Sher of Munawwar Rana
ab judā.ī ke safar ko mire āsān karo
tum mujhe ḳhvāb meñ aa kar na pareshān karo
ab judai ke safar ko mere aasan karo
tum mujhe KHwab mein aa kar na pareshan karo
tumhārī āñkhoñ kī tauhīn hai zarā socho
tumhārā chāhne vaalā sharāb piitā hai
tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho
tumhaara chahne wala sharab pita hai
chaltī phirtī huī ā.ankhoñ se azaañ dekhī hai
maiñ ne jannat to nahīñ dekhī hai maañ dekhī hai
chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai
main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai
abhī zinda hai maañ merī mujhe kuchh bhī nahīñ hogā
maiñ ghar se jab nikaltā huuñ duā bhī saath chaltī hai
abhi zinda hai man meri mujhe kuchh bhi nahin hoga
main ghar se jab nikalta hun dua bhi sath chalti hai
is tarah mere gunāhoñ ko vo dho detī hai
maañ bahut ġhusse meñ hotī hai to ro detī hai
is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai
man bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai
kisī ko ghar milā hisse meñ yā koī dukāñ aa.ī
maiñ ghar meñ sab se chhoTā thā mire hisse meñ maañ aa.ī
kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai
main ghar mein sab se chhoTa tha mere hisse mein man aai
-
Tag : Mother
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab bhī kashtī mirī sailāb meñ aa jaatī hai
maañ duā kartī huī ḳhvāb meñ aa jaatī hai
jab bhi kashti meri sailab mein aa jati hai
man dua karti hui KHwab mein aa jati hai
ek aañsū bhī hukūmat ke liye ḳhatra hai
tum ne dekhā nahīñ ā.ankhoñ kā samundar honā
ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra hai
tum ne dekha nahin aaankhon ka samundar hona
so jaate haiñ fōtpath pe aḳhbār bichhā kar
mazdūr kabhī niiñd kī golī nahīñ khāte
so jate hain footpath pe aKHbar bichha kar
mazdur kabhi nind ki goli nahin khate
-
Tag : Mazdoor
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kal apne-āp ko dekhā thā maañ kī āñkhoñ meñ
ye ā.īna hameñ būḌhā nahīñ batātā hai
kal apne-ap ko dekha tha man ki aankhon mein
ye aaina hamein buDha nahin batata hai
ye soch ke maañ baap kī ḳhidmat meñ lagā huuñ
is peḌ kā saayā mire bachchoñ ko milegā
ye soch ke man bap ki KHidmat mein laga hun
is peD ka saya mere bachchon ko milega
tere dāman meñ sitāre haiñ to hoñge ai falak
mujh ko apnī maañ kī mailī oḌhnī achchhī lagī
tere daman mein sitare hain to honge ai falak
mujh ko apni man ki maili oDhni achchhi lagi
kuchh bikhrī huī yādoñ ke qisse bhī bahut the
kuchh us ne bhī bāloñ ko khulā chhoḌ diyā thā
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khula chhoD diya tha
munavvar maañ ke aage yuuñ kabhī khul kar nahīñ ronā
jahāñ buniyād ho itnī namī achchhī nahīñ hotī
munawwar man ke aage yun kabhi khul kar nahin rona
jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti
barbād kar diyā hameñ pardes ne magar
maañ sab se kah rahī hai ki beTā maze meñ hai
barbaad kar diya hamein pardes ne magar
man sab se kah rahi hai ki beTa maze mein hai
farishte aa kar un ke jism par ḳhushbū lagāte haiñ
vo bachche rail ke Dibboñ meñ jo jhāḌū lagāte haiñ
farishte aa kar un ke jism par KHushbu lagate hain
wo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain
tumhārā naam aayā aur ham takne lage rasta
