dil me.n yaqiin kar luu.nye mohre sach-much ke baadshaah o vaziirsach-much ke hai.n payaadeaur in ke aage haidushmano.n kii vo faujrakhtii hai jo ki mujh ko tabaah karne kesaare mansuubesab iraademagar aisaa jo maan bhii luu.nto sochtaa huu.nye khel kab haiye ja.ng hai jis ko jiitnaa haiye ja.ng hai jis me.n sab hai jaa.ezko.ii ye kahtaa hai jaise mujh seye ja.ng bhii haiye khel bhii haiye ja.ng hai par khilaa.Diyo.n kiiye khel hai ja.ng kii tarah kaamai.n sochtaa huu.njo khel haiis me.n is tarah kaa usuul kyuu.n haiki ko.ii mohara rahe ki jaa.emagar jo hai baadshaahus par kabhii ko.ii aa.nch bhii na aa.evaziir hii ko hai bas ijaazatki jis taraf bhii vo chaahe jaa.e
hijaab-e-fitna-parvar ab uThaa letii to achchhaa thaaKHud apne husn ko pardaa banaa letii to achchhaa thaatirii niichii nazar KHud terii ismat kii muhaafiz haituu is nashtar kii tezii aazmaa letii to achchhaa thaatirii chiin-e-jabii.n KHud ik sazaa qaanuun-e-fitrat me.nisii shamshiir se kaar-e-sazaa letii to achchhaa thaaye teraa zard ruKH ye KHushk lab ye vahm ye vahshattuu apne sar se ye baadal haTaa letii to achchhaa thaadil-e-majruuh ko majruuh-tar karne se kyaa haasiltuu aa.nsuu po.nchh kar ab muskuraa letii to achchhaa thaatire zer-e-nagii.n ghar ho mahal ho qasr ho kuchh homai.n ye kahtaa huu.n tuu arz-o-samaa letii to achchhaa thaaagar KHalvat me.n tuu ne sar uThaayaa bhii to kyaa haasilbharii mahfil me.n aa kar sar jhukaa letii to achchhaa thaatire maathe kaa Tiikaa mard kii qismat kaa taaraa haiagar tuu saaz-e-bedaarii uThaa letii to achchhaa thaaayaa.n hai.n dushmano.n ke KHanjaro.n par KHuun ke dhabbeunhe.n tuu ra.ng-e-aariz se milaa letii to achchhaa thaasanaane.n khii.nch lii hai.n sar-phire baaGii javaano.n netuu saamaan-e-jaraahat ab uThaa letii to achchhaa thaatire maathe pe ye aa.nchal bahut hii KHuub hai lekintuu is aa.nchal se ik parcham banaa letii to achchhaa thaa
saik.Do.n hasan naasirhai.n shikaar nafrat kesub.h-o-shaam luTte hai.nqaafile mohabbat kejab se kaale baaGo.n neaadmii ko gheraa haimish.ale.n karo raushanduur tak a.ndheraa haimere des kii dhartiipyaar ko tarastii haipattharo.n kii baarish hiiis pe kyuu.n barastii haimulk ko bachaa.o bhiimulk ke nigahbaanodas karo.D insaano!bolne pe paabandiisochne pe ta.aziire.npaa.nv me.n Gulaamii kiiaaj bhii hai.n zanjiire.naaj harf-e-aaKHir haibaat chand logo.n kiidin hai chand logo.n kaaraat chand logo.n kiiuTh ke dard-mando.n kesub.h-o-shaam badlo bhiijis me.n tum nahii.n shaamilvo nizaam badlo bhiidosto.n ko pahchaanodushmano.n ko pahchaanodas karo.D insaano!
