Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kaleem Aajiz's Photo'

Kaleem Aajiz

1926 - 2015 | Patna, India

Prominent contemporary Indian poet of classical tone.

Prominent contemporary Indian poet of classical tone.

Sher of Kaleem Aajiz

28.4K
Favorite

SORT BY

vo kahte haiñ har choT par muskurāo

vafā yaad rakkho sitam bhuul jaao

wo kahte hain har choT par muskurao

wafa yaad rakkho sitam bhul jao

baat chāhe be-salīqa ho 'kalīm'

baat kahne salīqa chāhiye

baat chahe be-saliqa ho 'kalim'

baat kahne ka saliqa chahiye

dil dard bhaTTī meñ ka.ī baar jale hai

tab ek ġhazal husn ke sāñche meñ Dhale hai

dil dard ki bhaTTi mein kai bar jale hai

tab ek ghazal husn ke sanche mein Dhale hai

zindagī mā.il-e-fariyād-o-fuġhāñ aaj bhī hai

kal bhī thā siine pe ik sañg-e-girāñ aaj bhī hai

zindagi mail-e-fariyaad-o-fughan aaj bhi hai

kal bhi tha sine pe ek sang-e-giran aaj bhi hai

ye tarz-e-ḳhās hai koī kahāñ se lā.egā

jo ham kaheñge kisī se kahā na jā.egā

ye tarz-e-KHas hai koi kahan se laega

jo hum kahenge kisi se kaha na jaega

ye kaisī bahār-e-chaman aa.ī ki chaman meñ

vīrāna vīrāna hai tā-hadd-e-nazar aaj

ye kaisi bahaar-e-chaman aai ki chaman mein

virana hi virana hai ta-hadd-e-nazar aaj

haañ kuchh bhī to derīna mohabbat bharam rakh

dil se na aa duniyā ko dikhāne ke liye aa

han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh

dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa

āzmānā hai to aa baazū o dil quvvat

bhī shamshīr uThā ham bhī ġhazal kahte haiñ

aazmana hai to aa bazu o dil ki quwwat

tu bhi shamshir uTha hum bhi ghazal kahte hain

ġharaz kisī se na ai dosto kabhū rakhiyo

bas apne haath yahāñ apnī abrū rakhiyo

gharaz kisi se na ai dosto kabhu rakhiyo

bas apne hath yahan apni abru rakhiyo

rakhnā hai kahīñ paañv to rakkho ho kahīñ paañv

chalnā zarā aayā hai to itrā.e chalo ho

rakhna hai kahin panw to rakkho ho kahin panw

chalna zara aaya hai to itrae chalo ho

uThte huoñ ko sab ne sahārā diyā 'kalīm'

girte hue ġharīb sambhāle kahāñ ga.e

uThte huon ko sab ne sahaara diya 'kalim'

