aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Siraj Aurangabadi's Photo'

Siraj Aurangabadi

1712 - 1764 | Aurangabad, India

Sufi poet known for his widely sung ghazal 'Khabar-e-tahayyur-e-ishq'

Sufi poet known for his widely sung ghazal 'Khabar-e-tahayyur-e-ishq'

Sher of Siraj Aurangabadi

4.6K
Favorite

SORT BY

ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junūñ rahā na parī rahī

na to rahā na to maiñ rahā jo rahī so be-ḳhabarī rahī

KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi

na to tu raha na to main raha jo rahi so be-KHabari rahi

vo ajab ghaḌī thī maiñ jis ghaḌī liyā dars nusḳha-e-ishq

ki kitāb aql taaq par juuñ dharī thī tyuuñ dharī rahī

wo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liya dars nusKHa-e-ishq ka

ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi

Duub jaatā hai mirā jo kahūñ qissa-e-dard

niiñd aatī hai mujhī kuuñ mire afsāne meñ

Dub jata hai mera ji jo kahun qissa-e-dard

nind aati hai mujhi kun mere afsane mein

fidā kar jaan agar jaanī yahī hai

are dil vaqt-e-be-jānī yahī hai

fida kar jaan agar jaani yahi hai

are dil waqt-e-be-jaani yahi hai

ishq aur aql meñ huī hai shart

jiit aur haar tamāshā hai

ishq aur aql mein hui hai shart

jit aur haar ka tamasha hai

shah-e-be-ḳhudī ne atā kiyā mujhe ab libās-e-barahnagī

na ḳhirad baḳhiya-garī rahī na junūñ parda-darī rahī

shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi

na KHirad ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi

do-rañgī ḳhuub nahīñ yak-rañg ho

sarāpā mom ho sañg ho

do-rangi KHub nahin yak-rang ho ja

sarapa mom ho ya sang ho ja

mat karo sham.a kuuñ badnām jalātī vo nahīñ

aap siiñ shauq patañgoñ ko hai jal jaane

cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear

the moths are

mat karo shama kun badnam jalati wo nahin

aap sin shauq patangon ko hai jal jaane ka

cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear

the moths are

dekhā hai jis ne yaar ke ruḳhsār taraf

hargiz na jaave sair kuuñ gulzār taraf

dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf

hargiz na jawe sair kun gulzar ki taraf

kahte haiñ tirī zulf kuuñ dekh ahl-e-sharī.at

qurbān hai is kufr par īmān hamārā

kahte hain teri zulf kun dekh ahl-e-shariat

qurban hai is kufr par iman hamara

boltā huuñ jo vo bulātā hai

tan ke pinjre meñ us totā huuñ

bolta hun jo wo bulata hai

tan ke pinjre mein us ka tota hun

tumhārī zulf har taar mohan

huā mere gale haar mohan

tumhaari zulf ka har tar mohan

hua mere gale ka haar mohan

hijr rātoñ meñ lāzim hai bayān-e-zulf-e-yār

niiñd to jaatī rahī hai qissa-ḳhvānī kījiye

hijr ki raaton mein lazim hai bayan-e-zulf-e-yar

nind to jati rahi hai qissa-KHwani kijiye

ishq donoñ taraf suuñ hotā hai

kyuuñ baje ek haat suuñ taalī

ishq donon taraf sun hota hai

kyun baje ek hat sun tali

ishq naam garche hai mash.hūr

maiñ ta.ajjub meñ huuñ ki kyā shai hai

