Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Gulzar's Photo'

Gulzar

1936 | Mumbai, India

Celebrated poet, novelist, song and scriptwriter. Acclaimed for directing tele-serial on Mirza Ghalib. Recipient of Sahitya Academy and Dada Sahab Phalke awards

Celebrated poet, novelist, song and scriptwriter. Acclaimed for directing tele-serial on Mirza Ghalib. Recipient of Sahitya Academy and Dada Sahab Phalke awards

Sher of Gulzar

105.6K
Favorite

SORT BY

aap ke ba.ad har ghaḌī ham ne

aap ke saath guzārī hai

aap ke baad har ghaDi hum ne

aap ke sath hi guzari hai

aa.ina dekh kar tasallī huī

ham ko is ghar meñ jāntā hai koī

aaina dekh kar tasalli hui

hum ko is ghar mein jaanta hai koi

zindagī yuuñ huī basar tanhā

qāfila saath aur safar tanhā

TRANSLATION

The life was thus spent, alone,

Despite the caravan, journey, alone.

Sagar Akbarabadi

zindagi yun hui basar tanha

qafila sath aur safar tanha

TRANSLATION

The life was thus spent, alone,

Despite the caravan, journey, alone.

Sagar Akbarabadi

shaam se aañkh meñ namī hai

aaj phir aap kamī hai

sham se aankh mein nami si hai

aaj phir aap ki kami si hai

kabhī to chauñk ke dekhe koī hamārī taraf

kisī aañkh meñ ham ko bhī intizār dikhe

kabhi to chaunk ke dekhe koi hamari taraf

kisi ki aankh mein hum ko bhi intizar dikhe

vaqt rahtā nahīñ kahīñ Tik kar

aadat is bhī aadmī hai

waqt rahta nahin kahin Tik kar

aadat is ki bhi aadmi si hai

kitnī lambī ḳhāmoshī se guzrā huuñ

un se kitnā kuchh kahne koshish

kitni lambi KHamoshi se guzra hun

un se kitna kuchh kahne ki koshish ki

ādatan tum ne kar diye va.ade

ādatan ham ne e'tibār kiyā

aadatan tum ne kar diye wade

aadatan hum ne e'tibar kiya

jis āñkhoñ meñ kaTī thiiñ sadiyāñ

us ne sadiyoñ judā.ī hai

jis ki aankhon mein kaTi thin sadiyan

us ne sadiyon ki judai di hai

koī ḳhāmosh zaḳhm lagtī hai

zindagī ek nazm lagtī hai

koi KHamosh zaKHm lagti hai

zindagi ek nazm lagti hai

ham ne aksar tumhārī rāhoñ meñ

ruk kar apnā intizār kiyā

hum ne aksar tumhaari rahon mein

ruk kar apna hi intizar kiya

haath chhūTeñ bhī to rishte nahīñ chhoḌā karte

vaqt shāḳh se lamhe nahīñ toḌā karte

hath chhuTen bhi to rishte nahin chhoDa karte

waqt ki shaKH se lamhe nahin toDa karte

apne saa.e se chauñk jaate haiñ

umr guzrī hai is qadar tanhā

apne sae se chaunk jate hain

umr guzri hai is qadar tanha

kal har vāqi.a tumhārā thā

aaj dāstāñ hamārī hai

kal ka har waqia tumhaara tha

aaj ki dastan hamari hai

tumhāre ḳhvāb se har shab lipaT ke sote haiñ

sazā.eñ bhej do ham ne ḳhatā.eñ bhejī haiñ

tumhaare KHwab se har shab lipaT ke sote hain

sazaen bhej do hum ne KHataen bheji hain

ḳhushbū jaise log mile afsāne meñ

ek purānā ḳhat kholā anjāne meñ

KHushbu jaise log mile afsane mein

ek purana KHat khola anjaane mein

maiñ chup karātā huuñ har shab umaDtī bārish ko

magar ye roz ga.ī baat chheḌ detī hai

main chup karaata hun har shab umaDti barish ko

magar ye roz gai baat chheD deti hai

dil par dastak dene kaun aa niklā hai

kis aahaT suntā huuñ vīrāne meñ

dil par dastak dene kaun aa nikla hai

kis ki aahaT sunta hun virane mein

jab bhī ye dil udaas hotā hai

jaane kaun ās-pās hotā hai

jab bhi ye dil udas hota hai

jaane kaun aas-pas hota hai

ek ḳhvāb ne saarī raat jagāyā hai

maiñ ne har karvaT sone koshish

ek hi KHwab ne sari raat jagaya hai

main ne har karwaT sone ki koshish ki

phir vahīñ lauT ke jaanā hogā

yaar ne kaisī rihā.ī hai

phir wahin lauT ke jaana hoga

yar ne kaisi rihai di hai

sahmā sahmā Darā rahtā hai

jaane kyuuñ bharā rahtā hai

sahma sahma Dara sa rahta hai

jaane kyun ji bhara sa rahta hai

apne maazī justujū meñ bahār

piile patte talāsh kartī hai

apne mazi ki justuju mein bahaar

pile patte talash karti hai

din kuchh aise guzārtā hai koī

jaise ehsāñ utārtā hai koī

din kuchh aise guzarta hai koi

jaise ehsan utarta hai koi

zindagī par bhī koī zor nahīñ

dil ne har chiiz parā.ī hai

