Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Firaq Gorakhpuri's Photo'

Firaq Gorakhpuri

1896 - 1982 | Allahabad, India

One of the most influential Pre-modern poets who paved the way for the modern Urdu ghazal. Known for his perceptive critical comments. Recipient of Gyanpeeth award.

One of the most influential Pre-modern poets who paved the way for the modern Urdu ghazal. Known for his perceptive critical comments. Recipient of Gyanpeeth award.

Sher of Firaq Gorakhpuri

197.8K
Favorite

SORT BY

ai mazāhib ke ḳhudā terī mashiyyat jo bhī ho

ishq ko dīgar ḳhudā dīgar mashiyyat chāhiye

ai mazahib ke KHuda teri mashiyyat jo bhi ho

ishq ko digar KHuda digar mashiyyat chahiye

aaj āġhosh meñ thā aur koī

der tak ham tujhe na bhuul sake

aaj aaghosh mein tha aur koi

der tak hum tujhe na bhul sake

aaj tak sub.h-e-azal se vahī sannāTā hai

ishq ghar kabhī sharminda-e-mehmāñ na huā

aaj tak subh-e-azal se wahi sannaTa hai

ishq ka ghar kabhi sharminda-e-mehman na hua

is pursish-e-karam pe to aañsū nikal paḌe

kyā vahī ḳhulūs sarāpā hai aaj bhī

is pursish-e-karam pe to aansu nikal paDe

kya tu wahi KHulus sarapa hai aaj bhi

kabhī ho sakā to batā.ūñgā tujhe rāz-e-ālam-e-ḳhair-o-shar

ki maiñ rah chukā huuñ shurūa se gahe aizd-o-gahe ahrman

kabhi ho saka to bataunga tujhe raaz-e-alam-e-KHair-o-shar

ki main rah chuka hun shurua se gahe aizd-o-gahe ahrman

lahū vatan ke shahīdoñ rañg laayā hai

uchhal rahā hai zamāne meñ nām-e-āzādī

lahu watan ke shahidon ka rang laya hai

uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi

maazī ke samundar meñ aksar yādoñ ke jazīre milte haiñ

phir aao vahīñ lañgar Dāleñ phir aao unheñ ābād kareñ

mazi ke samundar mein aksar yaadon ke jazire milte hain

phir aao wahin langar Dalen phir aao unhen aabaad karen

tabī.at apnī ghabrātī hai jab sunsān rātoñ meñ

ham aise meñ tirī yādoñ chādar taan lete haiñ

tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein

hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain

kamī na tire vahshī ne ḳhaak uḌāne meñ

junūñ naam uchhaltā rahā zamāne meñ

kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein

junun ka nam uchhalta raha zamane mein

kahāñ vasl tanhā.ī ne shāyad bhes badlā hai

tire dam bhar ke mil jaane ko ham bhī kyā samajhte haiñ

kahan ka wasl tanhai ne shayad bhes badla hai

tere dam bhar ke mil jaane ko hum bhi kya samajhte hain

maiñ aaj sirf mohabbat ke ġham karūñgā yaad

