Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Alam Khursheed's Photo'

Alam Khursheed

1959 | Patna, India

Prominent Post-Modern poet.

Prominent Post-Modern poet.

Sher of Alam Khursheed

5.2K
Favorite

SORT BY

ishq meñ tahzīb ke haiñ aur kuchh falsafe

tujh se ho kar ham ḳhafā ḳhud se ḳhafā rahne lage

ishq mein tahzib ke hain aur hi kuchh falsafe

tujh se ho kar hum KHafa KHud se KHafa rahne lage

pūchh rahe haiñ mujh se peḌoñ ke saudāgar

āb-o-havā kaise zahrīlī ho jaatī hai

puchh rahe hain mujh se peDon ke saudagar

aab-o-hawa kaise zahrili ho jati hai

bahut sukūn se rahte the ham añdhere meñ

fasād paidā huā raushnī ke aane se

bahut sukun se rahte the hum andhere mein

fasad paida hua raushni ke aane se

raat ga.e aksar dil ke vīrānoñ meñ

ik saa.e aanā jaanā hotā hai

raat gae aksar dil ke viranon mein

ek sae ka aana jaana hota hai

maiñ ne bachpan meñ adhūrā ḳhvāb dekhā thā koī

aaj tak masrūf huuñ us ḳhvāb takmīl meñ

main ne bachpan mein adhura KHwab dekha tha koi

aaj tak masruf hun us KHwab ki takmil mein

haath pakaḌ le ab bhī terā ho saktā huuñ maiñ

bhiiḌ bahut hai is mele meñ kho saktā huuñ maiñ

hath pakaD le ab bhi tera ho sakta hun main

bhiD bahut hai is mele mein kho sakta hun main

kuchh raste mushkil achchhe lagte haiñ

kuchh rastoñ ko ham āsān nahīñ karte

kuchh raste mushkil hi achchhe lagte hain

kuchh raston ko hum aasan nahin karte

chāroñ taraf haiñ shole ham-sā.e jal rahe haiñ

maiñ ghar meñ baiThā baiThā bas haath mal rahā huuñ

chaaron taraf hain shole ham-sae jal rahe hain

main ghar mein baiTha baiTha bas hath mal raha hun

lakīr khīñch ke baiThī hai tishnagī mirī

bas ek zid hai ki dariyā yahīñ pe aa.egā

lakir khinch ke baiThi hai tishnagi meri

bas ek zid hai ki dariya yahin pe aaega

kabhī kabhī kitnā nuqsān uThānā paḌtā hai

airoñ ġhairoñ ehsān uThānā paḌtā hai

kabhi kabhi kitna nuqsan uThana paDta hai

airon ghairon ka ehsan uThana paDta hai

dil rotā hai chehrā hañstā rahtā hai

kaisā kaisā farz nibhānā hotā hai

dil rota hai chehra hansta rahta hai

kaisa kaisa farz nibhana hota hai

pīchhe chhūTe sāthī mujh ko yaad aa jaate haiñ

varna dauḌ meñ sab se aage ho saktā huuñ maiñ

pichhe chhuTe sathi mujh ko yaad aa jate hain

warna dauD mein sab se aage ho sakta hun main

kisī ke raste pe kaise nazreñ jamā.e rakkhūñ

abhī to karnā mujhe hai ḳhud intizār merā

kisi ke raste pe kaise nazren jamae rakkhun

abhi to karna mujhe hai KHud intizar mera

māñgtī hai ab mohabbat apne hone subūt

aur maiñ jaatā nahīñ iz.hār tafsīl meñ

mangti hai ab mohabbat apne hone ka subut

aur main jata nahin izhaar ki tafsil mein

aa.e ho numā.ish meñ zarā dhyān bhī rakhnā

har shai jo chamaktī hai chamakdār nahīñ hai

aae ho numaish mein zara dhyan bhi rakhna

har shai jo chamakti hai chamakdar nahin hai

apnī kahānī dil meñ chhupā kar rakhte haiñ

duniyā vāloñ ko hairān nahīñ karte

apni kahani dil mein chhupa kar rakhte hain

duniya walon ko hairan nahin karte

tamām rañg adhūre lage tire aage

so tujh ko lafz meñ tasvīr kartā rahtā huuñ

tamam rang adhure lage tere aage

so tujh ko lafz mein taswir karta rahta hun

koī sūrat bhī nahīñ miltī kisī sūrat meñ

kūza-gar kaisā karishma tire is chaak meñ hai

koi surat bhi nahin milti kisi surat mein

kuza-gar kaisa karishma tere is chaak mein hai

tabdīliyoñ nashsha mujh par chaḌhā huā hai

kapḌe badal rahā huuñ chehra badal rahā huuñ

tabdiliyon ka nashsha mujh par chaDha hua hai

kapDe badal raha hun chehra badal raha hun

is faisle se ḳhush haiñ afrād ghar ke saare

apnī ḳhushī se kab maiñ ghar se nikal rahā huuñ

is faisle se KHush hain afrad ghar ke sare

apni KHushi se kab main ghar se nikal raha hun

ab kitnī kār-āmad jañgal meñ lag rahī hai

vo raushnī jo ghar meñ bekār lag rahī thī

ab kitni kar-amad jangal mein lag rahi hai

wo raushni jo ghar mein bekar lag rahi thi

kisī ko DhūñDte haiñ ham kisī ke paikar meñ

kisī chehra kisī se milāte rahte haiñ

kisi ko DhunDte hain hum kisi ke paikar mein

kisi ka chehra kisi se milate rahte hain

tahzīb zanjīr se uljhā rahā maiñ bhī

bhī na baḌhā jism ke ādāb se aage

tahzib ki zanjir se uljha raha main bhi

tu bhi na baDha jism ke aadab se aage

ahl-e-hunar āñkhoñ meñ kyuuñ chubhtā rahtā huuñ

maiñ to apnī be-hunarī par naaz nahīñ kartā

ahl-e-hunar ki aankhon mein kyun chubhta rahta hun

main to apni be-hunari par naz nahin karta

guzishta rut amiiñ huuñ na.e makān meñ bhī

purānī iiñT se tāmīr kartā rahtā huuñ

guzishta rut ka amin hun nae makan mein bhi

purani inT se tamir karta rahta hun

mohabbatoñ ke ka.ī rang ruup hote haiñ

fareb-e-yār se koī gila nahīñ karte

mohabbaton ke kai rang rup hote hain

fareb-e-yar se koi gila nahin karte

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now