huzuur aap aur nisf shab mire makaan parhuzuur kii tamaam-tar balaa.e.n merii jaan parhuzuur KHairiyat to hai huzuur kyuu.n KHamosh hai.nhuzuur boliye ki vasvase vabaal-e-hosh hai.nhuzuur ho.nT is tarah se kapkapaa rahe hai.n kyuu.nhuzuur aap har qadam pe la.D-kh.Daa rahe hai.n kyuu.nhuzuur aap kii nazar me.n nii.nd kaa KHumaar haihuzuur shaayad aaj dushmano.n ko kuchh buKHaar haihuzuur muskuraa rahe hai.n merii baat baat parhuzuur ko na jaane kyaa gumaa.n hai merii zaat parhuzuur mu.nh se ba rahii hai piik saaf kiijiyehuzuur aap to nashe me.n hai.n mu.aaf kiijiyehuzuur kyaa kahaa mai.n aap ko bahut aziiz huu.nhuzuur kaa karam hai varna mai.n bhii ko.ii chiiz huu.nhuzuur chho.Diye hame.n hazaar aur rog hai.nhuzuur jaa.iye ki ham bahut Gariib log hai.n
ye apne naGmaat-e-pur-asar se dilo.n ko bedaar kar chukii haiye apne na.aro.n kii fauj se dushmano.n pe yalGaar kar chukii haisitamgaro.n kii sitamgarii par hazaar-haa vaar kar chukii hai
tum ye kahte ho vo ja.ng ho bhii chukii!jis me.n rakkhaa nahii.n hai kisii ne qadamko.ii utraa na maidaa.n me.n dushman na hamko.ii saf ban na paa.ii, na ko.ii alammuntashir dosto.n ko sadaa de sakaaajnabii dushmano.n kaa pataa de sakaatum ye kahte ho vo ja.ng ho bhii chukii!jis me.n rakkhaa nahii.n ham ne ab tak qadamtum ye kahte ho ab ko.ii chaaraa nahii.njism KHasta hai, haatho.n me.n yaaraa nahii.n
kaash ik ''diivaar-e-ra.ng''mere un ke darmiyaa.n haa.el na ho!ye siyah-paikar barahna raah-rauye gharo.n me.n KHuub-suurat aurato.n kaa zahr-e-KHandye guzargaaho.n pe dev-aasaa javaa.njin kii aa.nkho.n me.n gurisna aarzu.o.n kii lapakmushta.il be-baak mazduuro.n kaa sailaab-e-aziim!arz-e-mashriq, ek mub.ham KHauf se larzaa.n huu.n mai.naaj ham ko jin tamannaa.o.n kii hurmat ke sababdushmano.n kaa saamnaa maGrib ke maidaano.n me.n haiun kaa mashriq me.n nishaa.n tak bhii nahii.n!
kabhii kabhii dil ye sochtaa haina jaane ham be-yaqiin logo.n ko naam-e-haidar se rabt kyuu.n haihakiim jaane vo kaisii hikmat se aashnaa thaashajii.a jaane ki badar o KHaibar kii fat.h-mandii kaa raaz kyaa thaaaliim jaane vo ilm ke kaun se safiino.n kaa naa-KHudaa thaamujhe to bas sirf ye KHabar haivo mere maulaa kii KHushbu.o.n me.n rachaa-basaa thaavo un ke daamaan-e-aatifat me.n palaa ba.Dhaa thaaaur us ke din raat mere aaqaa ke chashm o abro o jumbish-e-lab ke muntazir thevo raat ko dushmano.n ke narGe me.n so rahaa thaa to un kii KHaatirjidaal me.n sar se paa.nv tak surKH ho rahaa thaa to un kii KHaatirso us ko mahbuub jaantaa huu.nso us ko maqsuud maantaa huu.nsa.aadate.n us ke naam se hai.nmohabbate.n us ke naam se hai.nmohabbato.n ke sabhii gharaano.n kii nisbate.n us ke naam se hai.n
shiddat-e-dard-o-alam se jab bhii ghabraataa huu.n mai.ntere naGmo.n kii ghanii chhaa.nv me.n aa jaataa huu.n mai.nzindagii kaa aa.ina ye hai tire fan kaa kamaalhai udhar hadd-e-falak tak terii parvaaz-e-KHayaalchal gayaa saare dilo.n par teraa sehr-e-saamriijaavedaa.n ai amritaa-piriitam hai terii shaa.iriishiddat-e-ehsaas ho to KHud sa.nvar jaataa hai fanraushnii hotii hai kul duniyaa me.n jab jaltaa hai mansar-phire kuchh ahl-e-fan maare hu.e taqdiir keyuu.nhii be-samjhii me.n hai.n dushman tirii tahriir kedushmano.n ke vaar se Dartii na ghabraatii hai tuulog patthar phe.nkte hai.n phuul barsaatii hai tuutere fan ke mo'tarif ho.nge vo vaqt aane ko haiphuul tere fan kaa har gulshan ko mahkaane ko hai