ye aur baat ki terī bhī yaad aa jaa.e

main aaj sirf mohabbat ke gham karunga yaad

ye aur baat ki teri bhi yaad aa jae

zindagī-e-do-roza se karte haiñ vaz.a jannateñ

ham ko bahut hai ye jahāñ jannat-e-jāvedāñ na de

zindagi-e-do-roza se karte hain waza jannaten

hum ko bahut hai ye jahan jannat-e-jawedan na de

qurb kam hai na duurī ziyāda lekin

aaj vo rabt ehsās kahāñ hai ki jo thā

qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin

aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha

thī yuuñ to shām-e-hijr magar pichhlī raat ko

vo dard uThā 'firāq' ki maiñ muskurā diyā

thi yun to sham-e-hijr magar pichhli raat ko

wo dard uTha 'firaq' ki main muskura diya

kaho to arz kareñ maan lo to kyā kahnā

tumhāre paas ham aa.e haiñ ik zarūrat se

kaho to arz karen man lo to kya kahna

tumhaare pas hum aae hain ek zarurat se

uTThī hai chashm-e-sāqī-e-mai-ḳhāna bazm par

ye vaqt vo nahīñ ki halāl-o-harām dekh

uTThi hai chashm-e-saqi-e-mai-KHana bazm par

ye waqt wo nahin ki halal-o-haram dekh

na koī va.ada na koī yaqīñ na koī umiid

magar hameñ to tirā intizār karnā thā

no promise,surety, nor any hope was due

yet I had little choice but to wait for you

na koi wada na koi yaqin na koi umid

magar hamein to tera intizar karna tha

no promise,surety, nor any hope was due

yet I had little choice but to wait for you

kaun ye le rahā hai añgḌā.ī

āsmānoñ ko niiñd aatī hai

kaun ye le raha hai angDai

aasmanon ko nind aati hai

vo rātoñ-rāt 'sirī-krishn' ko uThā.e hue

balā qaid se 'basdev' nikal jaanā

wo raaton-raat 'siri-krishn' ko uThae hue

bala ki qaid se 'basdew' ka nikal jaana

saañs letī hai vo zamīn 'firāq'

jis pe vo naaz se guzarte haiñ

sans leti hai wo zamin 'firaq'

jis pe wo naz se guzarte hain

vo fusūñ phūñkā ki vahshī bhī mohazzab ho ga.e

kar gayā kyā sehr maanā ishq bāzīgar na thā

wo fusun phunka ki wahshi bhi mohazzab ho gae

kar gaya kya sehr mana ishq bazigar na tha

tum ise shikva samajh kar kis liye sharmā ga.e

muddatoñ ke ba.ad dekhā thā to aañsū aa ga.e

tum ise shikwa samajh kar kis liye sharma gae

muddaton ke baad dekha tha to aansu aa gae

chupke chupke uTh rahā hai madh-bhare sīnoñ meñ dard

dhīme dhīme chal rahī haiñ ishq purvā.iyāñ

chupke chupke uTh raha hai madh-bhare sinon mein dard

dhime dhime chal rahi hain ishq ki purwaiyan

'ġhālib' o 'mīr' 'mus.hafī'

ham bhī 'firāq' kam nahīñ

'ghaalib' o 'mir' 'mushafi'

