Top 20 Couplets on Tasweer
Apart from live images,
pictures too are a subject of poetry. Pictures represent images but these images are static and do not act or speak. Even in silence they are preserved just for the love of it as they evoke memories and are held close to heart as a precious gift captured in a moment of the past.
TOP 20 SERIES
- Aadmi/Insaan Shayari
- Ada Shayari
- Akhbaar Shayari
- Angdaai Shayari
- Barish Shayari
- Chaand Shayari
- couplets of nushoor wahidi
- couplets on dua
- couplets on eyes
- couplets on love
- couplets on mirror
- couplets on seperation
- couplets on tasweer
- couplets on tears
- Dard Shayari
- Deedar Shayari
- Dhoka Shayari
- Dil Shayari
- Dost/Dosti Shayari
- Duniya Shayari
- Farewell Shayari
- Heartbreak Shayari
- Husn Shayari
- Intizaar Shayari
- Khamoshi Shayari
- Kiss Shayari
- Kitab Shayari
- Lab Shayari
- Maut Shayari
- most quoted couplets
- motivational couplets
- Mulaqat Shayari
- Muskurahat Shayari
- Phool Shayari
- Sad Shayari
- Safar Shayari
- Sharab Shayari
- Tanhai Shayari
- Top couplets on New Year
- Train Shayari
- Visaal Shayari
- Wafa Shayari
- Waqt Shayari
- Welcome Shayari
- Yaad Shayari
- Zindagi Shayari
- Zulf Shayari
aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se
har adā achchhī ḳhamoshī kī adā achchhī nahīñ
aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se
har ada achchhi KHamoshi ki ada achchhi nahin
tire jamāl kī tasvīr khīñch duuñ lekin
zabāñ meñ aañkh nahīñ aañkh meñ zabān nahīñ
tere jamal ki taswir khinch dun lekin
zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin
bhej dī tasvīr apnī un ko ye likh kar 'shakīl'
aap kī marzī hai chāhe jis nazar se dekhiye
bhej di taswir apni un ko ye likh kar 'shakil'
aap ki marzi hai chahe jis nazar se dekhiye
sūrat-e-vasl nikaltī kisī tadbīr ke saath
merī tasvīr hī khiñchtī tirī tasvīr ke saath
surat-e-wasl nikalti kisi tadbir ke sath
meri taswir hi khinchti teri taswir ke sath
lagtā hai ka.ī rātoñ kā jaagā thā musavvir
tasvīr kī āñkhoñ se thakan jhāñk rahī hai
lagta hai kai raaton ka jaga tha musawwir
taswir ki aankhon se thakan jhank rahi hai
terī sūrat se kisī kī nahīñ miltī sūrat
ham jahāñ meñ tirī tasvīr liye phirte haiñ
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
-
Tags: Chehraand 2 more
kuchh to is dil ko sazā dī jaa.e
us kī tasvīr haTā dī jaa.e
kuchh to is dil ko saza di jae
us ki taswir haTa di jae
-
Tags: Diland 1 more
dil ke ā.īne meñ hai tasvīr-e-yār
jab zarā gardan jhukā.ī dekh lī
dil ke aaine mein hai taswir-e-yar
jab zara gardan jhukai dekh li
jo chup-chāp rahtī thī dīvār par
vo tasvīr bāteñ banāne lagī
jo chup-chap rahti thi diwar par
wo taswir baaten banane lagi
zindagī bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale
maiñ abhī tak tirī tasvīr liye baiThā huuñ
zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun
-
Tags: Ishqand 3 more
mujh ko aksar udaas kartī hai
ek tasvīr muskurātī huī
mujh ko aksar udas karti hai
ek taswir muskuraati hui
-
Tags: Tasweerand 1 more
kah rahī hai ye tirī tasvīr bhī
maiñ kisī se bolne vaalī nahīñ
kah rahi hai ye teri taswir bhi
main kisi se bolne wali nahin
aatā thā jis ko dekh ke tasvīr kā ḳhayāl
ab to vo kiil bhī mirī dīvār meñ nahīñ
aata tha jis ko dekh ke taswir ka KHayal
ab to wo kil bhi meri diwar mein nahin
muddatoñ baad uThā.e the purāne kāġhaz
saath tere mirī tasvīr nikal aa.ī hai
muddaton baad uThae the purane kaghaz
sath tere meri taswir nikal aai hai
chup-chāp suntī rahtī hai pahroñ shab-e-firāq
tasvīr-e-yār ko hai mirī guftugū pasand
chup-chap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq
taswir-e-yar ko hai meri guftugu pasand
tirī tasvīr to va.ade ke din khiñchne ke qābil hai
ki sharmā.ī huī āñkheñ haiñ ghabrāyā huā dil hai
teri taswir to wade ke din khinchne ke qabil hai
ki sharmai hui aankhen hain ghabraya hua dil hai
jis se ye tabī.at baḌī mushkil se lagī thī
dekhā to vo tasvīr har ik dil se lagī thī
jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi
dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi
maiñ ne bhī dekhne kī had kar dī
vo bhī tasvīr se nikal aayā
main ne bhi dekhne ki had kar di
wo bhi taswir se nikal aaya
maiñ ne to yūñhī raakh meñ pherī thiiñ uñgliyāñ
dekhā jo ġhaur se tirī tasvīr ban ga.ī
main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan
dekha jo ghaur se teri taswir ban gai