ishq ka nam garche hai mashhur

main tajjub mein hun ki kya shai hai

vaqt hai ab namāz-e-maġhrib

chāñd ruḳh lab shafaq hai gesū shaam

waqt hai ab namaz-e-maghrib ka

chand ruKH lab shafaq hai gesu sham

kabhī tum mom ho jaate ho jab maiñ garm hotā huuñ

kabhī maiñ sard hotā huuñ to tum bhaḌkāo karte ho

kabhi tum mom ho jate ho jab main garm hota hun

kabhi main sard hota hun to tum bhaDkao karte ho

niyāz-e-be-ḳhudī behtar namāz-e-ḳhud-numā.ī siiñ

na kar ham puḳhta-maġhzoñ siiñ ḳhayāl-e-ḳhām ai vaa.iz

niyaz-e-be-KHudi behtar namaz-e-KHud-numai sin

na kar hum puKHta-maghzon sin KHayal-e-KHam ai waiz

nahīñ bujhtī hai pyaas aañsū siiñ lekin

kareñ kyā ab to yaañ paanī yahī hai

nahin bujhti hai pyas aansu sin lekin

karen kya ab to yan pani yahi hai

na mile jab talak visāl us

tab talak faut hai mirā matlab

na mile jab talak visal us ka

tab talak faut hai mera matlab

kyā pūchhte ho tum ki tirā dil kidhar gayā

dil makāñ kahāñ yahī dil-dār taraf

kya puchhte ho tum ki tera dil kidhar gaya

dil ka makan kahan yahi dil-dar ki taraf

maktab-e-ishq moallim huuñ

kyuuñ na ho.e dars-e-yār takrār

maktab-e-ishq ka moallim hun

kyun na hoe dars-e-yar ki takrar

jiinā taḌap taḌap kar marnā sisak sisak kar

fariyād ek hai kyā kyā ḳharābiyoñ meñ

jina taDap taDap kar marna sisak sisak kar

fariyaad ek ji hai kya kya KHarabiyon mein

vasl ke din shab-e-hijrāñ haqīqat mat pūchh

bhuul jaanī hai mujhe sub.h kuuñ phir shaam baat

wasl ke din shab-e-hijran ki haqiqat mat puchh

bhul jaani hai mujhe subh kun phir sham ki baat

aañkh uThāte mire haath siiñ mujh kuuñ le ga.e

ḳhuub ustād ho tum jaan ke le jaane meñ

aankh uThate hi mere hath sin mujh kun le gae

KHub ustad ho tum jaan ke le jaane mein

marham tire visāl lāzim hai ai sanam

dil meñ lagī hai hijr barchhī huul aaj

marham tere visal ka lazim hai ai sanam

dil mein lagi hai hijr ki barchhi ki hul aaj

kufr-o-īmāñ do nadī haiñ ishq kiiñ

āḳhirash dono sañgam hovegā

kufr-o-iman do nadi hain ishq kin

aaKHirash dono ka sangam howega

tirī abrū hai mehrāb-e-mohabbat

namāz-e-ishq mere par huī farz

teri abru hai mehrab-e-mohabbat

namaz-e-ishq mere par hui farz

kabhī mujhe dete ho apne haat siiñ pyālā

kabhī tum shīsha-e-dil par mire pathrāv karte ho

kabhi la la mujhe dete ho apne hat sin pyala

kabhi tum shisha-e-dil par mere pathraw karte ho

zindagānī dard-e-sar hai yaar bin

kui hamāre sar kuuñ aa kar jhaaḌ de

zindagani dard-e-sar hai yar bin

kui hamare sar kun aa kar jhaD de

niiñd siiñ khul ga.iiñ mirī āñkheñ so dekhā yaar kuuñ

añdhārā is qadar thā ujālā ho gayā

nind sin khul gain meri aankhen so dekha yar kun

ya andhaara is qadar tha ya ujala ho gaya

sunā hai jab siiñ tere husn shor

liyā zāhid ne masjid kinārā

suna hai jab sin tere husn ka shor

liya zahid ne masjid ka kinara

mushtāq huuñ tujh lab fasāhat va-lekin

'rāñjhā' ke nasīboñ meñ kahāñ 'hīr' āvāz