hum bhi 'firaq' kam nahin

agar badal na diyā aadmī ne duniyā ko

to jaan lo ki yahāñ aadmī ḳhair nahīñ

agar badal na diya aadmi ne duniya ko

to jaan lo ki yahan aadmi ki KHair nahin

kuchh na pūchho 'firāq' ahd-e-shabāb

raat hai niind hai kahānī hai

kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab

raat hai nind hai kahani hai

ahl-e-ġham tum ko mubārak ho fanā-āmādgī

lekin īsār-e-mohabbat jaan de denā nahīñ

ahl-e-gham tum ko mubarak ho fana-amadgi

lekin isar-e-mohabbat jaan de dena nahin

ye zillat-e-ishq tere hāthoñ

ai dost tujhe kahāñ chhupā leñ

ye zillat-e-ishq tere hathon

ai dost tujhe kahan chhupa len

kisī yuuñ to huā kaun umr bhar phir bhī

ye husn o ishq to dhokā hai sab magar phir bhī

kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi

ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi

ye sānehe dil-e-ġham-ghīñ huā karte haiñ

na ishq ḳhatā hai na husn qusūr

ye sanehe dil-e-gham-ghin hua hi karte hain

na ishq hi ki KHata hai na husn hi ka qusur

maiñ huuñ dil hai tanhā.ī hai

tum bhī hote achchhā hotā

my loneliness my heart and me

would be nice

main hun dil hai tanhai hai

tum bhi hote achchha hota

my loneliness my heart and me

would be nice

shaam bhī thī dhuāñ dhuāñ husn bhī thā udaas udaas

dil ko ka.ī kahāniyāñ yaad aa ke rah ga.iiñ

sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas

dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain

isī khañDar meñ kahīñ kuchh diye haiñ TuuTe hue

inhīñ se kaam chalāo baḌī udaas hai raat

isi khanDar mein kahin kuchh diye hain TuTe hue

inhin se kaam chalao baDi udas hai raat

dil-dukhe ro.e haiñ shāyad is jagah ai kū-e-dost

ḳhaak itnā chamak jaanā zarā dushvār thā

dil-dukhe roe hain shayad is jagah ai ku-e-dost

KHak ka itna chamak jaana zara dushwar tha

bad-gumāñ ho ke mil ai dost jo milnā hai tujhe

ye jhijhakte hue milnā koī milnā bhī nahīñ

bad-guman ho ke mil ai dost jo milna hai tujhe

ye jhijhakte hue milna koi milna bhi nahin

tamām shabnam-o-gul hai vo sar se tā-ba-qadam

ruke ruke se kuchh aañsū rukī rukī hañsī

tamam shabnam-o-gul hai wo sar se ta-ba-qadam

ruke ruke se kuchh aansu ruki ruki si hansi

tīliyoñ par hai nasheman-sāz tinkoñ gumāñ

ab qafas apnā sarāpā hasrat-e-tāmīr hai

tiliyon par hai nasheman-saz tinkon ka guman

ab qafas apna sarapa hasrat-e-tamir hai

bahut pahle se un qadmoñ aahaT jaan lete haiñ

tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ

bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain

tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain

ek thā mire ash’ār meñ hazār huā

us ik charāġh se kitne charāġh jal uTThe

tu ek tha mere ash’ar mein hazar hua

us ek charagh se kitne charagh jal uTThe

ahbāb se rakhtā huuñ kuchh ummīd-e-ḳhurāfāt

rahte haiñ ḳhafā mujh se bahut log isī se

ahbab se rakhta hun kuchh ummid-e-KHurafat

rahte hain KHafa mujh se bahut log isi se

na ho ehsās to saarā jahāñ hai be-his-o-murda

gudāz-e-dil ho to dukhtī rageñ miltī haiñ patthar meñ

na ho ehsas to sara jahan hai be-his-o-murda

gudaz-e-dil ho to dukhti ragen milti hain patthar mein

hazār baar zamāna idhar se guzrā hai

na.ī na.ī hai kuchh terī rahguzar phir bhī

hazar bar zamana idhar se guzra hai

nai nai si hai kuchh teri rahguzar phir bhi

aane vaalī nasleñ tum par faḳhr kareñgī ham-asro

jab bhī un ko dhyān aa.egā tum ne 'firāq' ko dekhā hai

aane wali naslen tum par faKHr karengi ham-asro

jab bhi un ko dhyan aaega tum ne 'firaq' ko dekha hai

is zulf ārāsta pairāsta

ik zarā barhamī darkār hai

is ki zulf aarasta pairasta

ek zara si barhami darkar hai

rone vaale hue chup hijr duniyā badlī

sham.a be-nūr huī sub.h taarā niklā

rone wale hue chup hijr ki duniya badli

shama be-nur hui subh ka tara nikla

fazā tabassum-e-sub.h-e-bahār thī lekin

pahuñch ke manzil-e-jānāñ pe aañkh bhar aa.ī

faza tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin

pahunch ke manzil-e-jaanan pe aankh bhar aai

raat bhī niiñd bhī kahānī bhī

haa.e kyā chiiz hai javānī bhī

raat bhi nind bhi kahani bhi

hae kya chiz hai jawani bhi

merī ghuTTī meñ paḌī thī ho ke hal urdu zabāñ

jo bhī maiñ kahtā gayā husn-e-bayāñ bantā gayā

meri ghuTTi mein paDi thi ho ke hal urdu zaban

jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya

aaj bahut udaas huuñ

yuuñ koī ḳhaas ġham nahīñ

aaj bahut udas hun

yun koi KHas gham nahin

maz.hab ḳharābī hai na aḳhlāq pastī

duniyā ke masā.ib sabab aur kuchh hai

mazhab ki KHarabi hai na aKHlaq ki pasti

duniya ke masaib ka sabab aur hi kuchh hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now