Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abroo Shah Mubarak's Photo'

Abroo Shah Mubarak

1685 - 1733 | Delhi, India

One of the founding fathers of Urdu poetry. Contemporary of Meer Taqi Meer

One of the founding fathers of Urdu poetry. Contemporary of Meer Taqi Meer

Sher of Abroo Shah Mubarak

4.6K
Favorite

SORT BY

jaltā hai ab talak tirī zulfoñ ke rashk se

har-chand ho gayā hai chaman charāġh gul

jalta hai ab talak teri zulfon ke rashk se

har-chand ho gaya hai chaman ka charagh gul

divāne dil kuuñ mere shahr señ hargiz nahīñ bantī

agar jañgal jaanā ho to us baat sab ban

diwane dil kun mere shahr sen hargiz nahin banti

agar jangal ka jaana ho to us ki baat sab ban ja

kyuuñ kar baḌā na jaane munkir nape ko apne

inkār us naanā aur shaiḳh hai navāsā

kyun kar baDa na jaane munkir nape ko apne

inkar us ka nana aur shaiKH hai nawasa

kiyā hai chaak dil teġh-e-taġhāful siiñ tujh añkhiyoñ niiñ

nigah ke rishta o sozan suuñ palkāñ ke rafū kiije

kiya hai chaak dil tegh-e-taghaful sin tujh ankhiyon nin

nigah ke rishta o sozan sun palkan ke rafu kije

jo lauñDā chhoḌ kar ranDī ko chāhe

vo kui āshiq nahīñ hai bul-havas hai

jo launDa chhoD kar ranDi ko chahe

wo kui aashiq nahin hai bul-hawas hai

ġham siiñ ahl-e-bait ke to tirā kuḌhtā nahīñ

yuuñ abas paḌhtā phirā jo marsiya to kyā huā

gham sin ahl-e-bait ke ji to tera kuDhta nahin

yun abas paDhta phira jo marsiya to kya hua

vasl arz jab vaqt kabhī paatā huuñ

haiñ ḳhāmoshī siiñ tab lab mire aapas meñ mil

wasl ki arz ka jab waqt kabhi pata hun

ja hain KHamoshi sin tab lab mere aapas mein mil

har gadā gosha-e-qanā.at meñ

shaah hai mulk-e-be-niyāzī

har gada gosha-e-qanaat mein

shah hai mulk-e-be-niyazi ka

saath mere tere jo dukh thā so pyāre aish thā

jab siiñ bichhḌā hai tab siiñ aish sab ġham ho gayā

sath mere tere jo dukh tha so pyare aish tha

jab sin tu bichhDa hai tab sin aish sab gham ho gaya

din taal bājtā hai hotī hai jab savārī

lashkar meñ raag shab kuuñ ūñToñ hai uḌānā

din tal bajta hai hoti hai jab sawari

lashkar mein rag shab kun unTon ka hai uDana

dildār galī meñ mukarrar ga.e haiñ ham

ho aa.e haiñ abhī to phir aa kar ga.e haiñ ham

dildar ki gali mein mukarrar gae hain hum

ho aae hain abhi to phir aa kar gae hain hum

mehrāb-e-abruvāñ kuuñ vasma huā hai zevar

kyuuñ kar kaheñ na un kuuñ ab zīnatul-masājid

mehrab-e-abruwan kun wasma hua hai zewar

kyun kar kahen na un kun ab zinatul-masajid

tumhārī dekh kar ye ḳhush-ḳhirāmī āb-raftārī

gayā hai bhuul hairat siiñ piyā paanī ke ta.iiñ bahnā

tumhaari dekh kar ye KHush-KHirami aab-raftari

gaya hai bhul hairat sin piya pani ke tain bahna

ma.alūm ab huā hai aa hind biich ham kuuñ

lagte haiñ dil-barāñ ke lab rañg-e-pān se kyā ḳhuub

malum ab hua hai aa hind bich hum kun

lagte hain dil-baran ke lab rang-e-pan se kya KHub

dillī meñ dard-e-dil kuuñ koī pūchhtā nahīñ

mujh kuuñ qasam hai ḳhvāja-qutub ke mazār

dilli mein dard-e-dil kun koi puchhta nahin

mujh kun qasam hai KHwaja-qutub ke mazar ki

duur ḳhāmosh baiThā rahtā huuñ

is tarah haal dil kahtā huuñ

dur KHamosh baiTha rahta hun

is tarah haal dil ka kahta hun

tumhāre dekhne ke vāste marte haiñ ham khal siiñ

ḳhudā ke vāste ham siiñ milo aa kar kisī chhal siiñ

tumhaare dekhne ke waste marte hain hum khal sin

KHuda ke waste hum sin milo aa kar kisi chhal sin

tirā qad sarv siiñ ḳhūbī meñ chaḌh hai

laTak sumbul setī zulfāñ siiñ baḌh hai

tera qad sarw sin KHubi mein chaDh hai

laTak sumbul seti zulfan sin baDh hai

mil gayā thā baaġh meñ ma.ashūq ik nak-dār

rañg o meñ phuul mānind saj meñ ḳhaar

mil gaya tha bagh mein mashuq ek nak-dar sa

rang o ru mein phul ki manind saj mein KHar sa

sher ko mazmūn setī qadr ho hai 'ābrū'

qāfiya setī milāyā qāfiyā to kyā huā

sher ko mazmun seti qadr ho hai 'abru'