girte hue gharib sambhaale kahan gae

mirī shā.erī meñ na raqs-e-jām na mai rañg-fishāniyāñ

vahī dukh-bharoñ hikāyateñ vahī dil-jaloñ kahāniyāñ

meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan

wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan

sunegā kaun merī chāk-dāmānī afsāna

yahāñ sab apne apne pairahan baat karte haiñ

sunega kaun meri chaak-damani ka afsana

yahan sab apne apne pairahan ki baat karte hain

din ek sitam ek sitam raat karo ho

vo dost ho dushman ko bhī tum maat karo ho

din ek sitam ek sitam raat karo ho

wo dost ho dushman ko bhi tum mat karo ho

ġham hai to koī lutf nahīñ bistar-e-gul par

ḳhush hai to kāñToñ pe bhī ārām bahut hai

gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par

ji KHush hai to kanTon pe bhi aaram bahut hai

merī ġhazal ko merī jaañ faqat ġhazal na samajh

ik aa.ina hai jo har dam tire muqābil hai

meri ghazal ko meri jaan faqat ghazal na samajh

ek aaina hai jo har dam tere muqabil hai

apnā dil sīna-e-ash.ār meñ rakh dete haiñ

kuchh haqīqat bhī zarūrī hai fasāne ke liye

apna dil sina-e-ashaar mein rakh dete hain

kuchh haqiqat bhi zaruri hai fasane ke liye

apnā lahū bhar kar logoñ ko baañT ga.e paimāne log

duniyā bhar ko yaad raheñge ham jaise dīvāne log

apna lahu bhar kar logon ko banT gae paimane log

duniya bhar ko yaad rahenge hum jaise diwane log

mai-kade taraf chalā zāhid

sub.h bhūlā shaam ghar aayā

the priest now proceeds towards the tavern's door

to the true path returns he who strayed before

mai-kade ki taraf chala zahid

subh ka bhula sham ghar aaya

the priest now proceeds towards the tavern's door

to the true path returns he who strayed before

tumheñ yaad na aa.uuñ ye hai aur baat varna

maiñ nahīñ huuñ duur itnā ki salām tak na pahuñche

tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna

main nahin hun dur itna ki salam tak na pahunche

sunā hai hameñ bevafā tum kaho ho

zarā ham se āñkheñ milā lo to jāneñ

suna hai hamein bewafa tum kaho ho

zara hum se aankhen mila lo to jaanen

unhīñ ke giit zamāne meñ gaa.e jā.eñge

jo choT khā.eñge aur muskurā.e jā.eñge

unhin ke git zamane mein gae jaenge

jo choT khaenge aur muskurae jaenge

kyā sitam hai ki vo zālim bhī hai mahbūb bhī hai

yaad karte na bane aur bhulā.e na bane

kya sitam hai ki wo zalim bhi hai mahbub bhi hai

yaad karte na bane aur bhulae na bane

ab insānoñ bastī ye aalam hai ki mat pūchho

lage hai aag ik ghar meñ to ham-sāya havā de hai

ab insanon ki basti ka ye aalam hai ki mat puchho

lage hai aag ek ghar mein to ham-saya hawa de hai

shikāyat un se karnā go musībat mol lenā hai

magar 'ājiz' ġhazal ham be-sunā.e dam nahīñ leñge

shikayat un se karna go musibat mol lena hai

magar 'ajiz' ghazal hum be-sunae dam nahin lenge

marnā to bahut sahal ik baat lage hai

jiinā mohabbat meñ karāmāt lage hai

marna to bahut sahal si ek baat lage hai

jina hi mohabbat mein karamat lage hai

ishq meñ maut naam hai zindagī

jis ko jiinā ho marnā gavārā kare

Life is but another name / for the death, in Love' domain

He who wants to live, should first / be willing to be slain

ishq mein maut ka nam hai zindagi

jis ko jina ho marna gawara kare

Life is but another name / for the death, in Love' domain

He who wants to live, should first / be willing to be slain

guzar jā.eñge jab din guzre aalam yaad ā.eñge

hameñ tum yaad aaoge tumheñ ham yaad ā.eñge

guzar jaenge jab din guzre aalam yaad aaenge

hamein tum yaad aaoge tumhein hum yaad aaenge

bahut dushvār samjhānā hai ġham

samajh lene meñ dushvārī nahīñ hai

bahut dushwar samjhana hai gham ka

samajh lene mein dushwari nahin hai

hamāre qatl se qātil ko tajraba ye huā

lahū lahū bhī hai mehñdī bhī hai sharāb bhī hai

hamare qatl se qatil ko tajraba ye hua

lahu lahu bhi hai mehndi bhi hai sharab bhi hai

ḳhamoshī meñ har baat ban jaa.e hai

jo bole hai dīvāna kahlā.e hai

KHamoshi mein har baat ban jae hai

jo bole hai diwana kahlae hai

vo sitam na Dhaa.e to kyā kare use kyā ḳhabar ki vafā hai kyaa?

usī ko pyaar kare hai kyuuñ ye 'kalīm' tujh ko huā hai kyaa?

wo sitam na Dhae to kya kare use kya KHabar ki wafa hai kya?

tu usi ko pyar kare hai kyun ye 'kalim' tujh ko hua hai kya?

tapish patiñgoñ ko baḳhsh deñge lahū charāġhoñ meñ Dhaal deñge

ham un mahfil meñ rah ga.e haiñ to un mahfil sambhāl deñge

tapish patingon ko baKHsh denge lahu charaghon mein Dhaal denge

hum un ki mahfil mein rah gae hain to un ki mahfil sambhaal denge

tujhe sañg-dil ye pata hai kyā ki dukhe diloñ sadā hai kyaa?