zindagi par bhi koi zor nahin

dil ne har chiz parai di hai

usī īmāñ badal gayā hai

kabhī jo merā ḳhudā rahā thā

usi ka iman badal gaya hai

kabhi jo mera KHuda raha tha

aap ne auroñ se kahā sab kuchh

ham se bhī kuchh kabhī kahīñ kahte

aap ne auron se kaha sab kuchh

hum se bhi kuchh kabhi kahin kahte

zaḳhm kahte haiñ dil gahna hai

dard dil libās hotā hai

zaKHm kahte hain dil ka gahna hai

dard dil ka libas hota hai

chand ummīdeñ nichoḌī thiiñ to aa.heñ Tapkīñ

dil ko pighlā.eñ to ho saktā hai sāñseñ nikleñ

chand ummiden nichoDi thin to aahen Tapkin

dil ko pighlaen to ho sakta hai sansen niklen

der se gūñjte haiñ sannāTe

jaise ham ko pukārtā hai koī

der se gunjte hain sannaTe

jaise hum ko pukarta hai koi

ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale

qarār de ke tire dar se be-qarār chale

ruke ruke se qadam ruk ke bar bar chale

qarar de ke tere dar se be-qarar chale

raakh ko bhī kured kar dekho

abhī jaltā ho koī pal shāyad

rakh ko bhi kured kar dekho

abhi jalta ho koi pal shayad

vo umr kam kar rahā thā merī

maiñ saal apne baḌhā rahā thā

wo umr kam kar raha tha meri

main sal apne baDha raha tha

vo ek din ek ajnabī ko

mirī kahānī sunā rahā thā

wo ek din ek ajnabi ko

meri kahani suna raha tha

āñkhoñ ke pochhne se lagā aag pata

yuuñ chehra pher lene se chhuptā nahīñ dhuāñ

aankhon ke pochhne se laga aag ka pata

yun chehra pher lene se chhupta nahin dhuan

ye shukr hai ki mire paas terā ġham to rahā

vagarna zindagī bhar ko rulā diyā hotā

ye shukr hai ki mere pas tera gham to raha

wagarna zindagi bhar ko rula diya hota

yādoñ bauchhāroñ se jab palkeñ bhīgne lagtī haiñ

soñdhī soñdhī lagtī hai tab maazī rusvā.ī bhī

yaadon ki bauchhaaron se jab palken bhigne lagti hain

sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswai bhi

ḳhāmoshī hāsil bhī ik lambī ḳhāmoshī thī

un baat sunī bhī ham ne apnī baat sunā.ī bhī

KHamoshi ka hasil bhi ek lambi si KHamoshi thi

un ki baat suni bhi hum ne apni baat sunai bhi

go barastī nahīñ sadā āñkheñ

abr to baara maas hotā hai

go barasti nahin sada aankhen

abr to bara mas hota hai

ek sannāTā dabe-pāñv gayā ho jaise

dil se ik ḳhauf guzrā hai bichhaḌ jaane

ek sannaTa dabe-panw gaya ho jaise

dil se ek KHauf sa guzra hai bichhaD jaane ka

bhare haiñ raat ke reze kuchh aise āñkhoñ meñ

ujālā ho to ham āñkheñ jhapakte rahte haiñ

bhare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein

ujala ho to hum aankhen jhapakte rahte hain

āñkhoñ se āñsuoñ ke marāsim purāne haiñ

mehmāñ ye ghar meñ aa.eñ to chubhtā nahīñ dhuāñ

aankhon se aansuon ke marasim purane hain

mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan

yuuñ bhī ik baar to hotā ki samundar bahtā

koī ehsās to dariyā anā hotā

yun bhi ek bar to hota ki samundar bahta

koi ehsas to dariya ki ana ka hota

ye roTiyāñ haiñ ye sikke haiñ aur dā.ere haiñ

ye ek duuje ko din bhar pakaḌte rahte haiñ

ye roTiyan hain ye sikke hain aur daere hain

ye ek duje ko din bhar pakaDte rahte hain

ye dil bhī dost zamīñ tarah

ho jaatā hai Dāñvā-Dol kabhī

ye dil bhi dost zamin ki tarah

ho jata hai Danwa-Dol kabhi

raat guzarte shāyad thoḌā vaqt lage

dhuup unDelo thoḌī paimāne meñ

raat guzarte shayad thoDa waqt lage

dhup unDelo thoDi si paimane mein

chūlhe nahīñ jalā.e ki bastī jal ga.ī

kuchh roz ho ga.e haiñ ab uThtā nahīñ dhuāñ

chulhe nahin jalae ki basti hi jal gai

kuchh roz ho gae hain ab uThta nahin dhuan

kāñch ke paar tire haath nazar aate haiñ

kaash ḳhushbū tarah rañg hinā hotā

kanch ke par tere hath nazar aate hain

kash KHushbu ki tarah rang hina ka hota

aag meñ kyā kyā jalā hai shab bhar

kitnī ḳhush-rañg dikhā.ī hai

aag mein kya kya jala hai shab bhar

kitni KHush-rang dikhai di hai

jab dostī hotī hai to dostī hotī hai

aur dostī meñ koī ehsān nahīñ hotā

jab dosti hoti hai to dosti hoti hai

aur dosti mein koi ehsan nahin hota

Recitation

Speak Now