Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ibn e Insha's Photo'

Ibn e Insha

1927 - 1978 | Karachi, Pakistan

Pakistani poet known for his ghazal "kal chaudhanvi ki raat thi, shab bhar raha charcha tera".

Pakistani poet known for his ghazal "kal chaudhanvi ki raat thi, shab bhar raha charcha tera".

Sher of Ibn e Insha

30.6K
Favorite

SORT BY

kal chaudhvīñ raat thī shab bhar rahā charchā tirā

kuchh ne kahā ye chāñd hai kuchh ne kahā chehrā tirā

T'was a full moon out last night, all evening there was talk of you

Some people said it was the moon,and some said that it was you

kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera

kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera

T'was a full moon out last night, all evening there was talk of you

Some people said it was the moon,and some said that it was you

ik saal gayā ik saal nayā hai aane ko

par vaqt ab bhī hosh nahīñ dīvāne ko

ek sal gaya ek sal naya hai aane ko

par waqt ka ab bhi hosh nahin diwane ko

kab lauTā hai bahtā paanī bichhḌā sājan rūThā dost

ham ne us ko apnā jaanā jab tak haath meñ dāmāñ thā

kab lauTa hai bahta pani bichhDa sajan ruTha dost

hum ne us ko apna jaana jab tak hath mein daman tha

raat aa kar guzar bhī jaatī hai

ik hamārī sahar nahīñ hotī

raat aa kar guzar bhi jati hai

ek hamari sahar nahin hoti

vo rāteñ chāñd ke saath ga.iiñ vo bāteñ chāñd ke saath ga.iiñ

ab sukh ke sapne kyā dekheñ jab dukh sūraj sar par ho

wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain

ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho

apnī zabāñ se kuchh na kaheñge chup raheñge āshiq log

tum se to itnā ho saktā hai pūchho haal bechāroñ

apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log

tum se to itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka

'inshā'-jī uTho ab kuuch karo is shahr meñ ko lagānā kyā

vahshī ko sukūñ se kyā matlab jogī nagar meñ Thikānā kyā

'insha'-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya

wahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein Thikana kya

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

is baat se ham ko kyā matlab ye kaise ho ye kyūñkar ho

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho

ham bhuul sake haiñ na tujhe bhuul sakeñge

yaad rahegā hameñ haañ yaad rahegā

hum bhul sake hain na tujhe bhul sakenge

tu yaad rahega hamein han yaad rahega

husn sab ko ḳhudā nahīñ detā

har kisī nazar nahīñ hotī

husn sab ko KHuda nahin deta

har kisi ki nazar nahin hoti

ham kisī dar pe na ThiTke na kahīñ dastak

saikḌoñ dar the mirī jaañ tire dar se pahle

hum kisi dar pe na ThiTke na kahin dastak di

saikDon dar the meri jaan tere dar se pahle

kūche ko tere chhoḌ kar jogī ban jaa.eñ magar

jañgal tire parbat tire bastī tirī sahrā tirā

I should leave your street and go, become a dervish, though

Forests mountains deserts towns are yours where do I go

kuche ko tere chhoD kar jogi hi ban jaen magar

jangal tere parbat tere basti teri sahra tera

I should leave your street and go, become a dervish, though

Forests mountains deserts towns are yours where do I go

garm aañsū aur ThanDī aaheñ man meñ kyā kyā mausam haiñ

is baġhiyā ke bhed na kholo sair karo ḳhāmosh raho

garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain

is baghiya ke bhed na kholo sair karo KHamosh raho

ahl-e-vafā se tark-e-ta.alluq kar lo par ik baat kaheñ

kal tum in ko yaad karoge kal tum inheñ pukāroge

ahl-e-wafa se tark-e-talluq kar lo par ek baat kahen

kal tum in ko yaad karoge kal tum inhen pukaroge

ek se ek junūñ maarā is bastī meñ rahtā hai

ek hamīñ hushiyār the yaaro ek hamīñ bad-nām hue

ek se ek junun ka mara is basti mein rahta hai

ek hamin hushiyar the yaro ek hamin bad-nam hue

apne hamrāh jo aate ho idhar se pahle

dasht paḌtā hai miyāñ ishq meñ ghar se pahle

TRANSLATION

Know, if you come along with me, from here,

Jungle precedes the home in love, my dear.

