Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muneer Niyazi's Photo'

Muneer Niyazi

1928 - 2006 | Lahore, Pakistan

One of the most outstanding modern poets who wrote both in Urdu and Punjabi. Also a film lyricist.

One of the most outstanding modern poets who wrote both in Urdu and Punjabi. Also a film lyricist.

Sher of Muneer Niyazi

81.4K
Favorite

SORT BY

ye kaisā nashsha hai maiƱ kis ajab įø³humār meƱ huuƱ

tÅ« aa ke jā bhÄ« chukā hai maiƱ intizār meƱ huuƱ

ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun

tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun

kisī ko apne amal kā hisāb kyā dete

savāl saare Ĕhalat the javāb kyā dete

kisi ko apne amal ka hisab kya dete

sawal sare ghalat the jawab kya dete

āvāz de ke dekh lo shāyad vo mil hī jaa.e

varna ye umr bhar kā safar rā.egāƱ to hai

aawaz de ke dekh lo shayad wo mil hi jae

warna ye umr bhar ka safar raegan to hai

jāntā huuƱ ek aise shaįø³hs ko maiƱ bhÄ« 'munÄ«r'

Ĕham se patthar ho gayā lekin kabhī royā nahīƱ

jaanta hun ek aise shaKHs ko main bhi 'munir'

gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin

įø³hvāb hote haiƱ dekhne ke liye

un meƱ jā kar magar rahā na karo

KHwab hote hain dekhne ke liye

un mein ja kar magar raha na karo

muddat ke ba.ad aaj use dekh kar 'munīr'

ik baar dil to dhaįøŒkā magar phir sambhal gayā

muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'

ek bar dil to dhaDka magar phir sambhal gaya

įø³hayāl jis kā thā mujhe įø³hayāl meƱ milā mujhe

savāl kā javāb bhī savāl meƱ milā mujhe

KHayal jis ka tha mujhe KHayal mein mila mujhe

sawal ka jawab bhi sawal mein mila mujhe

Ĕham kī bārish ne bhī tere naqsh ko dhoyā nahīƱ

tÅ« ne mujh ko kho diyā maiƱ ne tujhe khoyā nahīƱ

gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin

tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin

mohabbat ab nahīƱ hogī ye kuchh din ba.ad meƱ hogī

guzar jā.eƱge jab ye din ye un kī yaad meƱ hogī

mohabbat ab nahin hogi ye kuchh din baad mein hogi

guzar jaenge jab ye din ye un ki yaad mein hogi

aadat hī banā lī hai tum ne to 'munīr' apnī

jis shahr meƱ bhī rahnā uktā.e hue rahnā

aadat hi bana li hai tum ne to 'munir' apni

jis shahr mein bhi rahna uktae hue rahna

ik aur dariyā kā sāmnā thā 'munīr' mujh ko

maiƱ ek dariyā ke paar utrā to maiƱ ne dekhā

ek aur dariya ka samna tha 'munir' mujh ko

main ek dariya ke par utra to main ne dekha

ab kaun muntazir hai hamāre liye vahāƱ

shaam aa ga.ī hai lauT ke ghar jaa.eƱ ham to kyā

ab kaun muntazir hai hamare liye wahan

sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya

apnī hī teĔh-e-adā se aap ghāyal ho gayā

chāƱd ne paanī meƱ dekhā aur pāgal ho gayā

apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya

chand ne pani mein dekha aur pagal ho gaya

įø³hvāhisheƱ haiƱ ghar se bāhar duur jaane kÄ« bahut

shauq lekin dil meƱ vāpas lauT kar aane kā thā

KHwahishen hain ghar se bahar dur jaane ki bahut

shauq lekin dil mein wapas lauT kar aane ka tha

thake logoƱ ko majbÅ«rÄ« meƱ chalte dekh letā huuƱ

maiƱ bas kÄ« khiįøŒkiyoƱ se ye tamāshe dekh letā huuƱ

thake logon ko majburi mein chalte dekh leta hun

main bas ki khiDkiyon se ye tamashe dekh leta hun

shahr kā tabdīl honā shaad rahnā aur udaas

raunaqeƱ jitnī yahāƱ haiƱ auratoƱ ke dam se haiƱ

shahr ka tabdil hona shad rahna aur udas

raunaqen jitni yahan hain auraton ke dam se hain

vaqt kis tezī se guzrā roz-marra meƱ 'munīr'

