Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahryar's Photo'

Shahryar

1936 - 2012 | Aligarh, India

One of the most prominent modern Urdu poets and lyricist. Wrote songs for the movie "Umrao Jaan". Recipient of the Bhartiya Gyan Peeth award.

One of the most prominent modern Urdu poets and lyricist. Wrote songs for the movie "Umrao Jaan". Recipient of the Bhartiya Gyan Peeth award.

Sher of Shahryar

69.1K
Favorite

SORT BY

shadīd pyaas thī phir bhī chhuā na paanī ko

maiñ dekhtā rahā dariyā tirī ravānī ko

shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko

main dekhta raha dariya teri rawani ko

jahāñ meñ hone ko ai dost yuuñ to sab hogā

tire laboñ pe mire lab hoñ aisā kab hogā

jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga

tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga

justujū jis thī us ko to na paayā ham ne

is bahāne se magar dekh duniyā ham ne

justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne

is bahane se magar dekh li duniya hum ne

siyāh raat nahīñ letī naam Dhalne

yahī to vaqt hai sūraj tire nikalne

siyah raat nahin leti nam Dhalne ka

yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka

shikva koī dariyā ravānī se nahīñ hai

rishta mirī pyaas paanī se nahīñ hai

shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai

rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai

kyā koī na.ī baat nazar aatī hai ham meñ

ā.īna hameñ dekh ke hairān kyuuñ hai

kya koi nai baat nazar aati hai hum mein

aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai

jab bhī miltī hai mujhe ajnabī lagtī kyuuñ hai

zindagī roz na.e rañg badaltī kyuuñ hai

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai

zindagi roz nae rang badalti kyun hai

ghar ta.amīr tasavvur meñ ho saktī hai

apne naqshe ke mutābiq ye zamīñ kuchh kam hai

ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai

apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai

ye kyā hai mohabbat meñ to aisā nahīñ hotā

maiñ tujh se judā ho ke bhī tanhā nahīñ hotā

ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota

main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota

shaam hote khulī saḌkoñ yaad aatī hai

sochtā roz huuñ maiñ ghar se nahīñ niklūñgā

sham hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai

sochta roz hun main ghar se nahin niklunga

siine meñ jalan āñkhoñ meñ tūfān kyuuñ hai

is shahr meñ har shaḳhs pareshān kyuuñ hai

sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai

is shahr mein har shaKHs pareshan sa kyun hai

kaun baat hai jo us meñ nahīñ

us ko dekhe mirī nazar se koī

kaun si baat hai jo us mein nahin

us ko dekhe meri nazar se koi

har mulāqāt anjām judā.ī kyuuñ hai

ab to har vaqt yahī baat satātī hai hameñ

har mulaqat ka anjam judai kyun hai

ab to har waqt yahi baat satati hai hamein

hai koī jo batā.e shab ke musāfiroñ ko

kitnā safar huā hai kitnā safar rahā hai

hai koi jo batae shab ke musafiron ko

kitna safar hua hai kitna safar raha hai

ye ik shajar ki jis pe na kāñTā na phuul hai

saa.e meñ us ke baiTh ke ronā fuzūl hai

ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

sae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai

ik buuñd zahr ke liye phailā rahe ho haath

dekho kabhī ḳhud apne badan ko nichoḌ ke

ek bund zahr ke liye phaila rahe ho hath

dekho kabhi KHud apne badan ko nichoD ke

vo kaun thā vo kahāñ thā kyā huā thā use

sunā hai aaj koī shaḳhs mar gayā yaaro

wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use

suna hai aaj koi shaKHs mar gaya yaro

pahle nahā.ī os meñ phir āñsuoñ meñ raat

yuuñ buuñd buuñd utrī hamāre gharoñ meñ raat

pahle nahai os mein phir aansuon mein raat

yun bund bund utri hamare gharon mein raat

sabhī ko ġham hai samundar ke ḳhushk hone

ki khel ḳhatm huā kashtiyāñ Dubone

sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka

ki khel KHatm hua kashtiyan Dubone ka

tere alāva bhī kisī shai talab hai

apnī mohabbat pe bharosā nahīñ ham ko

ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai

ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko

umr lambā hissa kar ke dānā.ī ke naam

ham bhī ab ye soch rahe haiñ pāgal ho jaa.eñ

umr ka lamba hissa kar ke danai ke nam

hum bhi ab ye soch rahe hain pagal ho jaen

jam.a karte rahe jo apne ko zarra zarra

vo ye kyā jāneñ bikharne meñ sukūñ kitnā hai

jama karte rahe jo apne ko zarra zarra

wo ye kya jaanen bikharne mein sukun kitna hai

ab raat dīvār ko Dhānā hai zarūrī

ye kaam magar mujh se akele nahīñ hogā

ab raat ki diwar ko Dhana hai zaruri

ye kaam magar mujh se akele nahin hoga

jo hone vaalā hai ab us fikr kyā kiije

jo ho chukā hai usī par yaqīñ nahīñ aatā

jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije

jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata

tere vaade ko kabhī jhuuT nahīñ samjhūñgā

aaj raat bhī darvāza khulā rakkhūñgā

tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga

aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga

bichhḌe logoñ se mulāqāt kabhī phir hogī

dil meñ ummīd to kaafī hai yaqīñ kuchh kam hai

bichhDe logon se mulaqat kabhi phir hogi

dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai

hai aaj ye gila ki akelā hai 'shahryār'

