Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 couplets of Nushoor Wahidi

One of the most prominent

pre-modern poets who enjoyed stunning popularity and fan-following.

anjām-e-vafā ye hai jis ne bhī mohabbat

marne duā māñgī jiine sazā paa.ī

anjam-e-wafa ye hai jis ne bhi mohabbat ki

marne ki dua mangi jine ki saza pai

Nushur Wahidi

diyā ḳhāmosh hai lekin kisī dil to jaltā hai

chale aao jahāñ tak raushnī ma.alūm hotī hai

the lamp's extinguised but someone's heart

diya KHamosh hai lekin kisi ka dil to jalta hai

chale aao jahan tak raushni malum hoti hai

the lamp's extinguised but someone's heart

Nushur Wahidi

hazār sham.a farozāñ ho raushnī ke liye

nazar nahīñ to añdherā hai aadmī ke liye

hazar shama farozan ho raushni ke liye

nazar nahin to andhera hai aadmi ke liye

Nushur Wahidi

maiñ abhī se kis tarah un ko bevafā kahūñ

manziloñ baat hai rāste meñ kyā kahūñ

main abhi se kis tarah un ko bewafa kahun

manzilon ki baat hai raste mein kya kahun

Nushur Wahidi

qadam mai-ḳhāna meñ rakhnā bhī kār-e-puḳhta-kārāñ hai

jo paimāna uThāte haiñ vo tharrāyā nahīñ karte

qadam mai-KHana mein rakhna bhi kar-e-puKHta-karan hai

jo paimana uThate hain wo tharraya nahin karte

Nushur Wahidi

ik nazar fasāna hai duniyā

sau kahānī hai ik kahānī se

ek nazar ka fasana hai duniya

sau kahani hai ek kahani se

Nushur Wahidi

merī āñkhoñ meñ haiñ aañsū tere dāman meñ bahār

gul banā saktā hai shabnam banā saktā huuñ maiñ

meri aankhon mein hain aansu tere daman mein bahaar

gul bana sakta hai tu shabnam bana sakta hun main

Nushur Wahidi

ek rishta bhī mohabbat agar TuuT gayā

dekhte dekhte shīrāza bikhar jaatā hai

ek rishta bhi mohabbat ka agar TuT gaya

dekhte dekhte shiraaza bikhar jata hai

Nushur Wahidi

yahī kāñTe to kuchh ḳhuddār haiñ sehn-e-gulistāñ meñ

ki shabnam ke liye dāman to phailāyā nahīñ karte

yahi kanTe to kuchh KHuddar hain sehn-e-gulistan mein

ki shabnam ke liye daman to phailaya nahin karte

Nushur Wahidi

ham rivāyāt ko pighlā ke 'nushūr'

ik na.e fan ke qarīb aa pahuñche

hum riwayat ko pighla ke 'nushur'

ek nae fan ke qarib aa pahunche

Nushur Wahidi

zindagī parchhā.iyāñ apnī liye

ā.inoñ ke darmiyāñ se aa.ī hai

zindagi parchhaiyan apni liye

aainon ke darmiyan se aai hai

Nushur Wahidi

haqīqat jis jagah hotī hai tābānī batātī hai

koī parde meñ hotā hai to chilman jagmagātī hai

haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai

koi parde mein hota hai to chilman jagmagati hai

Nushur Wahidi

zamāna yaad kare sabā kare ḳhāmosh

ham ik charāġh-e-mohabbat jalā.e jaate haiñ

zamana yaad kare ya saba kare KHamosh

hum ek charagh-e-mohabbat jalae jate hain

Nushur Wahidi

hastī nazāra kyā kahiye martā hai koī jiitā hai koī

jaise ki divālī ho ki diyā jaltā jaa.e bujhtā jaa.e

hasti ka nazara kya kahiye marta hai koi jita hai koi

jaise ki diwali ho ki diya jalta jae bujhta jae

Nushur Wahidi

usī ko zindagī saaz de ke mutma.in huuñ maiñ

vo husn jis ko husn-e-be-sabāt kahte aa.e haiñ

usi ko zindagi ka saz de ke mutmain hun main

wo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aae hain

Nushur Wahidi

ḳhaak aur ḳhuun se ik sham.a jalā.ī hai 'nushūr'

maut se ham ne bhī sīkhī hai hayāt-ārā.ī

KHak aur KHun se ek shama jalai hai 'nushur'

maut se hum ne bhi sikhi hai hayat-arai

Nushur Wahidi

hai shaam abhī kyā hai bahkī huī bāteñ haiñ

kuchh raat Dhale saaqī mai-ḳhāna sambhaltā hai

hai sham abhi kya hai bahki hui baaten hain

kuchh raat Dhale saqi mai-KHana sambhalta hai

Nushur Wahidi

va.ade aur e'tibār meñ hai rabt-e-bāhamī

is rabt-e-bāhamī magar e'tibār kiyā

wade aur e'tibar mein hai rabt-e-bahami

is rabt-e-bahami ka magar e'tibar kiya

Nushur Wahidi

aġhyār ko gul-pairahanī ham ne atā

apne liye phūloñ kafan ham ne banāyā

aghyar ko gul-pairahani hum ne ata ki

apne liye phulon ka kafan hum ne banaya

Nushur Wahidi

'nushūr' ālūda-e-isyāñ sahī par kaun baaqī hai

ye bāteñ raaz haiñ qibla-e-ālam bhī piite haiñ

'nushur' aaluda-e-isyan sahi par kaun baqi hai

ye baaten raaz ki hain qibla-e-alam bhi pite hain

Nushur Wahidi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now