mushtaq hun tujh lab ki fasahat ka wa-lekin

'ranjha' ke nasibon mein kahan 'hir' ki aawaz

pakḌā huuñ kināra-e-judā.ī

jaarī mire ashk nadī hai

pakDa hun kinara-e-judai

jari mere ashk ki nadi hai

Dore nahīñ haiñ surḳh tirī chashm-e-mast meñ

shāyad chaḌhā hai ḳhuun kisī be-gunāh

Dore nahin hain surKH teri chashm-e-mast mein

shayad chaDha hai KHun kisi be-gunah ka

roza-dārān-e-judā.ī kuuñ ḳham-e-abrū-e-yār

māh-e-īd-e-ramazāñ thā mujhe ma.alūm na thā

roza-daran-e-judai kun KHam-e-abru-e-yar

mah-e-id-e-ramazan tha mujhe malum na tha

muftī-e-nāz ne diyā fatvā

ḳhūn-e-āshiq halāl kartā hai

mufti-e-naz ne diya fatwa

KHun-e-ashiq halal karta hai

jis kuuñ piv ke hijr bairāg hai

aah majlis meñ us raag hai

jis kun piw ke hijr ka bairag hai

aah ka majlis mein us ki rag hai

khul ga.e us zulf ke dekhe

pech-e-dastār-e-zāhid-e-makkār

khul gae us ki zulf ke dekhe

pech-e-dastar-e-zahid-e-makkar

'sirāj' in ḳhūb-rūyoñ ajab maiñ qā.eda dekhā

bulāte haiñ dikhāte haiñ lubhāte haiñ chhupāte haiñ

'siraj' in KHub-ruyon ka ajab main qaeda dekha

bulate hain dikhate hain lubhate hain chhupate hain

hamārī baat mohabbat siiñ tum jo gosh karo

to apnī prem kahānī tumheñ sunā.ūñgā

hamari baat mohabbat sin tum jo gosh karo

to apni prem kahani tumhein sunaunga

nazar-e-taġhāful-e-yār gila kis zabāñ siiñ karūñ bayāñ

ki sharāb-e-sad-qadah aarzū ḳhum-e-dil meñ thī so bharī rahī

nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin karun bayan

ki sharab-e-sad-qadah aarzu KHum-e-dil mein thi so bhari rahi

abas in shahriyoñ meñ vaqt apnā ham kiye zaa.e

kisī majnūñ sohbat baiTh dīvāne hue hote

abas in shahriyon mein waqt apna hum kiye zae

kisi majnun ki sohbat baiTh diwane hue hote

kaan meñ hai tere motī āb-dār

kisī āshiq aañsū bolnā

kan mein hai tere moti aab-dar

ya kisi aashiq ka aansu bolna

but-parastoñ kuuñ hai īmān-e-haqīqī vasl-e-but

barg-e-gul hai bulbuloñ kuuñ jald-e-qur.ān-e-majīd

but-paraston kun hai iman-e-haqiqi wasl-e-but

barg-e-gul hai bulbulon kun jald-e-quran-e-majid

dil le gayā hai mujh kuuñ de ummīd-e-dil-dahī

zālim kabhī to lā.egā merā liyā huā

dil le gaya hai mujh kun de ummid-e-dil-dahi

zalim kabhi to laega mera liya hua

mujh rañg zard uupar ġhusse siiñ laal mat ho

ai sabz shaal vaale uude rumāl vaale

mujh rang zard upar ghusse sin lal mat ho

ai sabz shaal wale ude rumal wale

kiyā hai jab siiñ amal be-ḳhudī ke hākim ne

ḳhirad-nagar ra.ī.yat huī hai ba-gurez

kiya hai jab sin amal be-KHudi ke hakim ne

KHirad-nagar ki raiyat hui hai ru ba-gurez

tahqīq nazar siiñ āḳhir kuuñ ham ne dekhā

akasr haiñ maal vaale kam haiñ kamāl vaale

tahqiq ki nazar sin aaKHir kun hum ne dekha

akasr hain mal wale kam hain kamal wale

hākim-e-ishq ne jab aql taqsīr sunī

ho ġhazab hukm diyā des nikālā karne

hakim-e-ishq ne jab aql ki taqsir suni

ho ghazab hukm diya des nikala karne

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now