Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Munawwar Rana's Photo'

Munawwar Rana

1952 - 2024 | Lucknow, India

Popular poet having dominating presence in mushairas.

Popular poet having dominating presence in mushairas.

Sher of Munawwar Rana

88.9K
Favorite

SORT BY

tumheñ bhī niiñd aane lagī hai thak ga.e ham bhī

chalo ham aaj ye qissa adhūrā chhoḌ dete haiñ

tumhein bhi nind si aane lagi hai thak gae hum bhi

chalo hum aaj ye qissa adhura chhoD dete hain

farishte aa kar un ke jism par ḳhushbū lagāte haiñ

vo bachche rail ke Dibboñ meñ jo jhāḌū lagāte haiñ

farishte aa kar un ke jism par KHushbu lagate hain

wo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain

ai ḳhāk-e-vatan tujh se maiñ sharminda bahut huuñ

mahñgā.ī ke mausam meñ ye tyauhār paḌā hai

ai KHak-e-watan tujh se main sharminda bahut hun

mahngai ke mausam mein ye tyauhaar paDa hai

aisā lagtā hai ki vo bhuul gayā hai ham ko

ab kabhī khiḌkī pardā nahīñ badlā jaatā

aisa lagta hai ki wo bhul gaya hai hum ko

ab kabhi khiDki ka parda nahin badla jata

hañs ke miltā hai magar kaafī thakī lagtī haiñ

us āñkheñ ka.ī sadiyoñ jagī lagtī haiñ

hans ke milta hai magar kafi thaki lagti hain

us ki aankhen kai sadiyon ki jagi lagti hain

bhale lagte haiñ schōloñ uniform meñ bachche

kañval ke phuul se jaise bharā tālāb rahtā hai

bhale lagte hain schoolon ki uniform mein bachche

kanwal ke phul se jaise bhara talab rahta hai

kisī yaad aatī hai to ye bhī yaad aatā hai

kahīñ chalne zid karnā mirā tayyār ho jaanā

kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai

kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana

maiñ ne kal shab chāhatoñ sab kitābeñ phaaḌ deñ

sirf ik kāġhaz pe likkhā lafz-e-māñ rahne diyā

main ne kal shab chahaton ki sab kitaben phaD den

sirf ek kaghaz pe likkha lafz-e-man rahne diya

station se bāhar aa kar būḌhī āñkheñ soch rahī haiñ

patte dehātī rahte haiñ phal shahrī ho jaate haiñ

station se bahar aa kar buDhi aankhen soch rahi hain

patte dehati rahte hain phal shahri ho jate hain

so jaate haiñ fōtpath pe aḳhbār bichhā kar

mazdūr kabhī niiñd golī nahīñ khāte

so jate hain footpath pe aKHbar bichha kar

mazdur kabhi nind ki goli nahin khate

tumhārī āñkhoñ tauhīn hai zarā socho

tumhārā chāhne vaalā sharāb piitā hai

tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho

tumhaara chahne wala sharab pita hai

tum ne jab shahr ko jañgal meñ badal Daalā hai

phir to ab qais ko jañgal se nikal aane do

tum ne jab shahr ko jangal mein badal Dala hai

phir to ab qais ko jangal se nikal aane do

sagī bahnoñ jo rishta hai urdu aur hindī meñ

kahīñ duniyā do zinda zabānoñ meñ nahīñ miltā

sagi bahnon ka jo rishta hai urdu aur hindi mein

kahin duniya ki do zinda zabanon mein nahin milta

abhī zinda hai maañ merī mujhe kuchh bhī nahīñ hogā

maiñ ghar se jab nikaltā huuñ duā bhī saath chaltī hai

abhi zinda hai man meri mujhe kuchh bhi nahin hoga

main ghar se jab nikalta hun dua bhi sath chalti hai

kisī din merī rusvā.ī ye kāran na ban jaa.e

tumhārā shahr se jaanā mirā bīmār ho jaanā

kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae

tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana

khilaunoñ ke liye bachche abhī tak jāgte hoñge

tujhe ai muflisī koī bahāna DhūñD lenā hai

khilaunon ke liye bachche abhi tak jagte honge

tujhe ai muflisi koi bahana DhunD lena hai

ek aañsū bhī hukūmat ke liye ḳhatra hai

tum ne dekhā nahīñ ā.ankhoñ samundar honā

ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra hai

tum ne dekha nahin aaankhon ka samundar hona

vus.at-e-sahrā bhī muñh apnā chhupā kar niklī

saarī duniyā mire kamre ke barābar niklī

wusat-e-sahra bhi munh apna chhupa kar nikli

sari duniya mere kamre ke barabar nikli

mohabbat ek pākīza amal hai is liye shāyad

simaT kar sharm saarī ek bose meñ chalī aa.ī

mohabbat ek pakiza amal hai is liye shayad

simaT kar sharm sari ek bose mein chali aai

is meñ bachchoñ jalī lāshoñ tasvīreñ haiñ

dekhnā haath se aḳhbār na girne paa.e

is mein bachchon ki jali lashon ki taswiren hain

dekhna hath se aKHbar na girne pae

jo chhupā letā hai dīvār uryānī ko

dosto aisā calendar nahīñ pheñkā jaatā

jo chhupa leta hai diwar ki uryani ko

dosto aisa calendar nahin phenka jata

tumhārā naam aayā aur ham takne lage rasta

tumhārī yaad aa.ī aur khiḌkī khol ham ne

tumhaara nam aaya aur hum takne lage rasta

tumhaari yaad aai aur khiDki khol di hum ne

shahr ke raste hoñ chāhe gaañv pagDañDiyāñ

maañ uñglī thaam kar chalnā bahut achchhā lagā

shahr ke raste hon chahe ganw ki pagDanDiyan

man ki ungli tham kar chalna bahut achchha laga

shāyad jalī haiñ phir kahīñ nazdīk bastiyāñ

guzre haiñ kuchh parinde idhar se Dare hue

shayad jali hain phir kahin nazdik bastiyan

guzre hain kuchh parinde idhar se Dare hue

daulat se mohabbat to nahīñ thī mujhe lekin

bachchoñ ne khilaunoñ taraf dekh liyā thā

daulat se mohabbat to nahin thi mujhe lekin

bachchon ne khilaunon ki taraf dekh liya tha

āñkhoñ se māñgne lage paanī vuzū ham

kāġhaz pe jab bhī dekh liyā maañ likhā huā

aankhon se mangne lage pani wuzu ka hum

kaghaz pe jab bhi dekh liya man likha hua

bhaTaktī hai havas din-rāt sone dukānoñ par

ġharībī kaan chhidvātī hai tinkā Daal letī hai

bhaTakti hai hawas din-raat sone ki dukanon par

gharibi kan chhidwati hai tinka Dal leti hai

tujhe ma.alūm hai in phephaḌoñ meñ zaḳhm aa.e haiñ

tirī yādoñ ik nannhī chiñgārī bachāne meñ

tujhe malum hai in phephaDon mein zaKHm aae hain

teri yaadon ki ek nannhi si chingari bachane mein

'munavvar' maañ ke aage yuuñ kabhī khul kar nahīñ ronā

jahāñ buniyād ho itnī namī achchhī nahīñ hotī

'munawwar' man ke aage yun kabhi khul kar nahin rona

jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti

khāne chīzeñ maañ ne jo bhejī haiñ gaañv se

baasī bhī ho ga.ī haiñ to lazzat vahī rahī

khane ki chizen man ne jo bheji hain ganw se

basi bhi ho gai hain to lazzat wahi rahi

jitne bikhre hue kāġhaz haiñ vo yakjā kar le

raat chupke se kahā aa ke havā ne ham se

jitne bikhre hue kaghaz hain wo yakja kar le

raat chupke se kaha aa ke hawa ne hum se

hādsoñ gard se ḳhud ko bachāne ke liye

maañ ham apne saath bas terī du'ā le jā.eñge

hadson ki gard se KHud ko bachane ke liye

man hum apne sath bas teri du'a le jaenge

ye soch ke maañ baap ḳhidmat meñ lagā huuñ

is peḌ saayā mire bachchoñ ko milegā

ye soch ke man bap ki KHidmat mein laga hun

is peD ka saya mere bachchon ko milega