aaj kal hotā gayā aur din havā hote ga.e

waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir'

aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae

vo jis ko maiƱ samajhtā rahā kāmyāb din

vo din thā merÄ« umr kā sab se įø³harāb din

wo jis ko main samajhta raha kaamyab din

wo din tha meri umr ka sab se KHarab din

aa ga.ī yaad shaam Dhalte hī

bujh gayā dil charāĔh jalte hī

aa gai yaad sham Dhalte hi

bujh gaya dil charagh jalte hi

koī to hai 'munīr' jise fikr hai mirī

ye jaan kar ajiib sī hairat huī mujhe

koi to hai 'munir' jise fikr hai meri

ye jaan kar ajib si hairat hui mujhe

kal maiƱ ne us ko dekhā to dekhā nahīƱ gayā

mujh se bichhaįøŒ ke vo bhÄ« bahut Ä”ham se chuur thā

kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya

mujh se bichhaD ke wo bhi bahut gham se chur tha

pÅ«chhte haiƱ ki kyā huā dil ko

husn vāloƱ kī sādgī na ga.ī

puchhte hain ki kya hua dil ko

husn walon ki sadgi na gai

maiƱ to 'munÄ«r' ā.Ä«ne meƱ įø³hud ko tak kar hairān huā

ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meƱ

main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua

ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein

'munīr' achchhā nahīƱ lagtā ye terā

kisī ke hijr meƱ bīmār honā

'munir' achchha nahin lagta ye tera

kisi ke hijr mein bimar hona

kaTÄ« hai jis ke įø³hayāloƱ meƱ umr apnÄ« 'munÄ«r'

mazā to jab hai ki us shoįø³h ko patā hÄ« na ho

kaTi hai jis ke KHayalon mein umr apni 'munir'

maza to jab hai ki us shoKH ko pata hi na ho

kisī akelī shaam kī chup meƱ

giit purāne gā ke dekho

kisi akeli sham ki chup mein

git purane ga ke dekho

kuchh din ke ba.ad us se judā ho ga.e 'munīr'

us bevafā se apnī tabī.at nahīƱ milī

kuchh din ke baad us se juda ho gae 'munir'

