Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Farhat Ehsas's Photo'

Farhat Ehsas

1952 | Delhi, India

One of the most prominent faces of post-modern Urdu poetry

One of the most prominent faces of post-modern Urdu poetry

Sher of Farhat Ehsas

SORT BY

ik raat vo gayā thā jahāñ baat rok ke

ab tak rukā huā huuñ vahīñ raat rok ke

ek raat wo gaya tha jahan baat rok ke

ab tak ruka hua hun wahin raat rok ke

ilaaj apnā karāte phir rahe ho jaane kis kis se

mohabbat kar ke dekho mohabbat kyuuñ nahīñ karte

ilaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se

mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte

chāñd bhī hairān dariyā bhī pareshānī meñ hai

aks kis hai ki itnī raushnī paanī meñ hai

chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai

aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai

kisī kalī kisī gul meñ kisī chaman meñ nahīñ

vo rañg hai nahīñ jo tire badan meñ nahīñ

kisi kali kisi gul mein kisi chaman mein nahin

wo rang hai hi nahin jo tere badan mein nahin

vo chāñd kah ke gayā thā ki aaj niklegā

to intizār meñ baiThā huā huuñ shaam se maiñ

wo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega

to intizar mein baiTha hua hun sham se main

vo aql-mand kabhī josh meñ nahīñ aatā

gale to lagtā hai āġhosh meñ nahīñ aatā

wo aql-mand kabhi josh mein nahin aata

gale to lagta hai aaghosh mein nahin aata

tamām paikar-e-badsūrtī hai mard zaat

mujhe yaqīñ hai ḳhudā mard ho nahīñ saktā

tamam paikar-e-badsurti hai mard ki zat

mujhe yaqin hai KHuda mard ho nahin sakta

hamārā zinda rahnā aur marnā ek jaisā hai

ham apne yaum-e-paidā.ish ko bhī barsī samajhte haiñ

hamara zinda rahna aur marna ek jaisa hai

hum apne yaum-e-paidaish ko bhi barsi samajhte hain

ban na paayā hiir, rāñjhā ab bhī rāñjhā hai bahut

dekh vāris-shāh terī hiir aadhī rah ga.ī

ban na paya hir, ranjha ab bhi ranjha hai bahut

dekh waris-shah teri hir aadhi rah gai

aa mujhe chhū ke harā rañg bichhā de mujh par

maiñ bhī ik shāḳh rakhtā huuñ shajar karne ko

aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par

main bhi ek shaKH si rakhta hun shajar karne ko

ek baar us ne bulāyā thā to masrūf thā maiñ

jīte-jī phir kabhī baarī nahīñ aa.ī mirī

ek bar us ne bulaya tha to masruf tha main

jite-ji phir kabhi bari hi nahin aai meri

kabhī is raushnī qaid se bāhar bhī niklo tum

hujūm-e-husn ne saarā sarāpā gher rakkhā hai

kabhi is raushni ki qaid se bahar bhi niklo tum

hujum-e-husn ne sara sarapa gher rakkha hai

maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ

phir us ke baad gahrī niind sonā chāhtā huuñ maiñ

main rona chahta hun KHub rona chahta hun main

phir us ke baad gahri nind sona chahta hun main

kisī hālat meñ bhī tanhā nahīñ hone detī

hai yahī ek ḳharābī mirī tanhā.ī

kisi haalat mein bhi tanha nahin hone deti

hai yahi ek KHarabi meri tanhai ki

ek bose ke bhī nasīb na hoñ

hoñTh itne bhī ab ġharīb na hoñ

ek bose ke bhi nasib na hon

honTh itne bhi ab gharib na hon

shusta zabāñ shagufta bayāñ hoñTh gul-fishāñ

saarī haiñ tujh meñ ḳhūbiyāñ urdu zabān

shusta zaban shagufta bayan honTh gul-fishan

sari hain tujh mein KHubiyan urdu zaban ki

