Sher of Muneer Shikohabadi
āñkheñ ḳhudā ne baḳhshī haiñ rone ke vāste
do kashtiyāñ milī haiñ Dubone ke vāste
aankhen KHuda ne baKHshi hain rone ke waste
do kashtiyan mili hain Dubone ke waste
-
Tag : Girya-o-zari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
surḳhī shafaq kī zard ho gāloñ ke sāmne
paanī bhare ghaTā tire bāloñ ke sāmne
surKHi shafaq ki zard ho galon ke samne
pani bhare ghaTa tere baalon ke samne
jaatī hai duur baat nikal kar zabān se
phirtā nahīñ vo tiir jo niklā kamān se
jati hai dur baat nikal kar zaban se
phirta nahin wo tir jo nikla kaman se
ustād ke ehsān kā kar shukr 'munīr' aaj
kī ahl-e-suḳhan ne tirī tārīf baḌī baat
ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj
ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat
-
Tag : Teacher
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bosa hoñToñ kā mil gayā kis ko
dil meñ kuchh aaj dard mīThā hai
bosa honTon ka mil gaya kis ko
dil mein kuchh aaj dard miTha hai
-
Tag : Kiss
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ehsān nahīñ ḳhvāb meñ aa.e jo mire paas
chorī kī mulāqāt mulāqāt nahīñ hai
ehsan nahin KHwab mein aae jo mere pas
chori ki mulaqat mulaqat nahin hai
mahrūm huuñ maiñ ḳhidmat-e-ustād se 'munīr'
kalkatta mujh ko gor se bhī tañg ho gayā
mahrum hun main KHidmat-e-ustad se 'munir'
kalkatta mujh ko gor se bhi tang ho gaya
namāz shukr kī paḌhtā hai jaam toḌ ke shaiḳh
vuzū ke vāste letā hai ābrū-e-sharāb
namaz shukr ki paDhta hai jam toD ke shaiKH
wuzu ke waste leta hai aabru-e-sharab
dekhā hai āshiqoñ ne barahman kī aañkh se
har but ḳhudā hai chāhne vāloñ ke sāmne
dekha hai aashiqon ne barahman ki aankh se
har but KHuda hai chahne walon ke samne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bose haiñ be-hisāb har din ke
va.ade kyuuñ Tālte ho gin gin ke
bose hain be-hisab har din ke
wade kyun Talte ho gin gin ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dīdār kā mazā nahīñ baal apne bāñdh lo
kuchh mujh ko sūjhtā nahīñ añdhiyārī raat hai
didar ka maza nahin baal apne bandh lo
kuchh mujh ko sujhta nahin andhiyari raat hai
kabhī payām na bhejā butoñ ne mere paas
ḳhudā haiñ kaise ki paiġhāmbar nahīñ rakhte
kabhi payam na bheja buton ne mere pas
KHuda hain kaise ki paighambar nahin rakhte
ai rashk-e-māh raat ko muTThī na kholnā
mehdī kā chor haath se jaa.e na chhūT ke
ai rashk-e-mah raat ko muTThi na kholna
mehdi ka chor hath se jae na chhuT ke
muñh tak bhī zo.af se nahīñ aa saktī dil kī baat
darvāza ghar se saikḌoñ farsañg ho gayā
munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat
darwaza ghar se saikDon farsang ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zāhido puujā tumhārī ḳhuub hogī hashr meñ
but banā degī tumheñ ye haq-parastī ek din
zahido puja tumhaari KHub hogi hashr mein
but bana degi tumhein ye haq-parasti ek din
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai but ye hai namāz ki hai ghaat qatl kī
niyyat adā kī hai ki ishāre qazā ke haiñ
ai but ye hai namaz ki hai ghat qatl ki
niyyat ada ki hai ki ishaare qaza ke hain
kī tark maiñ ne shaiḳh-o-barahman kī pairvī
dair-o-haram meñ mujh ko tirā naam le gayā
ki tark main ne shaiKH-o-barahman ki pairwi
dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham-rañg kī hai duun nikal ashrafī ke saath
paatā hai aa ke rañg-e-talā.ī yahāñ basant
ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath
pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bosa-e-lab ġhair ko dete ho tum
muñh mirā mīThā kiyā jaatā nahīñ
bosa-e-lab ghair ko dete ho tum
munh mera miTha kiya jata nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āñkhoñ meñ nahīñ silsila-e-ashk shab-o-roz
tasbīh paḌhā karte haiñ din raat tumhārī
aankhon mein nahin silsila-e-ashk shab-o-roz
tasbih paDha karte hain din raat tumhaari
garmī-e-husn kī mid.hat kā silā lete haiñ
mish.aleñ aap ke saa.e se jalā lete haiñ
garmi-e-husn ki midhat ka sila lete hain
mishalen aap ke sae se jala lete hain
maiñ justujū se kufr meñ pahuñchā ḳhudā ke paas
ka.abe tak in butoñ kā mujhe naam le gayā
main justuju se kufr mein pahuncha KHuda ke pas
kabe tak in buton ka mujhe nam le gaya
us but ke nahāne se huā saaf ye paanī
motī bhī sadaf meñ tah-e-dariyā nazar aayā
us but ke nahane se hua saf ye pani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaiḳh le hai raah ka.abe kī barahman dair kī
ishq kā rasta judā hai kufr aur islām se
shaiKH le hai rah kabe ki barahman dair ki
ishq ka rasta juda hai kufr aur islam se
chehra tamām surḳh hai mahram ke rañg se
añgiyā kā paan dekh ke muñh laal ho gayā
chehra tamam surKH hai mahram ke rang se
angiya ka pan dekh ke munh lal ho gaya
