Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Alvi's Photo'

Mohammad Alvi

1927 - 2018 | Ahmedabad, India

One of the most prominent modern poets. Known for his style of layered simplicity. Recipient of Sahitya Academy award.

One of the most prominent modern poets. Known for his style of layered simplicity. Recipient of Sahitya Academy award.

Sher of Mohammad Alvi

34.2K
Favorite

SORT BY

ye kahāñ dostoñ meñ aa baiThe

ham to marne ko ghar se nikle the

ye kahan doston mein aa baiThe

hum to marne ko ghar se nikle the

tārīf sun ke dost se 'alvī' ḳhush na ho

us ko tirī burā.iyāñ karte hue bhī dekh

tarif sun ke dost se 'alwi' tu KHush na ho

us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh

ham se jo aage ga.e kitne mehrbān the

duur talak raah meñ ek bhī patthar na thā

hum se jo aage gae kitne mehrban the

dur talak rah mein ek bhi patthar na tha

yakka ulaT ke rah gayā ghoḌā bhaḌak gayā

kaalī saḌak pe chāñd chehra chamak gayā

yakka ulaT ke rah gaya ghoDa bhaDak gaya

kali saDak pe chand sa chehra chamak gaya

sadiyoñ se kināre pe khaḌā suukh rahā hai

is shahr ko dariyā meñ girā denā chāhiye

sadiyon se kinare pe khaDa sukh raha hai

is shahr ko dariya mein gira dena chahiye

aaj phir mujh se kahā dariyā ne

kyā irāda hai bahā le jā.ūñ

aaj phir mujh se kaha dariya ne

kya irada hai baha le jaun

binā murġhe ke par jhaTaktī haiñ

murġhiyāñ dar-ba-dar bhaTaktī haiñ

bina murghe ke par jhaTakti hain

murghiyan dar-ba-dar bhaTakti hain

roz kahtā hai havā jhoñkā

aa tujhe duur uḌā le jā.ūñ

roz kahta hai hawa ka jhonka

aa tujhe dur uDa le jaun

chalā jā.ūñgā jaise ḳhud ko tanhā chhoḌ kar 'alvī'

maiñ apne aap ko rātoñ meñ uTh kar dekh letā huuñ

chala jaunga jaise KHud ko tanha chhoD kar 'alwi'

main apne aap ko raaton mein uTh kar dekh leta hun

ghar meñ sāmāñ to ho dilchaspī

hādsa koī uThā le jā.ūñ

ghar mein saman to ho dilchaspi ka

hadsa koi uTha le jaun

kabhī to aisā bhī ho raah bhuul jā.ūñ maiñ

nikal ke ghar se na phir apne ghar meñ aa.uuñ maiñ

kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main

nikal ke ghar se na phir apne ghar mein aaun main

kahīñ kho na jaa.e qayāmat din

ye achchhā samay hai abhī bhej de

kahin kho na jae qayamat ka din

ye achchha samay hai abhi bhej de

khiḌkiyoñ se jhāñktī hai raushnī

battiyāñ jaltī haiñ ghar ghar raat meñ

khiDkiyon se jhankti hai raushni

battiyan jalti hain ghar ghar raat mein

gul-dān meñ gulāb kaliyāñ mahak uThīñ

kursī ne us ko dekh ke āġhosh kiyā

gul-dan mein gulab ki kaliyan mahak uThin

kursi ne us ko dekh ke aaghosh wa kiya

nahā kar bhīge bāloñ ko sukhātī

chhatoñ par laḌkiyāñ achchhī lagī haiñ

naha kar bhige baalon ko sukhati

chhaton par laDkiyan achchhi lagi hain

ik diyā der se jaltā hogā

saath thoḌī havā le jā.ūñ

ek diya der se jalta hoga

sath thoDi si hawa le jaun

un dinoñ ghar se ajab rishta thā

saare darvāze gale lagte the

un dinon ghar se ajab rishta tha

sare darwaze gale lagte the

parinde duur fazāoñ meñ kho ga.e 'alvī'

ujaaḌ ujaaḌ daraḳhtoñ pe āshiyāne the

parinde dur fazaon mein kho gae 'alwi'

