Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Tanhai Shayari

Some of the best of

all times on tanhai shayari have been enlisted to keep you company when all feels lost. Loneliness is palpable and can be felt even in a crowd. Let the best poets in urdu shayari keep you company.

ḳhvāb tarah bikhar jaane ko chāhtā hai

aisī tanhā.ī ki mar jaane ko chāhtā hai

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai

Iftikhar Arif

ab to un yaad bhī aatī nahīñ

kitnī tanhā ho ga.iiñ tanhā.iyāñ

nowadays even her thoughts do not intrude

see how forlorn and lonely is my solitude

ab to un ki yaad bhi aati nahin

kitni tanha ho gain tanhaiyan

nowadays even her thoughts do not intrude

see how forlorn and lonely is my solitude

Firaq Gorakhpuri

ab is ghar ābādī mehmānoñ par hai

koī aa jaa.e to vaqt guzar jaatā hai

ab is ghar ki aabaadi mehmanon par hai

koi aa jae to waqt guzar jata hai

Zehra Nigaah

mujhe tanhā.ī aadat hai merī baat chhoḌeñ

ye liije aap ghar aa gayā hai haat chhoḌeñ

mujhe tanhai ki aadat hai meri baat chhoDen

ye lije aap ka ghar aa gaya hai hat chhoDen

Javed Saba

ek mahfil meñ ka.ī mahfileñ hotī haiñ sharīk

jis ko bhī paas se dekhoge akelā hogā

ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik

jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga

Nida Fazli

tanhā.ī meñ karnī to hai ik baat kisī se

lekin vo kisī vaqt akelā nahīñ hotā

tanhai mein karni to hai ek baat kisi se

lekin wo kisi waqt akela nahin hota

Ahmad Mushtaq

ik safīna hai tirī yaad agar

ik samundar hai mirī tanhā.ī

ek safina hai teri yaad agar

ek samundar hai meri tanhai

Ahmad Nadeem Qasmi

kisī hālat meñ bhī tanhā nahīñ hone detī

hai yahī ek ḳharābī mirī tanhā.ī

kisi haalat mein bhi tanha nahin hone deti

hai yahi ek KHarabi meri tanhai ki

Farhat Ehsas

tanhā.iyāñ tumhārā pata pūchhtī rahīñ

shab-bhar tumhārī yaad ne sone nahīñ diyā

tanhaiyan tumhaara pata puchhti rahin

shab-bhar tumhaari yaad ne sone nahin diya

Unknown

shahr meñ kis se suḳhan rakhiye kidhar ko chaliye

itnī tanhā.ī to ghar meñ bhī hai ghar ko chaliye

shahr mein kis se suKHan rakhiye kidhar ko chaliye

itni tanhai to ghar mein bhi hai ghar ko chaliye

Naseer Turabi

maiñ apne saath rahtā huuñ hamesha

akelā huuñ magar tanhā nahīñ huuñ

main apne sath rahta hun hamesha

akela hun magar tanha nahin hun

Unknown

kuchh to tanhā.ī rātoñ meñ sahārā hotā

tum na hote na sahī zikr tumhārā hotā

kuchh to tanhai ki raaton mein sahaara hota

tum na hote na sahi zikr tumhaara hota

Akhtar Shirani

makāñ hai qabr jise log ḳhud banāte haiñ

maiñ apne ghar meñ huuñ maiñ kisī mazār meñ huuñ

makan hai qabr jise log KHud banate hain

main apne ghar mein hun ya main kisi mazar mein hun

Muneer Niyazi

tum se mile to ḳhud se ziyāda

tum ko akelā paayā ham ne

tum se mile to KHud se ziyaada

tum ko akela paya hum ne

Irfan Siddiqi

vo nahīñ hai na sahī tark-e-tamannā na karo

dil akelā hai ise aur akelā na karo

wo nahin hai na sahi tark-e-tamanna na karo

dil akela hai ise aur akela na karo

Mahmood Ayaz

bhiiḌ ke ḳhauf se phir ghar taraf lauT aayā

ghar se jab shahr meñ tanhā.ī ke Dar se niklā

bhiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya

ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla

Aleem Masroor

jam.a kartī hai mujhe raat bahut mushkil se

sub.h ko ghar se nikalte bikharne ke liye

jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se

subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye

Javed Shaheen

tanhā.ī ye kaun manzil hai rafīqo

tā-hadd-e-nazar ek bayābān kyuuñ hai

tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo

ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai

Shahryar

ik aag ġham-e-tanhā.ī jo saare badan meñ phail ga.ī

jab jism saarā jaltā ho phir dāman-e-dil ko bachā.eñ kyā

ek aag gham-e-tanhai ki jo sare badan mein phail gai

jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaen kya

Athar Nafees

darvāze par pahra dene

tanhā.ī bhuut khaḌā hai

darwaze par pahra dene

tanhai ka bhut khaDa hai

Mohammad Alvi

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now