Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Lab Shayari

Romantic poetry in Urdu

eulogizes the lips of the beloved no end. The poets have configured lips in many different ways but in most of them it is an extremely desired object of love. Silent or eloquent, lips have always been romanticized. You may have a look at these verses and get a glimpse of how the poets construct the images of lips.

nāzukī us ke lab kyā kahiye

pañkhuḌī ik gulāb hai

nazuki us ke lab ki kya kahiye

pankhuDi ek gulab ki si hai

Meer Taqi Meer

shauq hai is dil-e-darinda ko

aap ke hoñT kaaT khāne

shauq hai is dil-e-darinda ko

aap ke honT kaT khane ka

Jaun Eliya

so dekh kar tire ruḳhsār o lab yaqīñ aayā

ki phuul khilte haiñ gulzār ke alāva bhī

so dekh kar tere ruKHsar o lab yaqin aaya

ki phul khilte hain gulzar ke alawa bhi

Ahmad Faraz

kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb

gāliyāñ khā ke be-mazā na huā

how sweet are your honeyed lips, that even though my foe

was abused by you, is not, in an unhappy state

kitne shirin hain tere lab ki raqib

galiyan kha ke be-maza na hua

how sweet are your honeyed lips, that even though my foe

was abused by you, is not, in an unhappy state

Mirza Ghalib

sirf us ke hoñT kāġhaz par banā detā huuñ maiñ

ḳhud banā letī hai hoñToñ par hañsī apnī jagah

sirf us ke honT kaghaz par bana deta hun main

KHud bana leti hai honTon par hansi apni jagah

Anwar Shuoor

ek bose ke bhī nasīb na hoñ

hoñTh itne bhī ab ġharīb na hoñ

ek bose ke bhi nasib na hon

honTh itne bhi ab gharib na hon

Farhat Ehsas

ek dam us ke hoñT chuum liye

ye mujhe baiThe baiThe kyā sūjhī

ek dam us ke honT chum liye

ye mujhe baiThe baiThe kya sujhi

Nasir Kazmi

mil ga.e the ek baar us ke jo mere lab se lab

'umr bhar hoñToñ pe apne maiñ zabāñ pherā kiyā

mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab

'umr bhar honTon pe apne main zaban phera kiya

Jurat Qalandar Bakhsh

ek bosa hoñT par phailā tabassum ban gayā

jo harārat thī mirī us ke badan meñ aa ga.ī

ek bosa honT par phaila tabassum ban gaya

jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai

Kavish Badri

ḳhudā ko maan ki tujh lab ke chūmne ke sivā

koī ilaaj nahīñ aaj udāsī

KHuda ko man ki tujh lab ke chumne ke siwa

koi ilaj nahin aaj ki udasi ka

Zafar Iqbal

muskurā.e baġhair bhī vo hoñT

nazar aate haiñ muskurā.e hue

muskurae baghair bhi wo honT

nazar aate hain muskurae hue

Anwar Shuoor

tire laboñ ko milī hai shaguftagī gul

hamārī aañkh ke hisse meñ jharne aa.e haiñ

tere labon ko mili hai shaguftagi gul ki

hamari aankh ke hisse mein jharne aae hain

Aaga nisaar

un laboñ ne na masīhā.ī

ham ne sau sau tarah se mar dekhā

un labon ne na ki masihai

hum ne sau sau tarah se mar dekha

Khwaja Meer Dard

aatā hai meñ sāqi-e-mah-vash pe baar baar

lab chuum luuñ tirā lab-e-paimāna chhoḌ kar

aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar

lab chum lun tera lab-e-paimana chhoD kar

Jaleel Manikpuri

lab-e-nāzuk ke bose luuñ to missī muñh banātī hai

kaf-e-pā ko agar chūmūñ to mehñdī rañg laatī hai

lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai

kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai

Aasi Ghazipuri

duur se yuuñ diyā mujhe bosa

hoñT hoñT ko ḳhabar na huī

dur se yun diya mujhe bosa

honT ki honT ko KHabar na hui

Ahmad Husain Mail

jis lab ke ġhair bose leñ us lab se 'sheftā'

kambaḳht gāliyāñ bhī nahīñ mere vāste

those lips that others get to kiss alas on them I see

not even curses or abuse are now assigned for me

jis lab ke ghair bose len us lab se 'shefta'

kambaKHt galiyan bhi nahin mere waste

those lips that others get to kiss alas on them I see

not even curses or abuse are now assigned for me

Shefta Mustafa Khan

hazār baar nigāhoñ se chuum kar dekhā

laboñ pe us ke vo pahlī ab miThās nahīñ

hazar bar nigahon se chum kar dekha

labon pe us ke wo pahli si ab miThas nahin

Aslam Aazad

rū-ba-rū kar ke kabhī apne mahakte surḳh hoñT

ek do pal ke liye gul-dān kar degā mujhe

ru-ba-ru kar ke kabhi apne mahakte surKH honT

ek do pal ke liye gul-dan kar dega mujhe

Zafar Iqbal

ba-vaqt-e-bosa-e-lab kaash ye dil kāmrāñ hotā

zabāñ us bad-zabāñ muñh meñ aur maiñ zabāñ hotā

ba-waqt-e-bosa-e-lab kash ye dil kaamran hota

zaban us bad-zaban ki munh mein aur main zaban hota

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Speak Now