muqaddas muskurāhaT maañ ke hoñToñ par laraztī hai

kisī bachche jab pahlā sipāra ḳhatm hotā hai

muqaddas muskurahaT man ke honTon par larazti hai

kisi bachche ka jab pahla sipara KHatm hota hai

mire bachchoñ meñ saarī ādateñ maujūd haiñ merī

to phir in bad-nasīboñ ko na kyuuñ urdu zabāñ aa.ī

mere bachchon mein sari aadaten maujud hain meri

to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai

ab judā.ī ke safar ko mire āsān karo

tum mujhe ḳhvāb meñ aa kar na pareshān karo

ab judai ke safar ko mere aasan karo

tum mujhe KHwab mein aa kar na pareshan karo

kuchh bikhrī huī yādoñ ke qisse bhī bahut the

kuchh us ne bhī bāloñ ko khulā chhoḌ diyā thā

kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the

kuchh us ne bhi baalon ko khula chhoD diya tha

har chehre meñ aatā hai nazar ek chehrā

lagtā hai koī merī nazar bāñdhe hue hai

har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra

lagta hai koi meri nazar bandhe hue hai

hamārī dostī se dushmanī sharmā.ī rahtī hai

ham akbar haiñ hamāre dil meñ jodhā.bā.ī rahtī hai

hamari dosti se dushmani sharmai rahti hai

hum akbar hain hamare dil mein jodhabai rahti hai

jab tak rahā huuñ dhuup meñ chādar banā rahā

maiñ apnī maañ āḳhirī zevar banā rahā

jab tak raha hun dhup mein chadar bana raha

main apni man ka aaKHiri zewar bana raha

diyā hai maañ ne mujhe duudh bhī vuzū kar ke

mahāz-e-jang se maiñ lauT kar na jā.uñgā

diya hai man ne mujhe dudh bhi wuzu kar ke

mahaz-e-jang se main lauT kar na jaunga

din bhar mashaqqat se badan chuur hai lekin

maañ ne mujhe dekhā to thakan bhuul ga.ī hai

din bhar ki mashaqqat se badan chur hai lekin

man ne mujhe dekha to thakan bhul gai hai

is tarah mere gunāhoñ ko vo dho detī hai

maañ bahut ġhusse meñ hotī hai to ro detī hai

is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai

man bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai

ham nahīñ the to kyā kamī thī yahāñ

ham na hoñge to kyā kamī hogī

hum nahin the to kya kami thi yahan

hum na honge to kya kami hogi

pachpan baras umr to hone ko aa ga.ī

lekin vo chehra ā.ankhoñ se ojhal na ho sakā

pachpan baras ki umr to hone ko aa gai

lekin wo chehra aaankhon se ojhal na ho saka

jab bhī dekhā mire kirdār pe dhabbā koī

der tak baiTh ke tanhā.ī meñ royā koī

jab bhi dekha mere kirdar pe dhabba koi

der tak baiTh ke tanhai mein roya koi

ab aap marzī hai sambhāleñ na sambhāleñ

ḳhushbū tarah aap ke rūmāl meñ ham haiñ

ab aap ki marzi hai sambhaalen na sambhaalen

KHushbu ki tarah aap ke rumal mein hum hain

bahan pyaar maañ māmtā do chīḳhtī āñkheñ

yahī tohfe the vo jin ko maiñ aksar yaad kartā thā

bahan ka pyar man ki mamta do chiKHti aankhen

yahi tohfe the wo jin ko main aksar yaad karta tha

ghar meñ rahte hue ġhairoñ tarah hotī haiñ

laḌkiyāñ dhaan ke paudoñ tarah hotī haiñ

ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain

laDkiyan dhan ke paudon ki tarah hoti hain

tumhāre shahr meñ mayyat ko sab kāñdhā nahīñ dete

hamāre gaañv meñ chhappar bhī sab mil kar uThāte haiñ

tumhaare shahr mein mayyat ko sab kandha nahin dete

hamare ganw mein chhappar bhi sab mil kar uThate hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now