kabhii mai.n zindagii kii naaz-bardaarii na kar paayaahamesha biich me.n haa.il rahaa ik KHvaabpaagal KHvaabsote jaagte jo dekhtaa huu.n mai.nki sar hii sar janaaze me.n hai.n mereaur mai.n baano.n kii na.ii ik chaarpaa.ii par sukuu.n ke saath leTaa ha.ns rahaa huu.nik aisii bhii.D parjo mujh ko kaa.ndhaa dene ke liye aapas me.n jhag.Daa kar rahii haimujhe ye zindagii pairo.n-tale jitnaa kuchaltii haimirii is KHvaab se vaabastagii ba.Dhtii hii jaatii haimire jaise kisii gumnaam se ik shaKHs kii aa.nkho.n neaisaa KHvaab kyuu.n dekhaakahaa.n dekhaaye KHud mere liye bhii ik pahelii haimagar ha.nsiye nahii.n is KHvaab par meremiraa ye KHvaab hii to vo ka.Dii haijo mujh ko zindagii se jo.Dtii haina jaane kab se vo fahrist mai.n tayyaar karne lagaa huu.nlikhe hai.n naam jis me.n aise logo.n kejanaaze me.n jinhe.n honaa hii honaa chaahiye mereso un logo.n se rishte bhiibahut hamvaar honaa chaahiye meremai.n ye bhii jaantaa huu.nmujhe jis shaan se marne kii KHvaahish haivo mehnat maa.ngtii haikisii had tak bhii jhuk kar dushmano.n sesulh kar lene kii himmat maa.ngtii haimohabbat maa.ngtii haidu.aa.e.n maa.ngtaa huu.n zindagii kii is liye mai.nki mujh ko vo tho.Daa vaqt mil jaa.ena.e rishte banaane kaata.alluq gahre karne kaavagarna kyuu.n bhalaa aa.egaa ko.iimaut ke din ghar pe meresanak kah lo ki paagal-panidhar aa kar mirii ye dhun yahaa.n tak ba.Dh ga.ii haiki ab mai.n dosto.n seKHushii kii mahfilo.n me.n bhii ye aksar puuchh letaa huu.njanaaze me.n to aa.oge na mere?yahaa.n chaaho to ha.ns sakte ho mujh parmagar laashe pe to aa.nsuu bahaa.oge na mere?vo ha.ns dete hai.n merii baat paraur mai.n kahii.n andar se jaise TuuT jaataa huu.nmagar jab bhii kabhii aisaa hu.aa haijanaaze ne mujhe kaa.ndhaa diyaa haimujhe jab bhii lagaa aisaa ki mai.n ab thak rahaa huu.ngir rahaa huu.nmire is KHvaab nemire apne janaaze ne mujhe kaa.ndhaa diyaa hai
phailtii hai shaam dekho Duubtaa hai din ajabaasmaa.n par rang dekho ho gayaa kaisaa Gazabkhet hai.n aur in me.n ik ruu-posh se dushman kaa shaksarsaraahaT saa.np kii gandum kii vahshii gar mahakik taraf diivaar-o-dar aur jaltii-bujhtii batiyaa.nik taraf sar par kha.Daa ye maut jaisaa aasmaa.n
mire dayaar kahaa.n the tire tamaashaa.iiki diidanii thaa miraa jashn-e-aabla-paa.iikuchh aise dost mile shahr-e-Gair me.n ki mujheka.ii farishta-nafas dushmano.n kii yaad aa.iimai.n sochtaa huu.n ki kam ho.nge aise diivaanena ko.ii qadr ho jin kii na ko.ii rusvaa.iimujhe bujhaa na sakii yaKH-zada havaa-e-shumaalmujhe Dubo na sakii qulzumo.n kii gahraa.iina jaane kaisaa kurah thaa miraa vajuud ki rosemire qariib zamii.n ghuumtii hu.ii aa.ii
ko.ii dosto.n ko dil me.n samajhtaa hai apne Gairko.ii dushmano.n se dil kaa nikaale hai apnaa bairkahtaa hai vaa.n 'naziir' bhii aatish kii dekh sairyaarab to sab kii kiijiyo barsaa-baras kii KHairbe-tarah kar rahii hai numuudaarii shab-baraat