ujaD ujaD daraKHton pe aashiyane the

battī bujhā ke hero heroine lipaT ga.e

qissa bahut phir to mazedār ho gayā

batti bujha ke hero heroine lipaT gae

qissa bahut hi phir to mazedar ho gaya

DhūñDne meñ bhī maza aatā hai

koī shai rakh ke bhulā jaa.e

DhunDne mein bhi maza aata hai

koi shai rakh ke bhula di jae

har vaqt khilte phuul jānib takā na kar

murjhā ke pattiyoñ ko bikharte hue bhī dekh

har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar

murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh

dhuup ne guzārish

ek buuñd bārish

dhup ne guzarish ki

ek bund barish ki

kamre meñ maze raushnī ho

achchhī koī kitāb dekhūñ

kamre mein maze ki raushni ho

achchhi si koi kitab dekhun

maut bhī duur bahut duur kahīñ phirtī hai

kaun ab aa ke asīroñ ko rihā.ī degā

maut bhi dur bahut dur kahin phirti hai

kaun ab aa ke asiron ko rihai dega

gaaḌī aatī hai lekin aatī nahīñ

rail paTrī dekh ke thak jaatā huuñ maiñ

gaDi aati hai lekin aati hi nahin

rail ki paTri dekh ke thak jata hun main

nazroñ se nāptā hai samundar vus.ateñ

sāhil pe ik shaḳhs akelā khaḌā huā

nazron se napta hai samundar ki wusaten

sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua

aisā hañgāma na thā jañgal meñ

shahr meñ aa.e to Dar lagtā thā

aisa hangama na tha jangal mein

shahr mein aae to Dar lagta tha

abhī do chaar būñdeñ girīñ haiñ

magar mausam nashīlā ho gayā hai

abhi do chaar hi bunden girin hain

magar mausam nashila ho gaya hai

ab na 'ġhālib' se shikāyat hai na shikva 'mīr'

ban gayā maiñ bhī nishāna reḳhta ke tiir

ab na 'ghaalib' se shikayat hai na shikwa 'mir' ka

ban gaya main bhi nishana reKHta ke tir ka

par tol ke baiThī hai magar uḌtī nahīñ hai

tasvīr se chiḌiyā ko uḌā denā chāhiye

par tol ke baiThi hai magar uDti nahin hai

taswir se chiDiya ko uDa dena chahiye

gavāhī detā vahī merī be-gunāhī

vo mar gayā to use ab kahāñ se lā.ūñ maiñ

gawahi deta wahi meri be-gunahi ki

wo mar gaya to use ab kahan se laun main

sāmne dīvār par kuchh daaġh the

ġhaur se dekhā to chehre ho ga.e

samne diwar par kuchh dagh the

ghaur se dekha to chehre ho gae

din bhar bachchoñ ne mil kar patthar pheñke phal toḌe

sāñjh huī to panchhī mil kar rone lage daraḳhtoñ par

din bhar bachchon ne mil kar patthar phenke phal toDe

sanjh hui to panchhi mil kar rone lage daraKHton par

kahāñ bhaTakte phiroge 'alvī'

saḌak se pūchho kidhar ga.ī hai

kahan bhaTakte phiroge 'alwi'

saDak se puchho kidhar gai hai

sardī meñ din sard milā

har mausam bedard milā

sardi mein din sard mila

har mausam bedard mila

bahut ḳhush hue ā.īna dekh kar

yahāñ koī saanī hamārā na thā

bahut KHush hue aaina dekh kar

yahan koi sani hamara na tha

are ye dil aur itnā ḳhālī

koī musībat paal rakhiye

are ye dil aur itna KHali

koi musibat hi pal rakhiye

āsmān par pahuñchūñ

allāh terā naam likhūñ

aasman par ja pahunchun

allah tera nam likhun

hairān mat ho tairtī machhlī ko dekh kar

paanī meñ raushnī ko utarte hue bhī dekh

hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar

pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh

raat paḌe ghar jaanā hai

sub.h talak mar jaanā hai

raat paDe ghar jaana hai

subh talak mar jaana hai

office meñ bhī ghar ko khulā paatā huuñ maiñ

Table par sar rakh kar so jaatā huuñ maiñ

office mein bhi ghar ko khula pata hun main

Table par sar rakh kar so jata hun main

marne ke Dar se aur kahāñ tak jiyegā

jiine ke din tamām hue intiqāl kar

marne ke Dar se aur kahan tak jiyega tu

jine ke din tamam hue intiqal kar

raat milī tanhā.ī milī aur jaam milā

ghar se nikle to kyā kyā ārām milā

raat mili tanhai mili aur jam mila

ghar se nikle to kya kya aaram mila

'alvī' ne aaj din meñ kahānī sunā.ī thī

shāyad isī vajah se maiñ rasta bhaTak gayā

'alwi' ne aaj din mein kahani sunai thi

shayad isi wajah se main rasta bhaTak gaya

bulā rahā thā koī chīḳh chīḳh kar mujh ko

kueñ meñ jhāñk ke dekhā to maiñ andar thā

bula raha tha koi chiKH chiKH kar mujh ko

kuen mein jhank ke dekha to main hi andar tha

dekhā to sab ke sar pe gunāhoñ bojh thā

ḳhush the tamām nekiyāñ dariyā meñ Daal kar

dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha

KHush the tamam nekiyan dariya mein Dal kar

muñh-zabānī qur.ān paḌhte the

pahle bachche bhī kitne būḌhe the

munh-zabani quran paDhte the

pahle bachche bhi kitne buDhe the

'alvī' ḳhvāhish bhī thī bāñjh

jazba bhī nā-mard milā

'alwi' KHwahish bhi thi banjh

jazba bhi na-mard mila

chhoḌ gayā mujh ko 'alvī'

shāyad vo jaldī meñ thā

chhoD gaya mujh ko 'alwi'

shayad wo jaldi mein tha

'alvī' ye mo.ajiza hai december dhuup

saare makān shahr ke dho.e hue se haiñ

'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka

sare makan shahr ke dhoe hue se hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now