Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Waqt Shayari

“It’s all a matter of

time.” We have heard this and other expressions like this many a time. Apart from our usual notions about time as good or bad, time is also a philosophical concept. We all are subjected to time but we also make time our subject. Poetry in all languages has engaged with the idea and experience of time. Here are some examples from Urdu for you to appraise.

sub.h hotī hai shaam hotī hai

umr yūñhī tamām hotī hai

subh hoti hai sham hoti hai

umr yunhi tamam hoti hai

Munshi Amirullah Tasleem

vaqt rahtā nahīñ kahīñ Tik kar

aadat is bhī aadmī hai

waqt rahta nahin kahin Tik kar

aadat is ki bhi aadmi si hai

Gulzar

ik saal gayā ik saal nayā hai aane ko

par vaqt ab bhī hosh nahīñ dīvāne ko

ek sal gaya ek sal naya hai aane ko

par waqt ka ab bhi hosh nahin diwane ko

Ibn e Insha

sadā aish daurāñ dikhātā nahīñ

gayā vaqt phir haath aatā nahīñ

sada aish dauran dikhata nahin

gaya waqt phir hath aata nahin

Meer Hasan

agar fursat mile paanī tahrīroñ ko paḌh lenā

har ik dariyā hazāroñ saal afsāna likhtā hai

agar fursat mile pani ki tahriron ko paDh lena

har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai

Bashir Badr

vo the ḳhafā ham se ham haiñ ḳhafā un se

kal un zamāna thā aaj apnā zamānā hai

ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se

kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

Jigar Moradabadi

vaqt barbād karne vāloñ ko

vaqt barbād kar ke chhoḌegā

waqt barbaad karne walon ko

waqt barbaad kar ke chhoDega

Divakar Rahi

ye paanī ḳhāmushī se bah rahā hai

ise dekheñ ki is meñ Duub jaa.eñ

ye pani KHamushi se bah raha hai

ise dekhen ki is mein Dub jaen

Ahmad Mushtaq

safar pīchhe jānib hai qadam aage hai merā

maiñ būḌhā hotā jaatā huuñ javāñ hone ḳhātir

safar pichhe ki jaanib hai qadam aage hai mera

main buDha hota jata hun jawan hone ki KHatir

Zafar Iqbal

vo vaqt jahāz thā kartā lihāz kyā

maiñ dostoñ se haath milāne meñ rah gayā

wo waqt ka jahaz tha karta lihaz kya

main doston se hath milane mein rah gaya

Hafeez Merathi

guzarne na vo raat maiñ ne

ghaḌī par rakh diyā thā haath maiñ ne

guzarne hi na di wo raat main ne

ghaDi par rakh diya tha hath main ne

Shahzad Ahmad

vaqt kartā hai parvarish barsoñ

hādisa ek dam nahīñ hotā

waqt karta hai parwarish barson

hadisa ek dam nahin hota

Qabil Ajmeri

roz milne pe bhī lagtā thā ki jug biit ga.e

ishq meñ vaqt ehsās nahīñ rahtā hai

roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae

ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai

Ahmad Mushtaq

umr bhar milne nahīñ detī haiñ ab to ranjisheñ

vaqt ham se ruuTh jaane adā tak le gayā

umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen

waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya

Fasih Akmal

hazāroñ saal safar kar ke phir vahīñ pahuñche

bahut zamāna huā thā hameñ zamīñ se chale

hazaron sal safar kar ke phir wahin pahunche

bahut zamana hua tha hamein zamin se chale

Waheed Akhtar

sab āsān huā jaatā hai

mushkil vaqt to ab aayā hai

sab aasan hua jata hai

mushkil waqt to ab aaya hai

Shariq Kaifi

chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake

vaqt ne kis shabīh ko ḳhvāb o ḳhayāl kar diyā

chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake

waqt ne kis shabih ko KHwab o KHayal kar diya

Parveen Shakir

tum chalo is ke saath na chalo

paañv rukte nahīñ zamāne ke

tum chalo is ke sath ya na chalo

panw rukte nahin zamane ke

Abul Mujahid Zahid

piirī meñ valvale vo kahāñ haiñ shabāb ke

ik dhuup thī ki saath ga.ī āftāb ke

piri mein walwale wo kahan hain shabab ke

ek dhup thi ki sath gai aaftab ke

Munshi Khushwaqt Ali Khursheed

koī Thahartā nahīñ yuuñ to vaqt ke aage

magar vo zaḳhm ki jis nishāñ nahīñ jaatā

koi Thaharta nahin yun to waqt ke aage

magar wo zaKHm ki jis ka nishan nahin jata

Farrukh Jafari

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now