tumhe.n KHabar hai kahaa thaa tum nemai.n lafz sochuu.n mai.n lafz boluu.n mai.n lafz likkhuu.nmai.n lafz likhne pe zindagii ke aziiz lamho.n ko nazr kar duu.nmai.n lafz likkhuu.naur un kii aa.nkho.n me.n munjamid ratjago.n ko apne lahuu kii taaza haraarate.n de kejagmagaa duu.nto mai.n ba.Daa huu.ntumhe.n KHabar haimirii rago.n me.n ba.De qabiile ke shaahzaade kaa KHuun zinda ravaa.n-davaa.n haijise mohabbat ke dushmano.n be-zamiir logo.n nepyaar karne ke jurm me.n qatl kar diyaa thaayahii nahii.n balki KHud ko munsif banaa liyaa thaakisii ne bhii KHuu.n-bahaa na maa.ngaaki shahr-e-mehnat ke sab buzurgo.n ne darguzar kaa sabaq diyaa thaamagar vo mai.n thaa ki lafz likkhetumhe.n KHabar haiki merii buu.Dhii aziim maa.n ne javaan beTo.n ko haadso.n kesupurd kar ke du.aa.e.n maa.ngii.nKHudaa-e-bartar mire lahuu ko amar banaa dedu.aa.e.n maa.nge.n to un ke chehre pe guzre mausam ke saare dukhsilvaTo.n kii suurat ubhar ga.e hai.nmagar vo mafluuj ho ga.ii haiyaqiin jaano ki mai.n ne aise azaab lamho.n me.n lafz likkhetumhe.n KHabar haiba.Dii havelii ke rahne vaale tamaam logo.n ko chho.D kar mai.n ne lafz likkhetumhe.n KHabar haimai.n lahlahaate hasiin kheto.n ko chho.D shahr kii be-amaa.nfasiilo.n me.n aagyaa huu.naur apne saa.e kii khoj me.n huu.nkahii.n mile to mai.n lafz likkhuu.nnahii.n mile to mai.n lafz likkhuu.ntumhe.n KHabar hai kahaa thaa tum neki vaqt munsif haiaur vo faisla karegaa
zamiin-e-vietnammai.n bhii ik sar-zamii.n kaa baasii huu.njo abhii tak mirii haikal kaa pata nahii.n hai ki mere paa.nv mirii zamiin par phisal rahe hai.nko.ii ba.De zor-daar haatho.n seduur baiThaazamiin kaa palluu paka.D ke apnii taraf use khii.nchtaa hii jaataa haimai.n khi.nchaa jaa rahaa huu palluu sametThahruu.n to mere paa.nv phisal rahe hai.nmai.n duusrii samt mu.nh agar kar ke bhaag nikluu.nzamiin khi.nch jaa.e paa.nv se to KHalaa me.n girne kaa Dar hai mujh kozamiin-vietnamis se pahle ki mere pairo.n tale se merii zamiin khi.nch jaa.eaaj tujh se muqaabla apnaa kar rahaa huu.nki mujh me.n tujh me.n jo mushtarak qadar hai vo ja.ngii sa.uubate.n hai.nmiraa bhii dushman vahii hai jo tujh se la.D rahaa haitirii zamiin par bhii ja.ng jaariimirii zamii.n par bhii ja.ng jaariiagar ko.ii farq hai to ye hai ki apne dushman ke saamne tuu bahaadurii se Dataa hu.aa haimai.n jhuk gayaa huu.nyahaa.n zaraa muKHtalif hai suuratki meraa dushman Dataa hu.aa haimai.n sar bhii apnaa jhukaa chukaa huu.nmai.n us kii minnat bhii kar chukaa huu.nmagar vo be-rahm maare hii jaa rahaa haikisii tarah maantaa nahii.n haibas apnii manvaa.e jaa rahaa haizamiin-vietnamtuu ne itne baras ga.nvaa.ekaro.Do.n afraad apne marvaa.etuu ne minnat hii kii na saudaa kiyaa na faujo.n kaa sar jhukaayaaajab ki tuu ne rago.n me.n KHuun kii bajaa.e baaruud bhar liyaa haituu baavlii haiye dekh baarah karo.D ke chand maaliko.n kaa bhii kaar-naamaunhe.n bhii ik ja.ng aa pa.Dii thiiunho.n ne sola dino.n me.n vo kar diyaa jo sadiyo.n me.n bhii na hotaajhukaa diye apne laakh faujiimiTaa diye apne laakh faujiimiTaa diye apne nisf jhag.DekaTaa diyaa apnaa nisf naqshajo