Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Farewell Shayari

Meeting, or union, is

one condition of life while separation, or bidding farewell, is another. It instils strange feelings in us—it leaves us sad but sometimes even happy at the prospect of yet another meeting. Have a look at the various moods of farewell here in this section.

ab to jaate haiñ but-kade se 'mīr'

phir mileñge agar ḳhudā laayā

ab to jate hain but-kade se 'mir'

phir milenge agar KHuda laya

Meer Taqi Meer

aañkh se duur sahī dil se kahāñ jā.egā

jaane vaale hameñ yaad bahut aa.egā

aankh se dur sahi dil se kahan jaega

jaane wale tu hamein yaad bahut aaega

Obaidullah Aleem

us ko ruḳhsat to kiyā thā mujhe ma.alūm na thā

saarā ghar le gayā ghar chhoḌ ke jaane vaalā

us ko ruKHsat to kiya tha mujhe malum na tha

sara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala

Nida Fazli

jaate ho ḳhudā-hāfiz haañ itnī guzārish hai

jab yaad ham aa jaa.eñ milne duā karnā

jate ho KHuda-hafiz han itni guzarish hai

jab yaad hum aa jaen milne ki dua karna

Jaleel Manikpuri

chhoḌne maiñ nahīñ jaatā use darvāze tak

lauT aatā huuñ ki ab kaun use jaatā dekhe

chhoDne main nahin jata use darwaze tak

lauT aata hun ki ab kaun use jata dekhe

Shahzad Ahmad

ajiib hote haiñ ādāb-e-ruḳhsat-e-mahfil

ki vo bhī uTh ke gayā jis ghar na thā koī

ajib hote hain aadab-e-ruKHsat-e-mahfil

ki wo bhi uTh ke gaya jis ka ghar na tha koi

Sahar Ansari

yaad hai ab tak tujh se bichhaḌne vo añdherī shaam mujhe

ḳhāmosh khaḌā thā lekin bāteñ kartā thā kājal

yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe

tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal

Nasir Kazmi

tum suno na suno haath baḌhāo na baḌhāo

Dūbte Dūbte ik baar pukāreñge tumheñ

tum suno ya na suno hath baDhao na baDhao

Dubte Dubte ek bar pukarenge tumhein

Irfan Siddiqi

ye ek peḌ hai aa is se mil ke ro leñ ham

yahāñ se tere mire rāste badalte haiñ

ye ek peD hai aa is se mil ke ro len hum

yahan se tere mere raste badalte hain

Bashir Badr

us se milne ḳhushī ba.ad meñ dukh detī hai

jashn ke ba.ad sannāTā bahut khaltā hai

us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai

jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai

Moin Shadab

gūñjte rahte haiñ alfāz mire kānoñ meñ

to ārām se kah detā hai allāh-hāfiz

gunjte rahte hain alfaz mere kanon mein

tu to aaram se kah deta hai allah-hafiz

Unknown

jaane vaale ko kahāñ rok sakā hai koī

tum chale ho to koī rokne vaalā bhī nahīñ

jaane wale ko kahan rok saka hai koi

tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin

Aslam Ansari

kaleja rah gayā us vaqt phaT kar

kahā jab alvidā us ne palaT kar

kaleja rah gaya us waqt phaT kar

kaha jab alwida us ne palaT kar

Pawan Kumar

ravāna kar to rahā hai vo hañste hañste mujhe

maiñ jāntā huuñ mire ba.ad ḳhuub ro.egā

rawana kar to raha hai wo hanste hanste mujhe

main jaanta hun mere baad KHub roega

Ameen Shaikh

tum isī moḌ par hameñ milnā

lauT kar ham zarūr ā.eñge

tum isi moD par hamein milna

lauT kar hum zarur aaenge

Nazar Aitawi

ab ke jaate hue is tarah kiyā us ne salām

Dūbne vaalā koī haath uThā.e jaise

ab ke jate hue is tarah kiya us ne salam

Dubne wala koi hath uThae jaise

Unknown

dukh ke safar pe dil ko ravāna to kar diyā

ab saarī umr haath hilāte raheñge ham

dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya

ab sari umr hath hilate rahenge hum

Ahmad Mushtaq

ek din kahnā thā ik dūsre ko alvidā.a

āḳhirash 'sālim' judā ik baar to honā thā

ek din kahna hi tha ek dusre ko alwidaa

aaKHirash 'salim' juda ek bar to hona hi tha

Salim Shuja Ansari

vo alvidā.a manzar vo bhīgtī palkeñ

pas-e-ġhubār bhī kyā kyā dikhā.ī detā hai

wo alwidaa ka manzar wo bhigti palken

pas-e-ghubar bhi kya kya dikhai deta hai

Shakeb Jalali

ghar meñ rahā thā kaun ki ruḳhsat kare hameñ

chaukhaT ko alvidā.a kahā aur chal paḌe

ghar mein raha tha kaun ki ruKHsat kare hamein

chaukhaT ko alwidaa kaha aur chal paDe

Makhmoor Saeedi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now