tarsoge kal hujūm meñ tanhā.ī ke liye

hai aaj ye gila ki akela hai 'shahryar'

tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye

mire sūraj aa! mire jism pe apnā saaya kar

baḌī tez havā hai sardī aaj ġhazab hai

mere suraj aa! mere jism pe apna saya kar

baDi tez hawa hai sardi aaj ghazab ki hai

ik sirf hamīñ mai ko ā.ankhoñ se pilāte haiñ

kahne ko to duniyā meñ mai-ḳhāne hazāroñ haiñ

ek sirf hamin mai ko aaankhon se pilate hain

kahne ko to duniya mein mai-KHane hazaron hain

aañkh ye ek hasrat thī ki bas puurī huī

āñsuoñ meñ bhiig jaane havas puurī huī

aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui

aansuon mein bhig jaane ki hawas puri hui

āsmāñ kuchh bhī nahīñ ab tere karne ke liye

maiñ ne sab tayyāriyāñ kar haiñ marne ke liye

aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye

main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye

ye jab hai ki ik ḳhvāb se rishta hai hamārā

din Dhalte dil Dūbne lagtā hai hamārā

ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara

din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara

kahiye to āsmāñ ko zamīñ par utaar laa.eñ

mushkil nahīñ hai kuchh bhī agar Thaan lījiye

kahiye to aasman ko zamin par utar laen

mushkil nahin hai kuchh bhi agar Than lijiye

jo chāhtī duniyā hai vo mujh se nahīñ hogā

samjhautā koī ḳhvāb ke badle nahīñ hogā

jo chahti duniya hai wo mujh se nahin hoga

samjhauta koi KHwab ke badle nahin hoga

ajiib sāneha mujh par guzar gayā yaaro

maiñ apne saa.e se kal raat Dar gayā yaaro

ajib saneha mujh par guzar gaya yaro

main apne sae se kal raat Dar gaya yaro

jāgtā huuñ maiñ ek akelā duniyā sotī hai

kitnī vahshat hijr lambī raat meñ hotī hai

jagta hun main ek akela duniya soti hai

kitni wahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai

nazrāna tere husn ko kyā deñ ki apne paas

le de ke ek dil hai so TuuTā huā hai

nazrana tere husn ko kya den ki apne pas

le de ke ek dil hai so TuTa hua sa hai

āñkhoñ meñ terī dekh rahā huuñ maiñ apnī shakl

ye koī vāhima ye koī ḳhvāb to nahīñ

aankhon mein teri dekh raha hun main apni shakl

ye koi wahima ye koi KHwab to nahin

kahāñ hai tujh se ik nisbat thī merī zaat ko

kab se palkoñ par uThā.e phir rahā huuñ raat ko

tu kahan hai tujh se ek nisbat thi meri zat ko

kab se palkon par uThae phir raha hun raat ko

vaqt ko kyuuñ bhalā burā kahiye

tujh ko honā thā judā ham se

waqt ko kyun bhala bura kahiye

tujh ko hona hi tha juda hum se

ye kyā jagah hai dosto ye kaun dayār hai

hadd-e-nigāh tak jahāñ ġhubār ġhubār hai

ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai

hadd-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai

ham judā ho ga.e āġhāz-e-safar se pahle

jaane kis samt hameñ rāh-e-vafā le jaatī

hum juda ho gae aaghaz-e-safar se pahle

jaane kis samt hamein rah-e-wafa le jati

be-nām se ik ḳhauf se dil kyuuñ hai pareshāñ

jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahīñ hogā

be-nam se ek KHauf se dil kyun hai pareshan

jab tai hai ki kuchh waqt se pahle nahin hoga

maiñ sochtā huuñ magar yaad kuchh nahīñ aatā

ki iḳhtitām kahāñ ḳhvāb ke safar huā

main sochta hun magar yaad kuchh nahin aata

ki iKHtitam kahan KHwab ke safar ka hua

kyuuñ aaj us zikr mujhe ḳhush na kar sakā

kyuuñ aaj us naam mirā dil dukhā gayā

kyun aaj us ka zikr mujhe KHush na kar saka

kyun aaj us ka nam mera dil dukha gaya

bahut shor thā jab samā.at ga.ī

bahut bhiiḌ thī jab akele hue

bahut shor tha jab samaat gai

bahut bhiD thi jab akele hue

in dinoñ maiñ bhī huuñ kuchh kār-e-jahāñ meñ masrūf

baat tujh meñ bhī nahīñ rah ga.ī pahle vaalī

in dinon main bhi hun kuchh kar-e-jahan mein masruf

baat tujh mein bhi nahin rah gai pahle wali

nazar jo koī bhī tujh hasīñ nahīñ aatā

kisī ko kyā mujhe ḳhud bhī yaqīñ nahīñ aatā

nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata

kisi ko kya mujhe KHud bhi yaqin nahin aata

zabāñ milī bhī to kis vaqt be-zabānoñ ko

sunāne ke liye jab koī dāstāñ na rahī

zaban mili bhi to kis waqt be-zabanon ko

sunane ke liye jab koi dastan na rahi

zindagī jaisī tavaqqo thī nahīñ kuchh kam hai

har ghaḌī hotā hai ehsās kahīñ kuchh kam hai

zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai

har ghaDi hota hai ehsas kahin kuchh kam hai

Recitation

Speak Now