tumhārī yaad aa.ī aur khiḌkī khol dī ham ne
tumhaara nam aaya aur hum takne lage rasta
tumhaari yaad aai aur khiDki khol di hum ne
ye aisā qarz hai jo maiñ adā kar hī nahīñ saktā
maiñ jab tak ghar na lauTūñ merī maañ sajde meñ rahtī hai
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta
main jab tak ghar na lauTun meri man sajde mein rahti hai
tamām jism ko āñkheñ banā ke raah tako
tamām khel mohabbat meñ intizār kā hai
tamam jism ko aankhen bana ke rah tako
tamam khel mohabbat mein intizar ka hai
tumheñ bhī niiñd sī aane lagī hai thak ga.e ham bhī
chalo ham aaj ye qissa adhūrā chhoḌ dete haiñ
tumhein bhi nind si aane lagi hai thak gae hum bhi
chalo hum aaj ye qissa adhura chhoD dete hain
maiñ ne kal shab chāhatoñ kī sab kitābeñ phaaḌ deñ
sirf ik kāġhaz pe likkhā lafz-e-māñ rahne diyā
main ne kal shab chahaton ki sab kitaben phaD den
sirf ek kaghaz pe likkha lafz-e-man rahne diya
ham nahīñ the to kyā kamī thī yahāñ
ham na hoñge to kyā kamī hogī
hum nahin the to kya kami thi yahan
hum na honge to kya kami hogi
kisī ke zaḳhm par chāhat se paTTī kaun bāñdhegā
agar bahneñ nahīñ hoñgī to rākhī kaun bāñdhegā
kisi ke zaKHm par chahat se paTTi kaun bandhega
agar bahnen nahin hongi to rakhi kaun bandhega
-
Tag : Raksha Bandhan
din bhar kī mashaqqat se badan chuur hai lekin
maañ ne mujhe dekhā to thakan bhuul ga.ī hai
din bhar ki mashaqqat se badan chur hai lekin
man ne mujhe dekha to thakan bhul gai hai
lipaT jaatā huuñ maañ se aur mausī muskurātī hai
maiñ urdu meñ ġhazal kahtā huuñ hindī muskurātī hai
lipaT jata hun man se aur mausi muskuraati hai
main urdu mein ghazal kahta hun hindi muskuraati hai
shahr ke raste hoñ chāhe gaañv kī pagDañDiyāñ
maañ kī uñglī thaam kar chalnā bahut achchhā lagā
shahr ke raste hon chahe ganw ki pagDanDiyan
man ki ungli tham kar chalna bahut achchha laga
bachchoñ kī fees un kī kitābeñ qalam davāt
merī ġharīb āñkhoñ meñ schōl chubh gayā
bachchon ki fees un ki kitaben qalam dawat
meri gharib aankhon mein school chubh gaya
tumhāre shahr meñ mayyat ko sab kāñdhā nahīñ dete
hamāre gaañv meñ chhappar bhī sab mil kar uThāte haiñ
tumhaare shahr mein mayyat ko sab kandha nahin dete
hamare ganw mein chhappar bhi sab mil kar uThate hain
gar kabhī ronā hī paḌ jaa.e to itnā ronā
aa ke barsāt tire sāmne tauba kar le
gar kabhi rona hi paD jae to itna rona
aa ke barsat tere samne tauba kar le
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sagī bahnoñ kā jo rishta hai urdu aur hindī meñ
kahīñ duniyā kī do zinda zabānoñ meñ nahīñ miltā
sagi bahnon ka jo rishta hai urdu aur hindi mein
kahin duniya ki do zinda zabanon mein nahin milta
hañs ke miltā hai magar kaafī thakī lagtī haiñ
us kī āñkheñ ka.ī sadiyoñ kī jagī lagtī haiñ
hans ke milta hai magar kafi thaki lagti hain
us ki aankhen kai sadiyon ki jagi lagti hain
daulat se mohabbat to nahīñ thī mujhe lekin
bachchoñ ne khilaunoñ kī taraf dekh liyā thā
daulat se mohabbat to nahin thi mujhe lekin
bachchon ne khilaunon ki taraf dekh liya tha
phir karbalā ke ba.ad dikhā.ī nahīñ diyā
aisā koī bhī shaḳhs ki pyāsā kaheñ jise
phir karbala ke baad dikhai nahin diya
aisa koi bhi shaKHs ki pyasa kahen jise
bojh uThānā shauq kahāñ hai majbūrī kā saudā hai
rahte rahte station par log qulī ho jaate haiñ