nisf baaqii thaa aur sola dino.n kaa jhag.Daa thaa gar ye rahtaakyuu.n na hotaaki har ba.Dii qaum kaam aise kiyaa hii kartii hai jo ki taariiKH ke liye baab kholte hai.nye kaar-naamaye sirf taariiKH kaa nahii.n haiye kaar-naama to hai juGraafiya bhii jis ne badal diyaa haibahut ba.Dii qaum kaa ye kartab haiqaum su.ii banaanaa apne liye jo tuu jaantii nahii.n haiye qaum baaruud jis kii KHaatir ba.De mamaalik banaa rahe hai.nbahut ba.Dii qaum hai bahut hiijahaaz ke kaar-KHaane bairuun-e-mulk jis ke bane hu.e hai.nvo jis kii KHaatir ki buke impala ford order pe ban rahii haimashiin engine milo.n kaa saamaan kaar-KHaane ke saare auzaarradio telephone television tracktor machine-gun topGaraz ek ek shai us kii us ke kamii KHud apne mulko.n me.n us kii KHaatir banaa rahe hai.nbahut ba.Dii qaum hai ki us ke ba.De gharo.n me.n to sar kaa shave bhiitan ke kap.De bhii aur juute bhii us ke baahar se aa rahe hai.nzamiin-vietnamterii maa.e.n to apne bachche ke qad ko dekhtii hai.n ki us kii lambaa.ii car se to ba.Dii nahii.n haizamiin-vietnambeTiyaa.n terii apne shaano.n pe apne shero.n kaa bojh le kar paa.nv kii suurat hai.n iistaadamagar yahaa.n beTiyaa.n nahii.n hai.nyahaa.n to tohfe hai.njo ki baahar se aa.e saudaagaro.n kii KHaatir tavaazo.a karne ke vaaste kar rahe hai.nzamiin-vietnamtere beTe to tere vaaris tire muhaafiz hai.nfauj vo ban rahe hai.n terii ki tujh pe jaane.n nisaar kar de.nzamiin-vietnamtere beTe to tere vaaris tire muhaafiz hai.nfauj vo ban rahe hai.n terii ki tujh pe jaane.n nisaar kar de.nyahaa.n pe beTii nahii.n to beTe bhii is zamii.n ne nahii.n jane hai.nyahaa.n to tanKHvaah kii zaruurat hai fauj me.n ho ki mauj me.n hozamiin-vietnamteraa aadam kahaa.n se aayaa thaabeTiyaa.n terii kaun sii be-misaal havvaa kii beTiyaa.n hai.nzamiin-e-vietnam terii miTTii kahaa.n kii hai jo kitere dushman ne chaa.nd tasKHiir kar liyaa par na tujh ko jiitaatiraa KHudaa kaun saa KHudaa haimire KHudaa kaa salaam us komagar mire vietnam jo farq tujh me.n mujh me.n hai aur tho.Daa saa duur kar duu.ntirii la.Daa.ii to sirf dushman se hai ki jo tere saamne haimirii la.Daa.ii hai dushmano.n se jo saamne ho ke bhii mire saamne nahii.n hai.nmai.n dushmano.n se bhii la.D rahaa huu.nme.n dosto.n se bhii la.D rahaa huu.n jo dostii kaa libaas pahnemirii la.Daa.ii a.Dosiyo.n se pa.Dosiyo.n semirii la.Daa.ii hai apne ghar me.nmirii la.Daa.ii samundaro.n ke udhar bhii qaa.emmirii la.Daa.ii hai jism se bhiimirii la.Daa.ii hai zehn se bhiimirii la.Daa.ii to saamraajii nizaam se haijahaa.n jahaa.n saamraaj hai mai.n vahaa.n vahaa.n par Dataa hu.aa huu.nmai.n apnii Gurbat se apnii mazluumiyat se aagaah ho chukaa huu.nmirii ye Gurbat ye merii mazluumiyat hii quvvat haivo sipaahii nahii.n hai meraa jo apne helmate ke bojh se sar jhukaa chukaa haijo sirf tanKHvaah ke liye meraa sher jarnail ban gayaa haimeraa ye qallaash meraa be-kaar meraa mazduur vo sipaahii haijo mirii fauj ban rahaa haizamiin ke palluu ko apnii is taaza fauj kii be-panaah quvvat se thaam karab mai.n apnii jaanib ghasiiT luu.ngaaghasiiT luu.ngaa mai.n un ko bhii vo jo duusrii samt apne aahan