Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jan Nisar Akhtar's Photo'

Jan Nisar Akhtar

1914 - 1976 | Mumbai, India

Progressive poet & lyricist. Father of noted lyricist Jawed Akhtar

Progressive poet & lyricist. Father of noted lyricist Jawed Akhtar

Sher of Jan Nisar Akhtar

38.7K
Favorite

SORT BY

ye ilm saudā ye risāle ye kitābeñ

ik shaḳhs yādoñ ko bhulāne ke liye haiñ

ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben

ek shaKHs ki yaadon ko bhulane ke liye hain

log kahte haiñ ki ab bhī ḳhafā hai mujh se

terī āñkhoñ ne to kuchh aur kahā hai mujh se

log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se

teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se

sau chāñd bhī chamkeñge to kyā baat banegī

tum aa.e to is raat auqāt banegī

sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi

tum aae to is raat ki auqat banegi

aur kyā is se ziyāda koī narmī bartūñ

dil ke zaḳhmoñ ko chhuā hai tire gāloñ tarah

aur kya is se ziyaada koi narmi bartun

dil ke zaKHmon ko chhua hai tere galon ki tarah

ab ye bhī nahīñ Thiik ki har dard miTā deñ

kuchh dard kaleje se lagāne ke liye haiñ

ab ye bhi nahin Thik ki har dard miTa den

kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain

āñkheñ jo uThā.e to mohabbat gumāñ ho

nazroñ ko jhukā.e to shikāyat lage hai

aankhen jo uThae to mohabbat ka guman ho

nazron ko jhukae to shikayat si lage hai

ash.ār mire yuuñ to zamāne ke liye haiñ

kuchh sher faqat un ko sunāne ke liye haiñ

ashaar mere yun to zamane ke liye hain

kuchh sher faqat un ko sunane ke liye hain

aaj to mil ke bhī jaise na mile hoñ tujh se

chauñk uThte the kabhī terī mulāqāt se ham

aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se

chaunk uThte the kabhi teri mulaqat se hum

zulfeñ siina naaf kamar

ek nadī meñ kitne bhañvar

zulfen sina naf kamar

ek nadi mein kitne bhanwar

itne māyūs to hālāt nahīñ

log kis vāste ghabrā.e haiñ

itne mayus to haalat nahin

log kis waste ghabrae hain

dillī kahāñ ga.iiñ tire kūchoñ raunaqeñ

galiyoñ se sar jhukā ke guzarne lagā huuñ maiñ

dilli kahan gain tere kuchon ki raunaqen

galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hun main

aahaT koī aa.e to lagtā hai ki tum ho

saaya koī lahrā.e to lagtā hai ki tum ho

aahaT si koi aae to lagta hai ki tum ho

saya koi lahrae to lagta hai ki tum ho

jab lageñ zaḳhm to qātil ko duā jaa.e

hai yahī rasm to ye rasm uThā jaa.e

jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae

hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae

har-chand e'tibār meñ dhoke bhī haiñ magar

ye to nahīñ kisī pe bharosā kiyā na jaa.e

har-chand e'tibar mein dhoke bhi hain magar

ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jae

dekhūñ tire hāthoñ ko to lagtā hai tire haath

mandir meñ faqat diip jalāne ke liye haiñ

dekhun tere hathon ko to lagta hai tere hath

mandir mein faqat dip jalane ke liye hain

ishq meñ kyā nuqsān naf.a hai ham ko kyā samjhāte ho

ham ne saarī umr yaaro dil kārobār kiyā

ishq mein kya nuqsan nafa hai hum ko kya samjhate ho

hum ne sari umr hi yaro dil ka karobar kiya

dil ko har lamha bachāte rahe jazbāt se ham

itne majbūr rahe haiñ kabhī hālāt se ham

dil ko har lamha bachate rahe jazbaat se hum

itne majbur rahe hain kabhi haalat se hum

sharm aatī hai ki us shahr meñ ham haiñ ki jahāñ

na mile bhiik to lākhoñ guzārā na ho

sharm aati hai ki us shahr mein hum hain ki jahan

na mile bhik to lakhon ka guzara hi na ho

maiñ jab bhī us ke ḳhayāloñ meñ kho jaatā huuñ

vo ḳhud bhī baat kare to burā lage hai mujhe

main jab bhi us ke KHayalon mein kho sa jata hun

wo KHud bhi baat kare to bura lage hai mujhe

maanā ki rañg rañg tirā pairahan bhī hai

par is meñ kuchh karishma-e-aks-e-badan bhī hai

mana ki rang rang tera pairahan bhi hai

par is mein kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai

ham se pūchho ki ġhazal kyā hai ġhazal fan kyā

chand lafzoñ meñ koī aag chhupā jaa.e

hum se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya

chand lafzon mein koi aag chhupa di jae

āñkhoñ meñ jo bhar loge to kāñToñ se chubheñge

ye ḳhvāb to palkoñ pe sajāne ke liye haiñ

aankhon mein jo bhar loge to kanTon se chubhenge

ye KHwab to palkon pe sajaane ke liye hain

fursat-e-kār faqat chaar ghaḌī hai yaaro

ye na socho abhī umr paḌī hai yaaro

fursat-e-kar faqat chaar ghaDi hai yaro

ye na socho ki abhi umr paDi hai yaro

kuchal ke pheñk do āñkhoñ meñ ḳhvāb jitne haiñ

isī sabab se haiñ ham par azaab jitne haiñ

kuchal ke phenk do aankhon mein KHwab jitne hain

isi sabab se hain hum par azab jitne hain

muaaf kar na sakī merī zindagī mujh ko

vo ek lamha ki maiñ tujh se tañg aayā thā

muaf kar na saki meri zindagi mujh ko

wo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha

inqilāboñ ghaḌī hai

har nahīñ haañ se baḌī hai

inqilabon ki ghaDi hai

har nahin han se baDi hai

tujhe bāñhoñ meñ bhar lene ḳhvāhish yuuñ ubhartī hai

ki maiñ apnī nazar meñ aap rusvā ho jaatā huuñ

tujhe banhon mein bhar lene ki KHwahish yun ubharti hai

ki main apni nazar mein aap ruswa ho sa jata hun

ek bhī ḳhvāb na ho jin meñ vo āñkheñ kyā haiñ

ik na ik ḳhvāb to āñkhoñ meñ basāo yaaro

ek bhi KHwab na ho jin mein wo aankhen kya hain

ek na ek KHwab to aankhon mein basao yaro

quvvat-e-tāmīr thī kaisī ḳhas-o-ḳhāshāk meñ

āñdhiyāñ chaltī rahīñ aur āshiyāñ bantā gayā

such power of purpose suffuses twigs and blades of grass

the nest goes on being built although storms constantly harass

quwwat-e-tamir thi kaisi KHas-o-KHashak mein

aandhiyan chalti rahin aur aashiyan banta gaya

such power of purpose suffuses twigs and blades of grass

the nest goes on being built although storms constantly harass

guzar gayā hai koī lamha-e-sharar tarah

abhī to maiñ use pahchān bhī na paayā thā

guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah

abhi to main use pahchan bhi na paya tha

tamām umr azāboñ silsila to rahā

ye kam nahīñ hameñ jiine hausla to rahā

tamam umr azabon ka silsila to raha

ye kam nahin hamein jine ka hausla to raha

kyā patā ho bhī sake is talāfī ki nahīñ

shā.erī tujh ko gañvāyā hai bahut din ham ne

kya pata ho bhi sake is ki talafi ki nahin

shaeri tujh ko ganwaya hai bahut din hum ne

Recitation

Speak Now