shabnam kī hai añgiyā tale añgiyā kī pasīna
kyā lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aa.ī
shabnam ki hai angiya tale angiya ki pasina
kya lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aai
paayā tabīb ne jo tirī zulf kā marīz
shāmil davā meñ mushk-e-shab-e-tār kar diyā
paya tabib ne jo teri zulf ka mariz
shamil dawa mein mushk-e-shab-e-tar kar diya
jaan detā huuñ magar aatī nahīñ
maut ko bhī nāz-e-ma.ashūqāna hai
jaan deta hun magar aati nahin
maut ko bhi naz-e-mashuqana hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaan kar us but kā ghar ka.aba ko sajda kar liyā
ai barahman mujh ko baitullāh ne dhokā diyā
jaan kar us but ka ghar kaba ko sajda kar liya
ai barahman mujh ko baitullah ne dhoka diya
khāte haiñ añgūr piite haiñ sharāb
bas yahī mastoñ kā āb-o-dāna hai
khate hain angur pite hain sharab
bas yahi maston ka aab-o-dana hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shukr hai jaama se bāhar vo huā ġhusse meñ
jo ki parde meñ bhī uryāñ na huā thā so huā
shukr hai jama se bahar wo hua ghusse mein
jo ki parde mein bhi uryan na hua tha so hua
uljhā hai magar zulf meñ taqrīr kā lachhā
suljhī huī ham ne na sunī baat tumhārī
uljha hai magar zulf mein taqrir ka lachha
suljhi hui hum ne na suni baat tumhaari
hijr-e-jānāñ ke alam meñ ham farishte ban ga.e
dhyān muddat se chhuTā āb-o-ta.ām-o-ḳhvāb kā
hijr-e-jaanan ke alam mein hum farishte ban gae
dhyan muddat se chhuTa aab-o-taam-o-KHwab ka
-
Tag : Ahbaab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kab paan raqīboñ ko ināyat nahīñ hote
kis roz mire qatl kā biiḌā nahīñ uThtā
kab pan raqibon ko inayat nahin hote
kis roz mere qatl ka biDa nahin uThta
aate nahīñ haiñ dīda-giryāñ ke sāmne
bādal bhī karte haiñ mirī barsāt kā lihāz
aate nahin hain dida-giryan ke samne
baadal bhi karte hain meri barsat ka lihaz
be-ilm shā.iroñ kā gila kyā hai ai 'munīr'
hai ahl-e-ilm ko tirā tarz-e-bayāñ pasand
be-ilm shairon ka gila kya hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tera tarz-e-bayan pasand
bismiloñ se bosa-e-lab kā jo va.ada ho gayā
ḳhud-ba-ḳhud har zaḳhm kā añgūr mīThā ho gayā
bismilon se bosa-e-lab ka jo wada ho gaya
KHud-ba-KHud har zaKHm ka angur miTha ho gaya
jab baḌh ga.ī umr ghaT ga.ī ziist
jo had se ziyāda ho vo kam hai
jab baDh gai umr ghaT gai zist
jo had se ziyaada ho wo kam hai
lag ga.ī aag ātish-e-ruḳh se naqāb-e-yār meñ
dekh lo jaltā hai konā chādar-e-mahtāb kā
lag gai aag aatish-e-ruKH se naqab-e-yar mein
dekh lo jalta hai kona chadar-e-mahtab ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yaad us but kī namāzoñ meñ jo aa.ī mujh ko
tapish-e-shauq se har baar meñ baiThā uTThā
yaad us but ki namazon mein jo aai mujh ko
tapish-e-shauq se har bar mein baiTha uTTha
farz hai dariyā-diloñ par ḳhāksāroñ kī madad
farsh sahrā ke liye lāzim huā sailāb kā
farz hai dariya-dilon par KHaksaron ki madad
farsh sahra ke liye lazim hua sailab ka
vahāñ pahuñch nahīñ saktīñ tumhārī zulfeñ bhī
hamāre dast-e-talab kī jahāñ rasā.ī hai
wahan pahunch nahin saktin tumhaari zulfen bhi
hamare dast-e-talab ki jahan rasai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yārab hazār saal salāmat raheñ huzūr
ho roz jashn-e-īd yahāñ jāvedāñ basant
yarab hazar sal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis tarah ḳhush hoñ shaam ko vo chāñd dekh kar
aatā nahīñ hai mash.al-e-mah kā dhuāñ pasand
kis tarah KHush hon sham ko wo chand dekh kar
aata nahin hai mashal-e-mah ka dhuan pasand
rindoñ ko pābandī-e-duniyā kahāñ
kashtī-e-mai ko nahīñ lañgar kī chaah
rindon ko pabandi-e-duniya kahan
kashti-e-mai ko nahin langar ki chah
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram meñ ham
is samt kufr us taraf islām le gayā
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram mein hum
is samt kufr us taraf islam le gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
leTe jo saath haath lagā bosa-e-dahan
aayā amal meñ ilm-e-nihānī palañg par
leTe jo sath hath laga bosa-e-dahan
aaya amal mein ilm-e-nihani palang par
āshiq banā ke ham ko jalāte haiñ sham.a-rū
parvāna chāhiye unheñ parvāna chāhiye
aashiq bana ke hum ko jalate hain shama-ru
parwana chahiye unhen parwana chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mastoñ meñ phuuT paḌ ga.ī aate hī yaar ke
laḌtā hai aaj shīshe se shīsha sharāb kā
maston mein phuT paD gai aate hi yar ke
laDta hai aaj shishe se shisha sharab ka
iḳhtilāt apne anāsir meñ nahīñ
jo hai mere jism meñ begāna hai
iKHtilat apne anasir mein nahin
jo hai mere jism mein begana hai
-
Tag : Anaasir
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download