aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "taaro"
jibra.iilhamdam-e-dairiina kaisaa hai jahaan-e-ra.ng-o-buuibliissoz-o-saaz o dard o daaG o justujuu o aarzuujibra.iilhar gha.Dii aflaak par rahtii hai terii guftuguukyaa nahii.n mumkin ki teraa chaak daaman ho rafuuibliisaah ai jibriil tuu vaaqif nahii.n is raaz sekar gayaa sarmast mujh ko TuuT kar meraa subuuab yahaa.n merii guzar mumkin nahii.n mumkin nahii.nkis qadar KHaamosh hai ye aalam-e-be-KaaKH-o-kuujis kii naumiidii se ho soz-e-daruun-e-kaa.enaatus ke haq me.n taqnatuu achchhaa hai yaa laa-taqnatuujibra.iilkho diye inkaar se tuu ne maqaamaat-e-bulandchashm-e-yazdaa.n me.n farishto.n kii rahii kyaa aabruuibliishai mirii jur.at se musht-e-KHaak me.n zauq-e-numuumere fitne jaama-e-aql-o-KHirad kaa taar-o-puudekhtaa hai tuu faqat saahil se razm-e-KHair-o-sharkaun tuufaa.n ke tamaa.nche khaa rahaa hai mai.n ki tuuKHizr bhii be-dast-o-paa ilyaas bhii be-dast-o-paamere tuufaa.n yam-ba-yam dariyaa-ba-dariyaa juu-ba-juugar kabhii KHalvat mayassar ho to puuchh allaah seqissa-e-aadam ko ra.ngii.n kar gayaa kis kaa lahuumai.n khaTaktaa huu.n dil-e-yazdaa.n me.n kaa.nTe kii tarahtuu faqat allaah-huu allaah-huu allaah-huu
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
kahte hai.n kabhii gosht na khaataa thaa ma.arriiphal-phuul pe kartaa thaa hamesha guzar-auqaatik dost ne bhuunaa hu.aa tiitar use bhejaashaayad ki vo shaatir isii tarkiib se ho maatye KHvaan-e-tar-o-taaza ma.arrii ne jo dekhaakahne lagaa vo saahib-e-Gufraan-o-luzuumaatai murGak-e-bechaara zaraa ye to bataa tuuteraa vo gunah kyaa thaa ye hai jis kii mukaafaat?afsos-sad-afsos ki shaahii.n na banaa tuudekhe na tirii aa.nkh ne fitrat ke ishaaraat!taqdiir ke qaazii kaa ye fatvaa hai azal sehai jurm-e-za.iifii kii sazaa marg-e-mufaajaat!
bhaarat-maa.n kii aa.nkh ke taaronanhe-munne raaj-dulaarojaise mai.n ne tum ko sa.nvaaraavaise hii tum desh sa.nvaarobhaarat maa.n kii aa.nkh ke taaro
tumhaaraa ye pyaar bharaa jumlamujhe zindagii jiinaa aasaan banaataa haimerii kum.hlaa.ii hu.ii zindagii kotar-o-taazgii sii baKHshtaa haitumhaare pyaar bhare alfaazkaano.n me.n ras gholne lagte hai.naa.nkho.n me.n ik chamak sii aa jaatii haiho.nTo.n pe muskaan chhaa jaatii haitum jab bhii mujh se ye kahte ho kitum sach me.n bahut achchhii homerii be-jaan sii ruuh me.n jaan aa jaatii haimai.n apnaa dukh-dard bhuul jaatii huu.napnii hii zaat ke gumbad me.n qaidchahakne lagtii huu.n mahakne lagtii huu.ntum jab bhii mujh se ye kahte ho kitum sach me.n bahut achchhii hotumhaarii yaad me.n kho.ii kho.ii siitumhaare pyaar kii KHushbuu se mo.attarmai.n lamho.n me.n sadiyaa.n jii letii huu.nhaa.n lamho.n me.n sadiyaa.n jii letii huu.naur phir mai.n sochne lagtii huu.nmujhe aisaa lagtaa hai kigar mai.n bahut achchhii huu.n tomujhe dekhne vaalii vo aa.nkhe.ndar-asl behad dilkash hai.nvo dil jis me.n mai.n bastii huu.nbe-intihaa KHuubsuurat haimujhe jiine kaa hausla dene vaaliitumhaarii pyaar bharii sochsach me.n bahut achchhii haisach to ye hai kimai.n nahii.n tum bahut achchhe hotum sach me.n bahut achchhe hohaa.n tum bahut hii achchhe ho