bojh uThana shauq kahan hai majburi ka sauda hai
rahte rahte station par log quli ho jate hain
ye soch kar ki tirā intizār lāzim hai
tamām umr ghaḌī kī taraf nahīñ dekhā
ye soch kar ki tera intizar lazim hai
tamam umr ghaDi ki taraf nahin dekha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ghar meñ rahte hue ġhairoñ kī tarah hotī haiñ
laḌkiyāñ dhaan ke paudoñ kī tarah hotī haiñ
ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain
laDkiyan dhan ke paudon ki tarah hoti hain
-
Tag : Aurat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maañ ḳhvāb meñ aa kar ye batā jaatī hai har roz
bosīda sī oḌhī huī is shaal meñ ham haiñ
man KHwab mein aa kar ye bata jati hai har roz
bosida si oDhi hui is shaal mein hum hain
kisī kī yaad aatī hai to ye bhī yaad aatā hai
kahīñ chalne kī zid karnā mirā tayyār ho jaanā
kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai
kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab aap kī marzī hai sambhāleñ na sambhāleñ
ḳhushbū kī tarah aap ke rūmāl meñ ham haiñ
ab aap ki marzi hai sambhaalen na sambhaalen
KHushbu ki tarah aap ke rumal mein hum hain
mire bachchoñ meñ saarī ādateñ maujūd haiñ merī
to phir in bad-nasīboñ ko na kyuuñ urdu zabāñ aa.ī
mere bachchon mein sari aadaten maujud hain meri
to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai
-
Tag : Urdu
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat ek pākīza amal hai is liye shāyad
simaT kar sharm saarī ek bose meñ chalī aa.ī
mohabbat ek pakiza amal hai is liye shayad
simaT kar sharm sari ek bose mein chali aai
miTTī kā badan kar diyā miTTī ke havāle
miTTī ko kahīñ tāj-mahal meñ nahīñ rakkhā
miTTi ka badan kar diya miTTi ke hawale
miTTi ko kahin taj-mahal mein nahin rakkha
khilaunoñ kī dukānoñ kī taraf se aap kyuuñ guzre
ye bachche kī tamannā hai ye samjhautā nahīñ kartī
khilaunon ki dukanon ki taraf se aap kyun guzre
ye bachche ki tamanna hai ye samjhauta nahin karti
ai ḳhāk-e-vatan tujh se maiñ sharminda bahut huuñ
mahñgā.ī ke mausam meñ ye tyauhār paḌā hai
ai KHak-e-watan tujh se main sharminda bahut hun
mahngai ke mausam mein ye tyauhaar paDa hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq hai to ishq kā iz.hār honā chāhiye
aap ko chehre se bhī bīmār honā chāhiye
ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye
aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye
pheñkī na 'munavār' ne buzurgoñ kī nishānī
dastār purānī hai magar bāñdhe hue hai
phenki na 'munawar' ne buzurgon ki nishani
dastar purani hai magar bandhe hue hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har chehre meñ aatā hai nazar ek hī chehrā
lagtā hai koī merī nazar bāñdhe hue hai
har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra
lagta hai koi meri nazar bandhe hue hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
khilaunoñ ke liye bachche abhī tak jāgte hoñge
tujhe ai muflisī koī bahāna DhūñD lenā hai
khilaunon ke liye bachche abhi tak jagte honge
tujhe ai muflisi koi bahana DhunD lena hai
kisī din merī rusvā.ī kā ye kāran na ban jaa.e
tumhārā shahr se jaanā mirā bīmār ho jaanā
kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae
tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download