Sher on Khizan
Autumn is not only a
season in poetry; it is also a powerful symbol. It represents a state of life that is the opposite of spring, and brings suffering. This is represented as a season of separation in the life of a lover. It may also be a symbol of suffering in life. Read some of these verses and consider its multiple representations.
mirī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī kā alam nahīñ
jise tere ġham se ho vāsta vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
-
Tags : Bahaarand 2 more
afsurdagī bhī husn hai tābindagī bhī husn
ham ko ḳhizāñ ne tum ko sañvārā bahār ne
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne
-
Tags : Bahaarand 1 more
putliyāñ tak bhī to phir jaatī haiñ dekho dam-e-naz.a
vaqt paḌtā hai to sab aañkh churā jaate haiñ
putliyan tak bhi to phir jati hain dekho dam-e-naza
waqt paDta hai to sab aankh chura jate hain
mirī bahār meñ aalam ḳhizāñ kā rahtā hai
huā jo vasl to khaTkā rahā judā.ī kā
meri bahaar mein aalam KHizan ka rahta hai
hua jo wasl to khaTka raha judai ka
ai ḳhizāñ bhaag jā chaman se shitāb
varna fauj-e-bahār aave hai
ai KHizan bhag ja chaman se shitab
warna fauj-e-bahaar aawe hai
-
Tag : Bahaar
jo thī bahār to gaate rahe bahār kā raag
ḳhizāñ jo aa.ī to ham ho ga.e ḳhizāñ kī taraf
jo thi bahaar to gate rahe bahaar ka rag
KHizan jo aai to hum ho gae KHizan ki taraf
ḳhizāñ jab tak chalī jaatī nahīñ hai
chaman vāloñ ko niiñd aatī nahīñ hai
KHizan jab tak chali jati nahin hai
chaman walon ko nind aati nahin hai
ajab bahār dikhā.ī lahū ke chhīñToñ ne
ḳhizāñ kā rañg bhī rañg-e-bahār jaisā thā
ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne
KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha
guloñ kā daur hai bulbul maze bahār meñ luuT
ḳhizāñ machāegī aate hī is dayār meñ luuT
gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT
kyā ḳhabar mujh ko ḳhizāñ kyā chiiz hai kaisī bahār
āñkheñ kholīñ aa ke maiñ ne ḳhāna-e-sayyād meñ
kya KHabar mujh ko KHizan kya chiz hai kaisi bahaar
aankhen kholin aa ke main ne KHana-e-sayyaad mein
ra.anā.ī-e-bahār pe the sab farefta
afsos koī mahram-e-rāz-e-ḳhizāñ na thā
ranai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-KHizan na tha
ḳhizāñ kā zahr saare shahr kī rag rag meñ utrā hai
galī-kūchoñ meñ ab to zard chehre dekhne hoñge
KHizan ka zahr sare shahr ki rag rag mein utra hai
gali-kuchon mein ab to zard chehre dekhne honge