ye shahr vo hai ki koī ḳhushī to kyā detā

kisī ne dil bhī dukhāyā nahīñ bahut din se

ye shahr wo hai ki koi KHushi to kya deta

kisi ne dil bhi dukhaya nahin bahut din se

ise bachchoñ ke hāthoñ se uThāo

ye duniyā is qadar bhārī nahīñ hai

ise bachchon ke hathon se uThao

ye duniya is qadar bhaari nahin hai

andar ke hādsoñ pe kisī nazar nahīñ

ham mar chuke haiñ aur hameñ is ḳhabar nahīñ

andar ke hadson pe kisi ki nazar nahin

hum mar chuke hain aur hamein is ki KHabar nahin

sab ke jaisī na banā zulf ki ham sāda-nigāh

tere dhoke meñ kisī aur ke shāne lag jaa.eñ

sab ke jaisi na bana zulf ki hum sada-nigah

tere dhoke mein kisi aur ke shane lag jaen

phir soch ke ye sabr kiyā ahl-e-havas ne

bas ek mahīna to ramzān rahegā

phir soch ke ye sabr kiya ahl-e-hawas ne

bas ek mahina hi to ramzan rahega

aurteñ kaam pe niklī thiiñ badan ghar rakh kar

jism ḳhālī jo nazar aa.e to mard aa baiThe

aurten kaam pe nikli thin badan ghar rakh kar

jism KHali jo nazar aae to mard aa baiThe

use ḳhabar thī ki ham visāl aur hijr ik saath chāhte haiñ

to us ne aadhā ujaaḌ rakkhā hai aur aadhā banā diyā hai

use KHabar thi ki hum visal aur hijr ek sath chahte hain

to us ne aadha ujaD rakkha hai aur aadha bana diya hai

har galī kūche meñ rone sadā merī hai

shahr meñ jo bhī huā hai vo ḳhatā merī hai

har gali kuche mein rone ki sada meri hai

shahr mein jo bhi hua hai wo KHata meri hai

hijr o visāl charāġh haiñ donoñ tanhā.ī ke tāqoñ meñ

akasr donoñ gul rahte haiñ aur jalā kartā huuñ maiñ

hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein

akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main

bachā ke laa.eñ kisī bhī yatīm bachche ko

aur us ke haath se taḳhlīq-e-kā.ināt kareñ

bacha ke laen kisi bhi yatim bachche ko

aur us ke hath se taKHliq-e-kainat karen

duniyā se kaho jo use karnā hai vo kar le

ab dil meñ mire vo alal-elān rahegā

duniya se kaho jo use karna hai wo kar le

ab dil mein mere wo alal-elan rahega

baḌā vasī.a hai us ke jamāl manzar

vo ā.īne meñ to bas muḳhtasar rahtā hai

baDa wasia hai us ke jamal ka manzar

wo aaine mein to bas muKHtasar sa rahta hai

bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jān-e-man

baaqī sab jazbāt iz.hār kam kar dījiye

Only love, Only love and only love my dear

From stating other feelings / You should stay well clear

bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jaan-e-man

baqi sab jazbaat ka izhaar kam kar dijiye

Only love, Only love and only love my dear

From stating other feelings / You should stay well clear

puurī tarah se ab ke tayyār ho ke nikle

ham chāragar se milne bīmār ho ke nikle

puri tarah se ab ke tayyar ho ke nikle

hum chaaragar se milne bimar ho ke nikle

us jagah ke vo baiThā hai bharī mahfil meñ

ab jahāñ mere ishāre bhī nahīñ sakte

us jagah ja ke wo baiTha hai bhari mahfil mein

ab jahan mere ishaare bhi nahin ja sakte

kis hai ye tasvīr jo bantī nahīñ mujh se

maiñ kis taqāzā huuñ ki puurā nahīñ hotā

kis ki hai ye taswir jo banti nahin mujh se

main kis ka taqaza hun ki pura nahin hota

jañgaloñ ko kaaT kar kaisā ġhazab ham ne kiyā

shahr jaisā ek ādam-ḳhor paidā kar liyā