qafiya seti milaya qafiya to kya hua

ho ga.e haiñ pair saare tifl-e-ashk

girya jaarī hai ab lag silsilā

ho gae hain pair sare tifl-e-ashk

girya ka jari hai ab lag silsila

kahāñ miltā hai jaañ anqā hai aisā be-niyāz āshiq

ki ḳhvāñ aur maañ diyā hai sab uḌā aur phir nahīñ parvā

kahan milta hai jaan anqa hai aisa be-niyaz aashiq

ki KHwan aur man diya hai sab uDa aur phir nahin parwa

kyuuñ tirī thoḌī garmī siiñ pighal jaave hai jaañ

kyā neñ samjhā hai āshiq is qadar hai mom

kyun teri thoDi si garmi sin pighal jawe hai jaan

kya tu nen samjha hai aashiq is qadar hai mom ka

ishq tiir dil meñ laagā hai

dard jo hovtā thā bhāgā hai

ishq ka tir dil mein laga hai

dard jo howta tha bhaga hai

jab ki aisā ho gandumī ma.ashūq

nit gunahgār kyuuñ na ho aadam

jab ki aisa ho gandumi mashuq

nit gunahgar kyun na ho aadam

kabhī be-dām Thahrāveñ kabhī zanjīr karte haiñ

ye nā-shā.er tirī zulfāñ kuuñ kyā kyā naam dharte haiñ

kabhi be-dam Thahrawen kabhi zanjir karte hain

ye na-shaer teri zulfan kun kya kya nam dharte hain

kyuuñ na aa kar us ke sunñe ko kareñ sab yaar bhiiḌ

'ābrū' ye reḳhta niiñ kahā hai dhuum

kyun na aa kar us ke sunne ko karen sab yar bhiD

'abru' ye reKHta tu nin kaha hai dhum ka

namkīñ goyā kabāb haiñ phīke sharāb ke

bosā hai tujh labāñ maze-dār chaTpaTā

namkin goya kabab hain phike sharab ke

bosa hai tujh laban ka maze-dar chaTpaTa

ġham se ham suukh jab hue lakḌī

dostī nihāl Daal kaaT

gham se hum sukh jab hue lakDi

dosti ka nihaal Dal kaT

muflisī siiñ ab zamāne rahā kuchh haal na.iiñ

āsmāñ charḳhī ke juuñ phirtā hai lekin maal na.iiñ

muflisi sin ab zamane ka raha kuchh haal nain

aasman charKHi ke jun phirta hai lekin mal nain

jo ki bismillāh kar khaa.e ta.aam

to zarar na.iiñ go ki hove bis milā

jo ki bismillah kar khae taam

to zarar nain go ki howe bis mila

dil kab āvārgī ko bhūlā hai

ḳhaak agar ho gayā bagūlā hai

dil kab aawargi ko bhula hai

KHak agar ho gaya bagula hai

afsos hai ki baḳht hamārā ulaT gayā

aatā to thā pe dekh ke ham kuuñ palaT gayā

afsos hai ki baKHt hamara ulaT gaya

aata to tha pe dekh ke hum kun palaT gaya

fānī-e-ishq kuuñ tahqīq ki hastī hai kufr

dam-ba-dam ziist neñ merī mujhe zunnār diyā

fani-e-ishq kun tahqiq ki hasti hai kufr

dam-ba-dam zist nen meri mujhe zunnar diya

agar dekhe tumhārī zulf le Das

ulaT jaave kalejā nāganī

agar dekhe tumhaari zulf le Das

ulaT jawe kaleja nagani ka

yuuñ 'ābrū' banāve dil meñ hazār bāteñ

jab rū-ba-rū ho tere guftār bhuul jaave

yun 'abru' banawe dil mein hazar baaten