chamko chamko pyaare taarora.ngo.n aur ummiido.n vaaleaa.nkho.n me.n phir KHvaab utaarochamko chamko pyaare taaroraat bahut hai kaalii kaaliigaliyaa.n hai.n sab KHaalii KHaaliihavaa chale to Dar lagtaa haisuunaa suunaa ghar lagtaa hairaushan saare manzar kar doduniyaa ko KHushiyo.n se bhar dochamko chamko pyaare taarochupke se khi.Dkii me.n aa.oachchhe achchhe giit sunaa.osab se bach kar sab se chhup kebaat kare.nge chupke chupkebaadal se tum duur hii rahnaajo kahnaa ho ham se kahnaachamko chamko pyaare taarora.ngo.n aur ummiido.n vaaleaa.nkho.n me.n phir KHvaab utaarochamko chamko pyaare taaro
miraa dil giro mirii jaa.n girochalaa aa ki hai miraa dar khulaatuu miraa nasiib hai raah-rauye havaa ye barq ye ra.ad-o-abr ye tiirgiirah-e-intizaar kii naarasiimire jaan-o-dil pe hai.n lau butomire mehmaa.n mire raah-rauai gurez-paa tuu saraab-e-dasht KHalaa na banvo navaa na ban jo fareb-e-raah-guzaar hovo fusuun-e-arz-o-samaa na banjise dil-girafto.n se aar hojo tujhe bulaatii hai pai-ba-paivo sadaa jilaajal-e-jaa.n kii haivo sadaa muruur-e-zamaa.n kii haikise us sadaa se faraar homiraa dil giro mirii jaa.n girotirii kun-ma-kun tirii rau-ma-raumujhe baar-e-jaa.nki mai.n harf jis kaa bayaa.n hai tuumai.n vo jism jis kii ravaa.n hai tuutuu kalaam hai mai.n tirii zabaa.ntuu vo sham.a hai ki mai.n jis kii laukisii naqsh-e-kaar kaa ik nafaska.ii suurate.n jo sadaa se tishna-e-ra.ng thii.nhu.ii.n vasl-e-ma.anii se baarvarkisii but-taraash kii ik nigahka.ii sa.ng-e-aziyat-e-yaas-o-margse bach ga.ehu.e samt-e-raah se baa-KHabarchalaa aa ki merii nidaa me.n bhiivahii ruuyat-e-azalii ki haijise yaad Gaayat-e-ra.ng-o-buujise yaad raaz-e-mai-o-subuujise yaad vaada-e-taar-o-puuchalaa aa ki merii nidaa me.n bhiiisii kashf-e-zaat kii aarzuu
faarsii hindii kii aamezish se hai is kaa vajuudyaadgaar-e-ittihaad-e-ahl-e-islaam-o-hanuuddhuup chhaa.n ke rang kii hai vo qabaa-e-hast-o-buudkaar-gaah-e-hind se mansuub jis ke taar-o-puudsuft-o-sa.ngii.n yaa libaas-e-aariyat baariik haijaama-zebii se qad-e-mauzuu.n par is ke Thiik hai
tamaashaa-gah-e-laala-zaarmagar nauha-KHvaanii kii ye sargiraanii kahaa.n tak?ki manzil hai dushvaar Gam se Gam-e-jaavedaa.n tak!vo sab the kushaada-dil o hosh-ma.nd o parastaar-e-rabb-e-kariimvo sab KHair ke raah-daa.n raah-shanaashame.n aaj mohsin-kush o naa-sipaasvo shaahanshahaan-e-aaziimvo pindaar-e-rafta kaa jaah-o-jalaal-e-qadiimhamaarii haziimat ke sab be-bahaa taar-o-puu thefanaa un kii taqdiir ham un kii taqdiir ke nauhagar hai.nusii kii tamannaa me.n phir sogvaartamaashaa-gah-e-laala-zaar!