ke haath le karmirii zamiin apnii samt laalach se khii.nchte hai.nzamiin-e-vietnam gar tirii sar-zamii.n pe baaruud kii tahe.n bichh ga.ii hai.n to us zamii.nke kheto.n me.n bhii faqat goliyaa.n uge.ngiiyahaa.n bhii pe.Do.n ko ab phalo.n kii bajaa.e bam hii lage.ngeis sar-zamii.n pe bhii aag hii ke dariyaa bahe.ngejin mai.n ki ko.ii kaaGaz kii naav vo saamraaj kii ho ki merii apniina chal sakegiizamiin-e-vietnam mai.n bhii ik sar-zamii.n kaa baasii huu.nis zamii.n kaa salaam tujh ko
terii KHaak kii qasamham tujhe bachaa.e.ngedushmano.n kii fauj parbijliyaa.n giraa.e.ngenaujavaan nasl kiihimmato.n pe rakh yaqii.nai vatan kii sarzamii.n
aa lagii hai ret diivaaro.n ke saathsaare darvaazo.n ke saathsurKH ii.nTo.n kii chhato.n par re.ngtii hainiilii niilii khi.Dkiyo.n se jhaa.nktii hairetret ruk jaakhel tai kar le.nsunahre taash ke patto.n se darzo.nrauzano.n ko band kar le.n retruk jaasust barsaate.n ki jin par dau.D pa.Dnaajin ko daa.nto.n me.n chabaa lenaako.ii mushkil na thaatuu ne vo saarii nigal Daalii hai.n raatraat ham ha.nste rahe ai rettuu diivaanii billii thii jo apnii dum ke piichheghuumtii jaatii thiius ko chaaTtii jaatii thii raatret kii ik umr hai ik vaqt hailekin hame.nKHud se judaa kartii chalii jaatii hai retnaa-gahaa.n ham sab pe chhaa jaane kii KHaatirye hamaarii maut ban kar taaza kar detii haiyaade.n duur kii yaa der kiiret ko muTThii me.n le kar dekhte hai.napne poro.n se use chhante hu.eham dekhte hai.napne paa.nv me.n phisalte dekhte hai.nret par chalte hu.eapne gesuu se aT jaate hai.nbhar jaate hai.n pairaahanhamaare baatino.n ko chiirtii jaatii hai retphailtii jaatii hai jism-o-jaa.n ke har-suuham pe gheraa Daaltii jaatii hairetret ik musbat nafii thiiret sarhad thii kabhiiret aarif kii aziyyat kaa badal thiiaa.nsu.o.n kii Gam kii pahnaa.ii thii retapnii juu.yaa.ii thii retret me.n har-kas the hamduusraa ko.ii na thaaret vo duniyaa thii jis par dushmano.n kiimohr lag saktii na thiius ko apnaa tak ko.ii saktaa na thaaret par ham sun rahe hai.n aajpiiraana-sarii kii apnii tanhaa.iikii chaapdin ke saahil par utar karaane vaalii raat ke tuude lagaatiijaa rahii hainaa-gahaa.n kii be-nihaayat ko u.Daa laa.ii hairetdil ke suune-pan me.n dar aa.ii hairetret
ahinsaa kii shamshiir chamkii isii dinGulaamii kii zanjiir TuuTii isii dingulistaa.n kii taqdiir badlii isii dinuTho aaj KHushiyo.n ke ham giit gaa.e.nchalo apnii dhartii ko dulhan banaa.e.nkhule kaise kaise bharam dushmano.n kerahe phir na baaqii sitam dushmano.n kemiTe is zamii.n se qadam dushmano.n keuTho aaj KHushiyo.n ke ham giit gaa.e.nchalo apnii dhartii ko dulhan banaa.e.nisii din kii KHaatir ba.De Gam uThaa.ezamii.n aasmaa.n ke qulaabe milaa.ezaraa bhii na apne qadam Dagmagaa.euTho aaj KHushiyo.n ke ham giit gaa.e.nchalo apnii dhartii ko dulhan banaa.e.nye vo din hai ham jis kii barakat ko samjhe.nyahii din hai vo jis kii qiimat ko samjhe.nyahii din hai vo jis kii azmat ko samjhe.nuTho aaj KHushiyo.n ke ham giit gaa.e.nchalo apnii dhartii ko dulhan banaa.e.ntira.nge ko ham aur uu.nchaa uThaa de.ncharaaGo.n se har baam-o-dar ko sajaa de.nzamaane ko ye sarKHushii bhii dikhaa de.nuTho aaj KHushiyo.n ke ham giit gaa.e.nchalo apnii dhartii ko dulhan banaa.e.n
