Sher on Khafa
Sulking is a dear and
a lovable aspect of love that makes life romantic and worth living. Poetry is full of ideas around the experience of sulking. Urdu poetry has capitalised on this experience in a major way. Some examples would be of great interest to you.
kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa
-
Tags : Famous shayariand 4 more
log kahte haiñ ki tū ab bhī ḳhafā hai mujh se
terī āñkhoñ ne to kuchh aur kahā hai mujh se
log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se
-
Tags : Eyesand 3 more
yā vo the ḳhafā ham se yā ham haiñ ḳhafā un se
kal un kā zamāna thā aaj apnā zamānā hai
ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
-
Tag : Waqt
ishq meñ tahzīb ke haiñ aur hī kuchh falsafe
tujh se ho kar ham ḳhafā ḳhud se ḳhafā rahne lage
ishq mein tahzib ke hain aur hi kuchh falsafe
tujh se ho kar hum KHafa KHud se KHafa rahne lage
itnā to batā jaao ḳhafā hone se pahle
vo kyā kareñ jo tum se ḳhafā ho nahīñ sakte
itna to bata jao KHafa hone se pahle
wo kya karen jo tum se KHafa ho nahin sakte
husn yuuñ ishq se nārāz hai ab
phuul ḳhushbū se ḳhafā ho jaise
husn yun ishq se naraaz hai ab
phul KHushbu se KHafa ho jaise
-
Tags : Husnand 1 more
mujh se bigaḌ ga.e to raqīboñ kī ban ga.ī
ġhairoñ meñ baT rahā hai mirā e'tibār aaj
mujh se bigaD gae to raqibon ki ban gai
ghairon mein baT raha hai mera e'tibar aaj
yahī hālāt ibtidā se rahe
log ham se ḳhafā ḳhafā se rahe
yahi haalat ibtida se rahe
log hum se KHafa KHafa se rahe
chheḌ mat har dam na ā.īna dikhā
apnī sūrat se ḳhafā baiThe haiñ ham
chheD mat har dam na aaina dikha
apni surat se KHafa baiThe hain hum
kisī māshūq kā āshiq se ḳhafā ho jaanā
ruuh kā jism se goyā hai judā ho jaanā
kisi mashuq ka aashiq se KHafa ho jaana
ruh ka jism se goya hai juda ho jaana
tujh se barham huuñ kabhī ḳhud se ḳhafā
kuchh ajab raftār hai tere baġhair
tujh se barham hun kabhi KHud se KHafa
kuchh ajab raftar hai tere baghair
-
Tag : Barham
ḳhafā haiñ phir bhī aa kar chheḌ jaate haiñ tasavvur meñ
hamāre haal par kuchh mehrbānī ab bhī hotī hai
KHafa hain phir bhi aa kar chheD jate hain tasawwur mein
hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai
-
Tag : Tasawwur
ye jo rātoñ ko mujhe ḳhvāb nahīñ aate 'atā'
is kā matlab hai mirā yaar ḳhafā hai mujh se
ye jo raaton ko mujhe KHwab nahin aate 'ata'
is ka matlab hai mera yar KHafa hai mujh se
merī betābiyoñ se ghabrā kar
koī mujh se ḳhafā na ho jaa.e
meri betabiyon se ghabra kar
koi mujh se KHafa na ho jae
ik terī be-ruḳhī se zamāna ḳhafā huā
ai sañg-dil tujhe bhī ḳhabar hai ki kyā huā
ek teri be-ruKHi se zamana KHafa hua
ai sang-dil tujhe bhi KHabar hai ki kya hua
-
Tag : Shikwa
jis kī havas ke vāste duniyā huī aziiz
vāpas hue to us kī mohabbat ḳhafā milī
jis ki hawas ke waste duniya hui aziz
wapas hue to us ki mohabbat KHafa mili
-
Tags : Duniyaand 2 more
vo ḳhush ho ke mujh se ḳhafā ho gayā
mujhe kyā umīdeñ thiiñ kyā ho gayā
TRANSLATION
She became pleased with me, and then she turned cross,
What had I expected and what has happened, I am at loss.
Sagar Akbarabadi
wo KHush ho ke mujh se KHafa ho gaya
mujhe kya umiden thin kya ho gaya
TRANSLATION
She became pleased with me, and then she turned cross,
What had I expected and what has happened, I am at loss.
Sagar Akbarabadi
maiñ apne-āp se har dam ḳhafā rahtā huuñ yuuñ 'āzar'
purānī dushmanī ho jis tarah do ḳhāndānoñ meñ
main apne-ap se har dam KHafa rahta hun yun 'azar'
purani dushmani ho jis tarah do KHandanon mein
yā ḳhafā hote the ham to minnateñ karte the aap
yā ḳhafā haiñ ham se vo aur ham manā sakte nahīñ
ya KHafa hote the hum to minnaten karte the aap
ya KHafa hain hum se wo aur hum mana sakte nahin
laa.ī hai kahāñ mujh ko tabī.at kī do-rañgī
duniyā kā talabgār bhī duniyā se ḳhafā bhī
lai hai kahan mujh ko tabiat ki do-rangi
duniya ka talabgar bhi duniya se KHafa bhi
-
Tag : Duniya
ḳhudā se log bhī ḳhā.if kabhī the
magar logoñ se ab ḳhā.if ḳhudā hai
KHuda se log bhi KHaif kabhi the
magar logon se ab KHaif KHuda hai
-
Tag : Khuda
jaane kyuuñ un se milte rahte haiñ
ḳhush vo kyā hoñge jab ḳhafā hī nahīñ
jaane kyun un se milte rahte hain
KHush wo kya honge jab KHafa hi nahin
ḳhafā dekhā hai us ko ḳhvāb meñ dil saḳht muztar hai
khilā de dekhiye kyā kyā gul-e-ta.abīr-e-ḳhvāb apnā
KHafa dekha hai us ko KHwab mein dil saKHt muztar hai
khila de dekhiye kya kya gul-e-tabir-e-KHwab apna
-
Tags : Diland 1 more
chheḌā hai dast-e-shauq ne mujh se ḳhafā haiñ vo
goyā ki apne dil pe mujhe iḳhtiyār hai
chheDa hai dast-e-shauq ne mujh se KHafa hain wo
goya ki apne dil pe mujhe iKHtiyar hai
aaj phir ḳhud se ḳhafā huuñ to yahī kartā huuñ
aaj phir ḳhud se koī baat nahīñ kartā maiñ
aaj phir KHud se KHafa hun to yahi karta hun
aaj phir KHud se koi baat nahin karta main
mil bhī jaao yūñhī tum bahr-e-ḳhudā aap se aap
jis tarah ho ga.e ho ham se ḳhafā aap se aap
mil bhi jao yunhi tum bahr-e-KHuda aap se aap
jis tarah ho gae ho hum se KHafa aap se aap