salaam ai ufuq-e-hind ke hasii.n taarosalaam tum pe sip.har-e-vatan ke mah-paarosalaam tum pe mire bachcho ai mire pyaarobhulaa.e baiThe ho tum mujh ko kis liye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarosuno ki merii tamannaa-o-aarzuu tum hosuno ki maadar-e-bhaarat kii aabruu tum hosuno ki amn-e-zamaana kii justujuu tum hoKHamosh baiThe ho kyuu.n apne lab siye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarosalaam tum pe ki mere chaman ke phuul ho tummirii nazar mirii fitrat miraa usuul ho tummagar ye kyaa hu.aa kis vaaste maluul ho tumye tum ne chand Galat kaam kyuu.n kiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarovatan me.n KHuun ke dariyaa bahaa diye tum nesabhii nuquush-e-ahinsaa miTaa diye tum nerivaaj-kaar-e-mohabbat bhalaa diye tum nerusuum-e-mehr-o-vafaa tark kar diye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarosabaq pa.Dhaayaa thaa tum ko adam-tashaddud kaatumhe.n bataayaa thaa mai.n ne gunaah hai hinsaaye tum ne kis liye teG-o-tabar se kaam liyaatumhaare haatho.n me.n KHanjar hai.n kis liye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarotumhaare zehno.n me.n makruuh saazish aur fasaaddilo.n me.n nafrat-o-kiina hai aur buGz-o-inaadmagar labo.n pe hai baabaa-e-qaum zindabaadmujhe ye khokhle na.are na chaahiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarozamiin naanak-o-chishtii pukaartii hai tumhe.ndayaar-e-budh kii tajallii pukaartii hai tumhe.nsuno kanhaiyaa kii bansii pukaartii hai tumhe.nab aur der bhii karnii na chaahiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarouTho zamaana-e-haazir hai ik payaam-e-amaluTho ki kaa.np rahii hai navaa-e-saaz-e-GazaluTho ki maa.nd na ho jaa.e husn-e-taaj-mahaluTho ki siino.n me.n phir raushnii jiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarophir apne zehno.n me.n lahkaa.o dostii kaa chamanphir apnii saa.nso.n se mahkaa.o pyaar kaa madhuubanphir apne kaamo.n se chamkaa.o sar-zamiin-e-vatantumhaare mai-kade me.n dahr phir piye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarona chho.Do zinda vatan me.n kisii luTere kokuchal do ba.Dh ke har ik saa.np ko sapere komiTaa.o firqa-parastii ke har a.ndhere kobachaa.o desh ko bhagvaan ke liye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaaromujhe ye khokhle na.are na chaahiye yaaro
mohabbat KHudaa kii haqiiqat kaa nuurmohabbat kisii kaa payaam-e-zuhuurmohabbat ke paiGaambar ambiyaamohabbat ke zer-e-asar auliyaamohabbat nuquush-e-bayaaz-e-vajuudtar-o-taaza is se riyaaz-e-shuhuudmohabbat nahii.n to nahii.n zindagiimohabbat se hai dil-nashii.n zindagiimohabbat se har zarra paivasta haitarab zaa mohabbat kaa guldasta hainashaat-e-mohabbat rafiiq-e-hayaatkiye us ne hal zindagii ke nikaatmohabbat se har ik haqiiqat ayaa.nmohabbat se maa.n kii faziilat ayaa.nmohabbat se shaan-e-pidar sar-bulandmohabbat se vasf-e-pisar arjumandmohabbat se mazbuut ajzaa-e-qaummohabbat se marbuut aaraa-e-qaummohabbat se qaa.em nizaam-e-hayaattaGayyur me.n bhii un kaa nuur-e-sabaatmohabbat nahii.n hai to kuchh bhii nahii.nmohabbat hii hai asal duniyaa-o-dii.n