kabhī choT ne bhī khaa.ī hai kabhī terā dil bhī dukhā hai kyaa?

tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya?

kabhi choT tu ne bhi khai hai kabhi tera dil bhi dukha hai kya?

duniyā meñ ġharīboñ ko do kaam aate haiñ

khāne ke liye jiinā jiine ke liye khānā

duniya mein gharibon ko do kaam hi aate hain

khane ke liye jina jine ke liye khana

kare hai adāvat bhī vo is adā se

lage hai ki jaise mohabbat kare hai

kare hai adawat bhi wo is ada se

lage hai ki jaise mohabbat kare hai

zarā dekh aa.ina merī vafā

ki kaisā thā ab kaisā lage hai

zara dekh aaina meri wafa ka

ki tu kaisa tha ab kaisa lage hai

na jaane ruuTh ke baiThā hai dil chain kahāñ

mile to us ko hamārā koī salām kahe

na jaane ruTh ke baiTha hai dil ka chain kahan

mile to us ko hamara koi salam kahe

maiñ mohabbat na chhupā.ūñ adāvat na chhupā

na yahī raaz meñ ab hai na vahī raaz meñ hai

main mohabbat na chhupaun tu adawat na chhupa

na yahi raaz mein ab hai na wahi raaz mein hai

mirā haal pūchh ke ham-nashīñ mire soz-e-dil ko havā na de

bas yahī duā maiñ karūñ huuñ ab ki ye ġham kisī ko ḳhudā na de

mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de

bas yahi dua main karun hun ab ki ye gham kisi ko KHuda na de

vo baat zarā jise kahte haiñ ġham-e-dil

samjhāne meñ ik umr guzar jaa.e hai pyāre

wo baat zara si jise kahte hain gham-e-dil

samjhane mein ek umr guzar jae hai pyare

ik ghar bhī salāmat nahīñ ab shahr-e-vafā meñ

aag lagāne ko kidhar jaa.e hai pyāre

ek ghar bhi salamat nahin ab shahr-e-wafa mein

tu aag lagane ko kidhar jae hai pyare

mai meñ koī ḳhāmī hai na sāġhar meñ koī khoT

piinā nahīñ aa.e hai to chhalkā.e chalo ho

mai mein koi KHami hai na saghar mein koi khoT

pina nahin aae hai to chhalkae chalo ho

mausam-e-gul hameñ jab yaad aayā

jitnā ġham bhūle the sab yaad aayā

mausam-e-gul hamein jab yaad aaya

jitna gham bhule the sab yaad aaya

dāman pe koī chhīñT na ḳhanjar pe koī daaġh

tum qatl karo ho ki karāmāt karo ho

daman pe koi chhinT na KHanjar pe koi dagh

tum qatl karo ho ki karamat karo ho

idhar aa ham dikhāte haiñ ġhazal aa.ina tujh ko

ye kis ne kah diyā gesū tire barham nahīñ pyāre

idhar aa hum dikhate hain ghazal ka aaina tujh ko

ye kis ne kah diya gesu tere barham nahin pyare

bhalā aadmī thā pa nādān niklā

sunā hai kisī se mohabbat kare hai

bhala aadmi tha pa nadan nikla

suna hai kisi se mohabbat kare hai

dil thaam ke karvaT pe liye jā.ūñ huuñ karvaT

vo aag lagī hai ki bujhā.e na bane hai

dil tham ke karwaT pe liye jaun hun karwaT

wo aag lagi hai ki bujhae na bane hai

kal kahte rahe haiñ vahī kal kahte raheñge

har daur meñ ham un pe ġhazal kahte raheñge

kal kahte rahe hain wahi kal kahte rahenge

har daur mein hum un pe ghazal kahte rahenge

vahī to umr mere dard-e-dil bhī hogī

tire shabāb ye kaun saal hai pyāre

wahi to umr mere dard-e-dil ki bhi hogi

tere shabab ka ye kaun sal hai pyare

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now