Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abul Hasanat Haqqi's Photo'

Abul Hasanat Haqqi

Kanpur, India

Sher of Abul Hasanat Haqqi

1.1K
Favorite

SORT BY

vo mehrbān nahīñ hai to phir ḳhafā hogā

koī to rābta us ko bahāl rakhnā hai

wo mehrban nahin hai to phir KHafa hoga

koi to rabta us ko bahaal rakhna hai

ye sach hai us se bichhaḌ kar mujhe zamāna huā

magar vo lauTnā chāhe to phir zamāna bhī kyā

ye sach hai us se bichhaD kar mujhe zamana hua

magar wo lauTna chahe to phir zamana bhi kya

be-niyāz-e-dahr kar detā hai ishq

be-zaroñ ko la.al-o-zar detā hai ishq

be-niyaz-e-dahr kar deta hai ishq

be-zaron ko lal-o-zar deta hai ishq

maiñ apnī maañ ke vasīle se zinda-tar Thahrūñ

ki vo lahū mire sabr-o-razā meñ raushan hai

main apni man ke wasile se zinda-tar Thahrun

ki wo lahu mere sabr-o-raza mein raushan hai

maiñ qatl ho ke bhī sharminda apne-āp se huuñ

ki is ke ba.ad to saarā zavāl hai us

main qatl ho ke bhi sharminda apne-ap se hun

ki is ke baad to sara zawal hai us ka

naqsh to saare mukammal haiñ ab uljhan ye hai

kis ko ābād kare aur kise vīrānī de

naqsh to sare mukammal hain ab uljhan ye hai

kis ko aabaad kare aur kise virani de

mujh ko darvesh samajhne vaalā

ḳhush-gumānī silā chāhtā hai

mujh ko darwesh samajhne wala

KHush-gumani ka sila chahta hai

vo kashtī se dete the manzar daad

so ham ne bhī ghar ko safīna kiyā

wo kashti se dete the manzar ki dad

so hum ne bhi ghar ko safina kiya

merī vahshat bhī sakūñ-nā-āshnā merī tarah

mere qadmoñ se bañdhī hai zimmedārī aur kyā

meri wahshat bhi sakun-na-ashna meri tarah

mere qadmon se bandhi hai zimmedari aur kya

ye baat alag hai kisī dhāre pe nahīñ hai

duniyā kisī kamzor ishāre pe nahīñ hai

ye baat alag hai kisi dhaare pe nahin hai

duniya kisi kamzor ishaare pe nahin hai

ḳhud apnī lauh-e-tamannā pe khil ke dekhūñgā

kisī ke jabr ne likkhā thā rā.egāñ mujh ko

KHud apni lauh-e-tamanna pe khil ke dekhunga

kisi ke jabr ne likkha tha raegan mujh ko

zamīr-e-ḳhāk shah-e-do-sarā meñ raushan hai

mirā ḳhudā mire harf-e-duā meñ raushan hai

zamir-e-KHak shah-e-do-sara mein raushan hai

mera KHuda mere harf-e-dua mein raushan hai

kabhī vo ḳhush bhī rahā hai kabhī ḳhafā huā hai

ki saarā marhala tai mujh se barmalā huā hai

kabhi wo KHush bhi raha hai kabhi KHafa hua hai

ki sara marhala tai mujh se barmala hua hai

phuul pattī pe koī zaḳhm Daal

aa.ine meñ rañg iz.hār kar

phul ki patti pe koi zaKHm Dal

aaine mein rang ka izhaar kar

maiñ apne zahr se vāqif huuñ vo samajhtā nahīñ

hai mere kīsa-e-sad-kām meñ sharāfat bhī

main apne zahr se waqif hun wo samajhta nahin

hai mere kisa-e-sad-kaam mein sharafat bhi

mujhe bhī rafta rafta aa gayā hai

ḳhud apne kaam ko dushvār karnā

mujhe bhi rafta rafta aa gaya hai

KHud apne kaam ko dushwar karna

dīvār bojh baam par hai

ye ghar bhī huā ḳharāb kaisā

diwar ka bojh baam par hai

ye ghar bhi hua KHarab kaisa

vo be-ḳhabar hai mirī jast-o-ḳhez se shāyad

ye kaun hai jo muqābil mire khaḌā huā hai

wo be-KHabar hai meri jast-o-KHez se shayad

ye kaun hai jo muqabil mere khaDa hua hai

ye ijz hai ki qanā.at hai kuchh nahīñ khultā

bahut dinoñ se vo ḳhair-o-ḳhabar se bāhar hai

ye ijz hai ki qanaat hai kuchh nahin khulta

bahut dinon se wo KHair-o-KHabar se bahar hai

duur rahtā hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanār

Dūbtā rahtā hai dariyā meñ kinārā kyā kyā

dur rahta hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanar

Dubta rahta hai dariya mein kinara kya kya

mere junūñ silsila marhala-vār ho gayā

pahle zamīn bujh ga.ī ba.ad meñ āsmāñ bujhā

mere junun ka silsila marhala-war ho gaya

pahle zamin bujh gai baad mein aasman bujha

apne manzar se alag hotā nahīñ hai koī rañg

apnī āñkhoñ ke sivā bād-e-bahārī aur kyā

apne manzar se alag hota nahin hai koi rang

apni aankhon ke siwa baad-e-bahaari aur kya

bajtī huī ḳhuun ravānī

ḳhvāhish giraft meñ badan hai

bajti hui KHun ki rawani

KHwahish ki giraft mein badan hai

shab ko har rañg meñ sailāb tumhārā dekheñ

aañkh khul jaa.e to dariyā na kinārā dekheñ

shab ko har rang mein sailab tumhaara dekhen

aankh khul jae to dariya na kinara dekhen

jaane kyā sūrat-e-hālāt raqam thī us meñ

jo varaq chaak huā us ko dobārā dekheñ

jaane kya surat-e-haalat raqam thi us mein

jo waraq chaak hua us ko dobara dekhen

vo ek Dūbtī āvāz-e-bāz-gasht ki aa

savāl maiñ ne kiyā thā javāb maiñ ne diyā

wo ek Dubti aawaz-e-baz-gasht ki aa

sawal main ne kiya tha jawab main ne diya

vo aa rahā thā magar maiñ nikal gayā kahīñ aur

sau zaḳhm-e-hijr se baḌh kar azaab maiñ ne diyā

wo aa raha tha magar main nikal gaya kahin aur

sau zaKHm-e-hijr se baDh kar azab main ne diya

badan ḳhud apnī tajsīm kar nahīñ paate

qarīb aayā to āñkhoñ ko ḳhvāb maiñ ne diyā

badan KHud apni hi tajsim kar nahin pate

qarib aaya to aankhon ko KHwab main ne diya

kabhī na ḳhālī milā bū-e-ham-nafas se dimāġh

tamām baaġh meñ jaise koī chhupā huā hai

kabhi na KHali mila bu-e-ham-nafas se dimagh

tamam bagh mein jaise koi chhupa hua hai

'haqqī'-e-dil-girafta ke bas meñ na jaane kab nahīñ

hijr meñ shād-kām thā vasl ke darmiyāñ bujhā

'haqqi'-e-dil-girafta ke bas mein na jaane kab nahin

hijr mein shad-kaam tha wasl ke darmiyan bujha

Recitation

Speak Now