jangalon ko kaT kar kaisa ghazab hum ne kiya

shahr jaisa ek aadam-KHor paida kar liya

merī ik umr aur ik ahd tārīḳh raqam hai jis par

kaise rokūñ ki vo aañsū mirī ā.ankhoñ se girā jaatā hai

meri ek umr aur ek ahd ki tariKH raqam hai jis par

kaise rokun ki wo aansu meri aaankhon se gira jata hai

kaun aisī ḳhushī hai jo milī ho ek baar

aur tā-umr hameñ jis ne aziyyat nahīñ

kaun si aisi KHushi hai jo mili ho ek bar

aur ta-umr hamein jis ne aziyyat nahin di

hameñ jab apnā ta.āruf karānā paḌtā hai

na jaane kitne dukhoñ ko dabānā paḌtā hai

hamein jab apna taaruf karana paDta hai

na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai

tamām shahr āñkhoñ meñ reza reza huuñ

kisī bhī aañkh se uThtā nahīñ mukammal maiñ

tamam shahr ki aankhon mein reza reza hun

kisi bhi aankh se uThta nahin mukammal main

dhuup bolī ki maiñ ābā.ī vatan huuñ terā

maiñ ne phir sāya-e-dīvār ko zahmat nahīñ

dhup boli ki main aabai watan hun tera

main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahin di

qissa-e-ādam meñ ek aur vahdat paidā kar hai

maiñ ne apne andar apnī aurat paidā kar hai

qissa-e-adam mein ek aur hi wahdat paida kar li hai

main ne apne andar apni aurat paida kar li hai

saḳht sardī meñ ThiThurtī hai bahut ruuh mirī

jism-e-yār aa ki bechārī ko sahārā mil jaa.e

saKHt sardi mein ThiThurti hai bahut ruh meri

jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae

ai sadaf sun tujhe phir yaad dilā detā huuñ

maiñ ne ik chiiz tujhe thī guhar karne ko

ai sadaf sun tujhe phir yaad dila deta hun

main ne ek chiz tujhe di thi guhar karne ko

us se milne ke liye jaa.e to kyā jaa.e koī

us ne darvāze pe ā.īna lagā rakkhā hai

us se milne ke liye jae to kya jae koi

us ne darwaze pe aaina laga rakkha hai

tire hoñToñ ke sahrā meñ tirī āñkhoñ ke jañgal meñ

jo ab tak chukā huuñ us ko khonā chāhtā huuñ maiñ

tere honTon ke sahra mein teri aankhon ke jangal mein

jo ab tak pa chuka hun us ko khona chahta hun main

jaan ye sarkashī-e-jism tire bas nahīñ

merī āġhosh meñ aa ye musībat mujhe de

jaan ye sarkashi-e-jism tere bas ki nahin

meri aaghosh mein aa la ye musibat mujhe de

ab dekhtā huuñ maiñ to vo asbāb nahīñ

lagtā hai rāste meñ kahīñ khul gayā badan

ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin

lagta hai raste mein kahin khul gaya badan

mohabbat phuul banñe par lagī thī

palaT kar phir kalī kar hai maiñ ne

mohabbat phul banne par lagi thi

palaT kar phir kali kar li hai main ne

hamāre paas yahī shā.irī sikka hai

ulaT-palaT ke isī ko chalānā paḌtā hai

hamare pas yahi shairi ka sikka hai

ulaT-palaT ke isi ko chalana paDta hai

maiñ bichhḌoñ ko milāne rahā huuñ

chalo dīvār Dhāne rahā huuñ

main bichhDon ko milane ja raha hun

chalo diwar Dhane ja raha hun

mujhe yaqīñ to bahut thā magar ġhalat niklā

ki aabla kabhī pā-posh meñ nahīñ aatā

mujhe yaqin to bahut tha magar ghalat nikla

ki aabla kabhi pa-posh mein nahin aata

farāham na ho mujh ko ye hai marzī terī

tujh ko jab chāhūñ bulā luuñ ye ijāzat mujhe de

tu faraham na ho mujh ko ye hai marzi teri

tujh ko jab chahun bula lun ye ijazat mujhe de

Recitation

Speak Now