Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nazeer Akbarabadi's Photo'

Nazeer Akbarabadi

1735 - 1830 | Agra, India

One of the most prominent classical Urdu poets who wrote extensively on Indian culture & festivals. Contemporary of Mir Taqi Mir. Famous for his poems on Holi, Diwali and Lord Krishna

One of the most prominent classical Urdu poets who wrote extensively on Indian culture & festivals. Contemporary of Mir Taqi Mir. Famous for his poems on Holi, Diwali and Lord Krishna

Sher of Nazeer Akbarabadi

21.8K
Favorite

SORT BY

kahīñ baiThne de dil ab mujhe jo havās Tuk maiñ bajā karūñ

nahīñ taab mujh meñ ki jab talak phire to maiñ bhī phirā karūñ

kahin baiThne de dil ab mujhe jo hawas Tuk main baja karun

nahin tab mujh mein ki jab talak tu phire to main bhi phira karun

the ham to ḳhud-pasand bahut lekin ishq meñ

ab hai vahī pasand jo ho yaar ko pasand

the hum to KHud-pasand bahut lekin ishq mein

ab hai wahi pasand jo ho yar ko pasand

kal bosa-e-pā ham ne liyā thā so na aayā

shāyad ki vo bosa huā ābla-e-pā

kal bosa-e-pa hum ne liya tha so na aaya

shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa

kamāl-e-ishq bhī ḳhālī nahīñ tamannā se

jo hai ik aah to us ko bhī hai asar talab

kamal-e-ishq bhi KHali nahin tamanna se

jo hai ek aah to us ko bhi hai asar ki talab

shab ko aa kar vo phir gayā haihāt

kyā isī raat ham ko sonā thā

shab ko aa kar wo phir gaya haihat

kya isi raat hum ko sona tha

be-zarī fāqa-kashī muflisī be-sāmānī

ham faqīroñ ke bhī haañ kuchh nahīñ aur sab kuchh hai

be-zari faqa-kashi muflisi be-samani

hum faqiron ke bhi han kuchh nahin aur sab kuchh hai

paḌe chup ho ke jab shahr-e-ḳhamoshāñ meñ 'nazīr'

ye ġhazal ye reḳhta ye sher-ḳhvānī phir kahāñ

ja paDe chup ho ke jab shahr-e-KHamoshan mein 'nazir'

ye ghazal ye reKHta ye sher-KHwani phir kahan

Thaharnā ishq ke āfāt ke sadmoñ meñ 'nazīr'

kaam mushkil thā par allāh ne āsān kiyā

Thaharna ishq ke aafat ke sadmon mein 'nazir'

kaam mushkil tha par allah ne aasan kiya

kal mire qatl ko is Dhab se vo bāñkā niklā

muñh se jallād-e-falak ke bhī ahāhā niklā

kal mere qatl ko is Dhab se wo banka nikla

munh se jallad-e-falak ke bhi ahaha nikla

sar-chashma-e-baqā se hargiz na aab laao

hazrat ḳhizar kahīñ se kar sharāb laao

sar-chashma-e-baqa se hargiz na aab lao

hazrat KHizar kahin se ja kar sharab lao

jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai

sach to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai

jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai

sach to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai

kājal mehñdī paan misī aur kañghī choTī meñ har aan

kyā kyā rañg banāvegī aur kyā kyā naqshe Dhālegī

kajal mehndi pan misi aur kanghi choTi mein har aan

kya kya rang banawegi aur kya kya naqshe Dhaalegi

ajab mushkil hai kyā kahiye baġhair-az-jān dene ke

koī naqsha nazar aatā nahīñ āsān milne

ajab mushkil hai kya kahiye baghair-az-jaan dene ke

koi naqsha nazar aata nahin aasan milne ka

shahr-e-dil ābād thā jab tak vo shahr-ārā rahā

jab vo shahr-ārā gayā phir shahr-e-dil meñ kyā rahā

shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha

jab wo shahr-ara gaya phir shahr-e-dil mein kya raha

tūfāñ uThā rahā hai mire dil meñ sail-e-ashk

vo din ḳhudā na laa.e jo maiñ āb-dīda huuñ

tufan uTha raha hai mere dil mein sail-e-ashk

wo din KHuda na lae jo main aab-dida hun

na itnā zulm kar ai chāñdnī bahr-e-ḳhudā chhup

tujhe dekhe se yaad aatā hai mujh ko māhtāb apnā

na itna zulm kar ai chandni bahr-e-KHuda chhup ja

tujhe dekhe se yaad aata hai mujh ko mahtab apna

dekhe na mujhe kyūñkar az-chashm-e-hiqārat-ū

vo sarv-e-javāñ yaaro man-fāḳhta-e-pīram

dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqarat-u

wo sarw-e-jawan yaro man-faKHta-e-piram

jis kaam ko jahāñ meñ aayā thā ai 'nazīr'

