SEARCH RESULTS
Showing search results for "ravaadaar"
Ghazal MATCHES FOR "ravaadaar"
Ghazal
bas ik nigaah se luTtaa hai qaafila dil kaa
so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
aa.nkh uThaa kar jo ravaadaar na thaa dekhne kaa
vahii dil kartaa hai ab minnat o zaarii us kii
Parveen Shakir
Ghazal
ishq hamdardii-e-aalam kaa ravaadaar nahii.n
ho ga.ii bhuul 'firaaq' aap ke Gam-KHvaaro.n se
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ham is se mataa-e-dil-o-jaa.n maa.ng rahe hai.n
jo ek tabassum kaa ravaadaar nahii.n hai
Baqi Siddiqui
Ghazal
insaaniyat ke dard kaa hai tarjumaa.n bashiir
ye be-muravvatii kaa ravaadaar nahii.n hai
Basheer Ahmad Basheer
Ghazal
sahraa ke gard-o-garm hii ab raas aa ga.e
'siimaa' kisii chaman ke ravaadaar ham nahii.n
Seema Gupta
Ghazal
ik phal ke ravaadaar na the KHuld-e-barii.n me.n
dil terii bahishto.n kii talab chho.D gayaa hai
Idris Azad
Ghazal
be-laus-o-ravaadaar tumhaarii hii tarah ho
dushman bhii mire yaar tumhaarii hii tarah ho
Zohheb Farooqui Afrang
Ghazal
ban ravaadaar ye apno.n kii shikaayat kaisii
naam isii kaa to muravvat hai ki nuqsaan uThaa
Natiq Gulavthi
Ghazal
moh letaa hai vo guftaar se duniyaa bhar ko
baat karne kaa ravaadaar nahii.n hai ghar me.n
Shahnaz Parveen Sahar
Ghazal
mai.n jis ko dekhne kii ravaa-daar tak na thii
sar us ke saamne bhii jhukaanaa pa.Daa mujhe
Sughra Sadaf
Ghazal
ab shikaayat na karo aap ne jo dard diye
ham ko piine kaa ravaadaar banaa dete hai.n
Idris Azad
Ghazal
mai.n KHud se nibhaane kaa ravaadaar nahii.n thaa
ye pahlii mohabbat mire ham-zaad kii zid hai
Ikram Azam
Ghazal
Shayar Jamali
Ghazal
us pe hote hai.n zamaane ke karam ai 'afzal'
ik zaraa se jo karam kaa bhii ravaadaar na ho
Afzal Peshawari
Ghazal
ishq karte hii hu.e apne paraa.e dushman
baat karne kaa ko.ii mujh se ravaadaar na thaa
Ishrat Safipuri
Ghazal
is daur me.n karam kaa ravaadaar kaun hai
pachtaa.e kyuu.n ko.ii sitam-e-naa-ravaa ke ba.ad
Tilok Chand Mahroom
Ghazal
miTte hai.n bebasii ke ravaadaar is tarah
ghiste hai.n jaise bhurbhure patthar zaraa zaraa