yahaa.n sab log kahte hai.njudaa.ii maut jaisii haiki zinda laash ho kar basbachii saa.nse.n hii chaltii hai.nki jiinaa bhuul jaataa haiye saa.nse.n shor kartii hai.nye aa.nkhe.n KHushk aur banjarki aa.nsuu dil pe girte hai.nye saare log kahte hai.nsunoai chho.Dne vaaleyahii tum ne bhii jaanaa thaabichha.D ke jii na paa.uu.ngiitumhaaraa vahm thaa saaraafaqat ye zo'm thaa aur basmai.n bilkul pahle jaisii huu.ntar-o-taaza hai.n din meremirii raate.n sukuu.n-aavarna tum ye jaan paa.e homohabbat naam kis kaa haimohabbat me.n judaa.ii kaako.ii ma.anaa nahii.n hotaatumhaare saath me.n guzrevo kuchh lamhe mohabbat kemire jiine ko kaafii hai.njudaa.ii maar dii mai.n ne
mohabbat kaa ishaara Dhuu.nDhtaa huu.nmai.n jiine kaa sahaaraa Dhuu.nDhtaa huu.nvo bekas huu.n ki har ik mauj-e-Gam me.nmasarrat kaa kinaara Dhuu.nDhtaa huu.nsiyah-baKHtii ke saa.e hai.n magar mai.nmuqaddar kaa sahaaraa Dhuu.nDhtaa huu.nmire haatho.n se chhuu kar u.D gayaa jovahii daaman tumhaaraa Dhuu.nDhtaa huu.nhasii.n taaro mire dil me.n na jhaa.nkomai.n apnaa maah-paara Dhuu.nDtaa huu.nzaraa ai chashm rok apne ye aa.nsuumai.n zabt-e-Gam kaa yaaraa Dhuu.nDtaa huu.nmerii gintii hii kyaa mahfil me.n teriiki mai.n apnaa shumaara Dhuu.nDhtaa huu.n
prem kii KHushbuu chappe chappe me.n tum ko phailaanaa haisun lo merii aa.nkh ke taaro ye elaan zaruurii hai
raushnii kii ek nannhii sii lakiirmere kamre ke a.ndhere kaa badanchupke chupke TaToltii haijis tarah habshii hasiina ke Dhalesandal ke seaabnuusii jism ke a.asaab me.ntez suu.ii kii achaanak ik chubhansarsaraate saa.np kii maanind dau.Daatii hai KHuu.njhanjhanaa uThte hai.n saare taar-o-puuaur phir aahista aahista kahii.nzer-e-sat.h-e-jaan-o-dilye talaatumruk ke so jaataa haiya.aniiazhdar-e-aasuuda-KHaatir kii tarahKHvaab-noshii.n ke u.Daataa hai maze
mai.n KHudaa kii qabr huu.nKHudaa mere andar dafn haibha.ii, mai.n ne apne haatho.n se dafn kiyaa hai use!farq ye hai ki dafn hone ke baavajuud zinda hai vozinda dar-goruupar se malba haTaane kii der haiandar se KHudaa nikal aa.egaahaa.n haa.n mere andar se nikal aa.egaaye jo mano.n miTTii Daal rakkhii hai mai.n ne us paraqiido.n aur nazaryo.n kiiKHayaalo.n aur vaahimo.n kiiKHvaahisho.n aur laGviyaat kiiagar kisii roz kisii tuufaan baarish me.n bah ga.iito dekhnaa isii mere TuuTe-phuuTe badan kii ujaa.D qabr sejiitaa-jaagtaa tar-o-taaza KHudaa kaise numuudaar ho jaa.egaajaise sar-ba-falak pahaa.Diyo.n kii yaKH-basta vaadiyo.n me.nbarf pighalne ke ba.addekhte hii dekhtetaa-hadd-e-nazarphuul khil uThte hai.n
o chaman kii ajnabii chi.Diyaa! kahaa.n thii aah! tuukyaa kisii sahraa ke daaman me.n nihaa.n thii aah! tuutere dilkash zamzame the sabza-zaaro.n me.n KHamoshaashiyaana thaa tiraa gulshan me.n bazm-e-be-KHaroshkhii.nchtii vaqt-e-sahar dil ko tirii kuu-kuu na thiichhaa.nv me.n taaro.n kii mahv-e-naGma-e-dil-juu na thiimausam-e-sarmaa me.n ai sarmaaya-e-sabr-o-shakebbe-sadaa teraa pas-e-parda thaa saaz-e-dil-farebmarhabaa ai paikar-e-paik-e-subuk-gaam-e-bahaarle ke phir tuu garmiyo.n me.n aa.ii paiGaam-e-bahaartuu idhar aa.ii fazaa-e-gul kaa daur aayaa udhartuu ne gaa.e giit aur aamo.n kaa baur aayaa udhartaa.iraan-e-baaG ne chhe.Daa hai saaz-e-imbisaattere