ḳhāna-ḳharāb tujh se vahī kaam rah gayā

jis kaam ko jahan mein tu aaya tha ai 'nazir'

KHana-KHarab tujh se wahi kaam rah gaya

tar rakhiyo sadā yā-rab is mizha-e-tar ko

ham itr lagāte haiñ garmī meñ isī ḳhas

tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko

hum itr lagate hain garmi mein isi KHas ka

vo mai-kade meñ halāvat hai riñd-e-mai-kash ko

jo ḳhānqāh meñ hai pārsā ko aish-o-tarab

wo mai-kade mein halawat hai rind-e-mai-kash ko

jo KHanqah mein hai parsa ko aish-o-tarab

dūr-az-tarīq mujh ko samajhiyo na zāhidā

gar ḳhudā-parast hai maiñ but-parast huuñ

dur-az-tariq mujh ko samajhiyo na zahida

gar tu KHuda-parast hai main but-parast hun

mazmūn-e-sard-mehrī-e-jānāñ raqam karūñ

gar haath aa.e kāġhaz-e-kashmīr varaq

mazmun-e-sard-mehri-e-jaanan raqam karun

gar hath aae kaghaz-e-kashmir ka waraq

maiñ dast-o-garebāñ huuñ dam-e-bāz-pusīñ se

hamdam use laatā hai to jald kahīñ se

main dast-o-gareban hun dam-e-baz-pusin se

hamdam use lata hai to la jald kahin se

ġhash khā ke girā pahle sho.ale jhalak se

muusā ko bhalā kahiye to kyā tuur sūjhī

ghash kha ke gira pahle hi shoale ki jhalak se

musa ko bhala kahiye to kya tur ki sujhi

bande ke qalam haath meñ hotā to ġhazab thā

sad shukr ki hai kātib-e-taqdīr koī aur

bande ke qalam hath mein hota to ghazab tha

sad shukr ki hai katib-e-taqdir koi aur

baaġh meñ lagtā nahīñ sahrā se ghabrātā hai dil

ab kahāñ le ke baiTheñ aise dīvāne ko ham

bagh mein lagta nahin sahra se ghabraata hai dil

ab kahan le ja ke baiThen aise diwane ko hum

dīvāngī merī ke tahayyur meñ shab-o-roz

hai halqa-e-zanjīr se zindāñ hama-tan-chashm

diwangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz

hai halqa-e-zanjir se zindan hama-tan-chashm

phir ke nigāh chār-sū Thahrī usī ke rū-ba-rū

us ne to merī chashm ko qibla-numā banā diyā

phir ke nigah chaar-su Thahri usi ke ru-ba-ru

us ne to meri chashm ko qibla-numa bana diya

ham vo daraḳht haiñ ki jise dam-ba-dam ajal

arra idhar dikhātī hai ūdhar tabar qazā

hum wo daraKHt hain ki jise dam-ba-dam ajal

arra idhar dikhati hai udhar tabar qaza

kitnā tanik safā hai ki pā-e-nigāh

halkā ik ġhubār hai chehre ke rañg par

kitna tanik safa hai ki pa-e-nigah ka

halka sa ek ghubar hai chehre ke rang par

hai vo gul ai jaañ ki tire baaġh meñ hai shauq

jibrīl ko bulbul tarah nāra-zanī

tu hai wo gul ai jaan ki tere bagh mein hai shauq

jibril ko bulbul ki tarah nara-zani ka

zamāne ke hāthoñ se chāra nahīñ hai

zamāna hamārā tumhārā nahīñ hai

zamane ke hathon se chaara nahin hai

zamana hamara tumhaara nahin hai

go safedī yuuñ raushan hai juuñ āb-e-hayāt

lekin apnī to isī zulmāt se thī zindagī

go safedi mu ki yun raushan hai jun aab-e-hayat

lekin apni to isi zulmat se thi zindagi

dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'nazīr'

