Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdul Hamid Adam's Photo'

Abdul Hamid Adam

1909 - 1981 | Pakistan

Popular Poet with dominant romantic shades celebrating love and life.

Popular Poet with dominant romantic shades celebrating love and life.

Sher of Abdul Hamid Adam

66.8K
Favorite

SORT BY

husn ik dilrubā hukūmat hai

ishq ik qudratī ġhulāmī hai

husn ek dilruba hukumat hai

ishq ek qudrati ghulami hai

jis ne mah-pāroñ ke dil pighlā diye

vo to merī shā.erī thī maiñ na thā

jis ne mah-paron ke dil pighla diye

wo to meri shaeri thi main na tha

maiñ umr bhar javāb nahīñ de sakā 'adam'

vo ik nazar meñ itne savālāt kar ga.e

main umr bhar jawab nahin de saka 'adam'

wo ek nazar mein itne sawalat kar gae

chhoḌā nahīñ ḳhudī ko dauḌe ḳhudā ke pīchhe

āsāñ ko chhoḌ bande mushkil ko DhūñDte haiñ

chhoDa nahin KHudi ko dauDe KHuda ke pichhe

aasan ko chhoD bande mushkil ko DhunDte hain

ye kyā ki tum ne jafā se bhī haath khīñch liyā

mirī vafāoñ kuchh to sila diyā hotā

ye kya ki tum ne jafa se bhi hath khinch liya

meri wafaon ka kuchh to sila diya hota

aur to dil ko nahīñ hai koī taklīf 'adam'

haañ zarā nabz kisī vaqt Thahar jaatī hai

aur to dil ko nahin hai koi taklif 'adam'

han zara nabz kisi waqt Thahar jati hai

shauqiya koī nahīñ hotā ġhalat

is meñ kuchh terī razā maujūd hai

shauqiya koi nahin hota ghalat

is mein kuchh teri raza maujud hai

kaun añgḌā.ī le rahā hai 'adam'

do jahāñ laḌkhaḌā.e jaate haiñ

kaun angDai le raha hai 'adam'

do jahan laDkhaDae jate hain

zabān-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahīñ saktā

maiñ kaise bin piye le luuñ ḳhudā naam ai saaqī

zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta

main kaise bin piye le lun KHuda ka nam ai saqi

'adam' roz-e-ajal jab qismateñ taqsīm hotī thiiñ

muqaddar jagah maiñ sāġhar-o-mīnā uThā laayā

'adam' roz-e-ajal jab qismaten taqsim hoti thin

muqaddar ki jagah main saghar-o-mina uTha laya

jis se chhupnā chāhtā huuñ maiñ 'adam'

vo sitamgar jā-ba-jā maujūd hai

jis se chhupna chahta hun main 'adam'

wo sitamgar ja-ba-ja maujud hai

hujūm-e-hashr meñ kholūñgā adl daftar

abhī to faisle tahrīr kar rahā huuñ maiñ

hujum-e-hashr mein kholunga adl ka daftar

abhi to faisle tahrir kar raha hun main

jab tire nain muskurāte haiñ

ziist ke rañj bhuul jaate haiñ

jab tere nain muskuraate hain

zist ke ranj bhul jate hain

baat ḳhuun kyoñ kareñ nāhaq

aap ko fursat-e-javāb kahāñ

baat ka KHun kyon karen nahaq

aap ko fursat-e-jawab kahan

ai ġham-e-zindagī na ho nārāz

mujh ko aadat hai muskurāne

ai gham-e-zindagi na ho naraaz

mujh ko aadat hai muskurane ki

phir aaj 'adam' shaam se ġhamgīñ hai tabī.at

phir aaj sar-e-shām maiñ kuchh soch rahā huuñ

phir aaj 'adam' sham se ghamgin hai tabiat

phir aaj sar-e-sham main kuchh soch raha hun

vo parinde jo aañkh rakhte haiñ

sab se pahle asiir hote haiñ

wo parinde jo aankh rakhte hain

sab se pahle asir hote hain

so bhī ai dil-e-majrūh bahut raat ga.ī

ab to rah rah ke sitāroñ ko bhī niiñd aatī hai

so bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai

ab to rah rah ke sitaron ko bhi nind aati hai

haule haule vasl huā

dhīre dhīre jaan ga.ī

haule haule wasl hua

dhire dhire jaan gai

kisī ne haal jo pūchhā to ho ga.e ḳhāmosh

tumhārī baat ham apnī zabāñ se kyā kahte

kisi ne haal jo puchha to ho gae KHamosh

tumhaari baat hum apni zaban se kya kahte

mere hone meñ mirā apnā nahīñ thā kuchh sharīk

merī hastī sirf tere e'tinā baat thī

mere hone mein mera apna nahin tha kuchh sharik

meri hasti sirf tere e'tina ki baat thi

dekhā hai kis nigāh se ne sitam-zarīf

mahsūs ho rahā hai maiñ ġharq-e-sharāb huuñ

dekha hai kis nigah se tu ne sitam-zarif

mahsus ho raha hai main gharq-e-sharab hun

ḳhudā ne gaḌ.h to diyā ālam-e-vajūd magar

sajāvaToñ binā auratoñ zaat huī

KHuda ne gaDh to diya aalam-e-wajud magar

sajawaTon ki bina auraton ki zat hui

shikan na Daal jabīñ par sharāb dete hue

ye muskurātī huī chiiz muskurā ke pilā

shikan na Dal jabin par sharab dete hue

ye muskuraati hui chiz muskura ke pila

chhup chhup ke jo aatā hai abhī merī galī meñ

ik roz mire saath sar-e-ām chalegā

chhup chhup ke jo aata hai abhi meri gali mein

ek roz mere sath sar-e-am chalega

thoḌī aql laa.e the ham bhī magar 'adam'