maqdam me.n hai shaaKHo.n par ham-aahang-e-nashaatpahnii nannhii nannhii kaliyo.n ne qabaa-e-shabnamii.naa rahii hai kaan me.n terii sadaa-e-dil-nashii.nko.ii anjum aasmaa.n kaa aur subuk parvaaz-e-shauqrahnumaa hai kyaa tiraa dil-daada-e-andaaz-e-shauqtuu jo aane vaale mausam kaa nishaa.n paatii hu.iiapnii manzil par pahu.nch jaatii hai yuu.n gaatii hu.iitere maqdam me.n shakeb-e-KHaatir-e-naa-shaad mai.nmausam-e-gul ko bhii detaa huu.n mubaarakbaad mai.ntuu chaman me.n u.D ke kyaa aa.ii ki aa pahu.nchii bahaargaa rahii hai.n chhoTii chi.Diyaa.n sabz kunjo.n me.n malhaardaaman-e-ra.ngii.n me.n ik doshiiza-e-naakat-KHudaachun rahii hai nannhii nannhii surKH kaliyaa.n KHushnumaaaur tujh se ham-suruud-e-naGma-e-ejaaz haibazm-e-qudrat me.n tirii goyaa shariik-e-raaz haimiiThe naGme gaane vaalii o chaman kii naaznii.nhai tar-o-taaza hamesha teraa kunj-e-dil-nashii.naur musaffaa hai fazaa-e-aasmaa.n tere liyehai shafaq-jaam-e-sharaab-e-arGavaa.n tere liyetere naGmo.n me.n asar andoh-e-hirmaa.n kaa nahii.nsaal me.n tere guzar fasl-e-zamistaa.n kaa nahii.nmujh ko qassam-e-azal detaa agar do baal-o-paru.D ke hotaa mai.n bhii tere saath sargarm-e-safarban ke ham dono.n rafiiq-e-mausam-e-josh-e-bahaarkarte KHush KHush har baras gul-gasht-e-dasht-o-kohsaar
mai.n atom-bomb ke Dher pe baiThaa soch rahaa thaaye raushniyo.n aur ra.ngo.n kaa sailaab-e-ravaa.nye resham ke lachchho.n aisaa narm badanye barf ke gaale se is nanhe seb kii nii.ndye us kii farishto.n jaisii maasuumaana ha.nsiiye gandum ke daano.n se nanhe nanhe daa.ntye kaliyo.n kii maanind tar-o-taaza ruKHsaarye gesuu.n kii KHushbuu se naa-vaaqif naakye cigarette ke dhu.e.n se begaana dahanye mere apne dil sii kushaada peshaaniiye sub.h kii pahlii kirno.n jaise us ke baalye sab kuchh us kaa apnaa hai lekin phir bhiiye sab kuchh aaKHir kab tak us kaa apnaa haiye meraa apnaa KHuun hai mere haatho.n me.nyaa merii sahmii sahmii be-KHvaab aa.nkho.n me.nye mustaqbil kaa ko.ii bhayaanak sapnaa haimai.n KHud apnii hii socho.n ke par noch rahaa thaamai.n atom-bomb ke Dher pe baiThaa soch rahaa thaa
ahd-e-maazii ke jharoko.n se chalii aatii hai.nmuskuraatii hu.ii yaade.n meriigungunaatii hu.ii yaade.n meriiaur mahsuus ye hotaa hai mujhejaise banjar sii zamii.nqatra-e-abr-e-guhar-baar se shaadaab baniijaise sahraa me.n bhaTakte hu.e ik raahii kochashma-e-aab milaajaise paamaal tamannaa.e.n tarashshoh paa karphir tar-o-taaza hu.ii.njaise tarsiida kaliimuskuraahaT se dil-aavez baneek lamhe ke liyesiina-e-sozaa.n miraashabnamii yaad se muskaata haiek lamhe ke liyekapkapaatii hu.ii sahmii hu.ii hastii me.nunhe.n yaado.n kii halaavat me.n samaa jaatii haiyahii yaade.n to mirii ziist kaa sarmaaya hai.nmuskuraatii hu.ii yaade.n meriigungunaatii hu.ii yaade.n merii
suukhe patto.n kii tarah TuuT ke gir jaate hai.n rishte bhii agar in ko mohabbat kii tar-o-taaza havaa paanii jo ehsaas kii miTTii me.n faraaham na kare.nhaa.n magarbhuule se jab TuuT ke gir jaa.e.n kabhii kuchh rishteto phir achchhaa hai ke un ristho ko yakjaa kar kevaqt ke jalte sulagte hu.e chuulhe ke havaale kar de.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books