phir tirā kaahe ko is baaġh meñ aanā hogā

dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'nazir'

phir tera kahe ko is bagh mein aana hoga

dil be-tābī Thaharne nahīñ detī mujh ko

din kahīñ raat kahīñ sub.h kahīñ shaam kahīñ

dil ki be-tabi Thaharne nahin deti mujh ko

din kahin raat kahin subh kahin sham kahin

martā hai jo mahbūb Thokar pe 'nazīr' aah

phir us ko kabhī aur koī lat nahīñ lagtī

marta hai jo mahbub ki Thokar pe 'nazir' aah

phir us ko kabhi aur koi lat nahin lagti

pukārā qāsid-e-ashk aaj fauj-e-ġham ke hāthoñ se

huā tārāj pahle shahr-e-jāñ dil nagar pīchhe

pukara qasid-e-ashk aaj fauj-e-gham ke hathon se

hua taraj pahle shahr-e-jaan dil ka nagar pichhe

ḳhudā ke vāste gul ko na mere haath se lo

mujhe aatī hai is meñ kisī badan

KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo

mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si

jism kyā ruuh hai jaulāñ-gāh

ruuh kyā ik savār-e-pā-ba-rakāb

jism kya ruh ki hai jaulan-gah

ruh kya ek sawar-e-pa-ba-rakab

dil betābī nahīñ Thaharne detī hai mujhe

din kahīñ raat kahīñ sub.h kahīñ shaam kahīñ

dil ki betabi nahin Thaharne deti hai mujhe

din kahin raat kahin subh kahin sham kahin

likheñ ham aish taḳhtī ko kis tarah ai jaañ

qalam zamīn ke uupar davāt koThe par

likhen hum aish ki taKHti ko kis tarah ai jaan

qalam zamin ke upar dawat koThe par

muntazir us ke dilā tā-ba-kujā baiThnā

shaam huī ab chalo sub.h phir aa baiThnā

muntazir us ke dila ta-ba-kuja baiThna

sham hui ab chalo subh phir aa baiThna

teshe kyā majāl thī ye jo tarāshe be sutūñ

thā vo tamām dil zor jis ne pahāḌ Dhā diyā

teshe ki kya majal thi ye jo tarashe be sutun

tha wo tamam dil ka zor jis ne pahaD Dha diya

kal shab-e-vasl meñ kyā jald bajī thiiñ ghaḌiyāñ

aaj kyā mar ga.e ghaḌiyāl bajāne vaale

kal shab-e-wasl mein kya jald baji thin ghaDiyan

aaj kya mar gae ghaDiyal bajaane wale

dekh use rañg-e-bahār o sarv o gul aur jūebār

ik uḌā ik gir gayā ik jal gayā ik bah gayā

dekh use rang-e-bahaar o sarw o gul aur juebar

ek uDa ek gir gaya ek jal gaya ek bah gaya

likh likh ke 'nazīr' is ġhazal-e-tāza ko ḳhūbāñ

rakh leñge kitāboñ meñ ye rañg-e-par-e-tā.er

likh likh ke 'nazir' is ghazal-e-taza ko KHuban

rakh lenge kitabon mein ye rang-e-par-e-taer

duur se aa.e the saaqī sun ke mai-ḳhāne ko ham

bas taraste chale afsos paimāne ko ham

dur se aae the saqi sun ke mai-KHane ko hum

bas taraste hi chale afsos paimane ko hum

mai bhī hai miinā bhī hai sāġhar bhī hai saaqī nahīñ

dil meñ aatā hai lagā deñ aag mai-ḳhāne ko ham

there is the wine, the glass, the flask, but no one to pour

I feel like burning down the tavern on this very score

mai bhi hai mina bhi hai saghar bhi hai saqi nahin

dil mein aata hai laga den aag mai-KHane ko hum

there is the wine, the glass, the flask, but no one to pour

I feel like burning down the tavern on this very score

kuchh ham ko imtiyāz nahīñ saaf o durd

ai sāqiyān-e-bazm bayārīd harche hast

kuchh hum ko imtiyaz nahin saf o durd ka

ai saqiyan-e-bazm bayarid harche hast

tumhāre hijr meñ āñkheñ hamārī muddat se

nahīñ ye jāntīñ duniyā meñ ḳhvāb hai kyā chiiz

tumhaare hijr mein aankhen hamari muddat se

nahin ye jaantin duniya mein KHwab hai kya chiz

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now