ye sochtaa huu.n joKHudaa kabhii diidaar baKHshegaaaur apne fazl se degaa ijaazat maa.ngne kii kuchhto na dastaar-o-qabaa na jibh-o-KHirqana daulat na mahal na sar pe taaj maa.nguu.ngaana ohda-o-mansab na ko.ii jaah-o-jalaalna ilm-o-aagahii na masnad na eqtidaar maa.nguu.ngaafaraavaanii Gam se najaat na faariG-ul-baaliina sehat na shifaa na achchhii maut maa.nguu.ngaana takmiil-e-aarzuu kii du.aa na nafs-e-mutma.inna kiina umr-e-KHizr na shohrat na KHvaab kii ta.abiir maa.nguu.ngaana dushmano.n ke zarar se na shar se dosto.n kena kibr-sinii na zo.af na laachaarii se panaah maa.nguu.ngaana duniyaa jahaan kii KHushiyaa.n na shaan-o-shaukat hiina KHush-nasiibii na dil kaa chain na sukuun-e-ruuh maa.nguu.ngaana KHush-gavaar raate.n na tuul-e-shabaab na nii.nd na aaGosh-e-mahbuubna saamaan-e-aish-o-tarab na huur-o-qusuur maa.nguu.ngaana rusvaa.ii se bachne kii na izzat aabruu kii KHvaahish haina shohrat-o-maqbuuliyat na achchhii image maa.nguu.ngaana qarz ke bojh na KHauf na dahshat sena kisii ke jabr se na zulm se hifaazat kii du.aa maa.nguu.ngaaab aap sochte ho.ngeki ye baavlaa ye diivaana ye paagal shaKHsna jaane aaKHir KHudaa se kyaa maa.ngegaaso mire hamdam mire dosto mire yaarozaraa qariib aa.o aa.o bataa.uu.n raaz tumhe.n dukhii dil kaamai.n KHudaa-e-qaadir-e-mutlaq rahiim-o-akram sejunuun-e-mazhabii ke KHaatme aur amn kii fazaa maa.nguu.ngaa
KHayaalaat me.n saKHt hai intishaartaKHayyul pareshaa.n qalam be-qaraarjahaa.n KHuun-aaluuda-o-KHuu.n-ra.ng haivatan par pa.Daa saaya-e-ra.ng haigul-o-laala hai.n musta.id be-takaa.nrafiiqo.n ne rakkhii hathelii pe jaa.nhar ik lab pe hai bas yahii ik suKHanhasiin aur dilkash hai arz-e-vatanKHuluus aaj paamaal hai aur tabaahusuul aaj daryuuza-KHvaah-e-panaahgiraftaar-e-aazaar duniyaa hai aajmohabbat pariishaan-o-rusvaa hai aajusuul-e-mohabbat ke ham tarjumaa.nKHuluus-o-mohabbat ke ham paasbaa.ndivaano.n ko mutlaq nahii.n hai qaraarsadaaqat se betaab dil paa.edaarhar ik lab pe hai bas yahii ik suKHanhasiin aur dilkash hai arz-e-vatanvatan hai ye naanak kaa farmaa.n-paziirthaa gautam isii kaarvaa.n kaa amiirmohabbat ne rutba diyaa hai bulandmohabbat ne sab ko kiyaa arjumandhai Gairat kaa tuufaan chhaayaa hu.aahai bachcho.n me.n bhii josh aayaa hu.aairaade hai.n sab ke bahut ustuvaarGayuur aur bedaar hai.n jaa.n-nisaarhar ik lab pe hai bas yahii ik suKHanhasiin aur dilkash hai arz-e-vatanna dii dushmano.n ko kabhii is ne raahhimaala hai rif.at se aalam-panaahhimaala kii dilchasp hai daastaa.nye azmat nishaa.n sab kaa hai paasbaa.nzamaane pe ye baat hai aashkaaramaa us kii hai duKHtar-e-naam-daarhimaala kii azmat kii ham ko qasamhimaala kii rif.at kii ham ko qasamhifaazat himaala kii ab farz haihimaala kaa ham par ba.Daa qarz haiye kahte hai.n sab mil ke KHurd-o-kalaa.nki Gairat kaa is vaqt hai imtihaa.nhu.aa ruu-e-sha.nkar hai Gusse se laaldikhaa.egaa ab raqs taanDau jalaaliraade hai.n sab ke bahut ustuvaarGayuur aur bedaar sab jaa.n-nisaarhar ik lab pe hai bas yahii ik suKHanhasiin aur dilkash hai