Sagar Akbarabadi

apne hamrah jo aate ho idhar se pahle

dasht paDta hai miyan ishq mein ghar se pahle

TRANSLATION

Know, if you come along with me, from here,

Jungle precedes the home in love, my dear.

Sagar Akbarabadi

is shahr meñ kis se mileñ ham se to chhūTīñ mahfileñ

har shaḳhs terā naam le har shaḳhs dīvānā tirā

Who should I meet in this town, all company I eschew

Every one now just talks of you, each one crazy for you

is shahr mein kis se milen hum se to chhuTin mahfilen

har shaKHs tera nam le har shaKHs diwana tera

Who should I meet in this town, all company I eschew

Every one now just talks of you, each one crazy for you

bekal bekal rahte ho par mahfil ke ādāb ke saath

aañkh churā kar dekh bhī lete bhole bhī ban jaate ho

bekal bekal rahte ho par mahfil ke aadab ke sath

aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jate ho

kuchh kahne vaqt nahīñ ye kuchh na kaho ḳhāmosh raho

ai logo ḳhāmosh raho haañ ai logo ḳhāmosh raho

kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho

ai logo KHamosh raho han ai logo KHamosh raho

vahshat-e-dil ke ḳharīdār bhī nāpaid hue

kaun ab ishq ke bāzār meñ kholegā dukāñ

wahshat-e-dil ke KHaridar bhi napaid hue

kaun ab ishq ke bazar mein kholega dukan

ek din dekhne ko aa jaate

ye havas umr bhar nahīñ hotī

ek din dekhne ko aa jate

ye hawas umr bhar nahin hoti

yūñhī to nahīñ dasht meñ pahuñche yūñhī to nahīñ jog liyā

bastī bastī kāñTe dekhe jañgal jañgal phuul miyāñ

yunhi to nahin dasht mein pahunche yunhi to nahin jog liya

basti basti kanTe dekhe jangal jangal phul miyan

aan ke is bīmār ko dekhe tujh ko bhī taufīq huī

lab par us ke naam thā terā jab bhī dard shadīd huā

aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui

lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua

'mīr' se bai.at hai to 'inshā' miir bai.at bhī hai zarūr

shaam ko ro ro sub.h karo ab sub.h ko ro ro shaam karo

'mir' se baiat ki hai to 'insha' mir ki baiat bhi hai zarur

sham ko ro ro subh karo ab subh ko ro ro sham karo

diida o dil ne dard apne baat bhī to kis se

vo to dard baanī Thahrā vo kyā dard baTā.egā

dida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki

wo to dard ka bani Thahra wo kya dard baTaega

be tere kyā vahshat ham ko tujh bin kaisā sabr o sukūñ

apnā shahr hai jaanī apnā sahrā hai

be tere kya wahshat hum ko tujh bin kaisa sabr o sukun

tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai

sun to liyā kisī naar ḳhātir kaaTā koh nikālī nahr

ek zarā se qisse ko ab dete kyuuñ ho tuul miyāñ

sun to liya kisi nar ki KHatir kaTa koh nikali nahr

ek zara se qisse ko ab dete kyun ho tul miyan

jab shahr ke log na rastā deñ kyuuñ ban meñ na bisrām kare

dīvānoñ na baat kare to aur kare dīvānā kyā

jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare

diwanon ki si na baat kare to aur kare diwana kya

ham ghuum chuke bastī ban meñ

ik aas phāñs liye man meñ

hum ghum chuke basti ban mein

ek aas ki phans liye man mein

haq achchhā par us ke liye koī aur mare to aur achchhā

tum bhī koī mansūr ho jo suulī pe chaḌho ḳhāmosh raho

haq achchha par us ke liye koi aur mare to aur achchha

tum bhi koi mansur ho jo suli pe chaDho KHamosh raho

jalva-numā.ī be-parvā.ī haañ yahī riit jahāñ hai

kab koī laḌkī man darīcha khol ke bāhar jhāñkī hai

jalwa-numai be-parwai han yahi rit jahan ki hai

kab koi laDki man ka daricha khol ke bahar jhanki hai

janam janam ke sātoñ dukh haiñ us ke māthe par tahrīr

apnā aap miTānā hogā ye tahrīr miTāne meñ

janam janam ke saton dukh hain us ke mathe par tahrir

apna aap miTana hoga ye tahrir miTane mein

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now