SEARCH RESULTS
Showing search results for "सज़ा-ए-मौत"
Ghazal MATCHES FOR "सज़ा-ए-मौत"
Ghazal
mujh ko sazaa-e-maut kaa dhoka diyaa gayaa
meraa vajuud mujh me.n hii dafnaa diyaa gayaa
Saleem Ansari
Ghazal
tumhaare saath gunaaho.n me.n hote shaamil to
sazaa-e-maut se pahle hii mar ga.e hote
Nazar Dwivedi
Ghazal
sazaa-e-maut nahii.n umr-qaid kaaTo.ge
ye hukm aa hii gayaa dil kii raajdhaanii se
Amit Sharma Meet
Ghazal
mudda.ii KHush the sazaa-e-maut par 'taariq' magar
kyo.n mujhe munsif kaa chehra itnaa afsurda lagaa
Tariq Mustafa
Ghazal
haq baat ke evaz me.n milii hai sazaa-e-maut
gustaaKHii-e-zabaa.n pe nadaamat nahii.n mujhe
Shafaq Tanveer
Ghazal
jiivan sazaa-e-maut se pahle kaa khel hai
sab ko hai ye milii hu.ii mohlat guzaarnaa
Imdad Akash
Ghazal
de sazaa-e-maut yaa phir baKHsh de tuu zindagii
kashmakash se yaar terii saKHt ghabraataa huu.n mai.n
Alok Yadav
Ghazal
Gariib-e-shahr thaa aa.nkho.n me.n thii anaa zinda
sazaa-e-maut na detaa to shaah kyaa kartaa
Syed Shakeel Desnavi
Ghazal
merii sazaa-e-maut pe ik jashn thaa bapaa
vo shor thaa ki merii fuGaa.n kaaT dii ga.ii
Nasir Amrohvi
Ghazal
ga.e vo din ki tirii dushmanii se Darte the
sazaa-e-maut hai.n ab to tirii panaahe.n bhii
Dilnawaz Siddiqi
Ghazal
ham ne kiyaa qubuul 'adaalat me.n shauq se
de do sazaa-e-maut KHataa kar chuke hai.n ham
Nazar Dwivedi
Ghazal
mujh ko sazaa-e-maut milii hai jo 'ishq me.n
terii sazaa hai dekh tuu marte hu.e mujhe
Kuldeep Kumar
Ghazal
phir ho rahii hai pursish-e-aamaal roz-e-hashr
yaarab sazaa-e-maut ga.ii kis hisaab me.n
Sahir Siyalkoti
Ghazal
bas najaat-e-zindagii to ishq-e-ruuhaanii me.n hai
ye sazaa-e-maut sun kar jism hairaanii me.n hai
Aleena Itrat
Ghazal
sazaa-e-maut se bad-tar hai aagahii kii sazaa
shu.uur-e-harf ke zindaa.n me.n jal bujhe ham log
Rehana Roohi
Ghazal
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
jism ke KHol me.n ik shahr-e-anaa rakkhaa hai
naam jiivan kaa tabhii ham ne sazaa rakkhaa hai
Ibn-e-Ummeed
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
roz-e-jazaa umiid hai sab ko sazaa mile
iqdaam-e-qatl me.n hai.n mire sab hasii.n shariik