arz-e-vatanmuhaafiz hai.n ham amn ke laa-kalaamzamaane ko dete hai.n budh kaa payaamsabaa apne gulshan se jaatii hai jabmiTaatii hai duniyaa ke ra.nj-o-ta.abrasiilii hai sub.h aur rasiilii hai shaamnihaa.n in me.n hai zindagii kaa payaamrivaayat kaa mahfuuz kar ke vaqaarhame.n luuTnaa hai KHushii kii bahaarzaraa dekhiyegaa rafiiqo.n kii aanhai rakkhii jinho.n ne hathelii pe jaanhar ik lab pe hai bas yahii ik suKHanhasiin aur dilkash hai arz-e-vatanhai izzat kaa jur.at kaa ab imtihaa.nkahii.n jhuk na jaa.e vatan kaa nishaa.nfarebo.n se ko.ii panaptaa nahii.nkabhii jhuuT kaa meva paktaa nahii.nsadaaqat kaa hai bol-baalaa sadaanahii.n kaam aate daroG iftiraafazaa hai chaman kii hame.n saazgaarhai paabanda-tar is zamii.n kii bahaarhar ik lab pe hai bas yahii.n ik suKHanhasiin aur dilkash hai arz-e-vatanhayaa aur muravvat hai jo pur rahe.nhu.ii hai.n vo aa.nkhe.n bahut KHashmagii.nba.Dhe hai.n vatan kii taraf bad-qimaashkaleja zamii.n kaa hu.aa paash paashpahaa.Do.n pe hai barf Gusse se laalfazaa.e.n hu.ii.n garm aatish misaalhai.n jehlam me.n aane ko tuGyaaniyaa.nhar ik mauj par hai Gazab kaa samaa.nmohabbat kii duniyaa ko dil me.n liyebahaar-e-javaanii se paimaa.n kiyevatan kii hifaazat ko tayyaar hai.nmohabbat ke baada se sarshaar hai.nhifaazat hai farz apne armaan kiihame.n aaj parvaa nahii.n jaan kiihar ik lab pe hai bas yahii ik suKHanhasiin aur dilkash hai arz-e-vatan2aa.o ba.Dho maidaan me.n shero.n dushman par yalGaar kare.nqabr bane maidaan me.n us kii aisaa us par vaar kare.nza.ng na lagne paa.e apne bhaarat kii aazaadii koaa.o zer-e-daam kare.n sayyaado.n kii sayyaadii kolauh-e-dil par naqsh karo har haal me.n zinda rahnaa haimulk kii KHidmat ke raste me.n jo dukh aa.e sahnaa haiye sailaab-e-surKH nahii.n hai zulm-o-sitam kii aa.ndhii haiis sailaab ko roke.nge ham himmat ham ne baa.ndhii haishero.n kii aulaad ho tum in viiro.n kii santaan ho tummard-e-mujaahid mard-e-jarii ho yodhdhaa ho balvaan ho tumsaa.nchii maduraa amaritsar ajmer kii azmat tum se haisub.h-e-banaras shaam-e-avadh kii asl-o-haqiiqat tum se haitaaj ajantaa aur elora ke vaahid fankaar ho tumKHush-siirat KHush-suuraat KHush-muurat KHush-kirdaar ho tumbhiilaa.ii chitranjan tum se bhaaka.D ana.ngal tum se haidaamodar kii shaan hai tum se azmat-e-chanbal tum se haitum ne basaa.e shahr niraale jangal tum se ma.ngal hai.ntum ne nikaalii nahre.n itnii sahraa tum se jal-thal hai.ntum ne itnii himmat se dariyaa.o.n ke ruKH mo.D diyetum ne khodii.n sura.nge.n itnii duur ke rishte jo.D diyetum kashmiir kii arz-e-hasii.n ke nazzaaro.n me.n palte hokohsaaro.n ko phaa.ndte ho tum dariyaa.o.n pe chalte hotum mysore me.n virindaa-ban ke baaG sajaane vaale houuTii shimla daarjiling se shahr basaane vaale hotaatya-Tope laxmii-baa.ii Tiipuu kii aulaad ho tumja.ng ke fan me.n qaabil ho tum maahir ho ustaad ho tumhinduu muslim sikh iisaa.ii jainii bodh aur paarsiidahqaa.n taajir aur mulaazim saadhuu-sant aur siyaasiile ke vatan kaa jhanDaa aa.o dushman par yalGaar kare.nqabr bane ran-bhuum me.n us kii aisaa us par vaar kare.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books