duniyā ke hādsāt ne dīvāna kar diyā

thoDi si aql lae the hum bhi magar 'adam'

duniya ke hadsat ne diwana kar diya

ye bāteñ aur mujh kahne vaalā

fasāna aur phir terā fasāna

ye baaten aur mujh sa kahne wala

fasana aur phir tera fasana

savāl kar ke maiñ ḳhud bahut pashemāñ huuñ

javāb de ke mujhe aur sharmsār na kar

sawal kar ke main KHud hi bahut pasheman hun

jawab de ke mujhe aur sharmsar na kar

girte haiñ log garmī-e-bāzār dekh kar

sarkār dekh kar mirī sarkār dekh kar

girte hain log garmi-e-bazar dekh kar

sarkar dekh kar meri sarkar dekh kar

mujhe tauba puurā ajr miltā hai usī saa.at

koī zohra-jabīñ piine pe jab majbūr kartā hai

mujhe tauba ka pura ajr milta hai usi saat

koi zohra-jabin pine pe jab majbur karta hai

ai dost mohabbat ke sadme tanhā uThāne paḌte haiñ

rahbar to faqat is raste meñ do gaam sahārā dete haiñ

ai dost mohabbat ke sadme tanha hi uThane paDte hain

rahbar to faqat is raste mein do gam sahaara dete hain

naujavānī meñ pārsā honā

kaisā kār-e-zabūn hai pyāre

naujawani mein parsa hona

kaisa kar-e-zabun hai pyare

shāyad mujhe nikāl ke pachhtā rahe hoñ aap

mahfil meñ is ḳhayāl se phir aa gayā huuñ maiñ

shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap

mahfil mein is KHayal se phir aa gaya hun main

vo hasīñ baiThā thā jab mere qarīb

lazzat-e-hamsā.egī thī maiñ na thā

wo hasin baiTha tha jab mere qarib

lazzat-e-hamsaegi thi main na tha

junūñ ab manzileñ tai kar rahā hai

ḳhirad rasta dikhā kar rah ga.ī hai

junun ab manzilen tai kar raha hai

KHirad rasta dikha kar rah gai hai

lazzat-e-ġham to baḳhsh us ne

hausle bhī 'adam' diye hote

lazzat-e-gham to baKHsh di us ne

hausle bhi 'adam' diye hote

ba.az auqāt kisī aur ke milne se 'adam'

apnī hastī se mulāqāt bhī ho jaatī hai

baz auqat kisi aur ke milne se 'adam'

apni hasti se mulaqat bhi ho jati hai

pahle baḌī raġhbat thī tire naam se mujh ko

ab sun ke tirā naam maiñ kuchh soch rahā huuñ

pahle baDi raghbat thi tere nam se mujh ko

ab sun ke tera nam main kuchh soch raha hun

mudda.ā duur tak gayā lekin

aarzū lauT kar nahīñ aa.ī

muddaa dur tak gaya lekin

aarzu lauT kar nahin aai

vo mile bhī to ik jhijhak rahī

kaash thoḌī ham piye hote

wo mile bhi to ek jhijhak si rahi

kash thoDi si hum piye hote

kabhī to dair-o-haram se aa.egā vāpas

maiñ mai-kade meñ tirā intizār kar lūñgā

kabhi to dair-o-haram se tu aaega wapas

main mai-kade mein tera intizar kar lunga

zarā ik tabassum taklīf karnā

ki gulzār meñ phuul murjhā rahe haiñ

zara ek tabassum ki taklif karna

ki gulzar mein phul murjha rahe hain

dupaTTa na lījiye sar par

dupaTTa sambhāl kar chaliye

ya dupaTTa na lijiye sar par

ya dupaTTa sambhaal kar chaliye

taklīf miT ga.ī magar ehsās rah gayā

ḳhush huuñ ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayā

taklif miT gai magar ehsas rah gaya

KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya

saaqī mujhe sharāb tohmat nahīñ pasand

mujh ko tirī nigāh ilzām chāhiye

the charge of being affected by wine, I do despise

I want to be accused of feasting from your eyes

saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand

mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye

the charge of being affected by wine, I do despise

I want to be accused of feasting from your eyes

maiñ aur us ġhuncha-dahan aarzū

aarzū sādgī thī maiñ na thā

main aur us ghuncha-dahan ki aarzu

aarzu ki sadgi thi main na tha

marne vaale to ḳhair haiñ bebas

jiine vaale kamāl karte haiñ

those who are dying can little else contrive

I am truly amazed at those who can survive

marne wale to KHair hain bebas

jine wale kamal karte hain

those who are dying can little else contrive

I am truly amazed at those who can survive

chalī hai jab bhī duniyā ke mazālim shikāyat se

to aksar iltifāt-e-dostāñ tak baat pahuñchī hai

chali hai jab bhi duniya ke mazalim ki shikayat se

to aksar iltifat-e-dostan tak baat pahunchi hai

aap ik zahmat-e-nazar to kareñ

kaun behosh ho nahīñ saktā

aap ek zahmat-e-nazar to karen

kaun behosh ho nahin sakta

zindagī zor hai ravānī

kyā thamegā bahāv paanī

zindagi zor hai rawani ka

kya thamega bahaw pani ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now