jab ru-ba-ru ho tere guftar bhul jawe

bosāñ labāñ siiñ dene kahā kah ke phir gayā

pyāla bharā sharāb afsos gir gayā

bosan laban sin dene kaha kah ke phir gaya

pyala bhara sharab ka afsos gir gaya

yaaro hamārā haal sajan siiñ bayāñ karo

aisī tarah karo ki use mehrbāñ karo

yaro hamara haal sajan sin bayan karo

aisi tarah karo ki use mehrban karo

qaul 'ābrū' thā ki na jā.ūñgā us galī

ho kar ke be-qarār dekho aaj phir gayā

qaul 'abru' ka tha ki na jaunga us gali

ho kar ke be-qarar dekho aaj phir gaya

dikhā.ī ḳhvāb meñ thī Tuk ik muñh jhalak ham kuuñ

nahīñ tāqat añkhiyoñ ke kholne ab talak ham kuuñ

dikhai KHwab mein di thi Tuk ek munh ki jhalak hum kun

nahin taqat ankhiyon ke kholne ki ab talak hum kun

sar kuuñ apne qadam banā kar ke

ijz raah maiñ nibahtā huuñ

sar kun apne qadam bana kar ke

ijz ki rah main nibahta hun

tumhāre dil meñ kyā nā-mehrbānī aa ga.ī zālim

ki yuuñ pheñkā judā mujh se phaḌaktī machhlī ko jal siiñ

tumhaare dil mein kya na-mehrbani aa gai zalim

ki yun phenka juda mujh se phaDakti machhli ko jal sin

us vaqt dil pe kyūñke kahūñ kyā guzar gayā

bosa lete liyā to sahī lek mar gayā

us waqt dil pe kyunke kahun kya guzar gaya

bosa lete liya to sahi lek mar gaya

tum yuuñ siyāh-chashm ai sajan mukhḌe ke jhumkoñ se hue

ḳhurshīd niiñ garmī girī tab to hiran kaalā huā

tum yun siyah-chashm ai sajan mukhDe ke jhumkon se hue

KHurshid nin garmi giri tab to hiran kala hua

huā hai hind ke sabzoñ āshiq

na hoveñ 'ābrū' ke kyuuñ hare baḳht

hua hai hind ke sabzon ka aashiq

na howen 'abru' ke kyun hare baKHt

āġhosh siiñ sajan ke haman kuuñ kiyā kanār

māruñgā is raqīb kuuñ chhaḌiyoñ se god god

aaghosh sin sajan ke haman kun kiya kanar

marunga is raqib kun chhaDiyon se god god

tavāf-e-ka.aba-e-dil kar niyāz-o-ḳhāksārī siiñ

vazū darkār na.iiñ kuchh is ibādat meñ tayammum kar

tawaf-e-kaba-e-dil kar niyaz-o-KHaksari sin

wazu darkar nain kuchh is ibaadat mein tayammum kar

Dar ḳhudā siiñ ḳhuub na.iiñ ye vaqt-e-qatl-e-ām kuuñ

sub.h kuuñ kholā na kar is zulf-e-ḳhūn-āshām kuuñ

Dar KHuda sin KHub nain ye waqt-e-qatl-e-am kun

subh kun khola na kar is zulf-e-KHun-asham kun

rovne niiñ mujh divāne ke kiyā siyānoñ kaam

sail siiñ anjhuvāñ ke saarā shahr vīrāñ ho gayā

rowne nin mujh diwane ke kiya siyanon ka kaam

sail sin anjhuwan ke sara shahr viran ho gaya

bose meñ hoñT ulTā āshiq kaaT khāyā

terā dahan maze siiñ pur hai pe hai kaTorā

bose mein honT ulTa aashiq ka kaT khaya

tera dahan maze sin pur hai pe hai kaTora

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now