us bewafa se apni tabiat nahin mili

makāƱ hai qabr jise log įø³hud banāte haiƱ

maiƱ apne ghar meƱ huuƱ yā maiƱ kisī mazār meƱ huuƱ

makan hai qabr jise log KHud banate hain

main apne ghar mein hun ya main kisi mazar mein hun

tum mere liye itne pareshān se kyuuƱ ho

maiƱ Duub bhī jaatā to kahīƱ aur ubhartā

tum mere liye itne pareshan se kyun ho

main Dub bhi jata to kahin aur ubharta

maiƱ us ko dekh ke chup thā usī kī shādī meƱ

mazā to saarā isī rasm ke nibāh meƱ thā

main us ko dekh ke chup tha usi ki shadi mein

maza to sara isi rasm ke nibah mein tha

kitne yaar haiƱ phir bhī 'munīr' is ābādī meƱ akelā hai

apne hī Ĕham ke nashshe se apnā jī bahlātā hai

kitne yar hain phir bhi 'munir' is aabaadi mein akela hai

apne hi gham ke nashshe se apna ji bahlata hai

zinda raheƱ to kyā hai jo mar jaa.eƱ ham to kyā

duniyā se įø³hāmushÄ« se guzar jaa.eƱ ham to kyā

zinda rahen to kya hai jo mar jaen hum to kya

duniya se KHamushi se guzar jaen hum to kya

kuchh vaqt chāhte the ki socheƱ tire liye

tÅ« ne vo vaqt ham ko zamāne nahīƱ diyā

kuchh waqt chahte the ki sochen tere liye

tu ne wo waqt hum ko zamane nahin diya

niiƱd kā halkā gulābÄ« sā įø³humār āƱkhoƱ meƱ thā

yuuƱ lagā jaise vo shab ko der tak soyā nahīƱ

nind ka halka gulabi sa KHumar aankhon mein tha

yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin

'munÄ«r' is įø³hÅ«bsÅ«rat zindagÄ« ko

hamesha ek sā honā nahīƱ hai

'munir' is KHubsurat zindagi ko

hamesha ek sa hona nahin hai

jānte the donoƱ ham us ko nibhā sakte nahīƱ

us ne va.ada kar liyā maiƱ ne bhī va.ada kar liyā

jaante the donon hum us ko nibha sakte nahin

us ne wada kar liya main ne bhi wada kar liya

ĔhairoƱ se mil ke hī sahī be-bāk to huā

baare vo shoįø³h pahle se chālāk to huā

ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua

bare wo shoKH pahle se chaalak to hua

ghaTā dekh kar įø³hush huiiƱ laįøŒkiyāƱ

chhatoƱ par khile phuul barsāt ke

ghaTa dekh kar KHush huin laDkiyan

chhaton par khile phul barsat ke

liye phirā jo mujhe dar-ba-dar zamāne meƱ

įø³hayāl tujh ko dil-e-be-qarār kis kā thā

liye phira jo mujhe dar-ba-dar zamane mein

KHayal tujh ko dil-e-be-qarar kis ka tha

merī saarī zindagī ko be-samar us ne kiyā

umr merī thī magar us ko basar us ne kiyā

meri sari zindagi ko be-samar us ne kiya

umr meri thi magar us ko basar us ne kiya

ek vāris hamesha hotā hai

taįø³ht įø³hālÄ« rahā nahīƱ kartā

ek waris hamesha hota hai

taKHt KHali raha nahin karta

shahr kī galiyoƱ meƱ gahrī tīrgī giryāƱ rahī

raat bādal is tarah aa.e ki maiƱ to Dar gayā

shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryan rahi

raat baadal is tarah aae ki main to Dar gaya

chāhtā huuƱ maiƱ 'munīr' is umr ke anjām par

ek aisī zindagī jo is tarah mushkil na ho

chahta hun main 'munir' is umr ke anjam par

ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho

hai 'munīr' terī nigāh meƱ

koī baat gahre malāl kī

hai 'munir' teri nigah mein

koi baat gahre malal ki

miltī nahīƱ panāh hameƱ jis zamīn par

ik hashr us zamīƱ pe uThā denā chāhiye

milti nahin panah hamein jis zamin par

ek hashr us zamin pe uTha dena chahiye

rahnā thā us ke saath bahut der tak magar

in roz o shab meƱ mujh ko ye fursat nahīƱ milī

rahna tha us ke sath bahut der tak magar

in roz o shab mein mujh ko ye fursat nahin mili

jurm aadam ne kiyā aur nasl-e-ādam ko sazā

kāTtā huuƱ zindagī bhar maiƱ ne jo boyā nahīƱ

jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza

kaTta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin

kyuuƱ 'munīr' apnī tabāhī kā ye kaisā shikva

jitnā taqdīr meƱ likkhā hai adā hotā hai

kyun 'munir' apni tabahi ka ye kaisa shikwa

jitna taqdir mein likkha hai ada hota hai

dil ajab mushkil meƱ hai ab asl raste kī taraf

yaad pīchhe khīƱchtī hai aas aage kī taraf

dil ajab mushkil mein hai ab asl raste ki taraf

yaad pichhe khinchti hai aas aage ki taraf

achchhī misāl bantīƱ zāhir agar vo hotīƱ

in nekiyoƱ ko ham to dariyā meƱ Daal aa.e

achchhi misal bantin zahir agar wo hotin

in nekiyon ko hum to dariya mein Dal aae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now